Wednesday, May 12, 2010

ham par tumhari chah ka ilzam hi to hai

ham par tumhari chah ka ilzam hi to hai 
dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai 

karte hain jis pe ta'n, koi jurm to nahin 
shauq-e-fuzul-o-ulfat-e-nakam hi to hai 

dil muddai k harf-e-malamat se shad hai 
ae jan-e-jan ye harf tera nam hi to hai 

dil na-ummid to nahin, na-kam hi to hai 
lambi hai gam ki sham, magar sham hi to hai 

dast-e-falak main, gardish-e-taqdir to nahin 
dast-e-falak main, gardish-e-ayyam hi to hai 

akhir to ek roz karegi nazar wafa 
wo yar-e-khushksal sar-e-bam hi to hai 

bhigi hai rat 'Faiz' gazal ibtida karo 
waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai

ham sada hi aise the, k yun hi pazirai

ham sada hi aise the, k yun hi pazirai 
jis bar khizan ai, samahe k bahar ai 

ashob-e-nazar se ki hamne chamn-arai 
jo shay bhi nazar ai gul-rang nazar ai 

ummid-e-talattuf main ranjida rahe donon 
tu aur teri mahfil main aur meri tanhai 

wan millat-e-bul-hawasan aur shor-e-wafajui 
yan khilwat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusawai 

yak-jan na ho sakiye anjana ban sakiye 
yon tut gai dil main shamshir-e-shanasai 

is tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai 
kya rakha hai maqtal main ai chashm-e-tamashai

yun saja chand k jhalka tere andaz ka rang

yun saja chand k jhalka tere andaz ka rang 
yun faza mahki k badla mere hamraz ka rang 

saya-e-chashm main hairan rukh-e-raushan ka jamal 
surkhi-e-lab pe pareshan teri awaz ka rang 

bepiye hon k agar lutf karo akhir-e-shab 
shisha-e-may main dhale subah k agaz ka rang 

chango-nay rang pe the apne lahu k dam se 
dil ne lay badali to madham hua har saz ka rang 

ik sukhan aur k phir rang-e-takallum tera 
harf-e-sada ko inayat kare ejaz ka rang

gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale

gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale 
chale bhi ao k gulshan k karobar chale 

qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho 
kahin to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale 

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho agaz 
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale 

bara hai dard ka rishta, ye dil garib sahi 
tumhare nam pe ayenge gamgusar chale 

jo ham pe guzari so guzari magar shab-e-hijran 
hamare ashk teri aqabat sanwar chale 

huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ki talab 
girah main le k gareban ka tar tar chale 

maqam 'Faiz' koi rah main jacha hi nahin 
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

go sab ko ba-ham sagar-o-bada to nahin tha

go sab ko ba-ham sagar-o-bada to nahin tha 
ye shahar udas itna ziyada to nahin tha 

waiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat 
farq in main koi itna ziyada to nahin tha 

thak kar yun hi pal bhar k liye ankh lagi thi 
so kar hi na uthen ye irada to nahin tha

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho 
gul khile jate hain wo saya-e-dar to dekho 

aise nadan to na the jan se guzarnewale 
nasiho, rahbar-o-rahguzar to dekho

wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhse 
ek nazar tum mera mahbub-e-nazar to dekho 

wo jo ab chak gareban bhi nahin karte hain 
dekhanewalo kabhi un ka jigar to dekho 

daman-e-dard ko gulzar bana rakha hai 
ao ek din dil-e-purkhun ka hunar to dekho

subah ki tarah jhamkata hai shab-e-gam ka ufaq 
"Faiz" tabindagi-e-dida-e-tar to dekho

dono jahan teri mohabbat main har k


dono jahan teri mohabbat main har k 
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k 

viran hai maikada khum-o-sagar udas hai 
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k 

ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din 
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k 

duniya ne teri yad se begana kar diya 
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k 

bhule se muskura to diye the wo aj 'Faiz' 
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k

dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain


dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain 
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain 

ik ik kar k huye jate hain tare raushan 
meri manzil k taraf tere qadam ate hain 

raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo 
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain 

kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag 
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain 

aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho 
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

mere dil mere musafir

mere dil mere musafir 
hua phir se hukm sadir 
k vatan badar hon ham tum 
dein gali gali sadayen 
karen rukh nagar nagar ka 
k surag koi payen 
kisi yar-e-namabar ka 
har ek ajnabi se puchen 
jo pata tha apne ghar ka 
sar-e-ku-e-nashanayan 
hamain din se rat karna 
kabhi is se bat karna 
kabhi us se bat karna 
tumhen kya kahun k kya hai 
shab-e-gam buri bala hai 
hamain ye bhi tha ganimat 
jo koi shumar hota 
hamain kya bura tha marna 
agar ek bar hota

dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain

dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain 
teri avaz k saye tere honthon k sarab 
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale 
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab 

uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch 
apni khushbu main sulagti hui madham madham 
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra 
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam 

us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai 
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath 
yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq 
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat

chashm-e-mayagun zara idhar kar de

chashm-e-mayagun zara idhar kar de 
dast-e-kudrat ko be-asar kar de 

tez hai aj dard-e-dil saqi 
talkhi-e-may ko tez-tar kar de 

josh-e-wahshat hai tishnakam abhi 
chak-e-daman ko tazgar kar de 

meri qismat se khelne wale 
mujh ko qismat se bekhabar kar de 

lut rahi hai meri mata-e-niyaz 
kash! wo is taraf nazar kar de 

'Faiz' takmil-e-arzu malum 
ho sake to yun hi ba asar kar de

chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

chand roz aur meri jan faqat chand hi roz 
zulm k chanw main dam lene par majbur hain ham 
ik zara aur sitam sah len tarap len ro len 
apne ajdad ki miras hai mazur hain ham 

jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai 
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain 
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jate hain 
zindagi kya kisi muflis k qaba hai 
jis main har ghari dard k paiband lage jate hain 

lekin ab zulm k miyad k din thore hain 
ik zara sabr k fariyad k thore hain 

arsa-e-dahar k jhulsi hui wirani main 
ham ko rahna hai par yun hi to nahin rahna hai 
ajnabi hathon ka benam garan-bar sitam 
aj sahna hai hamesha to nahin sahna hai 

ye teri husn se lipti hui alam ki gard 
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar 
chandani raton ka bekar dahakta hua dard 
dil k besud tarap jism ki mayus pukar 

chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

chand nikle kisi janib teri zebai ka

chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka

dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka

bol k lab azad hain tere

bol k lab azad hain tere 
bol zaban ab tak teri hai 

tera sutawan jism hai tera 
bol k jan ab tak teri hai 

dekh k ahangar k dukan main 
tund hain shole surkh hai ahan 

khulne lage quflon k dhane 
phaila har ek zanjir ka daman 

bol ye thora waqt bahot hai 
jism-o-zaban k maut se pahle 

bol k sach zinda hai ab tak 
bol jo kuch kahna hai kah le

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai 
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai 

ham ek umr se waqif hain ab na samjhao 
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai 

kare na jag main alaw to sher kis maqsad 
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai 

ajal k hath koi a raha hai parwana 
na jane aj k fehrist main raqam kya hai 

sajao bazm gazal gao jam taza karo 
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai 

lihaz main koi kuch dur sath chalta hai 
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai

bahar ai to jaise ek bar

bahar ai to jaise ek bar
laut aye hain phir adam se
vo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit k har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain

ubal pare hain azab sare
malal-e-ahaal-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir k bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar ai to khul gaye hain
naye sire se hisab sare

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai 
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai 

aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram 
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai 

hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh 
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai 

hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan 
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai 

wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai 
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai 

bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim 
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai 

dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi 
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai 

ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar 
jate jate yun hi pal bhar ko khizan thahri hai 

ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad 
"Faiz" gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai

aye kuch abr kuch sharab aye

aye kuch abr kuch sharab aye 
us k bad aye jo azab aye 

bam-e-mina se mahtab utre 
dast-e-saqi main aftab aye 

har rag-e-khun main phir charagan ho 
samne phir wo benaqab aye 

umr k har waraq pe dil ko nazar 
teri meher-o-wafa k bab aye 

kar raha tha gam-e-jahan ka hisab 
aj tum yad behisab aye 

na gai tere gam ki sardari 
dil main yun roz inqalab aye 

jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam 
jab bhi ham khanamankharab aye 

is tarah apni khamashi gunji 
goya har simt se jawab aye 

'Faiz' thi rah sar basar manzil 
ham jahan pahunche kamayab aye

aiye hath uthayen ham bhi

aiye hath uthayen ham bhi 
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin 
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa 
koi but, koi khuda yad nahin 

aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti 
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de 
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin 
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de 

jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin 
unki raton main koi shama munawwar kar de 
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin 
unki nazron pe koi rah ujagar kar de 

jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko 
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile 
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko 
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile 

ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se 
aj iqrar karen aur tapish mit jaye 
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah 
aj izhar karen or khalish mit jaye

tasvir teri dil mera bahala na sakegi

tasvir teri dil mera bahala na sakegi 
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi 

main bat karunga to ye khamosh rahegi 
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi 
aram vo kya degi jo tarpa na sakegi 

ye ankhen hain tahari huin chanchal vo nigahen 
ye hath hain sahme huye aur mast vo bahen 
parchai to insan k kam a na sakegi 

in honthon ko "Faiyyaz" main kuch de na sakunga 
is zulf ko main hath main bhi le na sakunga 
uljhi hui laton ko ye sulajha na sakegi

takra hi gai meri nazar un ki nazar se

takra hi gai meri nazar un ki nazar se 
dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se 

izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se 
aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se 

ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de 
jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se 

'Fayyaz' ab aya hai junun josh pe apna 
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri 
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri 

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada 
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri 

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain 
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri 

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka 
yahan se aur age barhna ae umr-e-ravan meri

kam nahin meri zindagi k liye

kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye

ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye

kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye

aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye

hamain koi gam nahin tha gam-e-ashiqi se pahle

hamain koi gam nahin tha gam-e-ashiqi se pahle
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahle 

hai ye meri bad nasibi tera kya qasur is main
tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pahle 

mera pyar jal raha hai ai chand aj chup ja 
kabhi pyar tha hamain bhi teri chandni se pahle

main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota 
k hazaron gam milenge mujhe ik khushi se pahle 

ye ajib imtehan hai k tumhi ko bhulana hai 
mile kab the is tarah ham tumhen bedili se pahle

aj jane ki zid na karo

aj jane ki zid na karo 
yun hi pahlu main baithe raho 
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge 
aisi baten kiya na karo 

tum hi socho zara kyun na roke tumhen 
jan jati hai jab uthke jate ho tum 
tum ko apani kasam jan-e-jan 
bat itni meri man lo 

waqt ki qaid main zindagi hai magar 
chand ghariyan yahi hain jo azad hai 
in ko kho kar abhi jan-e-jan 
umr bhar na taraste raho 

kitna masum-o-rangin hai ye sama 
husn aur ishq ki aj meraj hai 
kal ki kisko khabar jane-jan 
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami 
aur palkon k saye bhi madahosh hain 
husn-e-masum ko jane-jan 
bekhudi main na rusva karo

yun na mil mujh se khafa ho jaise

yun na mil mujh se khafa ho jaise 
sath chal mauj-e-saba ho jaise 

log yun dekh kar hans dete hain 
tu mujhe bhul gaya ho jaise 

ishq ko shirk ki had tak na barha 
yun na mil hamse Khuda ho jaise 

maut bhi ai to is naz k sath 
mujh pe ehsan kiya ho jaise 

aise anjan bane baithe ho 
tum ko kuch bhi na pata ho jaise 

hichkiyan rat ko ati hi rahin 
tu ne phir yad kiya ho jaise 

zindagi beet rahi hai "danish" 
ek bejurm saza ho jaise

sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe

sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe 
hamne dekha nahin zindagi ki taraf 

