Friday, March 13, 2009

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay,

Umr Bhar Gardishon Mein Qadam Rahay, Phir Bhi Na Aashnayi Manzil Hum Rahay.
Phir Taaza Ho, Rasm-e-Inkaar Magar...!! Zer-e-Labb Ek Halka Sa Tabassum Rahay.
Phir Labon Pe Teray Naam Ka Naghma Tahere, Pesh-e-Nigaah Tasweer Mujassam Rahay...!
Ek Zaraa Teri Yaad Ki Khushboo Maheke, Ta-Der Phir Qarya-e-Jaan Mein Matam Rahay.
Aankhe Hi Dariya Mizaaj Mili Hai Humko, Naseeb-e-Daman Yahi Hai Ke Namm Rahay.
Umr Mohabbat Ki Is Se Kai Kam Hai, Saamnay Suraj Ke Jitni Der Shabnam Rahay.
Aawargi Kab Kisko Raas Aayi Shaheen, Khayaal-e-Pareshan Se Kaho Ke Tham Rahay.

No comments:

Popular Posts