Wednesday, March 31, 2010

hUmein Khabar hAi hUm Ehal e Dil Ka

hUmein Khabar hAi hUm Ehal e Dil Ka mOhabbatOun Mein Yeh Haal hOga

Bahaar Mein Bhe Wo Habs hOga K Sans Laina Mahaal hOga



NaQoosh DhUndla Gye hAin Jis Key Khyaal Jis Ka dhUwaan dhUwaan hAi

wOh Zard PattOun Key kOrey KaGhaz Pey Likhii kOii MiSaal hOga



Jo Naptey hAin mUsafatOun Ko Lateef JazbOun Kii Shiddatien hAin

Khien Saddii Sa'atOun Kii Had Mein Kahien Pey Lamha Bhe Saal hOga



mUjhey hAi Syaad Sey wOh NiSbaat K mUjh Ko ManzOor hAi Aseerii

Qafas Kii AaghOsh Sey Jo Nikla To Wus'atOun Ka WaBaal hOga



tUmharey Lehjey Ki TalkhiyOun Ko bhUlla Key Eik Bar Mil To lOon Mein

Magar Ho Itna YaQeen mUjh Ko BiChar Key tUm Ko Malaal hOga





_________________

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,

Jis Ko Jhota Me Samjhta Tha Wo Sacha Nikla.



Me mujassam usey samjha usey pana chaha,

aik perchai tha wo shakhs bhe saya nikla.



Dunya walo ki nazar me to bura tha lekin,

me ne us shakhs ko jancha to wo acha nikla.



Maqtal e jism me jis ne meri gardan mari,

maqtal e jaan me wo hi mera sahara nikla.



Apne aangan me wo bas kaanch ka tukra thehra,

Ghar ki dehleez k us paar wo heera nikla.



Dil k sikkey ko Zarnaab samjh rakha tha,

Aaj bazar me rakha to khota nikla.



Hum ne aj un se sar-e-raah shikayat kr li,

chubh raha tha jo kai din se wo kanta nikla.



Un k aangan k shajar sary hen shadaab faysal,

mere aangan ka ye ik pair bhe sokha nikla.



Mukammal 2 hi daanon per Yeh TASBEEH e mohabbat hai

Mukammal 2 hi daanon per Yeh TASBEEH e mohabbat hai,,

Jo aaye teesra daana Yeh dori toot jaati hai,,



Mutaiyyan waqt hota hai Mohabbat ki namaazon ka,,

Adaa jin ki nikal jaaye Qaza bhi chhoot jaati hai,,



Mohabbat ki namaazon mein Imaamat aik ko saunpein,,

issay taknay, usay taknay Se niyyat toot jaati hai,,



Mohabbat dil ka SAJDA hai Jo hai TAUHEED per qaayem,,faysal

Nazar k SHIRK waalon se Mohabbat rooth jaati hai....!!!

raat kat'ti rahi chand dhalta raha

raat kat'ti rahi chand dhalta raha

aatish-e-hijar main koi jalta raha



ghar ki tanhayan dil ko dasti rahain

koi bychain karvat badalta raha



aas-o-umeed ki shama roshan rahi

ghar ki dehleez koi takta raha



ashak palkon py aa k rukty rahy

naam lub py kisi ka larazta raha



aj phir raat basar ho gai

ajk phir koi KHUDA sy ulajhta raha

~!*! PIYA !*!~

Ek khwab ajab sa dekha tha,

Hum us Din se bezaar Piya!



Ab nend bhi Hum se rooth gai,

Phir kaise ho Didaar Piya!



Ab keh dalo to behtar hai,

Jo krna hai Iqrar Piya!



Dil Ghum se hi phatt jae ga,

Kr dena na Inkar Piya!



Un ashkon ko un Ankhon ki,

Na rok sake Diwaar Piya!



Agr raste seedhe sadhe hen,

To chalna kyun Dushwar Piya!



Haan Jism to apna laut aya,

Pr bhatke Rooh us paar Piya!!!





_________________

Wo kam sukhan, Wo kaj adaa, Wo bewafa Acha Laga

Wo kam sukhan, Wo kaj adaa, Wo bewafa Acha Laga...

Jab bhi mila rutha huwa Jab bhi mila acha laga...



Wo zulm pe mayel bohat, Wo jabr ka qayel bohat...

Us ka sitam, Har ek sitam Mujh ko sada Acha laga...



Tum pyar k Qabil nahin, Tum pyar k Layeq nahin...

