Friday, April 2, 2010

mere hathoon main aa ker

mere hathoon main aa ker

rang batain kernay lagtay hian

main in rangoon se

apnay dil ki batain paint kerta hoon

meri in paintings ko dekh ker

duniya ye kehti hai

tumharay khawab sachay hein

tumharay khawab achay hein

main us dam muskurata hoon

unhain batla nahi sakta

ke is rangoon bhari duniya ke peechay

dard ke kitnay samandar hain

kai dukh narsai ke

meri aankhon main rehtay hain

jinhain main keh nahi sakta

magar kab log mere dil ke andar

jhank saktay hein

ke is rangoon bhari dunya ke peechay

dard ke kitnay samandar hein

wo bas ik baat kehtay hain

tumharay khawab sachay hain

tumharay khawab achay hain

magar dukh narsai ke

wo kaise jaan paen ge!!!





_________________

No comments:

Popular Posts