Saturday, September 5, 2009

Mahabbat

ajeeb se khadd-o-khaal wali,
k jis k chehry pe hijr k anginat nishanaat, zakhm ban kr khily hu'ay thy,
wo kitni sadiaN musafarat ki thakan ko oRhy huay thi,
us ka shikaasta lehja bata raha tha,
jo maiN ne pocha, "to kaun hay, kis nagar ki baasi, kahaN hay jana?"
to wo gharoor aur tamkinaat se kuch aisy boli,
(k khawb manzer meiN her taraf ik muheeb san'nata chaa gaya tha...
"mujhy nahiN janty ho tum kya?"
"siwa'ye mery kisi bhi shay ki koi haqeeqat nahiN jahaN maiN"
mujhy to khallaq-e-la'makan-o-makaaN azal se bana chuka hy,
Khuda-e-quddoos ne mujhy
apny dast-e-shafqat se un diloN k liay banaya, jo narm-o-nazuk haiN,
aur jin ki bunat meiN aab-e-hayaat shamil hay
aur mitti bhi khaas jan'nat se lee gaei hay...

suno! k Hafiz ka sara deewan meri mid'hat ki hay gawahi,
ye Meer-o-Ghalib ne meri khatir hi shairi ko sukhan banaya,
kisi bhi shay ki koi haqeeqat nahiN yahaN pr , siwa'ye mery,
sabhi "Mahabbat" k naam se mujh ko janty haiN...

meri taRap meiN machalny waloN ne mujh ko paaya,
main her kisi ko kahaN mayassar huN is jahaN meiN,
jo mujh ko pany ki justuju meiN laga hua ho,
to us ka maiN imtihaan leti huN pehly pehly,
k aaya qaabil bhi hay wo mery,
kisi ko kachy ghaRy pe darya meiN phainkti huN,
kisi k paoN meiN jhanjreN Daalti huN,
kanoN ko chaidti huN,
kisi ko maiN na'ra-e-An-al-Haq se daar tak ka safar karaoN,
utaar leti huN un k jismoN se khaal un ki

maiN jis k his'sy meiN aa gaei wo amar hua hay,
k manziloN ne khud aa k us k qadam liay haiN,
tamaam us ka safar hua hay,

jab apny bary baRi hi tafseel se wo mujh ko bata rahi thi,
sarapa-e-iltijaa bana maiN us k aagy khaRa hua tha,

sawaal hoNtoN pe aany waly,
sehar zada papRioN ki surat meiN Dhal chuky thy....

---------------------------

No comments:

Popular Posts