Friday, April 2, 2010

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai,

Isi ke dhanak rangon se to dil abaad hote hain

Wafaen payas banti hain

Zakhm betaab hote hain

Ye chupke se kisi dil main

Diye se roshan karti hai

Ke jese tez suraj ki shuaaen safar karti hain !



Muhabbat bekaran jazbon main beh jaane ka lamha hai,

Kisi meethi si saat main

Ye boondon si barasti hai

Kahin seraab karti hai

Kabhi betaab karti hai

Ye behti hi chali jaati hai

Boondon ki guzarish main

Ke jese bheegte parbat hain barish ke tasalsul main !



Muhabbat har kali ki band khushbu se nikalti hai,

Ye har mosam ke sang chalti

Hawaon main machalti hai

Ye har dil ke nehan khanon main

Shamma ban ke jalti hai



Muhabbat har zamane ki rag-e-jan main bhi basti hai

Ye behti wadiyon ke saat rangon main damakti hai !







_________________

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz

Aaj dard phir kuch sunaayega

Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo

Aaj waqt bhi thahar jaayega



ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa

Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray

Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa

Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay

Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna

Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai

In lamhoN ka hai chalan aisaa

Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz

Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega



Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai

Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav

HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl

Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai

Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii

Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai



Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar

MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN

Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main

Ai faza’oN tum hawaaoN pay likh lena

BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main





_________________

buzurgoon ki kahawat hai

buzurgoon ki kahawat hai

kisi bhi pal ke ruk jaane ki khwahish

dil mein mat rakhna

yaqeen aur was-wasay ke beich

kathin,aasaan rastoon mein

na jaane

zeest ke kitne hi lamhe hein

ke jin ko rokna chaaha

magar hum rook na paai

phir aise dasht bhi aai

ke jin ko paar karne men

laga,saari umer guzri

shumaar waqt mein lekin

yeh sab utne hi lamhe thai

ke jin ko rokne ki aarzo mein

yeh riwayat bhool baithe thai

kisi bhi pal ke ruk jaane ki khwahish

dil men mat rakhna

ke jab mousam tehar jaain

udaasi ban ke roohon mein

to phir umer e rawaan ke

saare mousam

aik hi rang

aik hi qalb mein dhaltey hein

barsaa baras dil ke gird

anookhi dhund ke yeh jaal buntay hein

jahaan koi sunehri yaad

andar ja nahi sakti

yeh mousam gar guzar jaai

ro pehli chaandni ko

rooh mein ummeed ki barsaat ka

rasta jo mil jaai

tou saari umer sajdah raiz ho kar

yeh dua maangoon

koi mousam na ab tehray…!!!





_________________

hum khwaabo`N ke beyoparii thay

hum khwaabo`N ke beyoparii thay per is mien howa nuQsan bohat

kuch bakht mien dhairo`N kalak thee, kuch ab ke ghazab ka kaal para

hum raakh liye jhoolii mien aur sarr pe saho-kar khara

jab dhartii sehra sehra thee, hum darya darya roye thayy

jab haath kii rehkhaiN chup theeN aur suR sangeet mein khoye thayy

tub hum ne jeevan khetii mien kuch khwaab anokhay boye thayy

kuch khwaab sajal muskano`N ke

kuch bol bohat deewano ke

kuch lafz jinhe maani na milay

kuch geet shikasta jaaNo ke

phir apnii ghayal ankho`N se khush ho k laho chirhkaya tha

mayee mien maas khaad bharrii aur nus nus ko zakhmaya tha

aur bhool gaye pichlee rutt mein kia khoya tha kia payaa tha

har baar gagan ne wehm dya ab k barkha jab aye gii

phir beejh se konpal phootay gii aur har konpal phal laye gii

sar pe chaya chathrii ho gii aur dhoop ghatta bun jaye gii

jab fasal katti tu kia dekha kuch durd k tootay gajray thayy

kuch zakhmii khwaab thay kanto`N per, kuch khaakster se gajray thayy

ab paoN kharao`N dhool bharri aur jism pe joog ka chola haii

sub sangii saathii bhaid bharrayy, koii masha hai koii tola haii

ab ghaat na ghar, dehleez na darr

ab pas raha hai kia baba

bus tun ki ghatrii baQii haii ja ye bhee tu le ja baba

hum bastii choray jate hien tu apna Qarz chuka baba ..





