Thursday, May 13, 2010

dil se teri nigah jigar tak utar gai


dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai

shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai

wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai

urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai

dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai

har bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai

nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai

farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai

mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai

Wednesday, May 12, 2010

dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun

dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun 
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun 


dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi 
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun 


jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz 
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun 


dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah 
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun 


qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain 
maut se pahle admi gam se najat paye kyun 


husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm 
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun 


wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza 
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun 


han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi 
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun 


"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain 
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun

dil-e-nadan tujhe hua kya hai

dil-e-nadan tujhe hua kya hai 
akhir is dard ki dawa kya hai 


ham hain mushtaq aur wo bezar 
ya ilahi ye majara kya hai 


main bhi munh mein zaban rakhta hun 
kash pucho k mudda kya hai 


jab k tujh bin nahi koi maujud 
phir ye hangama, ai Khuda kya hai 


ye pari chehra log kaise hain 
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai 


shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai 
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai 


sabza-o-gul kahan se aye hain 
abr kya chiz hai hawa kya hai 


hamko unse wafa ki hai ummid 
jo nahi jante wafa kya hai 


han bhala kar tera bhala hoga 
aur darwesh ki sada kya hai 


jan tum par nisar karta hun 
main nahi janta dua kya hai 


main ne mana k kuch nahi 'ghalib'
muft hath aye to bura kya hai

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya

dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya 
atish-e-khamosh k manind goya jal gaya 


dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahi 
ag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya 


main adam se bhi pare hun warna gafil! barha 
meri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya 


arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan 
kuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya 


dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki bahar 
is charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya 


main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dil 
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

dhota hun jab main pine ko us simtan k paon

dhota hun jab main pine ko us simtan k paon 
rakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon 


di sadagi se jan parun kohkan k paon 
hai hat kyon na tut gae pirazan k paon 


bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye 
hokar asir dabte hain rahzan k paon 


marham ki justaju mein phira hun jo dur-dur 
tan se siwa figar hain is khasta tan k paon 


Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marg 
hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon 


hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har taraf 
urte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon 


shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahin 
dukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon 


'ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na ho 
pita hun khusro-e-shirinsukhan k paon

dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai

dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai 
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai 


hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai 
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai 


gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare 
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai 


shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye 
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai 


dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah 
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai 


garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq 
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai 


uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan 
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai 


ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya 
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai 


naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai 
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai 


saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai ' 
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai

dard se mere hai tujhko beqarari hae hae

dard se mere hai tujhko beqarari hae hae 
kya hua zalim teri gaflatashi'ari hae hae 


tere dil mein gar na tha ashob-e-gham ka hausla 
tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae 


kyun meri gham-khwaragi ka thujhko aya tha khayal 
dushmani apani thi meri dostdari hae hae 


umr bhar ka tune paiman-e-wafa bandha to kya 
umr bhar ko bhi to nahi hai paydari hae hae 


zahar lagti hai mujhe ab-o-hawa-e-zindagi 
yani tujhse thi ise nasazgari hae hae 


gulfishani hae naz-e-jalwa ko kya ho gaya 
khak par hoti hai teri lalakari hae hae 


sharm-e-ruswai se ja chupna naqab-e-khak mein 
khtam hai ulfat ki tujh par pardadari hae hae 


khak mein namus-e-paiman-e-muhabbat mil gai 
uth gai duniya se rah-o-rasm-e-yari hae hae 


hath hi tegzama ka kam se jata raha 
dil pe ik lagne na paya zakhmkari hae hae 


kis tarah kate koi shab hae tar-e-barshigal 
hai nazar khunkarda-e-akhtarshumari hae hae 


gosh mahjur-e-payam-o-chashm mahrum-e-jamal 
ek dil, tis par ye na-umidwari hae hae 


ishq ne pakra na tha "Ghalib" abhi wahshat ka rang 
rah gaya tha dil mein jo kuch zauq-e-khwari hae hae

