Tuesday, April 20, 2010

Mein sun k uss ki sab baatein


Mein sun k uss ki sab baatein..!!

Faqat itna he kehti hoon..!!

Khafa hona , man'aa lena..!!

Ye sadiyon se rawayat hai..!!

Mohabbat ki alamat hai..!!

Gilay shikwe karo mujh se..!!

Tumhain yaara ijazat hai..!!

Magar ik baat meri bhi zara tum yaad rakhna..!!

Kabhi aisa bhi hota hai..!!

Hawaa'in rukh badalti hain..!!

Khiza'ain laut aati hain..!!

Khata'ain ho hi jati hain..!!

Khafa hona bhi..!!

Mumkin hai..!!

Hamesha yaad rakhna tum..!!

Taluq tor dene se kabhi toota nahi karte.. !!

Nazm Uljhi Howi Hay Seenay Mein


!!.. Nazm Uljhi Howi Hay..!!

Nazm Uljhi Howi Hay Seenay Mein...!!

Misrey Aa'tha Howey Hein Hontoon Per...!!

Urtey Phirtey Hein Titli'yun Ki Tarah...!!

Lafz Kaghiz per Bait'they Hi Nahe...!!

Kab Say Baita Hoon Mein Janum..!!

Saadey Kaghiz Peh Likh K Tera Naam...!!

Bass..... Tera Naam Hi Mukamal Hay...!!

Iss sey Behtar Bhi Nazm Kia hogi..??

Barishoon Ki Zadd Mein Hoon

Barishoon Ki Zadd Mein Hoon.........

Toa Is Qadar Tu......!!!!

Muztaribb Kyun...??????

Meinne Toa Apni....

Har Eik Khuwaish Ka Mausum...

Tujko Soom'pa Tha.....!!!

Teray Haaton Mein Tha.....
.
.
.
.

Mujko Hansi Pehnatey .........!!
.
.

Ya Aanso...........

Jab Woh Mera Naam


Jab Woh Mera Naam..!!

Apne Haatoon Ki Lakeeron Mein..!!

Talaash kar K Takh Gaya..!!

Toa Dheeray Se Sarrr Jhukaya...!!

Aur Muskura K Kaha,,!!


"LAKEERIEN JHOOT BOLTI HAIN".!!!

Yahan Jo Bhi Bichar Jaye


*~*Yahan Jo Bhi Bichar Jaye*~*


Tumhe Bhi To Khabar Ho Gi
K…..!!
Darya Paas Behte Hain,
To Pani Acha Lagta Hai
Kinaroon Per Juri Mit’ti Se Poocho….
Rog Chahat Ka
K Is Pani Ki Chahat Me…
Kinaroon Se Ukhar Ker…!
Ajnabi Simtoon mE Behna kItna Mushkil Hai
“Kinara Phir Nahi Milta”
Tumhe Bus Itna Likhna Hai
Yahan Jo Bhi Bichar Jaye….
..
.
Dobara Phir Nahi milta

Naya Saal, Naye Umeed

!! Naya Saal, Naye Umeed !!


Reshmi Dorr Ki Tarah...!!

Haath Say Pi'siltaa howa..

Yea Saal Bhi Jaa Raha Hay....!!

Guzertay Iss Saal Say...

Hisaab Kuch Lena Hay....!!

Zakhm Jo Deye Hein Iss Nay..!!

Unka Marhamm Poochna Hay....!!

Aur Poochna Hay....!!

Jo Khoo Dia, Ussey Pa'yein Kahan...??

Yaadon Ko Saari, Daf'nayein Kahan...??

Aa'gahii Apni Su'layein Kahan....??

Ya Yun Karr Lein...!!

Roota Pichla Saal Bhulaa Ker...!!

Aaney Walay Saal Say....

Dosti Kar Lein.....!!!!

Aasmaan k chand aur taarey

Aasmaan k chand aur taarey..
Tere mere khawab na hon!!
Ye jo farsh-e-khaak pe bikhra reza reza aaina hai..
Iss mein jitne aks hain saray..
Tere mere khawab na hon..!!

Dair rahain jo aankhon mein tou khawab parinday ban jate hain..
Lakh inhain azaad karo ye phir kar wapas aa jate hain..
Ye jo qufs k darwaze mein par phailaye baithe hain..
Ye darmanda oogan haray..
Tere mere khawab na hon..!!

Palkon ki dehleez se lag kar dekh rahe hain raston ko..
Mit'ti banti shaklon ko aur jalte bujhte rangon ko..
Bojhal chup aur oojhal dukh k saye saye baithe hain..
Ye be-chehra aur bechare..
Tere mere khawab na hon..!!

Behr-e- fanna mein mil jane tak milne se majboor bhi hain..
Ik dooje k saath bhi hai aur ik dojay se door bhi hain..
Lamhon k gird ab safar mein jo chakraye baithe hain..
Ye dono....darya k kinaray..
Tere mere khawab na hon..!!

Humaare daramiy'an Aisaa Koi Rishta Nahe Tha

Humaare daramiy'an Aisaa Koi Rishta Nahe Tha...!!

Tere Shaan'on Peh Koi Chahat Nahe Thi...!!

Mere Zimme Koi Aanghan Nahe Tha.....

Koi Vaada Teri Zanjeer-E-Paa'h Nahe Paya....!!

Kisi Iqraar Ne Meri Kalaii Ko Nahe Thaaama....!!

Hawa-e-Dasht Ki Maanind....

Tu Azaaad Tha............................

Raastey Teri Marzii K Tabhii Thay..!!

Mujey Bhi Apni Tanhai Peh...

Dekha Jaye Toa

Poora Tasarruf Tha....!!

Magar Jab Aaj Tu Ne...!

Raasta Badla............!!

Toa Kuch Aisa Laga Mujh ko...!!
.
.
.

Keh Jaise Tu Ne Mujh say Be-wafaii Ki.....!!

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo…!!!

Dil Jis Say Sab Ka Bahell Jaye...!!

Dehaan Aur Taraf Nikal Jayee....

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo…!!!

Dehaan Aur Taraf Nikal Jayee...

Kisi Aur Khayaal Main Dhaal Jaye....

Bay'masroof Din K Akheer Par....