_________________

'Hasptaal ka Kamra’

'Hasptaal ka Kamra’



tamaam shab ki dukhan, be-kali, subuk Khwaabhii

namuud-e-sub’h ko darmaaN samajh kar kaaTii hai

ragoN meN dauRte phirte lahuu kii har aahaT

ajal girafta KhayaaloN ko aas detii hai

magar voh aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai



ufaq se sub’h kii pahlii kiran ubhartii hai

tamaam raat ki faryaad ek sukuut meN chup

tamaam shab ki dukhan, be-kalii, subuk be-Khwaabi

hariirii pardoN kii Khamosh silwatoN meN gum

jo aaNkh zinda thii Khamosh chhat ko taktii hai

magar wo aaNkh jo sab dekhtii hai–haNstii hai



namuud-e-sub’h kii zartaar roshnii ke saath

mahakte phuul dariiche se jhaaNk kar dekheN

to mez-o-dar pe kisii dard ka nishaaN na mile

ugaal-daan davaaoN ki shiishiyaaN, pankhaa

kuNvaarii maaN ka tabassum, saliib aavezaaN

har ek chiiz badastuur apnii jagah

naye mariiz kii aamad ka intizaar kare

aur ek aaNkh jo sab dekhtii hai–hanstii hai





_________________

bichartay lamhon me

bichartay lamhon me

uss nay mujh say kaha tha

dekho

hamare rahain juda juda hain

magar hamain aik dosray ka

khayal rakhna hai zindagi bhar

kisi bhi lamha udasyon ki

faseel hayal na honay dena

hawa ke hathon pe likhtay rehna

judaiyon ke tamam qissay

qadam qadam pe jo paish ayn

wo sanahay bhi nazar me rakhna

me jab bhi lauta to

apnay honton ki tazgi ko

tumhare risti hui ankhon me laa rakhonga

jo mere apni hain, sirf mere

bichartay lamhon main uss nay mujh say

na janay kia kuch kaha suna tha

aur

ab uss say bhi yehi kahay ga

wo jiss ke hathon me hath dalay

nayay safar pe nikal para hai





_________________

Ajnabi aa'o!

AJNABI AA'O



Ajnabi aa'o!

dekho, umangon ki naokhez kalyan

jo murjha rahi hain,



tumharay liay waqt,chanchal parinda

meray saans pathar talay dabb rahay hain

meri umr kuchh katt chuki hai

jo baqi hai-ik karb mein katt rahi hai



agar ajnabi tumm na aa'o---

to peghaam bhejo

agar ko'ei chanchal parinda milay

waqt ka

uss ki gardan mein bandho

ko'ei sabz kaghaz

ko'ei sabz kaghaz ke jiss parr likho

apnay hathon

anokhi,purasrar,sabb ranng tehreer



phir woh parinda-meri samt bhejo

to phir ajnabi! woh parida

agar ho sakay to

meray saans pathar talay say nikalay

mera karb chakhay



woh kaghaz, tumhari purasrar,sabb ranng

tehreer wala,

ko'ei sabz taweez karr kay

meri sooni gardan mein dalay!





_________________

Hum to wo log haiN jo

Hum to wo log haiN jo

Na kisi ki dast-e-shumar maiN haiN

Na kisi ki nigah ke hisaar maiN haiN

YouN jaisay koi, sadiyooN ka bay ant safr

Sehra sehra phirta koi khak basr

Kia poochtay ho ke kon haiN hum

Jaan lo humaiN to tumhaiN maloom ho

Hum to wo log haiN jo jeevan de ker bhi

Kisi ke dil maiN maskan na bana pa’ay

YouN jaisay koi madham si kiran

Kisi rozan say ubhray or doob ja’ay





_________________

Is bharay shahr maiN koi aisa nahiN

Is bharay shahr maiN koi aisa nahiN

Jo mujhay raah chaltay ko pehchaan lay

Aur aawaaz day"o bay o sirphiray"