Us ne kaha, Hum se kaha, Hum ne suna Acha laga..

Ishq K Baab Me Kch Yun Hy Tmhara, Mera

Ishq K Baab Me Kch Yun Hy Tmhara, Mera,

Faidey Sare Tmhare Hein Khasara, Mera.



Sukh Juziroon Pe Utarte Howe Us Ne Ye Kaha,

Gham K Daryaaun K Sahil Ka Kinara Mera.



Ger PIYADA Bhe Koi Jeet K Nikla To Tera,

Or Bazi Me Koi SHAH Bhe Hara, MERA.



Dil Bharosa Jo Bht Krne Laga Hy Us Per,

Mujh Ko Ik Roz Doboye Ga, Sahara Mera.



Jeetne Wale Sabhi Tere Tarf Dar Hoye,

Or Is Khel Me Jo Bhe Koi Hara, Mera...

Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai

Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,

Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.



Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,

Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.



[ "Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,

Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai." ]



Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,

Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.



Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,

Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,

Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.



Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,

Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.



Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,

Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.



Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,

Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.



Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,

Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.



Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me faysal,

Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.

Mehfil mein teri sitaron ki roshani bahut hay

Mehfil mein teri sitaron ki roshani bahut hay

Isliye Alwida teri Mehfil ko kar hum chaley



Janey Dil ke kisey koney mein Aandhera bahut hay

Dil ko roshan khuda ki ibaaddat se karne hum chaley



Khuda ko Paney ki chaah Iss Dil mein bahut hay

Do hathon se dua mangney hum chaley



Teri Aankhon mein basey motiyon ki chamak bahut hay

Khuda se Apne motiyon ka hisab mangney hum chaley



Pathar na kehna Jis Dil mein armaan bahut hay

Patharon se ek jharney ka rukh modne hum chaley



Phuul na kehna Jis Phuul mein kantey bahut hay

Phuulon ko Katon se Sajaane hum chaley



Chaand ke nuur mein chandni bahut hay

hum ek tarey mein apni yaad basa kar chaley



Karvaan Zindagi ka yuun hi badhta jayega

Hum Aasmaan tere hathon mein saunp kar chaley...!!!



Yeh Zara Zara Si Baat Pe Tarhan Tarhan Ka Azaab Kyun

***Azaab kyun***

******************************************************

Yeh Zara Zara Si Baat Pe Tarhan Tarhan Ka Azaab Kyun

Jo Kisi Se Bhi Khafa Na Ho Mujhay Us Khuda Ki Talash Hai

Mujhay Lagzshon Pe Har Ghari Koi Tokta Hia Bar Bar

Jisay Kar K Dil Ko Dukh Na Ho Mujhay Us Gunaah Ki Talash Hai

Bina Humsafar K Kub Talak Koi Musafton Me Laga Rahe

Jahan Koi Kisi Se Juda Na Ho Mujhay Us Raah Ki Talash Hai

Mujhay Dekh Kar Jo Ek Nazar Meray Saray Dard Samjh Sakay

Jo Is Qadar Ho Char Gar Mujhy Us Nigah Ki Talash Hai

karta use beqarar kuch der

karta use beqarar kuch der

hota agar ikhtiyar kuch der



kya royein fareb-e-aasmaan ko

apna nahin aitbaar kuch der



aankhoN mein kati pahaar si raat

so ja dil-e-beqaraar kuch der



ai shehar-e-tarab ko jaane waloN

karna mira intizaar kuch der



bekaifi-e-roz-o-shab musalsal

sarmasti-e-intizaar kuch der



takleef-e-gham-e-firaaq dayem

taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der



ye guncha-o-gul hain sab musafir

hai kaafila-e-bahaar kuch der



dunyaa to sada rahegi Faysal

ham log hain yaadgaar kuch der

Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN

Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN

ek varq roz moR detaa huuN



is qadar zaKhm haiN nigaahon meN

roz ek aaiinaa toR detaa huuN



maiN pujaarii baraste phuuloN ka

chuu ke shaaKhoN ko chhoR detaa huuN



kaasa-e-shab meN Khuun suuraj kaa

qatraa qatraa nichoR detaa huuN



kaaNpte hoNT bhiigtii palkeN

baat adhuurii hii chhoR detaa huuN



ret ke ghar banaa banaa ke “Faysal”

jaane kyuuN Khud hii toR detaa huuN

Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein

Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,

Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,



Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,

Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,



Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,

Aur Kahein Aur Mubtala Ho Jayein,



IshQ Bhi Khel Hai Naseebon Ka,

Khaak Ho Jayein Kimiyan Ho Jayein,



Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse,

Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein,



Bandagi Humne Chhod Di Hai 'Faysal',

Kya Karein Log Jab Khuda Ho Jayein...