dard minnat kashe-dawa na hua

dard minnat kashe-dawa na hua 
main na acha hua, bura na hua 


jama karte ho kyon raqibon ko 
ik tamasha hua gila na hua 


ham kahan qismat azmane jayen 
tu hi jab khanjar azma na hua 


kitne shirin hain tere lab k raqib 
galiyan khak bemaza na hua 


hai khabar garm un k ane ki 
aj hi ghar mein boriya na hua 


kya woh namrud ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua


jan di, di hui usi ki thi 
haq to yun hai k haq ada na hua 


zakhm gar dab gaya lahu na thama 
kam gar ruk gaya rawa na hua 


rahzani hai k dilsitanee hai 
lek dil, dilsitan rawa na hua 


kuch to parhiye k log kahte hain 
aj 'ghalib' gazalsara na hua

dayam para hua tere dar par nahi hun main

dayam para hua tere dar par nahi hun main 
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main 


kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil 
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main 


yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye 
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main 


had chahiye saza mein uqubat k waste 
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main 


kis waste aziz nahi jante mujhe 
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main 


rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg 
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main 


karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye 
kya asman k bhi barabar nahi hun main 


'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua 
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"

chahiye achon ko jitna chahiye

chahiye achon ko jitna chahiye
ye agar chahen to phir kya chahiye


sohbat-e-rinda se wajib hai hazar
ja-e-mai apne ko khencha chahiye


chahne ko tere kya samjha tha dil
bare ab is se bhi samjha chahiye


chak mat kar jeb be ayyam-e-gul
kuch udhar ka bhi ishara chahiye


dosti ka parda hai beganagi
munh chupana ham se chora chahiye


dushmani main meri khoya gair ko
kis qadar dushman hai dekha chahiye


apni ruswai main kya chalti hai sai
yar hi hangama ara chahiye


munhasir marne pe ho jis ki umid
naumidi us ki dekha chahiye


gafil in mah talaaton k waste
chahne wala bhi acha chahiye


chahte hain khubruon ko asad
ap ki surat to dekha chahiye

bas k dushwar hai har kam ka asan hona

bas k dushwar hai har kam ka asan hona 
admi ko bhi mayassar nahi insan hona 


giriya chahe hai kharabi mere kashane ki 
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona 


wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko 
ap jana udhar aur ap hi hairan hona 


jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai 
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona 


ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch 
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona 


le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat 
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona 


ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana 
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona 


ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba 
haye us zodpasheman ka pasheman hona 


haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib' 
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona

bazicha-e-atfal hai duniya mere age

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur 
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age 


hota hai nihan gard mein sehra mere hote 
ghista hai jabin khak pe dariya mere age 


mat puch k kya hal hai mera tere piche 
tu dekh k kya rang hai tera mere age 


sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun 
baitha hai but-e-aina sima mere age 


phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar 
rakh de koi paimana-e-sahba mere age 


nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra 
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age 


iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr 
kaba mere piche hai kalisa mere age 


ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam 
majnun ko bura kahti hai laila mere age 


khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate 
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age 


hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho 
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age 


go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai 
rahne do abhi sagar-o-mina mere age 


hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera 
'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost 
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost 


ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar 
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost 


khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye 
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost 


ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe 
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost 


chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai 
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

aina kyun na dun k tamasha kahen jise

aina kyun na dun k tamasha kahen jise 
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise 


hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein 
guldasta-e-nigah suweda kahen jise 


phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda 
afsun-e-intazar tamanna kahen jise 


sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye 
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise 


hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan 
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise 


darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko 
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise 


"ghalib" bura na man jo waiz bura kahe 
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

ah ko chahiye ik umr asar hone tak

ah ko chahiye ik umr asar hone tak 
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak 


dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang 
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak 


ashiqi sabr-talab aur tamanna betab 
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak 


ham ne mana k taaful na karoge lekin 
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak

aa k meri jan mein qarar nahi hai

aa k meri jan mein qarar nahi hai 
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai 


dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle 
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai 


giriya nikle hai teri bazm se mujh ko 
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai 


ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir 
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai 


dil se utha lutf-e-jalwa haye mani 
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai 


qatl ka mere kiya hai ahad to bare 
waye! agar ahad ustawar nahi hai 


tu ne qasam maikashi ki khai hai 'Ghalib' 
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai

ye kis khalish ne phir is dil main ashiyana kya

ye kis khalish ne phir is dil main ashiyana kya 
phir aj kis ne sukhan ham se gayebana kya 

gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho k dast-e-udu 
salook jis se kya hamane ashiqana kya

the khak-e-rah bhi ham log qahar-e-tufan bhi 
saha to kya na saha aur kya to kya na kya 

