Monday, May 31, 2010

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se


Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad, 

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai, 
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad, 

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri, 
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad, 

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka, 
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad, 

Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat, 
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad, 

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin,
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad, 

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua, 
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad...

Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna

Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna, 
Ek Aag Si Jazbon Ki Behki Hui Rehna, 

Chhalkaye Hue Chalna Khusbu-E-Begani Ki, 
Ek Baag Sa Tha Apna Mehakaye Hue Rehna, 

Is Husn Ka Shevaa Hai, Jab Ishq Nazar Aaye,
Parde Mein Chale Jaana, Sharmaye Hue Rehna, 

Ek Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se, 
Ek Chand Sa Aankhon Me Chamkaye Hue Rehna, 

Aadat Hi Bana Li Hai Tumne To Munir Apni, 
Jis Shaher Mein Bhi Rehna Uktaye Hue Rehna...

Manzil Nahi Milti, Rasta Nahi Dikhta


Manzil Nahi Milti, 
Rasta Nahi Dikhta,
Ho Kar Juda Tujhse,
Mujhe Sahara Nahi Milta, 

Roz Jeeti Hoon
Roz Marti Hoon,
Tere Jaane Ke Baad, 
Jeene Ka Aasra Nahi Milta, 

Har Awaz Pe Chonk Jaati Hoon,
Har Aahat Pe Mud Ke Dekhti Hoon, 
Kho Kar Tujhe
Tera Saaya Nahi Milta, 

Hai Yakeen Mujhe
Laut Ayega Wo Bhi, 
Magar Tab Tak
Saans Ko Rabta Nahi Milta,

Theher Jaye Is Dilki Dhadkan,
Sukoon Mil Jaye Is Bechain Ko, 
Dua Karo Ke Is Rooh Ko
Jaane Ka Raasta Nahi Milta...

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi,
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi, 

Yun To Hungame Uthate Nahi Deewane-E-Ishq
Magar Aye Dost Kuch Aison Ka Thikana Bhi Nahi, 

Muddatein Guzari Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,
Aur Hum Bhul Gaye Ho Tujhe Aisa Bhi Nahi, 

Ye Bhi Sach Hai Ke Mohabbat Mein Nahi Majboor, 
Ye Bhi Sach Hai Ke Tera Husn Kuch Aisa Bhi Nahi, 

Dilki Ginti Na Yaganon Mein Na Beganon Mein,
Lekin Is Jalvaagaah-E-Naaz Se Uthta Bhi Nahi,

Badguman Ho Ke Mil Aayi Dost Jo Milana Hai Tujhe, 
Ye Jhijhakte Hue Milna Koi Milna Bhi Nahi, 

Shikwa-E-Jaur Kare Kya Koi Us Shokh Se Jo, 
Saaf Qaayal Bhi Nahi Saaf Mukarta Bhi Nahi, 

Meherbani Ko Mohabbat Nahi Kehte Aye Dost, 
Aah Mujhse To Meri Ranjish-E-Bejan Bhi Nahi, 

Baat Ye Hai Ke Sukun-E-Dil-E-Vehshi Ka Makaam, 
Kunj-E-Zindan Bhi Nai Vusa'at-E-Sehra Bhi Nahi, 

Muh Se Hum Apne Bura To Nahi Kehte Ke, 
Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahi...

Aate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya

Aate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya
Uske Honton Pe Kuch Kanpata Reh Gaya

Wo Mere Saamne Hi Gaya Aur Main 
Raaste Ki Tarah Dekhata Reh Gaya 

Jhuth Wale Kahin Se Kahin Badh Gaye 
Aur Main Tha Ki Sach Bolata Reh Gaya

Aandhiyon Ke Iraade To Achhe Na The 
Ye Diya Kaise Jalata Hua Reh Gaya

Pehle Pehle To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti Hai


Pehle Pehle To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti Hai, 
Phir Aankhein Palkon Mein Chhup Kar Rone Lagti Hai, 

Jaane Tab Kyon Suraj Ki Khwahish Karte Hai Log, 
Jab Baarish Mein Sab Deewarein Girne Lagti Hia, 

Tasveeron Ka Rog Bhi Aakhir Kaisa Hota Hia, 
Tanhayi Mein Baat Karo To Bolne Lagti Hai, 

Saahil Se Takrane Wali Vehshi Maujein Bhi, 
Zinda Rehne Ki Khwahish Mein Marne Lagti Hia, 

Tum Kya Jaano Lafzon Ke Aazar Ki Shiddat Ko, 
Yaadein Tak Sochon Ki Aag Mein Jalne Lagti Hai...

Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho, Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi

Khushal Se Tum Bhi Lagte Ho, Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi, 
Pehchanne Wale Jante Hai, Khush Hum Bhi Nahi Khush Tum Bhi Nahi, 

Tum Apni Khudi Ke Pehre Mein, Or Dam-E-Gharoor Mein Jakde Hue, 
Hum Apne Za-Am Ke Narghay Mein, Haath Hamare Pakde Hue, 

Ek Muddat Se Ghatan Pehchan, Tum Rabt-O-Guraiz Ke Dharon Mein,
Hum Apne Aap Se Uljhe Hue, Pachtave Ke Angaron Mein,

Mashor-E-Talatum Aaj Bhi Ho, Jo Tumne Kinare Dhund Liye, 
Toofan Se Sambhle Hum Bhi Nahi, Kehne Ko Sahare Dhoond Liye, 

Khamosh Se Tum Hum Mohar Ba-Lab, Jug Beet Gaye Tumse Baat Kiye, 
Suno Khel Adhoora Chhodte Nahi, Bina Chaal Chale Bina Maat Kiye, 

Jo Bhagte Bhagte Thak Jayein, Wo Saaye Ruk Bhi Sakte Hai, 
Chalo Todo Kasam Ikraar Karein, Hum Dono Jhuk Bhi Sakte Hai...

Use Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya

Use Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 
Kahan Laut Kar Koi Ayega, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 

Nayi Subah Hai Nayi Shaam Hia Naya Shaher Hai, Naya Naam Hia
Wo Chala Gaya Use Bhool Ja, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 

Koi Ayega Koi Jayega Koi Jayega Koi Ayega,
Suno Raston Ki Sada Suno, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 

Tere Paas Tere Habib Hia, Jo Nahi Mia Wo Naseeb Hai, 
Koi Phool Kehta Hai Muskura, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 

Mujhe Patjhadon Ki Kahaniya Na Suna Suna Ke Udaas Kar, 
Naye Mausamon Ka Pata Bata, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, 

Yahan Aitbaar-O-Yakeen Hai Ye Haqeeqaton Ki Zameen Hia, 
Zara Der Ka Koi Khwab Tha, Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya...

Dard Apnata Hai Paraye Kaun

Dard Apnata Hai Paraye Kaun,
Kaun Sunata Hai Aur Sunaye Kaun, 

Kaun Dohraye Wo Purani Baat,
Gam Abhi Soya Hai Jagaye Kaun, 

Wo Jo Apne Hai Kya Wo Apne Hai, 
Kaun Dukh Jhele Aazmaye Kaun, 

Ab Sukun Hai To Bhulane Mein Hai, 
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaye Kaun,

Aaj Phir Dil Hai Kuch Udaas Udaas, 
Dekhiye Aaj Yaad Aaye Kaun...

Wo Dil Hi Kya Tere Milneki Jo Dua Na Kare

Wo Dil Hi Kya Tere Milneki Jo Dua Na Kare, 
Main Tujhko Bhool Ke Zinda Rahoon Khuda Na Kare, 

Rahega Sath Tera Pyar Zindagi Bhar, 
Ye Aur Baat Hai Meri Zindagi Wafa Na Kare, 

Ye Thik Hai Nahi Marta Koi Judayi Mein, 
Khuda Kisise Kisiko Magar Juda Na Kare, 

Suna Hai Usko Mohabbat Duwayein Deti Hai, 
Jo Dilpe Ch'ot To Khaye Magar Gila Na Kare, 

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai Use, 
Hum Jaan Se Jaaye Par Ilteja Na Kare...