_________________

Apne Ehsaas Ki Shamma Ko Jalaye Hue Rakhna

Apne Ehsaas Ki Shamma Ko Jalaye Hue Rakhna,

Ek Dard Sa Seene Mein Jagaye Hue Rakhna,



Aas Paas Bikharna Apni Yaadon Ke Sab Moti,

Maazi Ke Sab Kirdaron Ko Bulaye Hue Rakhna,



Ilfaaz Ki Saugatein Jitni Bhi Milein Kam Hai,

Kadi Se Kadi Mila Kar Zanjeer Banaye Hue Rakhna,



Tanha Na Kabhi Rehna Ahbaab Ki Mehfil Mein,

Yaadon Ke Kisi Hajoom Ko Bikhraye Hue Rakhna,



Lamhon Ke Tasalsul Ko Hafon Ka Roop Dena,

Jazbon Ko Apne Simtaye Hue Rakhna,



Gaafil Na Kabhi Hona Dil Ke Badalne Se,

Sar Apni Ana Ka Har WaQt Uthaye Hue Rakhna,



Tanhayi Ke Alam Mein Milna Tum Kabhi Khud Se,

Par Ehsaas Ke Sehar Se Khudko Bachaye Hue Rakhna...





_________________

Dil ki Baat Labon Par Laa Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hai

Dil ki Baat Labon Par Laa Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hai,

Humne Suna Tha Is Basti Mein Dil Waale Bhi Rehte Hai,



Beet Gaya Sawan Ka Maheena Mausam Ne Nazrein Badli,

Lekin In Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behte Hai,



Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,

Duniya Wale Dilwalon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hai,



Jinki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jinke Liye Badnaam Hue,

Aaj Wahi Humse Begane Begane Se Rehte Hai,



Aaj Jo Abhi Us Raah Guzar Se Chaak Garebaan Guzra Tha,

Is Awara Deewane Ko Paagal Kehte Hai...





_________________

Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai

Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai,

Ab Pyaar Tujhe Har Din Maah-O-Saal Karna Hai,



Aage Bhi Badhna Hai Aur Tum Ko Bhi Paana Hai,

Khudase Bas Ek Yehi Sawal Karna Hai,



Kami Hogi Na Agaz Ta Anjaam-E-Mohabbat,

Dekho Humne Ab Ye Kamal Karna Hai,



Dar Na Jaana Kahin Zamane Ki Gardishko Dekh Kar,

Sirf Raat Aur Sawereka Khayal Rakhna Hai,



Jitni Bhi Aayein Nafratein Raaste Mein Tumhare,

Be Khauf-O-Khatar Sabko Pa'emal Karna Hai,



Anjaam Is Tarah Se Ho Ke Rutt Hi Badal Jaye,

Bilal Ezaton Ka Bhi Anee Magar Khayal Karna Hai...





_________________

Woh Jiska Naam Bhi Liya

Woh Jiska Naam Bhi Liya Paheliyon Ki Ott Mein,

Nazar Pheri To Chhup Gayi Saheliyon Ki Ott Mein,



Wo Tere Ishtayk Ki Hazar Hela Saziyan,

Wo Mere Istarab Yaar Baliyon Ki Ott Mein,



Chalo Ke Hum Bhi Bujhe Bujhe Ghar Ka Marsiya Kahei,

Wo Chaand To Utar Gaya Haweliyon Ki Ott Mein...







_________________

Mere Bagair Bhi Tum Jeena Hansi Khushi Se

Mere Bagair Bhi Tum Jeena Hansi Khushi Se,

Padta Hi FarQ Kya Hai Ek Shakhs Ki Kami Se,



Barbadiyon Mein Apni Bas Dosh Hai Hamara,

Tohmat Nahi Kisi Par, Shikwa Nahi Kisise,



Hai Saans Ab To Bhari, Jeena Bhi Ek Khwaari,

Yaa Rab Mujhe Utha Le, Hoon Tang Zindagi Se,



Ye Aayine Mein Jaane Hai Kaun Ab Dikhata,

Kyon Guftugu Karti Hoon Main Ek Ajnabi Se,



Deewangi Ki Mujh Par Tohmat Hai Jo Galat Hai,

Ruswa Hui Hoon Main To Apni Junoo-Gari Se,



Shagufta Baat Meri Pallo Mein Baand Lena,

Ummid Mat Lagana Ab Tum Kabhi Kisi Se...