khusha k aj har ik muddai k lab par hai 
wo raz jis ne hamain rand-e-zamana kya 

wo hilagar jo wafaju bhi hai jafakhu bhi 
kya bhi "Faiz" to kis but se dostana kya

ye dag dag ujala, ye shabgazida sahar

ye dag dag ujala, ye shabgazida sahar 
wo intazar tha jis ka, ye wo sahar to nahin 

ye wo sahar to nahin jis ki arzu lekar 
chale the yar k mil jayegi kahin na kahin 
falak k dasht main taron ki akhari manzil 
kahin to hoga shab-e-sust mauj ka sahil 
kahin to ja k rukga safina-e-gam-e-dil 
jawan lahu ki pur-asrar shaharahon se 
chale jo yar to daman pe kitne hath pare 
dayar-e-husn ki be-sabr khwab-gahon se 
pukarati rahin bahen, badan bulate rahe 
bahut aziz thi lekin rukh-e-sahar ki lagan 
bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman 
subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan 

suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-e-nur 
suna hai ho bhi chuka hai wisal-e-manzil-o-gam 
badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur 
nishat-e-wasl halal-o-azab-e-hijr-e-haram 
jigar ki ag, nazar ki umang, dil ki jalan 
kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nahin 
kahan se ai nigar-e-saba, kidhar ko gai 
abhi chirag-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin 
abhi garani-e-shab main kami nahin ai 
najat-e-dida-o-dil ki ghari nahin ai 
chale chalo k wo manzil abhi nahin ai

wo buton ne dale hain waswase k dilon se khauf-e-Khuda gaya

wo buton ne dale hain waswase k dilon se khauf-e-Khuda gaya 
wo pari hain roz qayamaten k khayal-e-roz-e-jaza gaya 

jo nafas tha khar-e-gul bana jo utha to hath qalam huye 
wo nishat-e-ah-sahar gai wo wiqar-e-dast-e-dua gaya 

na wo rang fasl-e-bahar ka na rawish wo abr-e-bahar ki 
jis ada se yar the ashna wo mizaj-e-bad-e-saba gaya 

abhi badban ko tah rakho abhi muzatarib hai rukh-e-hawa 
kisi raste main hain muntazir wo sukun jo aa k chala gaya

tumhari yad k jab zakhm bharne lagte hain

tumhari yad k jab zakhm bharne lagte hain 
kisi bahane tumhen yad karne lagte hain 


hadis-e-yar k unwan nikharne lagte hain 
to har harim main gesu sanwarne lagte hain 


har ajanabi hamain mahram dikhai deta hai 
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hain 


saba se karte hain gurbat-nasib zikr-e-watan 
to chashm-e-subah main ansu ubharne lagte hain 


wo jab bhi karte hain is nutq-o-lab k bakhiyagari 
faza main aur bhi nagmain bikharne lagte hain 


dar-e-qafas pe andhere k muhar lagti hai 
to "Faiz" dil main sitare utarne lagte hain

teri ummid tera intazar jab se hai

teri ummid tera intazar jab se hai 
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai 

ksi ka dard ho karte hain tere nam raqam 
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai 

hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu 
kalam tujhse nazar ko bari adab se hai 

agar sharar hai to bharak, jo phul hai to khile 
tarah tarah k talab tere rang-e-lab se hai 

kahan gaye shab-e-furqat k jagnewale 
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai

tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye

tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye 
teri rah main karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye 

teri kaj-adai se har k shab-e-intazar chali gai 
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye 

na sawal-e-wasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten 
tere ahad main dil-e-zar k sabhi ikhtiyar chale gaye 

ye hamin the jin k libas par sr-e-rah siyahi likhi gai 
yahi dag the jo saja k ham sar-e-bazm-eyar chale gaye 

na raha junun-e-rukh-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya 
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye

tum mere pas raho

tum mere pas raho 
mere qatil, mere dildar, mere pas raho 
jis ghari rat chale 
asmanon k lahu pi kar siyah rat chale 
marham-e-mushk liye nashtar-e-almas chale 
bain karti hui, hansti hui, gati nikle 
dard k kasani pazeb bajti nikle 
jis ghari sinon main dubate huye dil 
astinon main nihan hathon k rah takne nikle 
is liye 
aur bachon k bilakne ki tarah qul-qul-e-may 
bahr-e-nasudagi machle to manaye na mane 
jab koi bat banaye na bane 
jab na koi bat chale 
jis ghari rat chale 
jis ghari matami, sun-san, siyah rat chale 
pas raho
mere qatil, mere dildar, mere pas raho