Gali Koonche Mein Barg-E-Khushki Ki Soorat Bikherna Tha

Gali Koonche Mein Barg-E-Khushki Ki Soorat Bikherna Tha, 
Hawa Se Dosti Ka Koi To Anjaam Hona Tha, 

Junoonke Shaher Mein Lekin Hamari Haar Lazim Thi, 
Idhar Ek Shayera Thi, Us Taraf Zamana Tha, 

Ye Sara Umar Kis Aashuftagi Mein Raegaan Kar Di, 
Usi Ko Yaad Rakha Hai, Jise Dil Se Bhulana Tha, 

Ajab Wehshat Ka Alam Hai Samajh Mein Kuch Nahi Aata, 
Safar Ki Shab Musafir Ko Kahan Khaama Lagana Tha,

Diye Jo Baam Par Rakhe The Maine Bujh Gaye Saare, 
Isi Tareek Shab Mein Usi Ko Mere Gaanv Aana Tha, 

Wo Jab Ojhal Hua To Hum Bhi Apne Aap Se Chaunke, 
Use Awaz Deni Thi, Use Wapas Bulana Tha...

Jahan Raat Kabhi Bhi Soyi Na Ho

Jahan Raat Kabhi Bhi Soyi Na Ho,
Jahan Subah Kisi Pe Royi Na Ho, 
Jahan Hijr Ne Wehshat Boi Na Ho, 
Jahan Koi Kisiki Khoyi Na Ho, 

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Jahan Shaher Hoon Sare Veeran, 
Jahan Log Sabhi Ho Begane, 
Jahan Sab Ke Sab Ho Deewane, 
Jahan Koi Hamein Na Pehchane, 

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Jahan Nafrat Dil Mein Bas Na Sake, 
Jahan Koi Kisi Ko Dus Na Sake, 
Jahan Koi Kisi Pe Has Na Sake, 
Jahan Koi Bhi Gunjal Kas Na Sake, 

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal,

Jahan Dard Kisiko Raas Na Ho, 
Jahan Koi Bhi Udaas Na Ho, 
Jahan Zulmat Ki Boo Bas Na Ho, 
Jahan Tu Bhi Zyada Paas Na Ho, 

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal...

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ke Kuch Bhi Nahi Hia

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ke Kuch Bhi Nahi Hia, 
Mehtaab Na Suraj Na Adhera Na Sawera, 

Aankhon Mein Dareechon Mein Kisi Husn Ki Jhalkan, 
Aur Dilki Panahon Mein Kisi Dard Ka Dera, 

Mumkin Hai Koi Weham Ho Mumkin Hia Suna Ho, 
Galiyon Mein Kisi Chaap Ka Ek Aakhri Phera, 

Shakhon Mein Khayalon Ke Ghane Ped Ke Shayad
Ab Aake Karega Na Koi Khwab Basera, 

Ek Mehar Na Ek Bair Na Ek Rabt Na Rishta, 
Tera Kio Apna Na Paraya Koi Mera, 

Manaa Ke Ye Sunsaan Ghadi Sakht Badi Hia, 
Lekin Mere Dil Ye To Faqt Ek Ghadi Hia, 
Himmat Karo Jeene Ko Abhi Umr Padi Hia...

Aansu Maine Rok Liye Hai

Aansu Maine Rok Liye Hai, 
Khwabon Ka Gharonde Tod Diya Hai,  

Khat Bhi Saare Phaad Diye Hai, 
Dil Ko Maine Band Liya Hia, 

Band Ye Darwaze Khol Na Jana, 
Tum Mujhe Ab Yaad Na Aana, 

Sheesh Mahel Ke Ye Sundar Sapen, 
Tune Chakna Choor Kiye Hai, 
Tere Naam Pe Behte Aansu
Khamoshi Se Zabt Kiye Hai, 

Zabt Ke Bandhan Tod Na Jana, 
Tum Mujhe Ab Yaad Na Aana, 

Ek Ek Kar Ke Saare Panchhi, 
Apne Gharon Ko Chale Gaye Hai, 
Prem Nagar Ke Wo Darwaze 
Maine Thak Ke Band Kiye Hai, 

Dar Ye Saare Khol Na Jana,
Tum Mujhe Ab Yaad Na Ana...

Lab-E-Khamosh Se Afsha Hoga

Lab-E-Khamosh Se Afsha Hoga, 
Raaz Har Rang Mein Ruswa Hoga, 

Dilke Sehra Mein Chali Sard Hawa, 
Abr Gulzaar Pe Barsa Hoga, 

Tum Nahi The To Sar-E-Baam-E-Khayal, 
Yaad Ka Koi Sitara Hoga, 

Kis Tawaqqo Pe Kisiko Dekhein,
Kio Tumse Bhi Haseen Kya Hoga, 

Zeenat-E-Halqaa-E-Aagosh Bano, 
Door Baithoge To Charcha Hoga, 

Zulmat-E-Shab Mein Bhi Sharmaate Ho, 
Dard Chamkega To Phir Kya Hoga,

Jis Bhi Fankaar Ka Shahakaar Ho Tum, 
Usne Sadiyon Tumhe Socha Hoga, 

Kis Kadar Karb Se Chatki Hia Kali,
Shaakh Se Gul Koi Toota Hoga, 

Umr Bhar Roye Faqat Is Dhun Mein, 
Raat Biti To Ujala Hoga, 

Saari Duniya Hamein Pehchanti Hai,
Koi Hum Sa Bhi Na Tanha Hoga...

Hum Hijr Ke Raaste Par Safar Kar Nahi Sakte

Hum Hijr Ke Raaste Par Safar Kar Nahi Sakte, 
Ek Lamha Tere Bina Basar Kar Nahi Sakte, 

Wo Aakhri Lamho Mein Mujhe Maang Raha Hai, 
Ye Waqt Aisa Ke Guzar Kar Nahi Sakte, 

Khud Haath Se Apne Use Khona Hi Padega, 
Ye Zabt Bhi Karna Hai Magar Kar Nahi Sakte, 

Yun Apni Nigahon Ko Chhura Lete Hai Tujhse, 
Ke Dil Ke Iraadon Ki Khabar Kar Nahi Sakte, 

Tum Khwab Jalate Rahe Hum Aaj Tak Chup The, 
Ab Dilke Yun Jalne Par Sabar Kar Nahi Sakte, 

Ye Aankh Andheron Mein Hai Pyaas Ka Sehra, 
Is Noor Ke Dariya Par Nazar Kar Nahi Sakte, 

Har Chand Ke Meri Aankh Mein Aansu Hai Larazte
Jalte Hue Shole Is Par Asar Kar Nahi Sakte, 

Ab Chahein Bandh Lenge Tumhe Apni Nazar Se, 
Hum Isliye Khuda Se Khafa Ho Nahi Sakte...

Wo Shaam Wo Rukhsati Ka Sama Yaad Rahega


Wo Shaam Wo Rukhsati Ka Sama Yaad Rahega, 
Wo Shaher Wo Kachha Makaan Yaad Rahega, 

Wo Tees Ki Ubhri Thi Idhar Yaad Rahegi, 
Wo Dard Ke Utha Tha Yahan Yaad Rahega,

Kuch Meer Ke Abyaat The Kuch Faiz Ke Misare, 
Ek Dard Ka Tha Jin Mein Bayan Yaad Rahega, 

Hum Bhul Sake Hai Na Tujhe Bhul Sakenge, 
Tu Yaad Rahega Hamein Hamesha Yaad Rahega...