_________________

Main MuQtal Mein Bhi Kismat Ka Sikandar Nikla

Main MuQtal Mein Bhi Kismat Ka Sikandar Nikla,

Qura-E-Faal Meren Aam Ka Aksar Nikla,



Tha Jinhe Za'am Wo Darya Bhi Mujh Mein Doobe,

Main Ke Sehra Nazar Aata Tha Samundar Nikla,



Maine Us Jaan-E-Baharaan Ko Bahut Yaad Kiya,

Jab Koi Phool Meri Shaakh-E-Hunar Se Nikla,



Sheher Walon Ki Mohabbat Ka Main Qail Hoon Magar,

Maine Jis Haath Ko Chuma Wohi Khanjar Nikla...







_________________

Bekhudhi Le Gayi Kahan Humko

Bekhudhi Le Gayi Kahan Humko,

Der Se Intezaar Hai Apna,



Rote Phirte Hai Sari Saari Raat,

Ab Yehi Rozgaar Hai Apna,



Deke Dil Hum Jo Ho Gaye Majboor,

Is Mein Kya Ikhtiyaar Hai Apna,



Kuchh Nahi Hum Misaal-E-UnQaa Leke,

Sheher Sheher Ishtehaar Hai Apna,



Jisko Tum Aasman Kehte Ho,

So Dilon Ka Gubaar Hai Apna...







_________________

Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi

Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi,

Neel Gagan Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi,



Rang-O-Nasl Ka Jhagda Kaisa, Kumba Ek Qabila Ek,

Tera Khoon Ka Laal Hai Rang, Waisa Hi Rang Mera Bhi,



Tera Mera Mazhab Kaisa, Pyaar Hi Sabka Mazhab Hai,

Ek Khuda Hai Tera Bhi Aur Tera Khuda Hai Mera Bhi,



Kaun Kisika Dost Hua, Jab Haath Mein Sabke Khanjar Ho,

Band Pitare Mein Rakhta Hai Apna Saanp Sapera Bhi,



Diar Hui Jab BurQ, Giri Thi, Ab Tak Wehshat Tari Hai,

Thak Kar Sooraj Dooblega To Chhayega Andhera Bhi...







_________________

Main Tumhe Dil Mein Basa L'un Agar Bura Na Lage

Main Tumhe Dil Mein Basa L'un Agar Bura Na Lage,

Main Tumhe Apna Bana L'un Agar Bura Na Lage,



Tum Hi Ho Chahat Meri Tum Hi Ho Manzil Meri,

Tumhe Dhadkan Mein Chhupa L'un Agar Bura Na Lage,



Shab-E-Tanhayi Mein Tera Intezar Karta Hoon,

Teri Neendon Ko Chura L'un Agar Bura Na Lage,



Tum Hi Khwahish Ho Tum Hi Khushi Ho Meri,

Tum Hi Se Tumko Chura L'un Agar Bura Na Lage...

Meri Zindagi Ek Masla Hai Tum Isse Nikal Jao

Meri Zindagi Ek Masla Hai Tum Isse Nikal Jao,

Is Zindagi Se Keh Do Aye Zindagi Badal Jao,



Main Tumse Nafrat Karta Hoon Mere Kooche Se Nikal Jao,

Is Mohabbat Se Keh Do Aye Mohabbat Badal Jao,



Mera Dil Bahut Tadapta Hai Is Dilse Nikal Jao,

Is Dilse Keh Do Aye Dil Badal Jao,



Main Chikh Chikh Kar Karta Hoon Tum Lad Kar Nikal Jao,

Is Muskaan Se Keh Do Aye Muskaan Badal Jao,



Main Dilko Kuch Samajhta Hoon Ise Tod Kar Nikal Jaun,

In Lafzon Se Keh Do Aye Alfaaz Badal Jao,



Main Izhaar-E-Mohabbat Chahta Hoon Mujhe Chhod Kar Nikal Jao,

In Jazbaat Se Keh Do Aye Jazbaat Badal Jao,



Kahin Main Kuch Keh Na Dun Tezi Se Nikal Jao,

In Lamhon Se Keh Do Aye Lamhaat Badal Jao...