DonoN eik doosray say lipat kar wahiN

Gird-o-pesh aur mahaul ko bhool kar

GaaliaN day,haNsay,haathapai karaiN

Paas kay pair ki chaaoN maiN baith kar

GhaNtoN eik doosray ki sunaiN aur kahaiN

Aur is naik roohaoN kay baazar maiN

Meri yeh qeemti,bebaha ziNdagi

Eik din kay liyay apna rukh mor lay





_________________

meray kuch lafz aisy hon

meray kuch lafz aisy hon

jo apni band ankhon se,

teray dil ki her ik tahreer parhty hon



wo hon to lafz

lakin wo aik taqdeer rakhtay hon



kabi jo rooth jao tum

na maan pao tum



to phir tum ko mnany ki

wo her tadbeer rakhtay hon



meray kuch lafz aisay hon.....





_________________

Ishq kia hai

Ishq kia hai!!!!!



E'alaan hai



Apni zaat se dust burdarii ka



Samaan hai



Apni ana kii rukhsatii ka



E'atraaf hai



Apni gumshodgii ka



Eshtehaar hai



La'ta'aluqii ka apney a'ap se



Eshq kya hai



A'adaab-e-ghulaamii kii tafseel



Jaa ko sokhta banaey wala pahaRr



Zindagii bun ker



DoRrney waley lahoo mai



Roshnii bun ker



Roshen rehney wala ala'ow



Tinka tinka sii yeah zindagii



Aa'n kii aa'n mai jagirtii hai



Dukh aur ghum ke dozukh mein



Phir koyla baney to khatum ho qissa



Aur raakh baney to



Chootey jaa apni......Wajood se apni



Haa! yeah hii hai ESHQ



Bhuladena apni hustii ko



Aur otar jana rooh mai



Kisii aur key



Baandh lena dor sans kii apni



Oss kii sanson se



Kerdena mudghum apni hustii ko



Osskii hastii mein



Chupker beth jana



Osskii rooh kii geh-raiyo mai



Aur toRr lena apna her naata



Wajood se apney



Ishq yeah hai!!!





_________________

Ager keh do

Ager keh do

yeh bujhti shammayein aur yeh deep'

phir se jugmaagaeingey

andheeron ke yeh saaey rooshni mein ghum hojaeingey

ager keh do

yeh kaliyaan' yeh bahaarien muskuraayeingi

tumhare pyar ki kushboo hawaa'on mein basaaiyeingi

Mohabbat mein humein saawun ke jhooley yeh jhulaayingi

tao phir in baadloon ke sang humein os paar aana hai

jahaan tum aur tumhari khwaahishon ka ik khazana hai

mujeh maloom hai tum ko jahaan pe laut jana hai

ager keh do

tao sari umur mein raste sajaoongi

tumhari yaad k ansoo aankhoon mein basaoongi

tumhari waapsi aur milun ke geet gaaongi



AGER KEH DO



TUMHE MUJH SE MOHABBAT HAI



tao pulkoon k kinaaron pe haseen kuch khwaab tik jaaein

humari rooti ankhoon pe yeh saare ashuk ruk jaaein

ghataayein runj-o-ghum ki dil ke angun se saaruk jaein

AGER KEH DO





AGER KEH DO.................. .





_________________

Mujhay Yaad Hai

Mujhay Yaad Hai ......



Pichlay Saal Inhi Dinoon Main



Main Ne Tumhain Apnay Ander



Saatveen (7veen) Baar Qatl Ker Ke Waheen Kaheen



Kisi Veeranay Main Dafan Ker Dia Tha





Or Tumhari Qabr....



Faramoshi Ke Bhaari Pathron Say Bher Dee The..







Or Is Say Bhe Pehlay Aik Baar



Door Daraz Say Aanay Walay



Kisi DIYO Haikal Parindoon Ke Paron Say....







Or Is Say Bhi Pehlay Aik Baar



Bilkol Inhi Dinoon



Main Nay Tumhain Mukamal Taur Per Jala Ker



Tumhari Raakh Taiz Behtay Howay Dariya Main Bahaa De The







Lakin Is Saari Jaan Kuni Ke Bawajood



Tum Aaj Phir Hamysha Ki Tarah



Meri Aankhoon Main Aankhain Daalay



Mere Dil Ko Apni Mutthi Main Jakray



Mere Samnay Kharri Ho ....!!!!