Yea Dhalti Shaam Sambhaal Jayee....!!

Is Sakht Mukaam Zamanon Ka......

Yea Sakht Mukaam Badal Jayee....

Koi Or Tarhan Ki Baat Karoo.....

Kisi Ghaat Par Kashti Aaan Lagay.............

Koi Nayee Nayee Pechaan Lagay ....

Koi Naya Naya Anjaam Lagay..!!

Bay'masroof Din K Akheer Par

Yea Dhalti Shaam Sambhal Jayee

Koi Or Taran Ki Bat Karoo...!!

Sooch K Be-Kinaar Sehraa Main

Sooch K Be-Kinaar Sehraa Main....
Dhool Uraataa Hai...!!
.
.
YAAD Ka Mousam........!!

Apni Be-Harf Aankh Aisey Main....

Zindagi Kay Aw'raak Ullat'ti Hay...!!

Jaisay.....!!

Baarish Mein Bheeghti Chiryaa....!

Ghoonsley Ki Taraf Pallat'ti Hay.......!!!!!!!!!!

Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka

" Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka"


Is Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak.....

Wo Shokh-e-Lab, Wo Harf-e-Wafa.....
Wo Naqsh-e-Qadam, Wo Aks-e-Hina...!!

So Bar Jissey Chooma Hum Ney....!
So Bar Parastish Ki Jis Ki...!!

Is Dil Main Salaamat Hai Ab tak...

Wo Garrd-e-Allam, Wo Deeda-e-Numm.....
Hum Jis Main Chupa K Rakhtey They.....
Tasveer Bikhartiii Yaadoon ki.......
Zanjjeer Pighaltey Waadoon ki..............
PoonJii Nakaam Iraadoon ki.....

Aye Taizz Hawa Naraz Na hoo..

Is Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak..!!

Samaan Bichrtii Saa'et Ka...!
Kuch Tukkrey Garam Dopehroon K....
Kuch Rai'zey Narram Sawaaloon K..!!
Kuch DuR Anmool Khayaloon k....!!

Ik Sachaa Roop Haqeeqat ka...!!
.
.
.
.

"Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka"

Ye Baarish khubsurat hey

Ye Baarish khubsurat hey..

Aik arsey k baad..

Meri rooh mein..

Sairaab hone ki tamanna jaag uthi hey..

Magar badal k rastey mein..

Bohat se pairr aatey hein..

Main pal bhar k liye shaadab rahon..

Aur apni baaqi umr..

Phir sehra mein kaaton..??

Main apni pyaas pe raazi rahongi..

Mere aansoo mere dil ki kifalaat k liye kaafi rahen ge..!!


_________________

mujhy duaon main yaad rakhna

mujhy duaon main yaad rakhna
main wo musaafir hun jis ka rasta bohat kathan hai
main hun wo raahi jiski manzil kahen nahi hai
mera thikaana koi nahi hai
mera assasa hi dosti hai
jo maal.o.zar say bhi qeemti hai
ye ghup andheron main roshni ha
ye kaali raaton mian chaandni hai
ye meri izzat
ye meri shohrat
hai doston ki dua ka haasil
mujhy duaon ka aasra hai
meri bas itni si iltija hai
mujhay duaon mian yaad rakhna

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai?

Meri waaqif thee jab aati thee kamre me,

Mere seene mein bhar jaati thee...

jaise baadbaan bharte hain kashtee ke,

Ye baarish gungunaatee thee,

Isi chat ki munderon par...

Ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par unglee se likh jaatee thee sandeshe....

Bilaktee rehti hai baithee hue ab band raushandaanon ke peechay

Dopehren aisi lagtee hai jaise bin mohron ke khaalee khaane rakhe hai

Na koi khelnewaalaa hai baazee aur na koi chaal chaltaa hai....

Na din hota hai , na ab raat hoti hai....

Sabhee kuch ruk gaya hai

Wo kyaa mausam kaa jhaunka tha jo is deewaar par latke hue tasveer tirchee kar gaya hai?


_________________

Mausam ki kharabi kay ba'is

Mausam ki kharabi kay ba'is...!!

Flight late hogai....!!

Toa socha..........!!!

Tum se baat karloon.....!

5 saal ka agreement hai.....!!

Jo extend bhi hosakta hai...!

Is laiy main koshish karoon ga..!

Mager tum...........

Us ka jumla adhora hotay huay bhi pora tha!

Isi liay line kat gai

Aur....!!

Acha hi huaa...!

Uss roaz mausam kharab tha kay......!!

Aan'dhioan kay shor main...!!

Aai'nay totnay ki awaz ...!!

Koi na sun saka..........!!!!!!!!!



_________________

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay.....

Kaheen Aankhon Kee Rim Jhim Kaa...

Kaheen Palkon Kee Shabnam Kaa.....

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay!!!

Kaheen Lehjay Kee Baarish Ka.....

Kaheen Aansoo k Saaghar Ka.....

Magar...!!!

Tum Nay Kabhi Humdum!!

Kaheen Daikhay...???

Kaheen Parhay...???

Kisi Tehreer k Aansoo!!!

Mujhay Teri Judae Nay....

Yahi Meeraaj Bakhsha Hai....

Keh Mein Jo Lafz Likhta Hoon...

Wo Saaray Lafz Rotay Hain......

Keh Mein Jo Harf Banta Hoon...

Wo Saaray Baatain Kartay Hain..

Meray Sung Is Judaae Mein......

Meray Ilfaaaz Martay Hain.......!!!


_________________

Tujhay Khabar Bhi Nahi

Tujhay Khabar Bhi Nahi....!!

K Teri Udaas Adhoori.....

Mohab'baton Ki Kahaaniyan....!!!

Jo Bari Ku'shaada-Dili Se.......!!

Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha.......!!!

Wo Shakhs Teri Sadaqaton Par Fareefta....!!

Baa-Wafaa, Saabat Qadam...........

Ke Jis Ki Jabeen Pe!!!

Zaalim Raqabaton Ki Jalan Se....!!!

Koi Shikan Na Aaee...!

Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se....!!!

Dil Hi Dil Mein....!!

Khamosh, Chup Chaap.........

Mar Gayaa Hai...