sunane ko bhir hai sar-e-mahshar lagi hui

sunane ko bhir hai sar-e-mahshar lagi hui
tohmat tumhare ishq ki ham par lagi hui

rindon k dam se atish-e-mai k bagair bhi
hai maikade main ag barabar lagi hui

abad kar k shahar-e-khamoshan har ek su
kis khoj main hai teg-e-sitamgar lagi hui

jite the yun to pahle bhi ham jan pe khel kar
bazi hai ab ye jan se barh kar lagi hui

lao to qatlnama mera main bhi dekh lun
kis kis k muhar hai sar-e-mahzar lagi hui

akhir ko aj apne lahu par hui tamam
bazi miyan-e-qatil-o-khanjar lagi hui

shaikh sahab se rasm-o-rah na ki

shaikh sahab se rasm-o-rah na ki
shukr hai zindagi tabah na ki

tujh ko dekha to ser-e-chashm hue
tujh ko chaha to aur chah na ki

tere dast-e-sitam ka ajz nahin
dil hi kafir tha jis ne ah na ki

the shab-e-hijr kam aur bahut
ham ne fikr-e-dil-e-tabah na ki

kaun qatil bacha hai shahar main 'Faiz'
jis se yaron ne rasm-o-rah na ki

sham-e-firaq ab na puch ai aur aa k tal gai

sham-e-firaq ab na puch ai aur aa k tal gai 
dil tha k phir bahal gaya, jan thi k phir sambhal gai 

bazm-e-khayal main tere husn k shama jal gai 
dard ka chand bujh gaya, hijr k rat dhal gai 

jab tujhe yad kar liya, subha mahak mahak uthi 
jab tera gam jaga liya, rat machal machal gai 

dil se to har muamala kar k chale the saf ham 
kahne main un k samane bat badal badal gai 

akhir-e-shab k ham safar 'Faiz' na jane kya hue 
rah gai kis jagah saba, subha kidhar nikal gai

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the 
beshak sitam janab k sab dostana the 

han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki 
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the 

aye to yun to k jaise hamesha k meharban 
bhule to yun k goya kabhi ashna na the 

kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya 
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the 

gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham 
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the 

har charagar ko charagari se gurez tha 
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the 

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz" 
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten 
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten 

ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yad k 
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hijr ki qurbaten 

jo tumhari man len nasiha to rahega daman-e-dil main kya 
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten 

chalo ao tum ko dikhayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahar main 
ye mazar ahal-e-safa k hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten 

meri jan aj ka gam na kar, k na jane katib-e-waqt ne 
kisi apne kal main bhi bhul kar kahin likh rakhi ho masaraten

raushan kahin bahar k imkan huye to hain

raushan kahin bahar k imkan huye to hain 
gulashan main chak chand gareban huye to hain 

ab bhi khizan ka raj hai lekin kahin kahin 
goshe rah-e-chaman main gazal-khwan huye to hain 

thahari huyi hai shab ki siyahi wahin magar 
kuch kuch sahar k rang par-afshan huye to hain 

in main lahu jala ho hamara k jan-o-dil 
mahfil main kuch chirag farozan huye to hain 

han kaj karo kulah k sab kuch luta k ham 
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain 

ahal-e-qafas ki subah-e-chaman main khulegi ankh 
bad-e-saba se wada-e-paiman huye to hain 

hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se "Faiz" 
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain

phir koi aya dil-e-zar nahin koi nahin

phir koi aya dil-e-zar nahin koi nahin 
rahrau hoga kahin aur chala jayega 
dhal chuki rat bikharne laga taron ka gubar 
lrkharane lage aewanon main khwabida chirag 
so gai rasta tak tak k har ek rahguzar 
ajnabi khak ne dhundala diye qadamon k surag 
gul karo shamain bara do mai-o-mina-o-ayag 
apne bekhwab kiwaron ko muqaffal kar lo 
ab yahan koi nahin, koi nahin ayega

nisar main teri galiyon k ae watan, k jahan

nisar main teri galiyon k ae watan, k jahan 
chali hai rasm k koi na sar utha k chale 
jo koi chahanewala tawaf ko nikle 
nazar chura k chale, jism-o-jan bacha k chale 

hai ahl-e-dil k liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad 
k sang-o-khisht muqayyad hain aur sag azad 