rat dhalte jab un ka khayal a gaya 
tik-tiki bandh gai chandani ki taraf 

kaun sa jurm hai,kya sitam ho gaya 
ankh agar uth gai, ap hi ki taraf 

jane vo multafit hon kidhar bazm main 
ansuon ki taraf ya hansi ki taraf

pursish-e-gam ka shukriya, kya tujhe agahi nahin

pursish-e-gam ka shukriya, kya tujhe agahi nahin 
tere bagair zindagi dard hai, zindagi nahin 

daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya 
ab vo muqam hai jahan shikva-e-berukhi nahin

tere siva karun pasand kya teri qayanat main 
donon jahan ki neamaten, qimat-e-bandagi nahin 

lakh zamana zulm dhaye, vaqt na vo Khuda dikhaye 
jab mujhe ho yaqin k tu hasil-e-zindagi nahin 

dil ki shaguftagi k sath rahat-e-maykada gai 
fursat-e-maykashi to hai, hasarat-e-maykashi gai 

zaKhm pe zaKhm khake ji, apne lahu ke ghunt pi 
ah na kar, labon ko si, ishq hai dilagi nahin 

dekh ke khushk-o-zard phul, dil hai kuch is tarah malul 
jaise teri khizan k bad, daur-e-bahar hi nahin

nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga

nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga 
hayat maut se takara gai to kya hoga 

nai sahar ke bahut log muntazir hain magar 
na-i sahar bhi kajla gai to kya hoga 

na rahnumaon ki majalis main le chalo mujhko 
main be-adab hun hansi a gai to kya hoga 

gam-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan 
magar jo maut bhi sharma gai to kya hoga 

shabab-e-lala-o-gul ko pukaranevalo 
khizan-sirisht bahar a gai to kya hoga 

ye fikr kar k is asudagi k dhoke main 
teri khudi ko bhi maut a gai to kya hoga 

khushi chini hai to gam ka bhi aitamad na kar 
jo ruh gam se bhi ukta gai to kya hoga

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar 
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar 

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga 
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k 

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake 

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara 
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k


mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo 
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k 

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila 
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k

firaq-e-dida hun main vasl-e-yar baqi hai

firaq-e-dida hun main vasl-e-yar baqi hai 
Khizan rasida chaman ki bahar baqi hai 

hava to kahti hai saqamade bahar-e-chaman 
sada-e-guncha-e-vahadat hazar baqi hai 

buton k qahar se ham ko maqam-e-yas nahin 
ummid-e-rahamat-e-paravar-digar baqi hai

ye jo hai hukm mere pas na aye koi

ye jo hai hukm mere pas na aye koi 
is liye ruth rahe hain k manaye koi 

tak main hai nigah-e-shauq khuda khair kare 
samane se mere bachta hua jaye koi 

hal aflaq-o-zamin ka jo bataya bhi to kya 
bat vo hai jo tere dil ki bataye koi 

apne 'Dag' ko munh bhi na lagaya afsos 
us ko rakhta tha kaleje se lagaye koi 

ho chuka aish ka jalsa to mujhe khat bheja 
ap ki tarah se mehaman bulaye koi

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin 
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin 

khub parda hai ke chilman se lage baithe hain 
saf chupate bhi nahin samane ate bhi nahin 

ho chuka qata ta'lluq to jafayen kyon hon 
jinko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin 

zist se tang ho ae Dag to jite kyon ho 
jan pyari bhi nahin jan se jate bhi nahin

un k ek jan-nisar ham bhi hain

un k ek jan-nisar ham bhi hain 
hain jahan sau-hazar ham bhi hain 

tum bhi bechain ham bhi hain bechain 
tum bhi ho beqarar ham bhi hain 

ai falaq kah to kya irada hai 
aish k khvastagar ham bhi hain 

shahar khali kiye dukan kaisi 
ek hi vada-khvar ham bhi hain 

sharm samajhe tere tagaful ko 
vah! kya hoshiyar ham bhi hain 

tum agar apni khu k ho mashuq 
apne matlab k yar ham bhi hain 

jis ne chaha phansa liya hamko 
dil-baron k shikar ham bhi hain 

kaun sa dil hai jis main dag nahin 
ishq ki yadgar ham bhi hain

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha

tumhare khat main naya ik salam kis ka tha 
na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha 

vo qatl kar ke har kisi se puchte hain 
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha 

vafa karenge nibhayenge bat manenge 
tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha 

raha na dil main vo be-dard aur dard raha 
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha 

na puch-pach thi kisi ki na av-bhagat 
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha 

hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin 
sun jo tum ne ba-dil vo payam kis ka tha 

inhin sifat se hota hai admi mashhur 
jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha 

guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen 
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha 

har ek se kahte hain kya "Dag" bevafa nikla 
ye puche in se koi vo gulam kis ka tha