Kis Ko Ilzaam Dhein Apni Ruswaii Ka

Kis Ko Ilzaam Dhein Apni Ruswaii Ka.......!!!!

Kis Ko Ja Kar Kahein Qarabb Tanhai Ka....!!

Pyar K Khail Mein...!!

Wasal Ki Subah Se..!!

Hijar Ki Shaam Takk....!!

Jo Tamasha Hoa.....!!

Is Mein Shamil They Hum.....!!

....

Aap Maqtool Thay...!!
.
.
.
.

Aap Qatil Thay Hum..........


_________________

Tumhay Wapis Bhi Jana Hay

!!..Tumhay Wapis Bhi Jana Hay ..!!


Tumhy Wapis Bhi Jana Hay
Kabhi Tum Nay Bhi Socha Hay??
Kisi Ki Sochti, Sada Si AankhOon May
Udassi Ki Khufi Tahrrer Tum Ny Sub Mita Dali
Dhanak SapNoOn Ka Phir Say Ik Jaal Sa Bun Diya In Mein...!

Magar JanAa !!
Zara SocHo ..
AgaR Is Bar Bhi Sapnay Kisi Nay Torr Daly Tou ?
Woh in Ki Kirchiyaan Sari Ki Sari
Apni PalkoOn Mein Chupa Lay Gi

Agar Is Zindagi kay Bhees Mein Phir MarG nikli Tou ?
Galay Usko Laga Lay Gi

Tum Aisa Kyon Nahi Krty
Abhi Say Usko Batlaa Do
Tumhay Wapis Bhi Jaana Hay !!!!


Chalo kuch Aaj Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan Kr Lain

Chalo kuch Aaj Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan Kr Lain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Krain
Gilay Jo Dil Ki Tahoon Ma Han Aabloon ki Trha
Unhain Bhi Aaj Shanaasaiye Nook-e-Khaar Karain

Jo BayWafa Ho Usay BayWafa Kahain Khul Kr
Hadees-e-Chashm-o-Lab-e-Sookhta Kahin Khul Kr
Kahan Tak Yeh Takalum Zamana Sazi K
Pas-e-Kalaam ha Jo Kuch Zara Kahain Khul Kr
Khunk Khunk Si Hansi Hans K Mil Rahay Ho Kun!
Lahoo Ha Sard To Aankhain Bhi Munjamind Kr Loo
Jo Dil Ma Dafan Ha,Chehron pa Ishtihar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain

Tumhara Mera Taaluq Bas Aik Lafz Ka Ha
Lugat k Ant Ma Simta Hoa Faqt Aik Lafz
Iss Aik Lafz Ma Sachai Ha Zamanoo Ki
Chalo K Aaj Yehi Lafz Ikhtiyar Karain
Tamam Umar Pari Ha Munafqat K Liye
Iss Aik Lafz Ka Daaman Na DaagDar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain
Chalo Aaj Kuch Hissab-e-ziyan-e-Jaan Kr Lain!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likna


Udasi'on Ka Sabab Jo Likna...!!

Toa Yea Bhi Likhna...!!

Kay Chaand, Taare, Shahab, Akhein Badall Gaye Hein..!!

Woh Zinda Lamhe Ji Teri Rahoon Mein..!!

Tere Aaney Kay Muntazir Thay...!!

Woh Takh Kay Sai'yon Mein Dhal Gaye Hein....!!

Wo Teri Yaadein ... Khayal Tere..!!

Woh Ranj Tere..... Malaal Tere...!!

Wo Teri Aankhein......!! Sawaaal Tere....!!

Wo Tumse Mere Tamaam Rishtey....

Bichar Gaye Hein....

Ujer Gaye Hein......!!!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likhna...!!

Toa Yea Bhi Likhna.....!!

Laraz'te Hontoon Peh Larkha'rati Dua K Sooraj....!!

Pigall Gaye Hein....!!

Tamaam Sapne Hi Jal Gaye Hein...!!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likhna...!!

Toa Yea bhi Likhna...!!!!!

mere buss mien ho tu kabhii kaheen

mere buss mien ho tu kabhii kaheen
koii shehR aisa basao`N mae
jahan faakhta`oN kii phar-pharahatt se naghma-e-zaar-e-hayaat mien
jhunjhunatii saanso`N kii jhaanjharieN jo channak uthieN
tu dhanak k rungo`N mien bheeg jayein hawaas tuk
jahaaN chaand, maand na ho kabhii, jahann chaandnii ki rida bannay
merii baanjh dhartii k baasiyo`N ka libas tuk
jahan sirf hukm-e-yaQeen chalay, jahan be-nisha`N hoon Qayyas tuk
jahan aadmiyat k natQ-o-lub pe na shehR-e-yaar ka khoof ho
jahan sar-saraaye na aadmii kii raggo`N mien koii haraas tuk
jahan vehm na ho, na dilo`N mien vehm ka sehm ho
jahan such ko such se ho waasta
jahan jugno`N ko hawa dekhatii ho raasta
jahan khushbo`oN se badaltiii rutt ko hasadd na ho
jahan pastiyo`N se bulandiyo`N ko bhii kadd na ho
jahan khwaab ankho`N mein jagmagayei`N tu
jism-o-jaaN k sabhii dareecho`N mien tairgii ka guzaR na ho
koii raat aisii basar na ho k bashar ko apnii khabR na ho
jahan daagh daagh seheR na ho
jahan kashtiyyaN hoon rawan dawan tu samandaro`N mein bhanwaR na ho
jahan barg-o-baar se ajnabii koii shaakh, koii shajaR na ho
jahan chehchahatay hoay parindo`N ko barisho`N k azaab ka darr na ho
mere bus mein ho tu kabhii kaheeN
koii shehR aisa basao`N mae
jahan barf barf mohabbato`N pe ghum-e-jaaN ka asar na ho
rah-o-rasm duniya kii bandishieN, ghum-e-zaat k sabhii zaiQayy
sam-e-Qainaat kii talkhiya~N, kisii ankh ko bhii na cho` sakieN
jahan merii saNs ki taazgii terii chahato`N k kanwal mien ho
tera husn merii ghazal mien ho, jahan Qainaat kii ik sadaf
shab-o-roz k kisii pal mein ho
jahan noha-e-ghum-e-zindagii, merii hichkiyo`N se ayaaN na ho
jahan loh-e-khaak pe umeR bharr kisii be-gunah k khoon ka,
koii daagh, koii nishaaN na ho
koii shehR aisa kabhii, kaheeN
jahan dhoop cha`oN gallay milieN
jahan baanjh rutt mien bhii gul khilieN
jahan chahato`N k hujoom mien, kabhii geet aman k gaao`N mae
jahan zindagii ka rujz parho`N, jahan bey-khalal gun-gunao`N mae
jahan moj moj ki oout mien, tu kiraN bannay, muskurao`N mae
mere buss mien ho tu kabhii kaheeN
koii shehR aisa basaao`N mae

