Saturday, August 29, 2009

Hisaab-e-tark-e-ta'aluq tamaam main ne kia

Hisaab-e-tark-e-ta'aluq tamaam main ne kia
shoru us ne kia ikhtataam main ne kia

mujhe bhe tark-e-muhabbat ye hairatain he rahi'n
jo kaam mera nahi tha wo kaam main ne kia


wo chahata tha k daikhe mujhe bikharte hoey
so es ka jashn basad ehtamaam main ne kia

bohat dino main meray ghar ki khamoshi totii
khud apne aap se ek din kalaam main ne kia

us eak hijr ne milwa diya wasal se bhe
k tu gaya tu muhabbat ko aam main ne kia

wo aaftaab jo dil main dehak raha tha  faysal
usay supard-e-shafaq aaj shaam main ne kia

No comments:

Popular Posts