Hum Isse Jeet Hi Lenge Dilko Ye Yakeen Tha

Hum Isse Jeet Hi Lenge Dilko Ye Yakeen Tha, 
Ye Khel Bhi Haar Gaye Hum Koi Gumaan Hone Tak,

Mom Ka Badan Nahi Hota Ya Dhoop Nahi Itni Tez Hoti, 
Hum To Jhulas Ke Reh Gaye Koi Saibaan Hone Tak, 

Hum Hi Kamfeham The Ya Zindagi Hi Dushwaar Thi, 
Intezaar Mein Hum Reh Gaye Iske Aasan Hone Tak, 

Koi Aisa Dar Milta Ke Jaan Se Hi Guzar Jaate, 
Hum To Khud Patthar Rahe Us But Ke Jaan Hone Tak, 

Umr Bhar Taraste Rahe Nazr-E-Iltafaat Ko,
Hum Kaheen Ke Nahi Rahe Uske Meherbaan Hone Tak...

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena, 
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena, 

Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hia Ke Nafrat Uski, 
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena, 

Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena, 

Khat Bhi Likhna Use Mayoos Bhi Rehna Usse, 
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena, 

Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena, 

Surat-E-Naqshe Qadam Me Rehna, 
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena...

Badla Na Apne Apko Jo The Wahi Rahe

Badla Na Apne Apko Jo The Wahi Rahe, 
Milte Rahe Sabhi Se Magar Ajnabi Rahe, 

Duniya Na Jeet Paao To Haaro Na Khud Ko Tum,
Thodi Bahut To Zehen Mein Narazgi Rahe, 

Apni Tarah Sabhi Ko Kisiki Talash Thi, 
Hum Jiske Bhi Qareeb Rahe Door Hi Rahe, 

Guzro Jo Baag Se To Dua Mangte Chalo, 
Jis Mein Khile Hai Phool Wo Daali Hari Rahe, 


Guzar Hi Jaate Hai Pal Uski Yaad Mein,
Jisne Milne Mein Sadiyon Ka Faasla Rakha, 

Jhagadna, Bigadna, Milna Aur Phir Rooth Jana, 
Teri In Saugaton Ko Humne Sambhale Rakha, 

Jo Likhe The Tumne Kabhi Fursat Ke Lamho Mein,
Tere In Khataon Ko Humne Dil Se Lagaye Rakha, 

Fursat Mein Kabhi Un Aansuon Ko Bhi Sochna,
Jin Ko Teri Berukhi Pe Aankhon Mein Chupaye Rakha...

Aye Dil Tu Us Pyaar Ko Bhul Jaa


Aye Dil Tu Us Pyaar Ko Bhul Jaa, 
Aye Dil Tu Us Yaar Ko Bhul Jaa, 

Jo Na Maana Kabhi Tujhe Apna, 
Aye Dil Tu Us Dildaar Ko Bhul Jaa...

Diya Hai Zamane Mein Usne Tumhe Dhoka, 
Aye Dil Tu Us Dhokhebaaz Ko Bhul Jaa,  

Andheri Raaton Mein Tu Aise Roya Na Kar, 
Aye Dil Tu Un Raaton Ke Intezaar Ko Bhul Jaa...

Kabhi Aayi Thi Tere Jeewan Mein Bahar, 
Aye Dil Tu Us Mausam-E-Bahaar Ko Bhul Jaa,  

Uske Dil Se Mila Tha Kabhi Mera Dil, 
Aye Dil Tu Us Deedar Ko Bhul Jaa...

Jo Kiya Tha Kabhi Tune Usse Ikraar,
Aye Dil Tu Us Ikraar Ko Bhul Jaa...

Aisa Kyon Hai, Ke Ab Insaan Bhi Samajhte Nahi



Aisa Kyon Hai, 
Ke Ab Insaan Bhi
Samajhte Nahi
Ek Dooje Ki Kahi
Aisa Kyon Hia...

Baat Sun Kar Bhi 
Samajhte Nahi
Sun Kar Bhi Ansuni
Aisa Kyon Hai...

Dukh Dekh Kar Bhi 
Samajhte Nahi
Use Mitate Nahi
Aisa Kyon Hai...

Har Insaan Ne 
Gird Apne Hi
Ek Deewar Chun Li
Aisa Kyon Hai...

Koi Awaz Sunta Nahi, 
Koi Bahar Dekhta Nahi,
Koi Sochta Nahi
Aisa Kyon Hai...

Ke Hamare Dilo Mein
Apne Siwa Kisike Liye
Koi Dard Nahi
Koi Aas Nahi
Aisa Kyon Hai...

Ke Hamari Soch Ka
Markaz Kam Hi 
Aur Koi Fikar Nahi
Aisak Yon Hai...

Apni Awaz Sunta Har Koi
Apni Baat Samajhta Har Koi,
Apni Fikar Karta Har Koi
Aisa Kyon Hai...

Aisa Kyon Hai
Sab Galat Hai, 
Sirf Main Sahi
Sirf Main Khara,
Khota Har Koi
Aisa Kyon Hai...

Ulfat Mein Kisiko Yun Sataya Nahi Karte


Ulfat Mein Kisiko Yun Sataya Nahi Karte,
Rayij Shab-E-Furqat Bhi Mitaya Nahi Karte,

Maana Ke Gam Aur Ranj To Deti Hai Mohabbat,
Shikayat Bhi Magar Lab Par To Laya Nahi Karte,

Ek Wakt Mukarrar Hai Duwaon Mein Asar Ka,
Bewaqt Kabhi Haath Uthaya Nahi Karte,

Badnaam Zamane Mein Wahi Ashaaq Hue Hai,
Wada Jo Mohabbat Mein Nibhaya Nahi Karte,

Kehne Ko Shab-E-Gam Bhi Guzar Jayegi
Toofan Shab-E-Furqat Mein Uthaya Nahi Karte...

Kisiko Humse Hai Chand Shikwe Kisiko Behad Shikayatein Hian

Kisiko Humse Hai Chand Shikwe Kisiko Behad Shikayatein Hian, 
Hamare Hisse Mein Sirf Apni Safaiyan Hai, Wazahatein Hian, 

Qadam Qadam Par Badal Rahe Hai Musafiron Ki Talab Ke Raaste, 
Hawaon Jaisi Mohababt Hia, Sadiyon Jaisi Rafaqatein Hain, 

Kisika Maqrooz Main Nahi Par Mere Girebaan Pe Haath Sabke, 
Kio Meri Chahaton Ka Dushman Kisiko Darkaar Chahatein Hain, 

Teri Judai Ke Kitne Sooraj Ufaq Pe Doobe Magar Abhi Tak, 
Khalish Hai Seene Me Pehle Din Si Lahoo Mein Waisi Hi Wehshatein Hain, 

Meri Mohabbat Ke Raazdaan Ne Ye Keh Ke Lauta Diya Mera Khat, 
Ke Bhigi Bhigi Si Aansuon Mein Tamam Gunjalak Ibaaratein Hain, 

Main Doosron Ki Khushi Ki Khatir Gubaar Bun Kar Bikhar Gaya Hoon, 
Magar Kisine Ye Haq Na Mana Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hain...

