Friday, April 16, 2010

Dil-e-wehshi bta bhi dey

Dil-e-wehshi bta bhi dey
keh jab izhaar
Lafzon ki pitaari khol betha ho
mgr ilfaaz
kuch kehney sey qasir hon
Labon pe sarey nghmey a k thehr jaen
to honton ko muqafil kr k
Tanha main kidher jaon?

Badan ki chkkiyan jb
Wehshaton key geihoun peicein
Aur
Ragon main khoon thm jae
mgr dhrkn key dheemay sur p
Yadon ka
Barhana rqs jari ho
To aey dil-e-wehshi bta dey
Tanha main kidher jaon?

Jab kbhi nighaen
Reza reza
kaanch ki maanind
Aankhon ko
koi spna na dikhlaen
Sama'at baanjh ho jae
Bina chahey
Zehn ki upsara
khwabon ki chokhat p
Aanokhey bain jnti ho
To aey dil-e-weshi bta dey
Tnha main kidher jaon?

kia dsht-e-hijr key pehlu main
Tmam umr rehna hay?
Aey dil-e-wehshi bta bhi dey...!!!


*******************

No comments:

Popular Posts