Sunday, April 25, 2010

Phir teri kahani yaad aye

Phir teri kahani yaad aye
Phir tera fasana yaad aya
Phir aaj humari ankho ko
Aik khawab purana yaad aya
Jaltay hen chiraghon ki surat
Har sham teri hum yaadon men
Jab subhu ko shabnam roti hay
Kho jatay hen hum faryadon men
Jab dil ne koi awaz suni
Tera hi tarana yaad aya
Shayad kabhi milna ho jaye
Baithay hen isi arman men hum
Tu nay to kinara pa hi liya
Uljhay hen magar toofan men hum
A jaan e wafa phir aaj humen
Pichla wo zamana yaad aya

No comments:

Popular Posts