bahot hain zulm k dast-e-bahana-ju k liye 
jo chand ahl-e-junun tere nam leva hain 
bane hain ahl-e-hawas muddai bhi, munsif bhi 
kise wakil karen, kis se munsifi chahen 

magar guzaranewalon k din guzarte hain 
tere firaq main yun subh-o-sham karae hain 

bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samajha hai 
k teri mang sitaron se bhar gai hogi 
chamak uthe hain salasil to hamane jana hai 
k ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi 

garaz tasavvur-e-sham-o-sahar main jite hain 
giraft-e-saya-e-diwar-o-dar main jite hain 

yun hi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq 
na unki rasm nai hai, na apani rit nai 
yun hi hamesha khilaye hain hamne ag main phul 
na unki har nai hai na apani jit nai 

isi sabab se falak ka gila nahin karte 
tere firaq main ham dil bura nahin karte 

gar aj tujhse juda hain to kal baham honge 
ye rat bhar ki judai to koi bat nahin 
gar aj auj pe hai tala-e-raqib to kya 
ye char din ki khudai to koi bat nahin 

jo tujhase ahd-e-wafa ustavar rakhte hain 
ilaj-e-gardish-e-lail-o-nihar rakhte hain

na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya

na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-reza reza ganva diya 
jo bache hain sang samet lo, tan-e-dag dag luta diya 

mere charagar ko naved ho, saf-e-dushmanan ko khabar karo 
wo jo qarz rakhte the jan par, wo hisab aj chuka diya 

karo kaj jabin pe sar-e-kafan, mere qatilon ko guman na ho 
ki gurur-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hamne bhula diya 

udhar ek harf ki kushtani, yahan lakh uzr tha guftani 
jo kaha to sun k ura diya, jo likha to parh k mita diya 

jo ruke to koh-e-garan the ham, jo chale to jan se guzar gaye 
rah-e-yar hamne qadam qadam, tujhe yadagar bana diya

nasib azmane k din a rahe hain

nasib azmane k din a rahe hain 
qarib un k ane k din a rahe hain 

jo dil se kaha hai jo dil se suna hai 
sab un ko sunane k din a rahe hain 

abhi se dil-o-jan sar-e-rah rakh do 
k lutne lutane k din a rahe hain 

tapakne lagi un nigahon se masti 
nigahen churane k din a rahe hain 

saba phir hamain puchti phir rahi hai 
chaman ko sajane k din a rahe hain 

chalo "Faiz" phir se kahin dil lagayen 
suna hai thikane k din a rahe hain

nahin nigah main manzil to justaju hi sahi

nahin nigah main manzil to justaju hi sahi 
nahin wisal mayasar to arzu hi sahi 


na tan main khun faraham na ashk ankhon main 
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi 


kisi tarah to jame bazm maikade walo 
nahin jo bada-o-sagar to ha-o-hu hi sahi 


gar intazar kathin hai to jab talak ai dil 
kisi k wada-e-farda ki guftagu hi sahi 


dayar-e-gair main mahram agar nahin koi 
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang

mujh sa pahli si mohabbat meri mahbub na mang

main ne samjha tha k tu hai to darakhshan hai hayat
tera gam hai to gam-e-dahar ka jhagra kya hai
teri surat se hai alam main baharon ko sabat
teri ankhon k siva duniya main rakha kya hai 
tu jo mil jaye to taqdir nigun ho jaye
yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jaye
aur bhi dukh hain zamane main mohabbat k siva
rahaten aur bhi hain vasl ki rahat k siva

mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang

anginat sadiyon k tarik bahimana talism
resham-o-atalas-o-kamkhvab main bunavaye huye
ja-ba-ja bikte huye kucha-o-bazar main jism
khak main lithte huye khun main nahlaye huye
jism nikle huye amaraz k tannuron se
pip bahati hui galte huye nasuron se
laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
aur bhi dukh hain zamane main mohabbat k siva
rahaten aur bhi hain vasl ki rahat k siva

mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang

mera dard nagma-e-besada

mera dard nagma-e-besada 
meri zat zara-e-benishan 
mere dard ko jo zuban mile 
mujhe apna nam-o-nishan mile 
meri zat ko jo nishan mile 
mujhe raz-e-nazm-e-jahan mile 
jo mujhe ye raz-e-nihan mile 
meri khamoshi ko bayan mile 
mujhe qayanat ki sarwari 
mujhe daulat-e-do-jahan mile

