Saturday, May 8, 2010

dua hai janaa



surkh pholon ka fusoon

shaam dhalay jab deep jalay

zaraa si baat

koi tum se poochay

tum se pehley

ye aansoo log detay hain

kyu tum se mohabbat hai

do siyah aankhein

tum ko paya tha

mujhe uss se kehna tha

dard itna tha

saath to ajnabi bhi chalte hain

tere jaane ke baad

tumhari yaad

ajab pagal see larki hai

samandar paar karna hoo to

Saraapae aziyat

ajab pagal sa larka hai

mohabbat hai

jab aankh mein nami

kabhi tum milney aao naa

tumein dekhe ker eid kerta hoon

paas reh kar juda se

aamar

ab to bas kar aye dil

teri aankhon se aankhein

kaash main ek qalaam hoti

aakhari sawal

kabhi waqt mile to

aye moojh hawa

aaj bhi tapti dhoop ka


mohabbat

ager who meherban hoti

bohat se indekhe raston per

tum bin

aaj ki raat bojal hai

naa jane kyu

jab khuda ne mujhe

Friday, May 7, 2010

main sunaa rahaa tha

ye larki to phool se

mohabbat tehar jati hai

main ne pocha kaise hoo

hum iss per kuch nahi likhein gay

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero



Rait pe likh ker naam mera mitaya na kero 

Ankhain sach bolti hein pyar chupaya na kero 



Log har baat ka afsana bana lete hein 

Sab ko halaat ki rawadad sunaya na kero 



Yeh zaroori nahin her shakhs maseeha hi ho 

Pyar ke zakham amanat hein dikhaya na kero 



Shahera-e-ehsaas mein patheraoo buhat hai mohsan 

Dil k sheshay ko jharokoon mein sajjaya na kero 

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai …

Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai …

Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai…

Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaa…ni main zara si bewafai mangtay rehna

Khatam Hoga Zindagi Ka Yeh Safar Dekh Lena

Khatam Hoga Zindagi Ka Yeh Safar Dekh Lena,
Tanha Chalay Jayeingay Hum Dekh Lena,

Zindagi Mein Nahi Koi Mukam Apna,
Bad Marnay K Hogi Kadar Dekha Lena,

Mujhe Ab KOi Kali BHi Nahi Deta PAr,
Phoolon Se Mehkay Gi Kabar Meri Dekh Lena,

Tanha Hi Zindagi Mein Chal Rahi Hoon,
Janazay Mein Hogi Sara Shehr Dekh Lena,

Jo Ab Halat Pe Tum Muskuratay Ho,
Pereshan Hongay Inke Chere Dekh Lena,

Hawaa Se Baal Unke Rukhsaaron Pe Hilte Hain Jab.

Hawaa Se Baal Unke Rukhsaaron Pe Hilte Hain Jab.
Mat Puchho Kitne Aashiqon Ke Dil Dhadakte Hai Tab.

Utar Jaate Hai Khil Khilate Phoolon Ke Munh Us Waqt… See more
Chhan Chhan Karake Woh Baaghon Se Guzarte Hain Jab.

Fiza Main Bhi Ghul Si Jaati Hai Ik Ajeeb Si Khusboo
Woh Apne Mahekte Hue Duppatte Ko Lahraate Hain Jab.

Har Dekhne Waala Yun Hi Apne Dil Ko Tham Leta Hai
Woh Is Qadar Pyaar Bhari Ada Se Muskurate Hai Jab.

Popular Posts