Friday, August 21, 2009

kisi ki AaNkh jo pur-nam nahiN hai

kisi ki AaNkh jo pur-nam nahiN hai
na samjho yeh keh us-ko GHam nahiN hai

savaad-e dard maeN tanhaa khaRaa hooN
palaT jaa'ooN magar mausam nahiN hai

samajh maeN kuch nahiN Aataa kisi ki
agarcheh guftugu mubham nahiN hai

sulagtaa nahiN tareek jaNgal
talab ki lau agar madhdham nahiN hai

yeh basti hai sitam parvardigaaN ki
yahaaN ko'ie kisi say kam nahiN hai

kinaarah doosraa daryaa ka jaisay
woh saathi hai magar mehram nahiN hai

dilooN ki raushni bujhnay na daenaa
vujood-e teergi mohkam nahiN hai

maiN tum ko chaah kar pachtaa rahaa hooN
ko'ie is zaKhm kaa marham nahiN hai

jo ko'ie sun sakay ~faysal~ to dunyaa
bajuz ik bazgasht-e GHam nahiN hai

No comments:

Popular Posts