Wednesday, September 2, 2009

Aey Falak Bakht Musaafir Hamein Too Yaad Aya

Aey Falak Bakht Musaafir Hamein Too Yaad Aya
Aaj ki subh mah-o-sal kay aieney mein
Phir terey khoon ki poshaq pehan kar aaee
Phir dil-o-jaan mein terey qurb ka mosam utra
Phir terey dard ki soghaat muyassar aaee

Aankh mein phir se dehakney lagey khuabon kay gulaab
Phir saba khaak ba sar noha ba lab guzri hay

Phir isi soch mein ghaltaan hay qabila apna
Umr guzri kay terey hijar ki shab guzri hay

Too ne seeney pay sajaai hein kharashein jis ki
vo qiamat bhi kisi aur pay kab guzri hay

Dil ne jab jab bhi teri simt palat kar dekhaa
saj gai raah mein bay reham saleebon ki qitaar

Khaak-e-maqtal pay damakney lagey ashkoon kay nujoom
Chashm-e-qaatil se barasney lagey nafrat kay sharaar
Phir se har taar-e-girebaan pay lagi jabr ki muhar
Khich gaey taa ba falak zulm-u-tashaddad kay hisaar
juz terey kis se kahein ham kay kahaan khatm hooaa
Taziaanon ki zubaan choomtey zakhmon ka shumaar

Aankh mein tair gaey phir teri khushbu kay bhanwar
Phir se qismat ko jagaaney lagey subhoon kae safer
Teri jurrat kabhi talwaar ki surat chamki
Teer ban kar kabhi ubhri teray jazbon ki lakeer

Baarish-e-sang mein jab qeht-e-namoo yaad aayaa
Tera sach bolta bay bak lahoo yaad aaeaa
Jab koi cheekh tah-e-jabr-u-sitam dafn hooi
Ahl-e-zindaan ko tera nara-e-hoo yaad aayaa

Jab dar-e-harf-e- sadaaqat pay koi qufl parra
Tera aizaaz-e-rasan tauq-guloo yaad aayaa
Jab bhi maqtal mein koi chaand hooa zeenat-daar
Aey falak bakht musaafir hamein too yaad aayaa

No comments:

Popular Posts