Kitni Sada

Kitni Sada,
Kitni Piyari,
Kaanch Ki Choori Jesi Larki,
Ik Kamre Mein Bethi,
Os Ka Haath Kalai Per Tha,
Jane Kin Sochoon Mein Gum Thi,
Ab Kia Ho Ga?
Mai Bhi Os K Pas He Betha,
Maine Os Ka Haath Pakra,
Or Piyar Se Pocha,
Kia Qissa Hai Meri jaan?
Os Ki Ankhain Bheeg Gaeen,
Or Wo Dheemi Si Awaz Mein Boli,
Dekho Choori Toot Gai...........

raNg-biraNge haseen kaaGhaz se

raNg-biraNge haseen kaaGhaz se
Khoob_soorat taraash kar beleiN
devataaoN ke but jamaa kar ke
roz lobaan ka dhuaaN de kar
ghar ko maNdir banaa ke rakha thaa

jab se guldaan meN magar tumne
khilte murjhaate phool rakhe haiN
jab se shaamil kiyaa hai saaNsoN meN
ziNdagii ke haseeN gunaahoN ko
maNdir ko ghar banaa liyaa hamne

terey hontoon ne chupkey se

terey hontoon ne chupkey se

mujhey ik baat keh di thi

jo khushbu se mau’atter hai

jo chanda se bhi roshan hai

jo titly se bhi nazuk hai

jo masti hai sharabon ki

tamanna hai jo khuabon ki

sada hai jo rubaabon ki

ibaarat hai nasaabon ki

jo surkhi hai gulabon ki

zaya hai chand sitaron ki

jo rangat hai baharon ki

jo gehri hai samander se

jo milti hai muqadder se

jo arfaa hai jahan bher se

jo shereen hai her ik she se

nasheeli hai jo is meh se

jo dherkan hai meri dil ki

rawani hai jo saanson ki

tarawat hai jo aankhon ki

jo palti hai khayalon mein

nahi milti misaalon mein

kaha hai jo dheerey se k

tum mujh se payar kerti ho


_________________


Wo Kehta Hay

Wo Kehta Hay...
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
Main Kehtii Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao... .Acha Lugtaa Hay

Wo Kehta Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehtii Hoon...
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii...

Wo Kehta Hay...
Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gaya Itna?
Main Kehtii Hoon...
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehta Hay...
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehtii Hoon...
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Ga...

Wo Kehta Hay...
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehti Hoon...
K Yeh To Baadilon Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehtii Hoon...
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...

Wo Kehta Hay...
Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
Main Kehti Hoon...
Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...

Wo Kehta Hay...
Batao...Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
Main Kehti Hoon...
Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
Main Kehtii Hoon...
Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...

Wo Kehta Hay...
K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
Main Kehtii Hoon...
K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...

Wo Kehta Hay...
Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
Main Kehtii Hoon...
Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...!


_________________

Woh Bikhra Hua Lehjaa Yaad Hai

Woh Bikhra Hua Lehjaa Yaad Hai Ab Tak
Jab Us Ne Kaha tha Mujh Sey
In Pighaltay Ayyam Main
Aur Haqiqatoon Ki
Kari Dhoop Main Jhulas Kar
Teray Liye Sochna
Acha Lagta Hai
Ye Jantay Huay Bhi
Ke Rastay Juda Hain
Tu Mera Muqqaddar Nahin
Apnay Aap Ko Dhoka Dena
Acha Lagta Hai
Kion ke Istarah Zeest Mujhay
Bari Aasaan Lagi Hai...!

wo samar tha meri dua’oon ka

wo samar tha meri dua’oon ka usay kiss ne apna bana liya
meri ankh kiss ne ujjaa’r dee mera khwaab kiss ne chura liya

tujhe kiya bata’yaiN ke dil’nasheen tere ishq maiN teri yaad maiN
kabhi guftagu rahi phool se kabhi chand chatt pe bula liya

meri jang ki wohi jeet thi mere fat’ha ka wohi jashan tha.
maiN gira to daur ke us ne mujhe bazuoo’N maiN utha liya

meri chand cho’nay ki hasrataiN meri khusboo hone ki khwahishaiN
tu milaa to aisa laga sanam mujhee jo talab thi wo pa liya

abhi to mout say pehlay

"abhi to mout say pehlay
hazaroon baar marna hai
abhi say thkk gaye ho tum
abhi to jan baki hai
dil o jan ki hadoon say bhi
kaheen aagae, bohat aagay
mairi bay antt chahat ko,
khiaal o khaab hona hai.
mujhay maloom hai mujh ko,
bohat barbaad hona hai.
gam e hijraan-e-dasht-o-jaan
may aisa moor aana hai
mujhay tum ko bhulana hai,
dil o jaan say mitana hai
mujhay tum ko bhulana hai
mujhay tum ko bhulana hai"

koi apna nahin banta

koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
us main apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........

ik taza hikayat hai

ik taza hikayat hai
sunlo tu inayat hai
Ek shakhs ko dekha tha
taron ki tarah hm nay
Ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarah hm nay
Ek shakhs ko samjha tha
phoolon ki tarah hm nay
Wo shakhs qiamat tha
kia uski krain baatain
Din us k lya paida
aur us ki hi thin raatain
Kb milta kisi se tha
hum se thin mulakatain
Rang uska shahabi tha
zulfon ma thin mahkarain
Aankhain thin k jadu tha
palkain thin k talwarain
Dushman bhi agar dakhay
so jaan se dil haray
Kuch tm se wo milta tha
baton ma shabahat thi
Haan tum sa hi lagta tha
shokhi main shararat main
Lagta bhi tumhi sa tha
dastoor e muhabat main
Wo shakhs hmain ik din
apno ki tarah bhola
Taron ki tarah dooba
phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya wo
hum nay buhat dhoonda
Tum kis lya chonkay ho
tum kis lya chonkay ho
Kb zikr tumhara hai
kb tum se takaza hai
kb tum se shikayat hai
ik taza hikayat hai
sun lo tu inayat hai
ek shakhs ko dakha tha
taroon ki tarah hm nay
ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarha hm nay