_________________

IshQ Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan

IshQ Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,

Puchho Na Zindagi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,



Phoolon Ki Taazgi Hai Kya Chaand Ki Chaandni Hai Kya,

Rang Hai Roshni Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,



Meri Har Ek Soch Ki Hai Teri Zaat Tak Udaan,

Aur Meri Shayri Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,



Meri Shaam-E-Fikar Mein Hai Tere Pyaar Ki Mehek,

Phool Hai Kya Kali Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan...

Bebas Bahut Hai Ke Ye Bimaar Bahut Hai,

Bebas Bahut Hai Ke Ye Bimaar Bahut Hai,

Ab Aake Milo Humse Dil Ko Ye Israar Bahut Hai,



Ek Shakhs Jo Har Aan Khafa Rehta Hai Mujhse,

Dil Uski Mohabbat Mein Giraftar Bahut Hai,



Mana Hamein Jeene Ka Qareena Nahi Aata,

Aye Zeest Magar Tujhse Hamein Pyaar Bahut Hai,



Kuch Hum Bhi Bulane Ka Taqaza Nahi Karte,

Kuch Unki Tabiyat Mein Bhi Inkaar Bahut Hai,



Is Zaat Ke Sehra Ki Kadi Dhoop Mein Humko,

Saathi Na Sahi Sai'ayy Deewar Bahut Hai...







_________________

Na Sawal Banke Mila Karo Na Jawab Banke Mila Karo

Na Sawal Banke Mila Karo Na Jawab Banke Mila Karo,

Meri Zindagi Mere Khwaab Hai Mujhe Khwab Banke Mila Karo,



Har Ek Shaam Ko Mere Doston Na Azab Banke Mila Karo,

Mujhe Mehgadeh Mein Milo Agar To Sharab Banke Mila Karo,



Mujhe Achhe Log Bahut Mile Main To Unke Qarz Se Mar Gaya,

Gar Ho Sake To Kabhi Kabhi To Kharab Banke Mila Karo,



Abhi Sochna Hai To Soch Lo Hamein Chhodna Hai To Chhod Do,

Naye Mausamon Mein Milo Mujhe To Gulab Banke Mila Karo,



Na To Is Tarah Se Mila Karo Na To Us Tarahse Mila Karo,

Haan Hazoor Banke Mila Karo Haan Janaab Banke Mila Karo...







_________________

Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Sannata Hi Gunj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Mera Maazi Mujhse Bichhad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai,

Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Sahara Sahara Kab Tak Main Dhundun Ulfat Ka Ek Alam,

Alam Alam Ek Sahara Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Ahl-E-Toofan Soch Rahe Hai Saahil Dooba Jaata Hai,

Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...







_________________

Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo

Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo,

Bahut Bada Hai Safar Thodi Door Saath Chalo,



Tamaam Umr Kahan Koi Saath Deta Hai,

Main Jaanta Hoon Magar Thodi Door Saath Chalo,



Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi Tumhe Bhi Hosh Nahi,

Bada Maza Ho Agar Thodi Door Saath Chalo,



Ye Ek Shab Ki Mulaqat Bhi Ganimat Hai,

Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo,



Abhi To Jaag Rahe Hai Chirag Raahon Ke,

Abhi Hai Door Sheher Thodi Door Saath Chalo,



Tavaf-E-Manzil-E-Jaana Hume Bhi Karna Hai,

'Faisal' Tum Bhi Agar Thodi Door Saath Chalo...





Sochta Hoon Ke Use Nind Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon Ke Use Nind Bhi Aati Hogi,

Ya Meri Tarah Faqt Ashq Bahati Hogi,



Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulne Wali,

Meri Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,



Is Zameen Pe Bhi Hai Sailab Mere Ashkon Se,

Mere Maatam Ki Sada Arsh Hilati Hogi,



Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Ke Shamayein,

Apni Palkon Pe Kayi Khwaab Sulati Hogi,



Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Libaas,

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi,



Jab Bhi Zulfon Mein Koi Phool Sajati Hogi,

Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali,



Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,

Dilki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hogi,



Joon Hi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi,

Roop Dekar Mujhe Us Mein Kisi Shehzade Ka

Apne Bachhon Ko Kahani Sunati Hogi...







_________________

Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De

Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De,

Mere Baazu Meri Aankhein Mera Chehra Laa De,



Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samundar Mein Gire,

Isse Behtar Hai Ke Mujhko Mera Sehra Laa De,



Kuch Nahi Chahiye Tujhse Meri Aye Umr-E-Rawan,

Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudiya Laa De,



Jiski Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Padh Sakti Ho,

Koi Chehra To Mere Sheher Mein Aisa Laa De,



Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kayi Barso Se,

Aye Khuda Ab To Dubo De Ya Kinara Laa De...