May Gaya Tah Us Ki Galii May

May Gaya Tah Us Ki Galii May 
Kayee Khushish Pahan Kar 
Wo Jo Tihi Bhout Sanasa 
Unhi Kirkioon Say Ab K 
Kisi Rukh Ki Roshnii Say 
Na Charag Koi Larza 
Na Koi Sitara Cahamka 
Na Hi Koi Pohool Aya 
Dil Muntazir K Janib 
Na Utahaiii Koi Cillmaan 
Kisi Dast Par Hina Nay 
Na Saba Ki Raskhoon Say 
Koi Parda Sar Saraya 
Kisi Khuwab Say Ulajh Kar 
Na Tu Chourian Hi Cahalkien 
Kisi Annkh May Simat Kar 
Na Hi Chand Muskuraya 
May Gaya Tah Us Ki Gali May 
Kayien Khuahisain Pahan Kar

Hum Bhi Apne Dilki Haar Se Pareshan Hai Tum Bhi Ho


Hum Bhi Apne Dilki Haar Se Pareshan Hai Tum Bhi Ho, 
Andar Se Reza Reza Meri Jaan Tum Bhi Ho,

Hum Bhi Hai Ek Ujdi Hui Basti Ki Tarah, 
Aankhein Bata Rahi Hai Ke Veeran Tum Bhi Ho, 

Pareshan Hai Hum Bhi Kadi Dhoop Ke Safar Se, 
Saaye Ki Aarzu Mein Pareshan Tum Bhi Ho, 

Hum Bhi Khizan Ki Shaam Ka Aangan Hai Be-Charaag, 
Sukhe Hue Ped Ki Darakton Jaise Tum Bhi Ho, 

Jiase Kisi Khayal Ka Saya Hai Do Wajood, 
Hum Bhi Agar Bekarar Hia, Bechain Tum Bhi Ho,

Mil Jayein Hum To Kaise Suhana Safar Kate, 
Ghayal Hai Hum Bhi, Dilse Zakhmi Tum Bhi Ho...

Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Baad

Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Baad, 
Ab Kya Gazal Sunaun Tujhe Dekhne Ke Baad, 

Aavaz De Rahi Hai Meri Zindagi Mujhe, 
Jaun Main Ya Na Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad, 

Kaabe Ka EhtaraaM Bhi Meri Nazar Mein Hai, 
Sar Kis Taraf Jhukaun Tujhe Dekhne Ke Baad, 

Teri Nigah-E-Mast Ne Deewana Kar Diya Hai, 
Kya Maikade Ko Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad, 

Nazron Mein Taab-E-Deed Hi Baaqi Nahi Rahi, 
Kisse Nazar Milaun Tujhe Dekhne Ke Baad...

Tune Mangi Thi Aye Dil Dua ShaaM Na Ho

Tune Mangi Thi Aye Dil Dua ShaaM Na Ho, 
Ho Gayi ShaaM Main Kahan Jaun, 

Na Koi Rasta Na Thikana Na Koi Darwaza, 
Tu Bata Aye Dil-E-NakaaM Main Kahan Jaun, 

Reza Reza Mere Jazbaat Ko Kar Diya Kisne,
Lut Gaya Mera Zindagi Ka Aakhri ArMaaan Main Kahan Jaun, 

Kis Kadar Bojh Hai Seene Pe Tujhe Kya MaluM,
Ab Nahi Takat Ise Uthaneki Main Kahan Jaun, 

Ek Gharonda Tha Mere Paas Jo Toot Gaya, 
Le Ke NakaMiyon Ka Daag Main Kahan Jaun...

Ab jo bichhde hai to ehsaas hua hai humko

Ab jo bichhde hai to ehsaas hua hai humko, 
dard kya hota hai ruswai kise kehte hai, 
chaar suu gunjti ruswayi kise kehte hai, 
ab jo bichhde............

Koi lamha ho teri yaad mein kho jaate hai, 
ab to khudko bhi muyasar nahi aa paate hai, 
raat ho din ho tere pyaar mein behte hai, 
Dard kya hota hai tanhayi kise kehte hia, 
Ab jo bichhde............

Jo bhi gam aaye use dil pe saha karte hia, 
Ek wo tha hum mil ke raha karte the, 
Ab akele hi zamane ke sitam sehte hai, 
dard kya hota hai............
Ab jo bichhde............

humne khud apni hi rahon mein bichhaye kaante, 
zakhm is dil mein basaye hue khud rehte hai, 
dard kya hota hai............
Ab jo bichhde............

Yun to duniya ki har ek chiz haseen hoti hia, 
pyar se badh kar magar kuch bhi nahi hoti hai, 
rasta rok kar har ek chiz yehi kehti hia, 
ab jo bichhde hai to ehsaas hua hai humko, 
dard kya hota hai tanhayi kise kehte hai, 
ab jo bichhde hai to ehsaas hua hai humko...

Aitbaar Toote To, Wo Bhi Aise Logon Par


Aitbaar Toote To, 
Wo Bhi Aise Logon Par
Jinko HuM Apna Jaanein,
Jab Bhi GhaM Se Bojhal Ho,
Unko Meherbaan Maane, 

Aitbaar Toote To, 
Aise ZakhaM Milte Hai, 
Jo Kabhi Nahi Bharte, 
Meherbaan Saaye Jab
HuMse Rooth Jaye To, 
Aisi Dhoop Milti Hia, 
JisMe Rooh Jalti Hai, 

Aitbaar Toote To, 
Dil Ke Aaine Jo Hai, 
Wo Bhi Toot Jaate Hai, 
Wo Jo Aks Apne Ho
Wo Bhi Rooth Jaate Hia, 

Aitbaar Toote To,
Aise ZakhaM Milte Hai,
Aisi Dhoop Milti Hai, 
Aise Aks Khote Hai, 
Log Hans Bhi Lein Shayad, 
Dil HaMesha Rote Hai, 
Aitbaar Toote To...

Pehlu Mein Dard-E-Ishq Ki Duniya Liye Hue

Pehlu Mein Dard-E-Ishq Ki Duniya Liye Hue, 
Baithi Hoon Zindagi Ka Sahara Liye Hue,  

Dil Mein Us Chaand Ki Roshni Liye Hue, 
Aagosh Mein Hai Chaand Ka Daag Liye Hue, 

Pahuche To Dil Me Josh-E-TaManna Liye Hue, 
Laute Magar Luti Hui Duniya Liye Hue,  

Main Jee Rahi Hoon Is Tanhaiyon Ke Andhero Mein,
Teri Mohabbat Ka Sahara Liye Hue, 

Uthti Hoon BazM-E-Ishq Se Na Jane Kaise,
Behki Si Ek Nazar Ka Sahara Liye Hue...

Kisike Sath Main Aur Dil Kisi Ke Sath Raha


Kisike Sath Main Aur Dil Kisi Ke Sath Raha, 
Ajab Mazaak Meri Zindagi Ke Saath Raha, 

KaMaal Ka BeraheM Mera Wo Mukaddar Tha,
Kinaara-E-Aab Bhi Jo Tishnigi Ke Sath Raha,

Wo Ek Dukh Main Door Chhod Aayi Thi, 
TaMaM UMar Meri Zindagi Ke Sath Raha, 

Jo Dil Me Baat Thi Hothonse Kis Tarah Ho,
Dil Unki BazaM Mein Ek Bebasi Ke Sath Raha,

Hanse Jo HuM To Aankh Se Aansu Nikal Pade,
HaMesha GaM Koi Meri Khushi Ke Sath Raha...

Bahut Chup Chup Se Rehte Ho

Bahut Chup Chup Se Rehte Ho,
Na Aayne Me Apna Chehra Dekhte Ho,
Na Koi Baat Karte Ho, 
Bhari Mehfil Mein Bhi Aksar,
HaMesha Khoye Rehte Ho,
NaMi Si Aankh Mein Le Kar,
Har Ek Chehre Ko Takte Ho,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
To Thandi Aahein Bharte Ho,
TuM Khulkar Kyon Nahi Kehte,
Ke HuMse Pyar Karte Ho?
Ke Apne Dil Ki Dhadkan HaMare Me Chhod Gaye Ho? 
Ke Dhundte Ho Apni Rooh Ko Mere JisM Mein? 
Kyon Tadapte Ho Aur Tadpaate Ho? 
Kyon Nahi Kehte Ke Khudse Zyada HuMse Pyar Karte Ho?

