Thursday, September 3, 2009

tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!

tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!
ky asaka na humy apny ghar ko ghar kehna

jo din ho toh tairy wisl ki dua kerna
jo raat ho toh dua he ko beyasar kehna

ye keh k doob gaya aaj aakhri soraj
ky hosaky toh isi shab ko ab seher kehna

wo shaqs mujh sy bohat badguman sa rehta hai
ye baat uss sy kaho bhi toh soch ker kehna

kabhi wo chand jo pochy k sheher kaisa hai?
bujhy bujhy hoye lagty hain baam-o-darr kehna

wo aik main ky maira sheher bhar ko apny siwa
tairi wafa ky taqazon sy beykhabar kehna

wo aik tu ky taira her kisi ko mairy begher
mammlat-e-muhabbat mein muat'aabar kehna

wafa ki tarz hai faysal ky misslehat kiya hai
ye taira dushman-e-janna ko bhi charrah'gar kehna



_________________

No comments:

Popular Posts