__________________

Mery Hamsafar

Mery Hamsafar
Mery Jism-O-Jaan Ky Har Aek Rishty Sy Mau’tabar
Mery Hamsafar
Tujhy Yaad Hein, Tujhy Yaad Hein
Wo Jo Qurbaton Ky Suroor Mein
Teri Aarzoo Ky Hisaar Mein
Meri Khaahishon Ky Wafoor Mein
Kai Zaaiqy They Ghuly Huwy
Dar-E-Gulsitaan Sy Bahaar Tak
Wo Jo Raasty They Khuly Huway
Sar-E-Loh-E-Jaan
Kisi Ajnabi Si Zubaan Ky
Wo Jo Khushnumaan Sy Haroof They
Wo Jo Sarkashi Ka Ghubaar Tha Cha-har Su
Jahan Aek Doo-Jy Ky Rubaroo
Hamen Apni Roo’hon Mein Phaelti
Kisi Naghmaggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Mili
Hamen Roshni Ki Nazar Mili
To Jo Reza Reza Sey Aks They
Wo Behm Huwy
Wo Behm Huwy To Pata Chala
Ky Jo Aag Si Hy Sharar-Fishaan Meri Khaak Mein
Usi Aag Ka Koi Anbujha Sa Nishaan Hy Teri Khaak Mein
Isi Khaak-Daan Mein Wo Khaab Hy Jissy Shakl Deny Ky Waasty
Ye Jo Shash’johaat Ka Khel Hy, Ye Ravaan Huwa
Isi Roshni Sy Makaan Banna, Isi Roshni Sy Zamaan Huwa
Ye Jo Her Gumaan Ka Yaqeen Hy
Wo Jo Her Yaqeen Ka Gumaan Tha
Isi Daastaan Ka Bayaan Tha

Mery Hamsafar
Kisi Dhiaan Ky Kisi Taaq Per Hy Dhara Huwa
Wo Jo Aek Rishta-E-Dard Tha
Mery Naam Ka Tery Naam Sy
Teri Subh Ka Meri Shaam Sy
Sar-E-Rahguzzar Hy Parra Huwa Wohi Khaab-E-Jaan
Jisay Apni Aankhoon Sy Dekh Leny Ky Waasty
Kai Laakh Taaroon Ki Seerriyoon Sy Uttar Ky Aati Thi Kehkashaan
Sar-E-Aasmaan
Kisi Abbr Paaray Ki Ott Sy
Usay Chaand Takta Tha Raat Bhar

Mery Hamsafar
Usi Rakht-E-Gham Ko Sammet’ty
Usi Khaab-E-Jaan Ko Sanbhaalty
Mery Raasty Kai Raaston Mein Ulajh Gaye
Wo Chiraagh Jo Mery Saath Saath They, Bujh Gaye
Wo Jo Manzilen
Kisi Aur Manzil-E-Benishaan Ky Ghubaar-E-Rah Mein Kho Gayen
Kai Was’wason Ky Fishaar Mein Shab-E-Intazaar Si Ho Gayen
Wo Tanaab-E-Dil Jo Ukharr Gaye
Wo Khyaam-E-Jaan Jo Ujjar Gaye
Wo Safeer They Usi Daastaan-E-Hayaat Ky
Jo Warq Warq Thi Bharri Hui
Mere Shoq Se Tery Roop Sy
Kahin Chaaon Sy Kahin Dhoop Sy
Mery Hamsafar Tujhy Kiya Khabbar
Ye Jo Waqt Hy Kisi Dhoop Chaon Ky Kheil Sa
Isey Dekhty, Isey Jheilty
Meri Aankh Gard Sy Att Gai
Mery Khaab Rait Mein Kho Gaye
Mery Haath Barf Se Ho Gaye

Mery Hamsafar
Mery Bekhabar Tery Naam Per
Wo Jo Phool Khilty They Hontt Per
Wo Jo Deep Jalty They Baam Per
Wo Nahi Rahy
Wo Nahi Rahy Ky Jo Aek Rabt Tha Darmiyaan
Wo Bikhar Gaya
Kisi Shaam Aesi Hawa Chali
Ky Jo Barg They Sar-E-Shaakh-E-Jaan
Wo Gir Gaye
Wo Jo Harf Darj They Reat Per
Wo Urr Gaye
Wo Jo Raastoon Ky Yaqeen They
Wo Jo Manziloon Ky Ameen They
Wo Nishaan-E-Paa Bi Mit Gaye

Mery Hamsafar
Hy Wohi Safar
Maggar Aek Morr Ky Fark Sy
Tery Haath Sy Mery Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kai Mausamoon Mein Badal Gaya
Usay Naapty, Usay Kaat’ty
Mera Saara Waqt Nikal Gaya
Tu Mery Safar Ka Shareek Hy
Mein Tery Safar Ka Shareek Hoon
Per Jo Darmiyaan Sy Nikal Gaya
Usi Faasly Ky Shumaar Mein
Usi Be-Yakeen Sy Ghubaar Mein
Usi Rahguzar Ky Hissaar Mein
Tera Raasta Koi Aur Hy
Mera Raasta Koi Aur Hy

*********************************

Kuch Khuwab Hein Jin Ko Likhna Ha

Kuch Khuwab Hein Jin Ko Likhna Ha
Tabeer Ki Surat Deni Ha
Kuch Log Hein Ujary Dil Wale
Jinhen Apni Mohabat Deni Ha
Kuch Phool Hein Jin Ko Chunana Ha
Aur Haar Ki Surat Deni Ha
Kuch Apni Neend Baqi Ha
Jise bantna Ha Kuch Logon Mein
In ko B To Rahat Deni Ha
Ay Umrey Rawaan!
Aahista Chal
Abhi Khaasa Qarz Chukana Ha....