TuM Jahan Mere Liye Sipiyan Chunte Honge

TuM Jahan Mere Liye Sipiyan Chunte Honge,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi Ki Kitaab Me Ab Mera NaaM ShaMil Na Karna,
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi,
Kis Tarah Uske Bagair Apna Guzara Hoga,

Ye Achanak Jo Ujla Sa Hua Jata Hai,
Dil Ne Chupke Se Tera NaaM Pukara Hoga,

Ishq Karna Hai To Din Raat Use Sochna Hai,
Aur Kuch Zehen Mein Aya To Khasara Hoga,

Ye Jo Paani Me Chala Aya Sunehri Sa Suroor,
Usne Dariya Mein Kahin Paanv Utara Hoga,

Kaun Rota Hai Yahan Raat Ki Tanhaiyon Mein,
Mere Jaisa Hi Koi Mohabbat Ka Maara Hoga,

Mauj Ko MaluM Hai SaMundar Mein KadaM Rakhna Hoga,
Zindagi Tera Aur Koi Kinaara Hoga,

Jo Meri Rooh Mein Badal Se Guzarte Hai,
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Hoga,

KaaM Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lenge Isko,
Us Khuda Ne Naseeb Me Likha Jeet Ka Ishara Hoga...

Aaj Uski Yaad Me Jo Ro Diya Tha Maine

Aaj Uski Yaad Me Jo Ro Diya Tha Maine,
Jaane Kyon Kab Kahan Kya Kho Diya Tha Maine,

Gira Kar Chand Aansu ChashM-E-NaM Se Apni,
Sadiyon Se Mila Hua Daag-E-Dil Dho Diya Tha Maine,

Wapis Kar Diya Tha Usne Sirf Ek Baat Se,
Pyar Mohabbat Dosti Me Jo Diya Tha Maine,

Dekh Nahi Sakte The Kisi Ke Sath,
Yehi To Ek Haq Nahi Usko Diya Tha Maine...

Ek Shakhs Paas Reh Kar Bhi SaMjha Nahi Mujhe

Ek Shakhs Paas Reh Kar Bhi SaMjha Nahi Mujhe,
Is Baat Ka Malaal Hai Shikwa Nahi Mujhe,

Main Isko Bewafayi Ka IlzaaM Kaise Doon,
Isne Ibtada Hi Se Chaha Nahi Mujhe,

Kya Kya UMMidein Bandh Kar Aaya Tha SaMne,
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,

Kab Tak Theherna Tha Mujhe Iska Paas,
Achha Hua Ke Usne Bhi Roka Nahi Mujhe...

Tere gale me jo baahon ko daal rakhte hai

Tere gale me jo baahon ko daal rakhte hai, 
tujhe manane ka kaisa kamaal rakhte hai,

tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
bahut se kaam muqaddar pe taal rakhte hai,

Kio bhi faisla hum soch kar nahi karte,
Tumhare naam ka sikka uchhal rakthe hai,

Tumhare baad yeh aadat si ho gayi apni,
bikharte sookhte patte sambhal rakhte hai,

Khushi si milti hai khudko aziyatein de kar,
so jaan bujh ke dilko nidhaal rakhte hai,

Kabhi kabhi wo mujhe has ke dekh lete hai,
kabhi kabhi mera behad khayal rakhte hai,

tumhare hijar me ye haal hogaya apna,
kisika khat ho usse bhi sambhal rakhte hai,

khushi mile to tere baad khush nahi hote,
hum apni aankh me har dal malaal rakhte hia,

Zamane bhar se bacha kar wo apni panaah mein,
mere wajood ke tukde sambhal rakhte hai,

kuch is liye bhi to behaal ho gaye hum log,
tumhari yaad ka behad khayal rakhte hia...

Aankhon Ko Intezar Ka De Ke Hunar Chala Gaya

Aankhon Ko Intezar Ka De Ke Hunar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jaane Kidhar Chala Gaya,

Din Ki Wo Mehfilein Gayi Raaton Ke Ratt Jage Gaye,
Koi SaMet Kar Mere ShaMon Saher Chala Gaya,

Jhonka Hai Ek Bahar Ka Rang-E-Khayal Yaar Bhi,
Har Soo Bikhar Bikhar Gayi Khushbu Jidhar Chala Gaya,

Uske Hi DaM Se Dil Me Aaj Dhoop Bhi Chandni Bhi Hai,
Deke Wo Apni Yaad Ke Aansu Jane Kahan Chala Gaya,

Koocha Ba Koocha Dar Ba-Dar Kabse Bhatak Raha Hai Dil,
HuMko Bhula Ke Raah Wo Apni Dagar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya...

Chehre Pe Gard Pairon Me Safar Hai Ke Nahi Hai

Chehre Pe Gard Pairon Me Safar Hai Ke Nahi Hai, 
Tu Dekh Ke Meri Manzil Pe Nazar Hai Ke Nahi Hai,

Jaa Apne Liye Dhoond Le Kisi Ahl-E-Mahal Ko,
Na Jaane Meri KisMat Me Ghar Hai Ke Nahi Hai, 

Tere Paas Hai Abhi Aur Dard To Wo Bhi Mujhe De,
Na Puch Ke Mujh Me Aur Sabar Hai Ke Nahi Hai, 

Meri Nindein To Mar Chuki Hai Ratjagon Ke Haath, 
Tere Khwabon Ko Bhi Koi Aisa Dar Hai Ke Nahi Hai,

Ye Soch Ke Le Ayi Hoon Main Jungle Se Kuch Jugnoo,
Na Jane Ab KisMat Me Sehar Hai Ek Nahi Hai, 

Tu Dekh Mera Shauk Meri Shikaston Ko Na Dekh,
Pairon Tale Tere Gahr Ki Dagar Hai Ke Nahi Hai, 

Maanga Hai Tujhe Rabse Ke Ek Zid Si Hai Kab Se, 
Dekhun To Meri Duwaon Mein Asar Hai Ke Nahi Hai...

Mujhko Maut Ne Nahi Zindagi Ne Pal Pal Sataya Hai

Mujhko Maut Ne Nahi Zindagi Ne Pal Pal Sataya Hai,
Ladte Ladte Is Zindagi Ne Phir Mere KaMzor Dilko Haraya Hai,

Kaise Kahoon Is MasooM Dil Pe Kya Kya Beeti Hai,
Sunke Kisse Hawaon Ne Bhi BeshuMar Ashkon Ko Bahaya Hai, 

Aisi Zindagi Ka To Bas Ek Maut Hi Sahara Hai, 
Aaj Zaroorat Padne Pe Khuda Ne Bhi Mooh Mujhse Phiraya Hai,

Kaise Jiyun, Jeene Ka Bahana Bhi Nahi Milta Hai, 
Gair To Gair Apno Ne Bhi Mujhe Zaar Zaar Rulaya Hai, 

Na Ye Aashiqui Na Ye Dostana Mere Kisi KaaM Aya Hai, 
Mauka Milne Pe Sabhi Ne Meri Hasti Ko Paara Paara Jalaya Hai,

Sunke Mere GaM Ka Afsana Nasib Bhi Mujhse SharMaya Hai, 
Aap Apni Hi Nazron Me Maine Khudaya Khudko Giraya Hai...

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai,
Ghar Hai Kachha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai,

Tere Tohfe Ne To Bas Khoon Ke Aansu Hi Diye,
Zindagi Ab Teri Saugat Se Dar Lagta Hai,

Pyaar Ko Ch'hod Kar TuM Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhe Pyar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai,

Meri Khatir Na Wo BadnaaM Kahin Ho Jayein,
Isliye Unki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...