_________________

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta,

Shaakh Se Toot Kar Gira Patta,



Zard Roo Sa Muda Tuda Patta,

Aye Aandhi Hua Hawa Patta,



Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta,

Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta,



De Slaa Rabt Pair Se Rakhna,

Fasl-E-Gul Ka Yeh Gamzada Patta,



Besaharon Ki Zindagi Jaise,

Pair Ke Saaye Mein Pada Patta,



Hum Bhi Ra'na The Yun Kabhi,

Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...







_________________

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai,

Saaya Bhi Chhupta Jaata Hai,



Aisi Hi Muskaan Tumhari,

Guncha Jaise Khil Jaata Hai,



Zakhm Laga Ke Wo Kehte Hai,

Bol Re Sajan Tu Kaisa Hai?



Baatein Kar Imroz Ki Pyaare,

Chhod De Usko Jo Farda Hai,



Is Duniya Mein Ulfat Dhunde,

Kuch Kuch Diwana Lagat Hai...


Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi

Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi,

Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi,



Ab Agar Mel Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi,

Baat Todi Bhi Nahi Tumne Banayi Bhi Nahi,



Ye Sahara Bhi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye,

Tum Agar Meri Nahi Ho To Parayi Bhi Nahi,



Mere Dilko Na Saraho To Koi Baat Nahi,

Gair Ke Dil Ko Sarahogi To Mushkil Hogi,



Tum Haseen Ho, Tumhe Sab Pyar Karte Honge,

Main Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge,



Sabki Aankhon Mein Isi Shoq Ka Toofan Hoga,

Sab Ke Seene Mein Yehi Dard Ubharte Honge,



Mere Gam Mein Na Karraho To Koi Baat Nahi,

Aur Ke Gam Mein Karrahogi To Mushkil Hogi,



Phool Ki Tarah Hanso Sabki Nigahon Mein Raho,

Apni Masoom Jawani Ki Panahon Mein Raho,



Mujhko Wo Din Na Dikhana, Tumhe Apni Hi Kasam,

Main Tarasta Rahoon Tum Gair Ki Baahon Mein Raho,



Tum Jo Mujhse Na Nibhao To Koi Baat Nahi,

Kisi Dusham Se Nibhaogi To Mushkil Hogi,



Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Hogi,

Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi...







_________________

Agar Mohabbat Meri Sachi Hai To Ek Din Zaroor Mila Degi

Agar Mohabbat Meri Sachi Hai To Ek Din Zaroor Mila Degi,

Agar Zid Meri Pakki Hai To Aye Khuda Aasman Ko Bhi Hila Degi,



Na Inkaar Kar Sakta Hai Koi Meri Wafa Se, Mujhe Yakeen Hai,

Par Tum Sambhalna Ek Din Meri Wafa Tujhe Bewafayi Ka Sila Degi,



Ye Baat Sach Hai Ke Tumne Humse Pyaar Kiya Par Dusre Hi Pal Bhula Diya,

Mera Pyaar Itna Aasan Na Tha Na Socha Tha Ke Teri Mohabbat Daga Degi,



Na Bhula Sakungi Wo Mohabbat Na Wo Bewafayi Jo Tune Ki,

Saza Isse Badhke Kya Degi Ke Umar Bhar Meri Mohabbat Tujhe Dua Degi,



Agar Dam Hai Meri Wafa-E-Mohabbat Mein To Wo Ek Din Ayega Zaroor,

Jab Meri Yaad Mein Tu Tadpega Par Tab Tujhe Apni Mohabbat Na Degi...







_________________

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,

Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai,



Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,

Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,



Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,

Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,



Har Taraf Uska Aqs Hai Ab To,

Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,



Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,

Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...







_________________

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye,

Ke Manzil Door Ho Aur Raaste Mein Shaam Ho Jaye,



Wohi Naala Wohi Nagma Bas Ek Tafriti Lafzi Hai,

Qafas Ko Muntashir Kar Do, Nasheman Naam Ho Jaye,



Ye Aalam Ho To Inko Behijabi Ki Zaroorat Kya,

Naqab Uthne Na Paye Aur Jalwa Aam Ho Jaye,



Ye Mera Faisla Hai Aap Mere Ho Nahi Sakte,

Main Jab Jaano Ke Ye Jazba Mera Nakaam Ho Jaye,



Abhi To Dil Mein Bahut Halki Si Khalish Mehsoos Hoti Hai,

Bahut Mumkin Hai Kal Iska Mohabbat Naam Ho Jaye...