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna 
tumhen qasam hai hamare sar ki hamare haq main kami na karna 

kahan ka ana kahan ka jana vo jante hi nahin ye rasmain 
vahan hai vade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna 

hamari mayyat pe tum jo ana to char ansu baha k jana 
zara rahe pas-e-abaru bhi kahin hamari hansi na karna 

vo ik hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil k chalna 
ye ek sheva tera sitamagar ki dost se dosti na karna

ranj ki jab guftagu hone lagi

ranj ki jab guftagu hone lagi 
ap se tum tum se tu hone lagi 

chahiye paigamabar dono taraf 
lutf kya jab du-ba-du hone lagi 

meri rusawai ki naubat a gai 
unki shohrat qu-ba-qu hone lagi 

nazar bar gai hai is qadar 
arzu ki arzu hone lagi 

ab to mil kar dekhiye kya rang ho 
phir hamari justaju hone lagi 

'Dag' itraye hue phirate hain ap 
shayad unki abaru hone lagi

pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah

pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah 
nigahen kahtai hain sab raz-e-dil zuban ki tarah 

jala k dag-e-muhabbat ne dil ko khak kiya 
bahar ai mere bag main khizan ki tarah 

talash-e-yar main chori na sar-zamin koi 
hamare panv main chakar hain asman ki tarah 

ada-e-matlab-e-dil hamase sikh jaye koi 
unhen suna hi diya hal dastan ki tarah

phire rah se vo yahan ate ate

phire rah se vo yahan ate ate 
ajal meri rahi tu kahan ate ate 

mujhe yad karne se ye mudda tha 
nikal jaye dam hichakiyan ate ate 

kaleja mere munh ko ayega ik din 
yun hi lab pe ah-o-fugan ate ate 

natija na nikla thak sab payami 
vahan jate jate yahan ate ate 

nahin khel ai "Dag" yaron se kah do 
k ati hai urdu zuban ate ate

phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar

phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar
ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar

tu ne ki gair se meri burai kyon kar
gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar

tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyon kar

aina dekh k vo kahne lage ap hi ap
aise achon ki kare koi burai kyon kar

kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila
itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar

dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi
aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar

parde parde main atab ache nahin

parde parde main atab ache nahin 
aise andaz-e-hijab ache nahin 

maykade main ho gaye chup-chap kyon 
aj kuch mast-e-sharab ache nahin 

ai falak kya hai zamane ki bisat 
dam-ba-dam k inqalab ache nahin 

bazm-e-vaiz be-sharan ache nahin 
aise jalase be-sharab ache nahin 

tauba kar len ham may-o-mashuq se 
be-maza hain ye savab ache nahin 

ik najumi "Dag" se kahta tha aj 
ap k din ai janab ache nahin

na rava kahiye na saza kahiye

na rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye

dil main rakhne ki bat hai gam-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye

vo mujhe qatl kar k kahte hain
manta hi na tha ye kya kahiye

a gai ap ko masihai
marne valo ko marhaba kahiye

hosh urane lage raqibon k
"Dag" ko aur bevafa kahiye

na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao

na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao 
k ji na chahe to na char dekhte jao 

bahar-e-umr main bag-e-jahan k sair karo 
khila hua hai ye gulzar dekhte jao 

utho ankh na sharmao ye to mahfil hai 
gazab se janib-e-agayar dekhte jao 

hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga 
fugan main hashr k asar dekhte jao 

tumhari ankh mere dil se besabab-bevajah 
hui hai larane ko tayyar dekhte jao 

na jao band kye ankh raharavan-e-adam 
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao 