Jaagte Mein Sula Diya Hai Mujhe


Jaagte Mein Sula Diya Hai Mujhe,
Dil Ne Itna Thakaa Diya Hai Mujhe,

Shehr-E-KhaMosh, Tere Deedar Ki Khaatir,
Tu Ne Lehja Naya Diya Hai Mujhe,

Meri Aankhon Ne Kho Diya Tha Jo Khwaab,
Teri Aankhon Ne Laa Diya Hai Mujhe,

Kaisi Gardish Thi, Kaisi Laghzish Thi,
Khaak Par Se Utha Diya Hai Mujhe,

Pehle Maine Diya Ganwaya Tha,
Ab Diye Ne Ganwa Diya Hai Mujhe,

Dasht-O-Dariya Ne Mujhse Mil Mil Kar,
Apne Jaisa Bana Diya Hai Mujhe,

Usne Ek Baagh Me Bulaya Hai,
Aur Dil Ka Pata Diya Hai Mujhe...

Milne Tujhse Kayi Mulakaat Baaqi Hai

Milne Tujhse Kayi Mulakaat Baaqi Hai,
Thi Jo Adhuri Wo Baat Baaqi Hai,

Tujhe Jaane Bina Ye Dil De Diya HuMne,
Ab Meri Aankhon Mein Kayi Sawaalaat Baaqi Hai,

Jab Waqt Le Aaya Hai HaMein Paas TuMhare,
To Phir Na Jao Abhi To Raat Baaqi Hai,

Jazbon Ki In Bijliyon Se Hi Dil Dar Raha Hai,
Abhi To Meri Jaan Pyaar Ki Barsaat Baaqi Hai,

Milne Tujhse Kayi Mulaqaat Baaqi Hai,
Thi Jo Adhoori Wo Baat Baaqi Hai...

Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain


Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,

Hijar Ke Gehre ZakhaM Mile To Mujhko Kuch Ehsaas Hua,
Pagal Ko SaMjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain, 

Jaan Se Pyare Logonse Bhi Kuch Kuch Parda LaziM Hai,
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,

Khwabon Me Bhi AnMol Milan Ke Sapne Dekhte Rehte Hai,
Nindon Mein Muskurane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,

Iss Jhuthi Nagri Mein HuMne Yehi HaMesha Dekha Hai, 
Sachi Baat Batanewale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,

Pyar Jinhein Ho Jaye Unko Chain Bhala Kab Mil Paata Hai,
Shab Bhar Ashq Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,

Apni Zaat Ke Ujde Gulshan Se Wo Pyar Kahan Karte Hai,
Auron Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain,

Us Ke Ishq Me Bheeg Ke HuM Ko Ye Ehsaas Hua,
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain...

Zindagi ne sikhaya hamein kisi par ummid nahi rakhna

Zindagi ne sikhaya hamein 
kisi par ummid nahi rakhna,
par rakhna aitbaar har kisi pe,

Zindagi ne sikhaya hamein
agar tum khudko chahoge 
to har koi achha lagega,

zindagi ne sikhaya hamein
tumko bura nahi lagega,
agar dekhoge samne wale ki nazar se,

zindagi ne sikhaya hamein,
na rona us par jo nahi hai tumhara,
jo hai tumahra usi se khush rehna,

zindagi ne sikhaya hamein,
nafratse mohabbat karoge to
nafrat ko mohabbat ho jayegi
mohabbat se nafrat karoge to
mohabbat nafrat me badal jayegi

Zindagi ne sikhaya hamein,
na dhoondho khushi ko, na dhoondo chain,
khushi, chain dhundne se kahan milte hai,
ye hai khud ke andar, mehsoos karke dekho...

Chalo HuM Maan Lete Hai Ke Waqt-E-Judayi Hai


Chalo HuM Maan Lete Hai Ke Waqt-E-Judayi Hai,
Magar Ye Bhi To MuMkin Hai Ke Ye Waqtii Judai Ho,
Ta'aluq Tark Kar Dena TuMhe Aasan Lagta Hai,
Magar MuMkin Hai Yun Na Ho, 
Nahi Manzilki Jaanib Ye Safar Aasan Sahi Lekin,
Jise Ab Chahte Ho Wo Kareeb-E-Jaan Sahi Lekin,
Bhula Sakte Ho Wo LaMhe Jinhe TuM Zeest Ka Haasil SaMajhte The? 
Ke Mere LuMs Ko Wajah-E-Sukoon E-Dil SaMajhte The,
Meri Tasveer Ko Locket Me Rakh Kar Dilki Har Dhadkan Sunate The,
Mere Khat Chhup Ke Padhte Aur Padh Kar Muskurate The,
Kya Wo Sab Jhuth Tha?
Hargiz Nahi. Dilko Ab Bhi Yakin Hai Ke
TuM Laut Aaoge...

Unse Puchhe Woh Khaloos Tha Ke KhuMar Tha

Unse Puchhe Woh Khaloos Tha Ke KhuMar Tha, 
Woh Junoon Tha Ke Halka Sa Nasha Tha,
Mujhe Sochne Mein ZaMana Laga,
Mujhe Manzilon Ne Bhula Diya,
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha,
Mujhe Usne Sooli Chadha Diya...

Kayi HaMsafar Kayi Rehguzar
Mujhe Raaste Me Mile Magar
Meri Tishnagi Kuch Aur Hai,
Meri Justajoo Koi Aur Hai...

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe
Magar Aansuon Me SaMa Sake,
Jo Chandki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilki ZaMeen Khila De,
Jo Mohabbat Ki Saari RasMein,
Lahoo Ke Rang Se Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai...

Magar Is Patthardil Duniya Mein,
Yahan Khwahishon Ke Kabrastaan Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Inhi Uljhano Me Ghira Hua,
Ek Aansu Aankh Se Khaak Tak Ka 
Safar Tay Karta Chala Gaya...

Jab Se Tumko Nahi Dekha Meri In Aankhone

Jab Se Tumko Nahi Dekha Meri In Aankhone, 
Khuda Ki Kasam Raatko Sone Se Inkaar Karti Hai,  

Zindagi Ke In Dino Tum Mujhse Door Ho, 
Ye Har WaQt Mujhse Yehi Shikayat Karti Hai,  

Khuda Ki Kasam Raatko Sone Se Inkaar Karti Hai, 
Zindagi Ke Bahtu Se Lamhat Guzre Hai, 

Jo Tere Saath Guzre Hai Ye Unki Baat Karti Hai,  
Khuda Ki Kasam Raatko Sone Se Inkaar Karti Hai,  

Yaad Hai Wo Har Lamha Jo Tere Sath Bita Tha,  
Lekin Jab Hum Juda Hue Ye Us Din Ki Baat Karti Hai, 

Khuda Ki Kasam Raatko Sone Se Inkaar Karti Hai,  
Saari Duniya Rooth Jaye Parwah Nahi,  

Kahin Tum Na Rooth Jao Ye Is Baat Se Darti Hai, 
Khuda Ki Kasam Raatko Sone Se Inkaar Karti Hai...

Saturday, May 29, 2010

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai


Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai, 
Is Sheher Mein Har Shakhs Pareshan Sa Kyon Hai, 

Dil Tha To Dhadkan Ka Bahana Koi Dhundhe, 
Pathar Ki Tarah Behis Ek Bayaban Sa Kyon Hai, 

Tanhayi Ki Ye Kaun Si Mansil Hai RafeeQo, 
Ta Had-E-Nazar Ek Bayabaan Sa Kyon Hai, 

Humne To Koi Baat Nikali Hai Gam Ki, 
Wo Zood-Pashemaan Pashemaan Sa Kyon Hai, 

Kya Koi Nahi Baat Nazar Aati Hai Tum Mein, 
Aayina Hamein Dekhke Hairan Sa Kyon Hai...

Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka


Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka, 
Raah-E-Wafa Mein Jab Dost Bhi Ajnabi Hogaya, 

Basaya Tha Uske Yaadon Ka Pur Hool Samundar Dil Mein,
Ek Hi Pal Mein Wo Usko Sehra Kar Gaya, 

Sadiyon Se Chaha Tha Jise Maine, 
Jaane Kyon Ab Wo Begana Ho Gaya, 

Mere Liye To Ek HaQeeQat Hai Wo Lekin,
Main Uske Liye Ek Afsana Ho Gaya, 

Basi Hai Uski Chahatein Mere Dil Mein Abhi Tak, 
Wahi Meri Nafraton Mein Deewana Ho Gaya...

Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai

Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai, 
Meri Tanhayi Bhi Aaj Bahut Sata Rahi Hai, 

Raaste Bhi Hai Ab Sune, Dar Bhi Hai Veeran, 
Khamoshi Bhi Aaj Tumko Khud Hi Pukar Rahi Hai, 

Tumhari Har Baat Se Mehsoos Kuch Yun Hota Hai, 
Jaise Kisi Phool Ki Khushbu Sara Alam Mehka Rahi Hai, 

Tumhari Yaadon Ke Sahare Din Raat Guzarte Hai, 
Jasie Andhere Mein Kahin Roshni Jagmaga Rahi Hai, 

Qadam Qadam Par Mujhko Ehsaas Yeh Hota Hai, 
Jaise Koi Manzil Khud Mujhe Bula Rahi Hai, 

"RUKH" Ab To Aksar Mujhe Ghuman Kuch Yun Hota Hai, 
Hawa Bhi Jaise Usse Mil Kar Paigam Wafa Ke Laa Rahi Hai...

Main Sochti Hoon, Ye Zindagi Ki Haseen Raatein


Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Ek Arsa Hua Ke Sapne Meri Nigahon Se Talte Hai, 

Na Raat Ko Neend Hai Mujhko, Na Din Ko Aankhon K Bolte Hai, 
Lage The Jo Zakhm Tere Mazghaan Se Raat Aayi To Jalte Hai, 
Sakoon-O-Raahat Khatma Hue Hai Aram Ke Ab Wo Palte Hai, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Main Roshni Ka Charag Suraj, Teri Raah Mein Bikher Dungi, 
Main Iski Kirne Shamma Bana Kar Naya Tera Rasta Karungi, 
Main Khud Rahungi Ya Na Rahungi, Magar Tujhe Main Amar Karungi, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Main Tujhko Aankhon Ki Putliyon Mein Hamma WaQt Chhupaye Rakhun, 
Tere Labon Se Main Apne Lab Ki Lams Ki Khushbu Lagaye Rakhun,
Main Tera Chehra Chameli Khushbu, Gulaab Khatir Sajaye Rakhun, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Jo Hasratein Dil Mein Reh Rahi Hai Wo Ghul Rahi Hai Ya Mar Rahi Hai, 
Teri Judayi Mein Aaj Tak Tu Teri Hi Baatein Sapar Rahi Hai, 
Ab Aakhri Jaam-E-Wasl De De Deedar Ko Chashm Tarr Rahi Hai,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun...



_________________

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya, 
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya, 

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi, 
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya, 

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri, 
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya, 

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi, 
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya, 

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf, 
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya..

Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai,


Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai, 
Tumhare Sath Guzri Zindagani Yaad Aati Hai, 

Tumhe Bhule Hue Bhi Ek Zamana Ho Gaya Lekin, 
Jhalak Jaati Hai Aankhein Jab Purani Yaad Aati Hai, 

Wo Jis Mein Markazi Kirdar Hasil Tha Kabhi Mujhko, 
Main Jitna Bhulti Hoon Wo Kahani Yaad Aati Hai, 

Mere Dilko Gam-E-Duniya Ki Daulat Bakshnewale, 
Mujhe Reh Reh Ke Teri Meherbaani Yaad Aati Hai, 

Ujadte Dilki Duniya Dekhna Khamosh Reh Jaana, 
Abhi Tak Doston Woh Bezubaani Yaad Aati Hai...

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye, 
Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye, 
Meri Sab Adayein Tumhare Liye, 
Meri Sab Jafayein Tumhare Liye, 
Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye, 
Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye, 
Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye, 
Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye, 
Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye, 
Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye, 
Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye, 
Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye, 
Meri Zindagi Ab Tumhare Liye, 
Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye, 
Tu Hai Bani Sirf Mere Liye
Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye, 
Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye...

Kisi Aur Hi Safar Mein

Kisi Aur Hi Safar Mein,
Sar-E-Raah Mil Gayi Thi, 
Tujhe Aur Kya Bataun,
Wo Teri Tarah Koi Thi, 

Kisi Shair-E-Beymaan Mein 
Main Watan Badar Akela, 
Kabhi Maut Ka Safar Tha, 
Kabhi Zindagi Se Khela, 

Mera Jism Jal Raha Tha, 
Wo Ghat Ka Saaybaan Thi, 

Main Rafakaton Ka Maara, 
Wo Meri Mizajdan Thi, 

Mujhe Dil Se Usne Pooja, 
Use Jaan Se Maine Chaha, 

Isi Humrahi Mein Aakhir, 
Kahin Aa Gaya Doraha, 

Yahan Gumrahi Ka Amkaan,
Use Rang-O-Boo Ka Lapka, 

Yahan Laghrashon Ke Saman, 
Use Khwahishone Thapka, 

Yahan Daam The Hazaron, 
Yahan Har Taraf Nafs The, 

Kahin Zar-Zameen Ka Dal-Dal, 
Kahin Jaal The Hawas Ke, 

Wo Faza Ki Fakhta Thi, 
Wo Hawa Ki Rajputri, 

Kisi Ghaat Ko Na Dekha, 
Kisi Jheel Par Na Utri, 

Phir Ek Shaam Aisi Aayi, 
Ke Wo Shaam Aakhri Thi, 

Koi Zalzala Sa Aaya, 
Koi Barq Si Ghiri Thi, 

Ajab Aandhiyan Chalin Phir, 
Ke Bikhar Gaye Dil-O-Jaan, 

Na Kahin Gul Wafa Tha, 
Na Chirag Aid-P-Paimaan,

Wo Jahaz Utar Gaya Tha, 
Wo Jahaz Utar Gaya Tha, 

Teri Aankhon Mein Hai Aansu, 
Mera Dil Bikhar Raha Hai, 

Tu Jahan Mujhe Mili Hia, 
Wo Wohi Juda Hui Thi, 

Tujhe Aur Kya Bataun, 
Wo Teri Tarah Koi Thi...

Yunhi Dosh Par Sambhle

Yunhi Dosh Par Sambhle, 
Ghani Zulfke Do-Shaane, 

Wo Hi Sanwle Si Rangat, 
Wohi Nain Neend Wale, 

Wohi Manpasand Qamat, 
Wohi Khushnuma Sarapa, 

Jo Badan Mein Neem Khabi, 
Tu Lah-Ho Main Ratjaga Sa, 

Kabhi Pyaas Ka Samundar, 
Kabhi Aas Ka Jazeera, 

Wohi Meherbaan Lehja, 
Wohi Mezbaan Wateera, 

Tujhe Shairy Se Raghbat, 
Use Sher Yaad Mere, 

Wohi Uske Beqareene, 
Wo Hai Khas Wasaf Tere,

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum, 
Phir Bichhadne Ka Dar Kaisa, 
Meri Har Dhadkan Mein Aap Ho Shamil, 
Phir Aapki Judayi Ka Gam Kaisa, 

Deedar-E-Yaar Ki Khatir Jee Rahe Hai Hum, 
Unki Talash Hai Ab Har Taraf, 
Umr-E-Tamam Kisike Naam Kar Diya Humne, 
Ab Maut Se Bhi Hamein Ghabrana Kaisa, 

Aapki Yaad Yun Zindagi Ki Mehka De, 
Bahar Bankar Fiza Mein Rang Bhar De, 
Sanwaara Hai Mujhe Aapne Is Kadar, 
Ke Patjhad Se Bhi Ab Nazrein Churana Kaisa, 

Sitaron Ki Mehfil Saji Thi Har Taraf, 
Phir Bhi Roshni Ko Taras Gaye The Hum, 
Mehtaab Jo Ban Gaye Aap Zindagi Ke, 
Ab Andheron Ka Humse Naata Kaisa, 

Khuda Se Jo Maangi Humne Duwayein, 
Kabool Kiya Unhone Hamari Mohabbat Ko, 
Zamana Hamein Ab Baddua De Bhi To Kya, 
Hamein Ab Zamane Se Shikayat Kaisa...

