Sunday, March 21, 2010

jab tere shahar se guzarata hun

jab tere shahar se guzarata hun
dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe
naam letii nahii zubaan teraa

ye bhii nahi mujhe maalum
kis mohalle main hai makaan teraa
kaun sii shaaKh-e-gul pe raqsaan hai
rashk-e-firdaus aashiyaan teraa
jaane kin vaadiyon men Theharaa hai
Girat-e-husn kaaravaan teraa
kis se puchun gaa main Khabar terii
kaun batalayega nishan teraa

terii rusvaa_iiyon se Darataa hun
jab tere shahar se guzarataa hun

haal-e-dil bhii na kah sakaa garche
tu rahii muddaton qariib mere
kuch terii azmaton kaa Dar bhii thaa
kuch Khayalat the ajiib mere
aaKhir kaar vo gharti aaie
baar-e-dar ho gaye raqiib mere
tuu mujhe cho.D ke chalii bhii gaie
Khair qismat merii nasiib mere

ab main kyon tujh se pyaar kartaa hun
jab tere shahar se guzarataa hun

vo zamana terii muhabbat kaa
ek bhuli hui kahani hai
tere kuche men umr bhar na gaye
sari duniya kii Khaak chani hai
lazzat-e-qarb ho ke zaKhm-e-firaaq
jo bhii hai terii meharabani hai
kis tamanna se tujh ko chaha thaa
kis muhabbat se haar maanii hai

apanii qismat pe naaz karta hun
jab tere shahar se guzarata hun

No comments:

Popular Posts