~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~

Aao Wada Karein

!!!.......Aao Wada Karein…….!!!

Aao Wada Karein..!!
Aaj Kay Din Ki Rooshan Guwahee Mein Hum..!!
Deeda-O-Dil Ki Ba’anth Shaahi Mein Hum….!!
Zair-e-Daamaan-e-Taqdees-e-Laoh-e-Qalam….!!
Apnay Khwaboon, Khayalon Ki Jagheer Ko…!!
Fikar Kay Mo’o Kalam Say…!!
Taraashi Howe…. Apni shafaaf sochoon Ki Tasweer Ko…!!
Apnay Be-Harf Haathon Ki Tehreer Ko…!!
Apni Taqdeer Ko……………..!!!
Yun Sambaalein ghe… Misl-e-Chiraagh-e-Haramm…..!!
Jaisay Aandhee Mein…!!
Be-ghar Musafer koi…..Bujti Ankhon Kay Boseeda Fanoos Mein…!!
Peh’ra daar’on Ki Soorat Chopa’ye Rakhey….!!
Jaaney Waloon Kay….. Dhon'dle say Naqsh-e-Qadam…!!


Aao Wada Karein..!!
Aaj Kay din Ki Roshan Guwahee mein Hum….!!
Phir Irada Karein…..!!

Jitni Yaadhon Kay Khaakey Numay’an Nahe…!

Jitnay Hoonton Kay Ya-qooth Be-Aab Hein..!!

Jitni Aankhon Kay Neelum Faroo’zaan Nahe..!!

Jitnay Chehroon Kay Mur’jaan Zardaab Nahe…!!

Jitni Sochain Bhi Mash’al Badda’maan Nahe..!!

Jitnay Gull’rang Mehtaab….. Gehnaa Gaye…!!

Jitnay Masoon Ruksaar………Murjaa Gaye…!!


Jitni Shamein Bhujii…!!


Jitni Shakein Jalein…!!


Subko Khushboo Bharii Zindagi Baskh Dhein…………………………!!!!!!!!!!!

Taazghi Bakhs Dhein….!!


Bharr Dhein Sub Ki Ragoon Mein Lahoo Nam’ba’Namm…!!
Misl-e-Abr-e-Karamm Rakh Lein Sub Ka Bharam….!!
Deeda-O-Dil Ki Be-Anth Shahi Mein Hum…!!!!!
Zakhm Khayein Ghe Husn-e-Chaman Kay Leye….!!
Ashk Mehkayein Gay… Misl-e-Ruksaar-e-Gul…!!
Sirf Araa’ish Pair’hen Kay Leye…!!.
.
.

Muskurayein Gay Ranj-e-Ghum-e- Duhar Mein…!!
.
.
......
........
………….. Apni Hansti Howi Anjumann Kay Leye….!!!!
Ta’an-e-Ehbaab , Sar’mayaa-e-Kunj-e-Dil….!!
Tanz-e-Agh’yaar Seh Lain Gay Funn Kay Leye…!!
.
.
.
.
Aaoooo Wada Karein……………………….!!!!.

.
.
.
Saans Lein Gay Muta’a-e-Sukun Kay Leye….!!
JAAN GHANWAYEIN GAY ARZ-E-WATAN KAY LEYE……!!!
.
.
.
Deeda-O-DIl Ki Shoo’reedhgi Ki Qasam………!!!
Aasmano’on Say Ouncha Rakhein Gay Alamm…!!!!!!

Aao Wada Karein……………………!!!

Aaj Kay Din Ki Roshan Guwahee Mein Hum……….!!!


tum muje chahte ho

tum muje chahte ho
mien tujh ko
chand se pyar hai tujhe
muje chandni achi lagti hai
hawaon se mohabbat karte ho tum
mein andhiyon se lar letee hon
tum sumandar ki lehron ko gin lete ho
mien un lehron ko daman mein bhar letee hon
kitna apna pan hai ham dono mein
tazzad kahan hai?
tujh mein mujh mien
bas yahan per itna sa....
tum mohabbat karte ho
mein aqeedat tak jhuk jatee hon

Awaz k Khanjer Maar Daite Hain

!!..Awaz k Khanjer Maar Daite Hain..!!

Kabi ghar say nikal kar tum ne socha....!!

Akelay chand ko dekha...??

Kabi sunsaan bagh'oon main....!!

Kisi tanha rawishh par chalte chalte ' chaand say pocha.....!!

K wo tum say zada muztaraab kiyun hai......???

Magar tum.............

Bunnd kamrey k makeen......!!

Khuwaboon k shezaday..!

Nikal kar garam kamray say......!!

Kahan jaoo gay adhi raat ko sunsaan bagh'oon main..!!!

Akelay chaand say baa'tain to wo mazlum keya karte hain......

Jin'hain apne he ghar k Dar-O-Dewaar dhutt'kaar daite hain....!!!

Jinhain apni he awaz k khanjar maar daite hain..........!!!

Usi Aik Naqsh k Aks Hain

!!~!! Usi Aik Naqsh k Aks Hain !!~!!

Usii Aik Naqsh K Aks Hain..!!

Yeh Zameen Bhi Yeh Zaman Bhi.....

Jawan Arzoo K Sanam Kaday.................
Thaki Justajoo k Jahan Bhi...!!!!

Wohi Aik Mauj-e-Namood Hay Kabhi Dasht Main Kabhi Baagh Main..!!

Usi Aik Daal K Phool Hain.....!!!
.
.
.

Yeh Yaqeen Bhi Yeh Gumaan Bhi!!

Hawas aur Muhabbat

Hawas aur Muhabbat.......!!

Kaha mainay janan,
Yeh sub kuch baja hay,
Hamaray ta’luk k her rastay mein
BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!!

Hawas aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan,
K donu teraf say badan bolta hay,
Bazahir zaman-o-Makan kay safar mein
Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay!
Mager iskay hutay………. sabhi kuch k hotay,
Kahein beech mein wu ju ek fasla hay,

Woh Kia Hay???