koi na koi har ik sher main hai bat zarur 
janab-e-"Dag" k ashar dekhte jao

mere qabu main na pehron dil-e-nashad aya

mere qabu main na pehron dil-e-nashad aya 
vo mera bhulne vala jo mujhe yad aya 

dil-e-viran se raqibon ne muraden pain
kam kis kis k mera khirman-e-barbad aya

lijiye suniye ab afasana-e-furqat mujh se 
ap ne yad dilaya to mujhe yad aya 

di muazzin ne azan vasl ki shab pichle pahar
haye kambakht ko kis vaqt Khuda yad aya 

bazm main un k sabhi kuch hai magar "Dag" nahin 
mujh ko vo khana-kharab aj bahut yad aya

lutf vo ishq main paye hain ki ji janta hai

lutf vo ishq main paye hain ki ji janta hai 
ranj bhi itne uthaye hain k ji janta hai 

jo zamane k sitam hain vo zamana jane 
tune dil itne dukhaye hain k ji janta hai 

tum nahin jante ab tak ye tumhare andaz 
vo mere dil main samaye hain ki ji janta hai 

inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ki qasam 
khak main itne milaye hain k ji janta hai 

dosti main teri darparda hamare dushman 
is qadar apne paraye hain k ji janta hai

khatir se ya lihaz se main man to gaya

khatir se ya lihaz se main man to gaya 
jhuthi qasam se ap ka iman to gaya 

dil le k muft kahte hain kuch kam ka nahin 
ulti shikayaten rahi ehsan to gaya 

ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui 
lekin use jata to diya, jan to gaya 

dekha hai butkade main jo ai shekh kuch na kuch 
iman ki to ye hai k iman to gaya 

Darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main 
sun-san ghar ye kyun na ho mehman to gaya 

go namabar se khush na hua par hazar shukr 
mujh ko vo mere nam se pahchan to gaya 

hosh-o-havas-o-tab-o-tavan "Dag" ja chuk 
ab ham bhi jane vale hain saman to gaya

kahan the rat ko hamse zara nigah mile

kahan the rat ko hamse zara nigah mile 
talash main ho k jhutha koi gavah mile 

ye hai maze ki larai, ye hai maze ka milap 
ki tujhse ankh lari ??????????????????????? 

tera gurur samaya hai is qadar dil main 
nigah bhi na milaun to badashah mile 

masal-sal ye hai k milane se kaun milta hai 
milo to ankh mile, mile to nigah mile

kabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai

kabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai 
mujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai 

kuch tazgi ho lazzat-e-azar k liye 
har dam mujhe talash naye asman ki hai 

hasrat baras rahi hai mere mazar se 
kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai 

qasid ki guftagu se tasalli ho kis tarah 
chipti nahin vo jo teri zaban ki hai 

sun kar mera fasana-e-gam us ne ye kaha 
ho jaye jhut sach, yahi khubi bayan ki hai 

kyun kar na ae khuld se adam zamin par 
mauzun vahin vo khub hai, jo shay jahan ki hai 

urdu hai jiska nam hamin jante hain Dag
hindustan main dhum hamari zaban ki hai

is ada se vo vafa karte hain

is ada se vo vafa karte hain 
koi jane k vafa karte hain 

hamko choroge to pachtaoge 
hansana valon se hansa karte hain 

ye batata nahin koi mujhko 
dil jo a jaye to kya karte hain 

husn ka haq nahin rahta baqi 
har ada main vo ada karte hain 

kis qadar hain teri ankhen bebak 
in se fitne bhi haya karte hain 

is liye dil ko laga rakha hai 
is main dil ko laga rakha hai 

"Dag" tu dekh to kya hota hai 
jabr par jabr kiya karte hain

har bar mangti hai naya chashm-e-yar dil

har bar mangti hai naya chashm-e-yar dil 
ik dil k kis tarah se banaun hazar dil 


pucha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun 
nikla meri zaban se be-ikhtiyar dil 


karte ho ahad-e-vasl to itna rahe khayal 
paiman se zyada hai napayadar dil 


us ne kaha hai sabr parega raqib ka 
le aur beqarar hua ai beqarar dil

Popular Posts