meri teri nigah main jo lakh intazar hain

meri teri nigah main jo lakh intazar hain 
jo mere tere tan badan main lakh dil figar hain 
jo meri teri ungliyon ki behisi se sab qalam nazar hain 
jo mere tere shahar k har ik gali main 
mere tere naqsh-e-pa k be-nishan mazar hain 
jo meri teri rat k sitare zakhm zakhm hain 
jo meri teri subah k gulab chak chak hain 
ye zakhm sare be-dawa ye chak sare be-rafu 
kisi pe rakh chand k kisi pe os ka lahu 
ye hain bhi ya nahin bata 
ye hai k mahaz jal hai 
mere tumhare ankabut-e-waham ka buna hua 
jo hai to is ka kya karen 
nahin hai to bhi kya karen 
bata, bata, bata, bata

kuch pahale in ankhon age kya kya na nazara guzra tha

kuch pahale in ankhon age kya kya na nazara guzra tha 
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzra tha 

the kitne ache log k jinko apne gam se fursat thi 
sab puchen the ahawal jo koi dard ka mara guzra tha 

ab k to khizan aisi thahari wo sare zamane bhul gaye 
jab mausam-e-gul har phere main a a k dubara guzra tha 

thi yaron k buhtat to ham agyar se bhi bezar na the 
jab mil baithe to dushman ka bhi sath gawara guzra tha 

ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to 
ankh uthate hi ek nazar main alam sara guzra tha

kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai

kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai 
ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai 

yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain 
tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai 

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan 
sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai 

han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye 
har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai 

ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane 
pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai 

ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan 
yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai

wo muzmahil haya jo kisi ki nazar main hai

kuch din se intazar-e-sawal-e-digar main hai
wo muzmahil haya jo kisi ki nazar main hai


sikhi yahin mere dil-e-kafir ne bandagi
rabb-e-karim hai to teri rahguzar main hai


mazi main jo maza meri sham-o-sahar main tha
ab wo faqat tasawwur-e-sham-o-sahar main hai


kya jane kis ko kis se hai ab dad ki talab
wo ghum jo mere dil main hai teri nazar main hai

is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai

is waqt to yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai 
mahtab na suraj na andhera na sawera 
ankhon k dariche main kisi husn k jhalkan 
aur dil k panahon main kisi dard ka dera 
mumkin hai koi waham ho mumkin hai suna ho 
galiyon main kisi chap ka ek akhiri phera 
shakhon main khayalon k ghane per k shayad 
ab ak karega na koi khwab basera 
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta 
tera koi apna na paraya koi mera 
mana k ye sun-san ghari sakht bari hai 
lekn mere dil ye to faqat ek ghari hai 
himmat karo jine ko abhi umr pari hai

kyun mera dil shad nahin hai kyun khamosh raha karta hun

kyun mera dil shad nahin hai kyun khamosh raha karta hun 
choro meri ram kahani main jaisa bhi hun acha hun 

mera dil gamgin hai to kya gamgin ye duniya hai sari 
ye dukh tera hai na mera ham sab ki jagir hai pyari 

tu gar meri bhi ho jaye duniya k gam yun hi rahenge 
pap k phande, zulm k bandhan apne kahe se kat na saknge 

gam har halat main mohlik hai apna ho ya aur kisi ka 
rona dhona, ji ko jalana yun bhi hamara, yun bhi hamara 

kyun na jahan ka gam apna len bad main sab tadbiren sochen 
bad main sukh k sapne dekhen sapnon ki tabiren sochen 

be-fikre dhan daulat wale ye akhir kyun khush rahte hain 
inka sukh apas main banten ye bhi akhir ham jaise hain 

ham ne mana jung kari hai sar phutenge,khun bahega 
khun main gam bhi bah jayenge ham na rahen, gam bhi na rahega

aj k din na pucho mere dosto

aj k din na pucho mere dosto 
dur kitne hain khushiyan manane k din 
khul k hansne k din git gane k din 
pyar karne k din dil lagane k din 

aj k din na pucho mere dosto 
zakhm kitne abhi bakht-e-bismil main hain 
dasht kitne abhi rah-e-manzil main hain 
tir kitne abhi dast-e-qatil main hain 

aj k din zubun hai mere dosto 
aj k din to yun hai mere dosto 
jaise dard-o-alam k purane nishan 
sab chale su-e-dil karwan karwan 
hath sine pe rakho to har ustakhwan 
se uthe nala-e-al'aman al'aman 

aj k din na pucho mere dosto 
kab tumhare lahu k darida alam 
farq-e-khurshid-e-mahshar pe honge raqam 
az karan ta karan kab tumhare qadam 
le k uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam 
jis dil main dhul jayega aj k din ka gam 
sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam 
dur kitani hai khurshid-e-mahshar ki lau 
aj k din na pucho mere dosto