Meri Jaan, daikhoo
Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein
Sari kahani ka asli sira hay
Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay,
aur is say agay

Muhabbat mein ju kuch hay usko samajna
Badan kay tasawur say he ma’wara hay
Yeh ek kay’fiyat hay
Jisay naam daina tu mumkin nahi
Samajhnay ki khatir
bus itna samajh lo

Zameen Zadgaan kay mukaddar ka jub faisla hu gaya
Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir,
Her ek zaat ko ek ta’la milla tha
Wu makhsoos ta’la, ju ek khas number pay khulta hay lakin
Kisi aur number say milta nahi hay
Mujhay aur tujhay bhee yeh ta’lay milay thay

Mager farq itna hay kay donu kay khulnay kay number wuhi hein,
aur in numberoon pay hamaray siwa
teesra koi bhee quf’l khulta nahi
teri aur meri baat kay dermiyan
Bus yahi ferq hay

Hawis aur Muhabbat mein aye jan-e-jaan

Bus yahi ferq hay.....!!

Kia Kahin Aysa Hai

Kia Kahin Aysa Hai....!!

K Lafz Shiddatain Bayan Kar Dein..??

Agar Hai To Mujhe Batao....!!

Vo Shahar, vo Muhallah, vo Makaan, vo Gali,........

Jahan Lafz Bikhtey Hoon.....

Khubsurat Surkh Lafz..!!

Mein Apne Hissey Ki Tamam Khushiyaa'n.....!!

Saarey Khawaboo'n ka Waasta De K.....................

Chand Lafz Kharidoo'n..!!!!!!!!!!!!!!!!!

K Lahu Lahu Rutto'n ne Rooh Per..............!!

Kaye Shigaaf Dale Hein....!!!

Agar Hai To Sahi Hai............

Agar Nahi,

To Phir kyun Na Aysa Ho..!!!!!!

K Ye Shiddaten Bhi Kho Jayein....!!!

Jo Lafzo'n Se Raasta Mang Rahe Hein........!!!

Azab-e-ja'an Mein Kahi'n To Koyi Kami Aaye....!!!


_________________

Itna hee yaad rakh mujhay

Itna hee yaad rakh mujhay...


jaisay kisi kitaab may...


Beetay dino'n k dost ka...


Khat ik parra hua milay...


Lafz mitay mitay say ho'n...


Rang urra urra sahi...


Laikin woh ajnabhi na ho...


Uth ker tairay galay lagay...


Bhoolay hoey tamaam dukh...


Guzray hoey tamaam sukh...


Beetay dino'n ki kathha...


Tujh say kahay aur ro parray...


Itna hee yaad rakh mujhay...


Beetay dion'n k dost ka...


Jaisay koi khat hoo'n mai'n...


Rakkha hua kitaab may...!


_________________

KAHANI KHATAM HOTI HAY

!!! KAHANI KHATAM HOTI HAY !!!


Suna hay Rai'gaani ki kahaani likh rahay ho tum..??

Kahan say lafz laao gay..??

Ibaarat kya banaao gay....

Jo lehjay main hay dukh ka zaaiqa.....

Kaisay chupa'ao gay...??

Agar tehreer likho gay...

Mohabat ki gawa'hi say....

Judaaii ki siya'hi say....

Qalam ki aankh roye gi.......!

Sabhi asloob.....

Saaray esti'aaray rooth jaain gay.....!!

Jo dil par bund hain baandhay......

Wo saaray toot jaain gay..!!!!!!

Kisi likh kar mit'taii satr par....

Jab dhe'yaan thehray ga.......

Toa ek be-naam rishta.....

Zeest ka unwaan thehray ga.......!!!

Usay jhutlaao gay kaisay........?

Bayaan kar paao gay kaisay......?

Azeeyat k hawaalon ko.......

Mohabat ki misaalon ko.......,

Kisi kirdaar k dil par paray............,

Zakhmon ko, cha'alon ko.....!!,

Bikhartay khwaab likho gay......!!,

Rukay sailaab likho gay..................................!!!,

Kahaani main jahan par hijr ka tum baab likho gay.................!!!!!

Kaho hay taab.........?
.
.
.
Likho gay......?????

Kahaani Main amooman aakhri saf'hay pay aa kar he.........!!

Dilon k chaak siltay hain....!!

Ya wirsay dukh k miltay hain......!!

Magar tum khool bethay ho yeh saf'ha shaam say pehlay....!!!

Maqaam-e-sabr say pehlay......!!

Hadd-e-Ilzaam say pehlay............!!!

Kahaani khatm he karni hay gar.....!!

Anjaam say pehlay................

Toa yeh bhi faisla kar do.....!!!!!!!

Kay hum likhain to kya likhain.........???

Tumhaaray naam say pehlay...!!!!!!!!!!!!!!


_________________

Kaun rauk sakta hay

Kaun rauk sakta hay...?????

Laakh zabt-e-khuwahish k...

Bay-shumaar da'way hoo'n...

Us ko bhool jaanay k...

Bay-panaah iraaday ho'n..

Aur us mohabbat ko tark ker k jeenay ka...

Faisla sunaanay ko...

Kitnay lafz sauchay ho'n...
.
.

Dil ko us ki aahat per...
.
.
.

Bermela dharraknay say kaun rauk sakta hay..???????


_________________

Mairi udaasi ka aik hal hay

Mairi udaasi ka aik hal hay...

Laraztay aansu ko saath lay ker ....

Woh paas aaey...

Jo us per guzri kisi wajah say....

Tamaam aftaad woh keh sunaaey...

Mai'n us ko daikho'n, Mai'n us ki aankho'n pay haath rakh doo'n....

Woh muskuraaey....!!!

Zindagi say darrtay ho

!....Zindagi say darrtay ho...!


Zindagi say darrtay ho...??

Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hai'n...

Aadmi say darrtay ho..

Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hai'n..

Aadmi zubaa'n bhi hay, aadmi bayaa'n bhi hay..

Is say tum nahee'n darrtay..

Harf aur ma'ani k rishhta haa-e-aahan say..

Aadmi hay waabasta..

Us say tum nahee'n darrtay..

"An-kahi" say darrtay ho..

Jo abhi nahee'n aaii us gharri say darrtay ho..

Us gharri ki aamad ki aa-gahi say darrtay ho..

Pehlay bhi to guzray hai'n...