_________________

Wo Hai Manind-E-Sung To Main Sung Tarash Ban Jaun

Wo Hai Manind-E-Sung To Main Sung Tarash Ban Jaun,

Chahun Use Itna Ke Pathar Bhi Devta Ban Jaye,



Main Hoon Jahan-E-Wafa Main Us Urooj Par Mutayyan

Jo Tera Naam Le Ke Jiye Tere Naam Pe Mar Jaye,



Ho Aisi Kashish Meri Chahat Mein Ke Use Har Bandhan Se Azad Karun,

Wo Laut Aaye Har Baar Magar Aur Mera Ban Jaye,



Ho Shiddat Aisi Ke Mujhe Hi Kya Mere Aks Ko Bhi Tera Khayal Ho,

Main Jo Aayna Dekhun Kabhi Mujhe Khud Par Bhi Tera Guman Ho Jaye,



Mera Ishq Ho Ishq Ki Us Manzil Par Ke Khud Ishq Tadap Uthe,

Main Tujhe Nazar Bhar Ke Dekhun Hi Kya Meri Aankh Bhar Aaye...







_________________

Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga..

Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga,

Bhool Jaane Mein Use Poora Zamana Laga,



Pith Mein Bhi Maara Khanjar, Dilko Bhi Kiya Zakhmi,

Andaz Uska Ye Mujhe Barha Katlana Laga,



Har Baar Gairon Ki Tarah Wo Milta Raha Mujhe Magar,

Phir Bhi Na Wo Zalim Mujhe Kabhi Begana Laga,



Kahin Bhi Na Mili Jab Mujhe Dard-E-Dilki Dawa,

Tab Maikhana Hi Mujhe Apna Dawakhana Laga,



Kahani Sun Mere Barbaad Hone Ki Wo Bola,

Bahut Khoob Hamein Ye Afsana Laga,



Aaj Ke Is Daur Mein Wo Dhund Raha Hai Wafa,

Kya Kahoon, Mujhe To DILBAAR Pura Deewana Laga...







_________________

Toota Hua Dil Hia Har Baat Par Ro Deta Hai

Toota Hua Dil Hia Har Baat Par Ro Deta Hai,

Muskurana Bhi Uska Kisi Gam Ki Khabar Deta Hia,



Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagne Lagta Hai,

Wo Itna Hassas Hia Har Baat Dil Pe Le Leta Hia,



Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko,

Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai,



Judayi Ke Dar Ne Bahut Shiddat Se Dasa Hia,

Wo Ab Mujhse Milne Se Bhi Darta Hai,



Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab,

Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai,



Ye Ehsaas Hai Qarb Ki Inteha Ko Chuta Hai,

Wo Majmoyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai...





_________________

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,

Mujhe Ek Mutthi Zameen De, Ye Zameen Kitni Simat Gayi,



Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,

Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,



Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,

Jahan Mera Naam Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,



Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,

Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,



Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,

Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi...





Umeed To Rehti Hai Imkaan To Rehta Hai

Jitna Bhi Behak Jaye Insaan To Rehta Hai

Har Lamha Sanbhalny Ka Imkaan To Rehta Hai




Sadiyon Ke Marasim Ki Apni Hai Jaga Lekin

Dam Bhar Ka Taalluq Bhi Pehchan To Rehta Hai



Dam Torti Yaadein Hon Ya Khuwaab Preshan Say

Kuch Pas Mere Uska Saaman To Rehta Hai



Ek Umar Ke Jab Rishtey Lamhon Me Bikhar Jayein

Aankhein To Barasti Hain Aarman To Rehta Hai


Bichray Howe Logon Ka Milna To Hai Mushkil Par


Umeed To Rehti Hai Imkaan To Rehta Hai



Dil pe Ek Tarfa Qayamat Karna

Dilpe Ek Tarfa Qayamat Karna,

Muskurate Hue Rukhsat Karna,



Achhi Aankhein Jo Mili Hia Usko

Kuch To Lazim Hua Wehshat Karna,



Jurm Kiska Tha, Saza Kisko Mili,

Kya Gayi Baat Pe Hujat Karna,



Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah,

Ab Na Kisise Mohabbat Karna,



Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hia,

Waqt Mil Jaye To Zehmat Karna...





