Thursday, April 30, 2009

piyar kay deep jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain

piyar kay deep jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain 
hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua 
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
jaan say piyaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai 
sari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
khaboon main bhi piya milan kay sapnay dekhtay rehtay hain 
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
is jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai 
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
piyar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai? 
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain? 
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain 
us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua 
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain

Popular Posts