Sunday, September 20, 2009

Hawa Thami Thi Zaroor Laikin

Hawa Thami Thi Zaroor Laikin:

Hawa thami thi zaroor laikin,
wo shaam phir be sesak rahi thi,
K zard patto ko andheyon ne ajeeb qissa suna dia tha,
K jes ko sun kar tamam pattay sesak rahy thay bilak rahy thay,

Najaany kiss saanehy k gham shajar jaro se utar chuky thay,
hawa thami thi zaroor laikin,

Buhut talaasha tha may ne tum ko,
har aik rasta, har aik ghaati,
har aik waadi, har aik basti,

Kahi se teri khabar na aayi,
hawa pe lik kar payaam bejha,
to wo be phir lott kar na aya,

to hum ne ye keh kar dil ko thaala,
hawa thamy gi to daik lengy,
hum un k raston ko doond lengy,

Magar hamari ye khush khayaali,
Jo hum ko barbaad kar chuki thi,
K hum se taakheer ho chuki thi,
Hawa Thami thi zaroor Laikin,

Hamaary baalon k jangalon may,
safaid Chaandi utar chuki thi,
Falak pe taary nahi rahy thy,
Gulaab paary nahi rahy thy,

Wo jen se basti thi dil ki basti,
Wo log saary nahi rahy thy,
Ye almiyan sab se balatar tha,
To tum hamary nahi rahy thy,
K hum tumhary nahi rahy thy.
Hawa Thami thi zaroor laikin,
WO SHAAM PHIR BE SESAK RAHI THI....

No comments:

Popular Posts