Khuda wo waqt na laye k sogawar ho tu

Khuda wo waqt na laye k sogawar ho tu 
sukun ki nind tujhe bhi haram ho jaye 
teri masarrat-e-paiham tamam ho jaye 
teri hayat tujhe talkh jam ho jaye 

gamon se aina-e-dil gudaz ho tera 
Hujum-e-yas se betab ho k rah jaye 
wafur-e-dard se simab ho k rah jaye 
tera shabab faqat khwab ho k rah jaye 

gurur-e-husn sarapa niyaz ho tera 
tawil raton main tu bhi qarar ko tarse 
teri nigah kisi gamgusar ko tarae 
khizan rasida tamanna bahar ko tarse 

koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke 
k jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare 
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare 
Khuda wo waqt na laye k tujh ko yad aye 

wo dil k tere liye be-qarar ab bhi hai 
wo ankh jis ko tera intazar ab bhi ha

kabhi kabhi yad main ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se

kabhi kabhi yad main ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se 
wo azmaish si dil-o-nazar ki, wo qurabaten si wo fasale se 

kabhi arzu k sehara main a k rukte hain qafile se 
wo sari baten lagaw ki si wo sare unwan wisal k se 

nigah-o-dil ko qarar kaisa nishat-o-gam main kami kahan ki 
wo jab mile hain to un se har bar ki hai ulfat naye sire se 

bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin sabukatar kahin gawara 
wo dard-e-pinhan k sari duniya rafiq thi jiske waste se 

tumhin kaho rind-o-muhtasib main ho aj shab kaun farq aisa 
ye as k baithe hain maikade main wo uth k aye hain maikade se

kab yad main tera sath nahin kab hath main tera hath nahin

kab yad main tera sath nahin kab hath main tera hath nahin 
sad shukr k apni raton main ab hijr ki koi rat nahin 

mushkil hain agar halat wahan dil bech ayen jan de ayen 
dil walo kucha-e-janan main kya aise bhi halat nahin 

jis dhaj se koi maqtal main gaya wo shan salamat rahti hai 
ye jan to ani jani hai is jan ki to koi bat nahin 

maidan-e-wafa darbar nahion yan nam-o-nasab k puch kahan 
ashiq to kisi ka nam nahin kuch ishq kisi ki zat nahin 

gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa 
gar jit gae to kya kahna hare bhi to bazi mat nahin

kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhaoge

kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhaoge 
kab tak chain k mohlat doge, kab tak yad na aoge 

bita did ummid ka mausam, khak urti hai ankhon main 
kab bhejoge dard ka badal, kab barkha barasaoge 

ahad-e-wafa aur tark-e-muhabbat jo chaho so ap karo 
apne bas k bat hi kya hai, hamse kya manwaoge 

kisne wasl ka suraj dekha, kis par hijr k rat dhali 
gesuon wale kaun the, kya the, un ko kya jatlaoge 

'Faiz' dilon k bhag main hai ghar basana bhi lut jana bhi 
tum us husn k lutf-o-karam par kitne din itraoge

himmat-e-iltija nahin baqi

himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ik teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi

apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi


teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baq

har haqiqat majaz ho jaye

har haqiqat majaz ho jaye
kafiron ki namaz ho jaye

minnat-e-charasaz kaun kare
dard jab jan nawaz ho jaye

ishq dil main rahe to ruswa ho
lab pe aye to raz ho jaye

lutf ka intazar karta hun
jor ta hadd-e-naz ho jaye

umr besud kat rahi hai 'Faiz'
kash afsha-e-raz ho jaye

ham parawarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge

ham parawarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge 
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge 

asbab-e-gam-e-ishq baham karte rahenge 
wirani-e-dauran pe karam karte rahenge 

han talkhi-e-ayyam abhi aur bharegi 
han ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge 

manzur ye talkhi ye sitam ham ko gawara 
dam hai to madawa-e-alam karte rahenge 

maikhana salamat hai to ham surkhi-e-may se 
tazin-e-dar-o-bam-e-haram karte rahenge 

baqi hai lahu dil main to har ashk se paida 
rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge 

ek tarz-e-tagaful hai so wo un ko mubarak 
ek arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge

Popular Posts