_________________

Woh pani ki lehron per kia likh raha tha

Woh pani ki lehron per kia likh raha tha

Khuda janay, harf e dua likh raha tha

Likha jis nay navel wafa ka adhora

wohi, payar ki intaha likh raha tha

Bhala kartay kartay guzri jawani,

Magar phir bhi khud ko bura likh raha tha

Muhabat mein nafrat mili thi usay bhi

Jo her shakhs ko bewafa likh raha tha

Woh zara us ki ankhon se anso naa niklay

woh jis waqt lafz saza likh raha tha

Namaz e muhabbat mein woh apnay,

Hoey thai jo sajde, qaza likh raha tha



woh pani ki lehron pe kia likh raha tha

faqat apnay sajde qaza likh raha tha....





_________________

band sheeshon ke pare dekh

band sheeshon ke pare dekh, dareechon ke odhar

sabz pairon pe, ghani shakhon pe, phoolon pe wahan

kese chup chap barasta hai musalsal pani

kitni awazen hein, log hein, baten hain magar

zehan ke peeche kisi aur hi satah pe kahen

jese chup chap barasta hai tasawar tera....





_________________

Ai Dil un Ankhoon per na ja

Ai Dil un Ankhoon per na ja

jin mein wafoor-e-ranj hai

kuch dair ko tere liye

Ansoo agar lehra gaye



yeh chand lamhoon ki chamak

jo tujh ko Pagal ker gai!

In jugnuo'n ke Noor se

chamki hai kab woh zindagi

jis ke muqadar mein rahi

Subh-e-Tlab se Teergi



kis sooch mein gum-sum hai tu

ai be-khabar! nadaa'n na ban

teri fusarda Rooh ko

chah'at ke kantoo'n ki talab

aur us ke daman main faqt

humdardi'on ke phool hein





_________________

Aaj jee chahta hai

Aaj jee chahta hai ...



Aj jee chahta hai

Ke bohat baarish ho

Aur

Saara paani beh jaye

Ankhoon ke aasmaan se

Ke pelkoon ke baadel

Bohat bojhel ho chuke

Aur jhappakne se tappekne lagte hain

Phir tappakta paani

To kissi ke pyas nahi bhujata

Aur mujhe to tere dil ke zameen

Sairaab kerni hai

Iss liye

Aj jee chahta hai

Ke bohet baarish ho





_________________

usey jane ki jaldi thee

usey jane ki jaldi thee



yonhi baton hi baton mein

mujhe us ne bataya tha

mohabbat karne wale pyar mein dhoka nahen karte

koi jab baat karta ho usey toka nahen karte

jise jane ki jaldi ho usey toka nahen karte

yonhi baton hi baton mein

mujhe ab yaad aya hai

usey jane ki jaldi thee!!!!!





_________________

bheegi palken

bheegi palken

dard se chalakti ankhen

ankhon mein lal dore

galon pe phisalta moti

lab kat'te hoye

main aksar usey

bari mehviyat se dekhta hon

pagli!

tujhe kya maloom

tujhe rula kar

main teri ankhon mein

sare jahan ka husn dekhta hon!!!!





_________________

Merey Humsafar

Merey Humsafar

Bersoon Ki Soch main sochoon to

Kuch Perchahiyaan Kuch Pachtaway

Merey Humsafar Hain

Bersoon Ki Chahat Ko Lamhoon Main Sochoon To

Kuch Aansoo kuch Shikway

Mery Humsafar Hain

Bersoon Ki Rafaaqat Ko Lamhoon Main Sochoon To

Kuch Nafratain Kuch Fasle

Merey Humsafar Hain

Bersoon Ki Dosti Ko Lamhoon Main Sochoon Ko

Kuch Kirchiyaan Kuch Zakhm

Merey Humsafar Hain

Bersoon Ki Mohabaat Ko Lamhoon Main Sochoon To

ik Kho-khala Dil Kuch Murda Jazbaat

Merey Humsafar Hain.