Chaand Us Des Mein Nikla Ke Nahi

Chaand Us Des Mein Nikla Ke Nahi, 
Jaane Wo Aaj Bhi Soya Ke Nahi, 

Aye Mujhe Jagta Paati Hui Raat, 
Wo Meri Neend Se Behla Ke Nahi, 

Mujhko Takmeei Samajnewala, 
Usne Apne Mayaar Ko Badla Ke Nahi, 

Band Kamre Mein Kabhi Meri Tarah,
Shaam Ke WaQt Wo Roya Ke Nahi...

Jo Dard Ke Sehra Mein Akela Bhi Bahut Hai

Jo Dard Ke Sehra Mein Akela Bhi Bahut Hai, 
Uske Liye Deewar Ka Saya Bhi Bahut Hai, 

Dekha Nahi Tanhayi Mein Tum Ne Kabhi Usko, 
Bichhde Hue Logonke Liye Roya Bhi Bahut Hai, 

Kuch Tujhko Mohabbat Par Yakeen Tha Na Wafa Par, 
Kuch Dukh Meri TaQdeer Mein Likha Bhi Bahut Hai, 

Beenai Andheron Se Bhala Kaise Bachata, 
Ek Shakhs Tere Hijr Mein Jaga Bahut Hai, 

Wo Aur Hai Jo Chhu Kar Tujhe Dekhna Chahte, 
Mujhko Tere Khwabki Duniya Bhi Bahut Hai, 

Kirdar Se Mehroom Tha Ye Sheher Ko Isne, 
Humko Dar-O-Deewar Par Likha Bahut Hai...

Toota Hua Dil Hai Har Baat Par Ro Deta Hai

Toota Hua Dil Hai Har Baat Par Ro Deta Hai, 
Muskurana Bhi Uska Kisi Gam Ki Khabar Deta Hai, 

Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagta Hai, 
Wo Itna Hassas Hai Har Baat Dil Pe Leta Hai, 

Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko, 
Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai, 

Judayi Ke Dar Mein Bahut Shiddat Se Dasa Hai, 
Wo Ab Mujh Se Milne Se Bhi Darta Hai, 

Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab, 
Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai, 

Ye Ehsaas Hi Qarb Ki Intehaa Ko Chhuta Hai, 
Wo Majmooyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai...

Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui

Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui, 
Tumko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui, 
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi, 
Hamesha, 
Par Tumse Izhaar Karne Ki Kabhi Ulfat Na Hui, 
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai, 
Par Tumko Kabhi Mere Aankhon Mein Dekhne Ki Fursat Na Hui, 
Mere Pyaar Ka Mazak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya, 
Par Mere Aansu Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...

Deepak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayein Tumhe

Deepak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayein Tumhe, 
Hum To Sulagte Hi Rehte Hai Kyon Sulgayein Tumhe, 

TarQ-E-Mohabbat TarQ-E-Tamanna Kar Chukne Ke Baad, 
Hum Pe Ye Mushkil Aan Padi Hai Kaise Bhulayein Tumhe, 

San-Natajab Jab Tanhayi Ke Zeher Mein Bujhta Hai, 
Wo Ghadi Jyon Kar Katti Hai Kaise Batayein Tuhe, 

Jin Baaton Pe Pyaar Tumhara Nafrat Mein Badla, 
Dar Lagta Hai Wo Baatein Bhi Bhool Na Jayein Tumhe...

Baat Phoolon Ki Suna Karte The


Baat Phoolon Ki Suna Karte The, 
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The, 

Mashalein Le Kar Tumhare Gam Ki, 
Hum Andheron Mein Chala Karte The, 

Ab Kahan Aisi Tabiyat Waale, 
Ch'ot Kha Kar Jo Dua Karte The, 

TarQ-E-Ehsaas-E-Mohabbat Mushkil, 
Haan Magar Ahl-E-Wafa Karte The, 

Bikhri Bikhri Zulfon Wale, 
Qaafile Rok Liya Karte The, 

Aaj Gulshan Mein Shaguf-E-Saagar, 
Shikwe Baad-E-Saba Se Karte The...

Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori

Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori, 
Logon Ka Kya Samjhane Do Inki Apni Majboori, 

Maine Dilki Baat Rakhi Aur Tune Duniya Walon Ki, 
Meri Garz Bhi Majboori Thi Unka HuQam Bhi Majboori, 

Rokh Sako To Pehli Baarish Ki Boondo Ko Tum Roko, 
Kachhi Mitti To Mehkegi, Hai Mitti Ki Majboori, 

Jab Tak Hansta Gata Mausam Apna Hai, Sab Apne Hai, 
WaQt Pade To Yaad Aati Hai Masnovi Majboori, 

Ek Awara Baadal Se Kyon Maine Saaya Manga Tha, 
Meri Bhi Ye Nadani Thi, Uski Bhi Thi Majboori, 

Muddat Guzri Ek Waade Par Aaj Bhi Qayam Hai Mohsin, 
Humne Saari Umar Nibhayi, Apni Pehli Majboori...

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala, 
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala, 

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera, 
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala, 

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse, 
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala, 

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya, 
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala, 

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala, 

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte, 
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala, 

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna, 
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala, 

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz', 
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi


Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi Mite Mite Se, 
Wo Aazmayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se, 

Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aake Rukte Hai Qaafile Se, 
Wo Saari Baatein Lagav Ki Si Wo Saare Unvan Visaal Ke Se, 

Nigah-O-Dil Ka Qarar Kaisa Nishaat-O-Gam Mein Kami Kahan Ki, 
Wo Jab Mile Hai To Unse Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se, 

Bahut Giraan Hai Ye Aish-E-Tanha Kahin Sabukatar Kahin Gawaara, 
Wo Dard-E-Pinhan Ki Saaari Duniya Thi Jiske Waaste Se, 

Tumhi Kaho Rind-O-Muhtasib Mein Ho Aaj Shab Kaun FarQ Aisa,
Ye Aake Baithe Hai Maikade Mein Wo Uthke Aaye Hai Maikad Se...

Aayina-E-Khuloos-E-Wafa Choor Ho Gaye



Aayina-E-Khuloos-E-Wafa Choor Ho Gaye, 
Jitne Chirag-E-Noor The, Benoor Ho Gaye, 

Malum Ye Hua Ke Wo Raaste Ka Sath Tha, 
Manzil Kareeb Aayi To Hum Door Aa Gaye, 

Manzoor Kab Thi Humko Watan Se Ye Dooriyan,
Haalaat Ki Jafaon Se Majboor Ho Gaye, 

Kuch Aa Gayi Hum Ahl-E-Wafa Mein Tamkanat, 
Kuch Wo Bhi Apne Husn Pe Magroor Ho Gaye, 

Charagon Ki Aisi Inayat Hui Hafeez, 
Ke Jo Zakhm Bhar Cahle Wo Nasoor Ho Gaye...

Popular Posts