Tuesday, April 28, 2009

Kitney mousam sargardaan they mujh se hath milaney main

Kitney mousam sargardaan they mujh se hath milaney main 
Main ney shayed dair kar di khood se bahar aaney main 

Ik nighah ka san’nata hai ik aawaz ka banjar pan 
main kitna tanha betha hoon qurbat ke veeraney main 

bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad ke sath 
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main 

aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai 
jis ney behad ujlat barti khilney aur mujrjhaney main 

baat bananey wali ratein rang nikharney waley din 
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main 

aik malal ki gard sametey main ne khood ko paar kia 
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main 

jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia 
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main 

aik wazahat ke lamhey main mujh par ye aehwaal khula 
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main 

pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha 
ab tou Azm bikhar jata hoon main khood ko behlaney main  

Popular Posts