Monday, March 22, 2010

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha

"us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaana...apne jeewan ka woh lamhaa to batlao mujh ko
jis ke badlay mil sakte hain sabhi sitaare..
dariyaaoon ke saare mooti..
saawan ki pehli baarish ke saare katre..
ojlay chaand ki saari kirnein..
dhartii ke siinay se liptay sabhii khazaane..
saare mausam...sabhi duaaein..
phooloo ki rangeen kabaein..
patti patti parhne waali biinii shabnam..
ism-e-aazam.."

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaanaa..apne jeewan ka woh lamhaa to balao mujh ko
jis ke badle sab kuch apna..sab kuch..SAB KUCH..
apna sab kuch de sakte ho...?"

mainne uska maathaa chooma...aur bola
"pehli baar mere sinay pe jab sarr rakha tah...!"
__________________

No comments:

Popular Posts