Daur na-rasaaii k, Bay-riya khudaaii k..

Phir bhi yeh samajhtay ho, heeg aarzu mandi..

Yeh shab-e-zubaa'n bandi, hay raah-e-khuda-wandi..

Tum mager yeh kya jaano..

Lab ager nahee'n hiltay..

Haath jaag uth'tay hain..

Haath jaag uth'tay hain raah ka nishaa'n ban ker..

Noor ki zubaa'n ban ker..

Haath bol uth'tay hain subha ki azaa'n ban ker..

Raushni say darrtay ho..

Shay'her ki faseelo'n may..

Deyo ka jo saaya tha, paak ho gaya aakhir...

Raat ka libaada bhi...

Chaak ho gaya aakhir, khaak ho gaya aakhir...

Azdahaam-e-insaa'n say fardi nawa aaii...

Zaat ki sadaa aaii...

Raah-e-shauq may jaisay rah-ro ka khoon lapkay...

Ik naya junoo'n lapkay...

Aadmi chhalak utthay...

Aadmi ha'nsay daikho, shay'her phir basay daikho...

Tum abhi say darrtay ho...???


_________________


Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey HawaaS par

Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey HawaaS par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho

Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz

Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat

Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab

Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash

Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka

Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag
Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan

Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir......

Adhoori hay Zindagi

Suno Musaafir

Suno Musaafir...!!

Zara Rukoo Toa.....
K Aaj Mausum Baddal Raha Hay...!!
Yeh Raasty Jo Buhat Dinoo Say..!!
Tumharay Qadmon Say Aashna Thay...!!
Yeh Raasty Bhi Thaky Howey Hein..!!
Sunoo Musaafir.....!!

Zara Sa Ruk Ker..!!
Kisi Ki Darkhan Ka Shour Sunn Lo..!!
Kisi Ki Aankhon K Taarey Ginn Lo..!!
Sunoo Musaafir...!!

Safer Kabhi Bhi...!!
Kisi Ko Bhi Saath Lay Ker...!!
Chaltey Nahe Rahey Hein..!!
Har Eik Ko Manzil Bhi Kab Hay Milti....???
Yea Manzalein Toa Kisi Kis Ka Naseeb Tehrein...!!
Sunoo Musaafir...............................
........
...
Bhatak Bhatak Ker... Tarrap Tarrap Ke....!!
Sissak Sissak K.... Dehak Dehak K..........!!
Kisi Kay Jazbaat Soo Na Jayein....!!

Sunoo Musaafir............
............
.....
..
Zara Sa Ruk Ker........!!
Kisi Ki Darkan Ka Shour Sunn Lo..!!


_________________

Mujhay Insaan Matt Kehna

!!..Mujhay Insaan Matt Kehna..!!

Ager Kuchh naam daina ho ....
Mujhay Insaan Matt kehna .....
Judaa Chehray, Juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere Tum daam matt Dena .........
Mujhay ye naam matt Daina .......
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay Ehsaas keh daina ............
Magar thehro! ................
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa ...................
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ...............
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa .................
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina .........................
Magarr Thehro..............................!
Mujhay saawan nahi'n kehnaa ............
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ...........
Mujhay Saawan nahi'n kehna ................
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..........
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna .............
yahi jis ki haqeeqat hai .................
Chalo aansoo he keh daina ................
Magar daikho .....................................
Kisi ki aankh mai'n Mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ...............
Ke qeematt aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee .................
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna .............................
Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa ...........
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ............
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n ........................
Magar Thehro............! .
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa...........
Ke sapnay toot jaatay hai'n ..............
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehna .....................
Ke apnay rooth jaatay hai'n .......................!!!!!!!!!!!!


_________________

Jo hum mehsos karty hain

Jo hum mehsos karty hain !!!

Agar tum tak puhanch jaye !!!

Toa bas itna samajh lena !

Ye un jazboon ki khusboo hy !!!!

Jinhain hum keh nahi sakty !

Magar tum jo ijazat do !

Toa chand lafzoon may keh daloon !!!

Tum bin jee Nahe Saktey..!!

Keh.......!!

Tum Bin Marr Nahe Saktey...!!




Kisi mausam main bhi Janaa!

Hamari yaad ka dil se.......

Agar jo rabita tootay....!!!

Toa dil ko dosh mat dainaa....!!

Samjh lainaa....................!!!

Kay jo tum se ye kehtaa tha.....!!!

" Tumhara Pyaar Jeevan Hai...."

Wo ab....

Aisa Nahi Kehta....!!!!!!"


Meray kuch Lafz aisay hoon

Meray kuch Lafz aisay hoon....!!

Jo apni band ankhaon se .....!!

Teray dil ki......

Har eik tehreer parhtay hoon...!!

Woh hoon toa lafz laiken.......!!!

Woh ek taqdeer rakhtay hoon...!!!

Kabhi jo Rooth jaao tum...!!

Na mujh se maan pao tum...!!

Toa....!!

Tumko mananay ki woh ...!!

Har tadbeer rakhtay hoon...........!!!

Mairay kuch lafz aisay hoon!


_________________

Hawa ziddi buhat hai

Hawa ziddi buhat hai...!!

Shakh par ik phool tak rehnay nahi daiti..!!

Rawish par khaak urati hai..!!

Toa us ki dhuul tak rehnay nahi daiti..!!

Hawa ki zidd pay shaakhain.....

Kab talak...!!

Khushbo sambhalain gein..!!!!!

Kay phoolon ki mehekti pattiyon ki ......

Narm-o-nazuk si ragain aakhir..!!

Hawa Kay khurd'ray hathon say chil jayein..!!!

Toa mausam zard parh jaye....!!

Hawa..!! zidd par jo arh jaye.......

Toa pairhon ki jarain..!!

Mitti ki teh mein..!!

Toott jati hain..!!!!!

Sambhalo saans ka resham..!!

Kay Aawara hawa k tund khu jhonkon say chu jaye...!!

Toa........
Aa'pas mein juri saansain bhi aksar chutt jati hain..!

Sambhalo..................................!!!

Apnay Sa'aye ko........!!

Kay...........!!!

Aa'pas mein bicharnay ki yahi rutt hai....!!

"Hawa Ziddi Buhat Hai"


_________________

Popular Posts