Monday, March 2, 2009

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gaya

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huwayna tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab thazara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas kertu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chukause ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya
Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil haikahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thienwo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahina malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya

No comments:

Popular Posts