_________________

in udaas rahoon per

in udaas rahoon per

iss akelay dil ke sath

kar liya safar kitna

or kitna baki hai??

wo jo aik tara sa

duur jhilmilata hai

or duub jata hai

tab akele pan se dil

ye sawal karta hai

jugnouon ki khwahish mein

titliyon ki chahat mein

kar liya safar kitna

aur kitna baqi hai??



_________________

bhool jao ke apne maazi mein

bhool jao ke apne maazi mein rakha kya hai?

ye hi na!

do chaar mulaqaten

adhore shikwe

adhori baten

aur kuch udas shamen

chand tooti hoye umangen

phone ki berabt callen

aur kya hai apne maazi mein?

bhool jao.....





_________________

mera ehsas mat cheeno

mera ehsas mat cheeno!!!!

wo jazbe cheen lo mujh se

jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain

jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain

wo lamhe cheen lo mujh se

jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai

meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain

wo chehre cheen lo mujh se

jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke

jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke

wo rishte cheen lo mujh se

jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain

jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain

wo ankhen cheen lo mujh se

jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja

jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja

wo sapne cheen lo mujh se

jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain

abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain

ye sab kuch cheen lo mujh se

magar ai zalimo! mujh se mera ehsas mat cheeno

talab ki aas mat cheeno

jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno

mera ehsas mat cheeno!!!!!









_________________

tum ne kitne sapne dekhe

tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit bune

is duniyaa ke shor meN lekin dil kii dhaRkan kaun sune



sargam kii aavaaz pe sar dhunne vaale laakhoN paaye

naGhmoN kii khiltii kaliyaaN chun-ne vaale laakhoN paaye

raakh hu’aa dil jin meN jal kar vo angaare kaun chune

tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune



armaanoN ke suune ghar meN har aahaT be-gaanii niklii

dil ne jab nazdiik se dekhaa, har suurat anjaanii niklii

bojhal ghaRiyaaN ginte ginte sadme ho gaye laakh gune

tum ne kitne sapne dekhe, maiN ne kitne giit sune









_________________

agar ek maiN hii sacchaa hotaa

itne kaRe vasii nizaam meN sirf aik merii hii nekii se kyaa hotaa hai

maiN to is se ziyaadah kar hii kyaa saktaa huN

mez par apnii saarii duniyaa : kaghaz aur qalam aur TuTii-phuuTii nazmeN

saarii chiizeN baRe qariine se rakh dii haiN,

dil meN bharii hu’ii haiN itnii acchii acchii baateN,

un baatoN kaa dhyaan aataa hai to ye saaNs baRii hii besh-bahaa lagtii hai

mujh ko bhii to kaisii kasii baatoN se raahat miltii hai

mujh ko is raah meN saadiq paakar

saare jhuuT merii tasdiiq ko aa jaate haiN

ek agar maiN sacchaa hotaa,

merii is duniyaa meN jitne qariine saje hu’e haiN

un kii jagah be-tartiibii se paRe hu’e kuch tukRe hote

mere jism ke TukRe, kaale jhuuT ke us chalte aare ke niiche !

itne baRe nizaam se merii nekii takRaa saktii thii,

agar ek maiN hii sacchaa hotaa !