_________________

Teri Tareef Karte Hai To Isme Kya Burayi Hai

Teri Tareef Karte Hai To Isme Kya Burayi Hai,

Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,



Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,

Teri Tasveer Humne Kitabon Mein Chhupayi Hai,



Teri Masoom Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,

Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,



Marz Ye IshQ Ka Aisa Laga Ki Phir Nahi Chhuta,

Dua Bhi Humne Ki Dawa Bhi Aazmaayi Hai...

Apne Ehsaasaat Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsaasaat Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do,

Main Kayi Sadiyon Se Adhura Hoon Mukammal Kar Do,



Na Tumhe Hosh Rahe Na Mujhe Hosh Rahe,

Is Qadar Toot Ke Chaho Mujhe Pagal Kar Do,



Tum Hatheli Ko Mere Pyaar Ki Mehandi Se Rango,

Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do,



Iske Saye Mein Mere Khwaab Dahek Uthenge,

Mere Chehre Pe Chamakta Hua Aanchal Kar Do,



Dhoop Hi Dhoop Mein Toot Ke Barso Mujhpar,

Is Qadar Barso Meri Rooh Mein Jalthal Kar Do,



Jaise Sehraon Mein Har WaQt Shaam Hawa Chalti Hai,

Is Tarah Mujh Mein Cahlo Aur Mujhe Thal Kar Do,



Tum Chhupa Lo Mera Dil Apne Dil Mein,

Aur Mujhe Meri Nigahon Se Bhi Ojhal Kar Do,



Masla Hoon To Nigahien Na Churao Mujhse,

Apni Chahat Ke Tawajjo Se Mujhe Hal Kar Do,



Apne Gam Se Kaho Har WaQt Mere Sath Rahe,

Ek Ehsan Karo Isko Musalsal Kar Do,



Mujhpe Chha Jao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,

Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jangal Kar Do...





_________________

Raaz Ki Baatein Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya

Raaz Ki Baatein Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya,

Jaane Kyon Ruswaiyon Ka Silsila Rehne Diya,



Umar Bhar Mere Sath Reh Kar Wo Na Samjha Dil Ki Baat,

Do Dilon Ke Darmiyaan Ek Fasla Rehne Diya,



Apni Fitrat Wo Badal Paaya Na Is Ke Bawajood,

Khatam Ki Ranjish Magar Gila Rehne Diya,



Main Samajhta Tha Khushi Degi Mujhe SABIR-e-Fareb,

Isliye Maine Gamon Se Raabta Rehne Diya

Toota Hua Shisha Joda Nahi Jaata

Toota Hua Shisha Joda Nahi Jaata,

Aankh Se Nikla Hua Aansu Phir Wapas Nahi Aata,



Tum To Keh Ke Bhool Chuke Ho Sab Kuch,

Lekin Mujhse Wo Pal Bhulaya Nahi Jaata,



Teri Mohababt Ne Zanjeerein Dali Hai Aisi,

Ke Chhudana Bhi Chahun To Chhudaya Nahi Jaata,



Mehfil Mein Bhi Mujhko Tanhayi Nazat Aati Hai,

Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaya Nahi Jaata,



Mere Dilki Deewaron Par Sirf Tera Hi Naam Likha Hai,

Mitana Bhi Chahun To Mitaya Nahi Jaata,



Saans Rukne Se Pehle Ek Jhalak Dikha Jana,

Bewafa Zindagi Ka Aitbaar Kiya Nahi Jaata...





_________________

Monday, March 22, 2010

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey
Abb Tum Hi Bataao Ke Tumhein Bhulaoon Kaisey

Log Kehtey Hain Ke Main Jo Hoon Woh Tum Hi To Ho
Terey Honey Ko Main Sab Say Chupaoon Kaisey

Jaagti Aankhon Say Bhi Daikhoon To Tera Sapna Daikhoon
Apni Aankhon Mein Kissi Aur Ke Khwab Sajaoon Kaisey

Main Jo Chaahoon Bhi To Keh Na Paaoon Kuch Bhi Tum Say
Mairi Jo Halat Hai Woh Main Tujh Ko Sunaoon Kaisey !
__________________

jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge

hazaaroon manzilein hongi
hazaaoon kaarwaan honge
nigaahein hum ko dhondeingi
na-jaane hum kahaa honge

humein apnaa nahi jana tamanna-e-gham tumharaa hai
ke phir kis par sitam farmaao ge
jab hum nahi honge

bohat aasaan sahi, rahein wafaa ki manzilein lekin
akele kahaan tak jaao ge
jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge!
__________________

Popular Posts