_________________

ek khwaab aur

ek khwaab aur



khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare

dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab

aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN

tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab

ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye

yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab

phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran

yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab

aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush

kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab

beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN

tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab

taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid

mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab

jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai

kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab

aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN

ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab

dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii

jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab

dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal

aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab

sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN

maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab

pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand

ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand



ham kyaa karte kis raah chalte

ham kyaa karte kis raah chalte

har raah meN kaaNTe bikhre the

un rishtoN ke jo chhuuT gaye

un sadiiyoN ke yaaraanoN ke

jo ik-ik kar ke TuuT gaye



jis raah chale jis simt gaye

yuuN paaNv lahuu-luhaan hu’e

sab dekhne vaale kahte the

ye kaisii riit rachaa’ii hai

ye mehNdii kyuuN lagvaa’ii hai

vo kahte the, kyuuN qaht-e-vafaa

kaa naahak charchaa karte ho

paaNv se lahuu ko dho Daalo



ye raateN jab kaT jaayeNgii

sau raste in se phuuTeNge

tum dil ko sambhaalo jismeN abhi

sau tarah ke nashtar TuuTeNge







_________________

Thursday, April 1, 2010

Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main

Raqs Karnay Ka Milaa Hukm Jo Dariyaaon Main

Hum Nay Khush Hokay Bhanvaar Bandh Liye Paaon Main



Un Ko Bhi Hai Kisi Bheegay Huay Manzar Kii Talaash

Boondh Tak Bo Na Sakay Jo Kabhi Saharaoon Main



Ai Mere HumSafaroon Tum Bhi ThakayHaaray Ho

Dhoop Kii Tum To Milavat Na Karo Chaaon Main



Jo Bhi Aata Hai Bataata Hai Nayaa Koi Ilaaj

Bat Na Jaye Teraa Bimaar Maseehaaon Main



Hauslaa Kis Main Hai Yusuf Kii Kharidaari Kaa

Aab To Mehngaaii Kay Charchay Hain Zulaikhaaon Main



Jis Barahman Nay Kaha hai Kay Ye Saal Acha Hai

Us Ko Dafnaon Meray haath Kii Rekhaaon Main



Who Khudaa Hai Kisi Tootay Huay Dil Main Hogaa

Masjidoon Main Usay Dhoondho Na Kaliisaaon Main



Hum Ko Aapas Main Muhabbat Nahin Karnay Detay

Ik Yehi Aiib Hai Is Shehr Kay Daanaon main



Mujh Say Kartay Hain 'faysal' Is Liye Kuch Log Hasad

Kyon Mere Shehr Hain Maqbool Haseenaon Main





_________________

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad

kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad



Itne chup-chaap ke raste bhi raheinge laa-ilm

Chor jaayeinge kisi roz nagar shaam ke baad



Main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye

Jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad



Sham se pahle vo mast apni uraanon mein raha

Jis ke hathon mein the tote hue par shaam ke baad



Raat biti to gine aable aur phir socha

Kaun tha baa_is-e-aaghaz-e-safar sham ke baad



Tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh

Tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad



Laut aaye na kisi roz wo aavara mizaaj

Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad

Laikin Dil abb b tujhy chahta hy

main her lamha zakhmi hua hun

tumharay rawiyay sy

lakin!

tumsy tark-e-taluq ki himat nahi

kion k  !

is sub k bawajoood mujy tum sy muhabbat hy

Aur yeh isi muhabbat ka ijaz hy k

tumharay rawiyay ki serd mehri

nezay ki unni ki mannid!

meray Dil main khub gai hy

Laikin Dil abb b tujhy chahta hy.

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai

Abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai??



Kabhi pa k tujh ko khona, kabhi kho k tujh ko pana

Yeh janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai



Mere sath chalne wale, tujh kia mila safar mein

Wahi dukh bhari zameen hai wahi ghum ka aasman hai



Mein isi gumaan mein bara mutmayin raha hun

Tera jism be taghayur, mera pyar jawidan hai



Inhi raston ne jin per kabhi tum the sath mere

Mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai???

sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho

sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho

Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho



dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho

ban meN daanaa,sha’hr ke andar diivane kehlaate ho



bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath

aaNkh churaa kar dekh bhii lete ho, bhole bhii ban jaate ho



peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam

aap jahaan meN rusvaa hoge, vaaz hameN farmaate ho



ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii

ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?

KOI UMEED BAR NAHI AATI

KOI UMEED BAR NAHI AATI

KOI SURAT NAZAR NAHI AATI



MAUT KA EK DIN MOIYAN HAI

NEEND KYO RAAT BHAR NAHI AATI



AAGE AATI THI HAAL-E-DIL PAR HA(N)SI

AB KISI BAAT PAR NAHI AATI



HAI KUCH AISI HI BAAT KE CHUP HOON

WARNA KYA BAAT KAR NAHI AATI



HUN WAHA JAHA SE HUM KO BHI

KUCH HAMARI KHABAR NAHI AATI



MARTE HAI AARZOO MEIN MARNE KI

MAUT AATI HAI PAR NAHI AATI



KABE KIS MUH SE JAAOGE FAYSAL

SHARM TUM KO MAGAR NAHI AATI

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota



tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa

ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota



teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda

kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota



koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko

ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota



ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh

koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota



rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta

jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota



gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai

gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota



kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai

mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota



hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya

na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota



usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa

jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota



ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan faysal

tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota





_________________

Taluq torta hun to mukamal torh deta hun

Taluq torta hun to mukamal torh deta hun

Jise mein chor deta hun mukamal chor deta hun



Mohabat ho k nafrat bhara rehta hun shidat se

Jidher se aye yeh darya udher he morh deta hun



Yaqeen rakhta nahin kisi kache taluq per

Jo dhaga toot'ne wala ho us ko torh deta hun



Mere dekhe hueye sapne kahin lehrein na le jaein

Gharonde rait k tameer ker k chor deta hun



faysal ab tak wahi bachpan wahi takhreeb kari hai

Qafas ko torh deta hun, parinde chor deta hun

Wo Gaya To Saath Hii Le Gya Sabhi Rang Utaar Ke Shehar Ka

Wo Gaya To Saath Hi Le Gaya Sabhi Rang Utaar Ke Shehar Ka
Koi Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi Door Paar Ke Shehar Ka


Chalo Koi Dil To Udaas Tha, Chalo Koi Aankh To Num Rahi
Chalo Koi Dar To Khula Raha Shab e Intezaar Ke Shehar Ka


Ye Jo Main Ne Tazza Ghazal Kahi, So Hai Nazr Ehal e Firaaq Ki
Ke Na Mil Saka Koii Nama-Bar Mujhey Meray Yaar Ke Shehar Ka


So Matta E Jaan Ko Liye Hoye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay Ke Milla Nahi Koi Aitbaar Ke Shehar Ka


Meray Tarz e Naghma Saraai Se Koi Baghbaan Bhi To Khush Nahi
Yeh Mera Mizaaj Hai Kya Karon Ke Hon Main Bahaar Ke Shehar Ka


Kissi Aur Dais Ki Oarr Ko Suna Hai  Chala Gaya
Sabhi Dukh Samait Ke Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Ke Shehar Ka



_________________

yaar bhi raah ki deewar samghte hen mughe

yaar bhi raah ki deewar samghte hen mughe

men samaghta tha mere yaar samghte hen mughe



men to yoon chup hoon k andar se buhat khali hoon

aur sab log pur israr samaghte hen mughe



men to badlalte hue halat men dhal jata hoon

dekhne wale adakaar samaghte hen mughe



wo jo us par hen un k leyey is par hoon men

wo jo is par hen us par samaghte hen mughe



nek logon men mughe naik gina jata hae

aur gunehgaar gunehgar samaghte hen mughe





_________________

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay

Narawa Kehiay, Nasaza Kehiay

Kehiay Kehiay Mujhay Bura Kehiay



Dil Main Rakhnay Ki Baat Hai Gham-E-Ishq

Isko Hergiz Na Bermala Kehiay



Aa Gai Aap Ko Maseehayee

Mernay Walon Ko Marhaba Kehiay



Hosh Jatay Rahay Raqeeboon K

Daagh Ko Aur Bewafa Kehiay

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai

*************************

Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai"


Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai"


Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai"


Main Us Se Pochta Hon Khwab Mein, 'Mujh Se Mohabat Hai?'
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai. . .

*************************





Be-Hunar Rakha Gaya, Na-M0'atbar Rakha Gaya

***************









Be-Hunar Rakha Gaya, Na-M0'atbar Rakha Gaya

Shehar E Beenai Men Mujhk0 Be-Basar Rakha Gaya



Mery Bary Men Mery Sab Faisly Us Ne Kiye

0r Mujhy Un Faisl0n Se Be-Khabar Rakha Gaya



Chaar Su Apny Utha Li Garchy Deewar E Anaa

Ek Dar E Imkan Magar Kuch S0ch Kr Rakha Gaya,



Phir Hua Aisa K Mujhk0 Dar-Badar Karny K Baad

Naam Usi Basti Ka Mery Naam Par Rakha Gaya.









***************





_________________

Popular Posts