Monday, May 17, 2010

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho 
wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho 

ye kya k roz ek sa gam ek si ummid 
is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho 

ye kya k ek taur se guzre tamam umr 
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho 

tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism 
itne hujum main koi chehra naya bhi ho 

diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon 
ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho 

juz dil koi makan nahi dahar main jahan 
rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho 

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka 
lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho 

har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut 
lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho 

fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada 
ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho 

baitha hai ek shakhs mere pas der se 
koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho 

bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye 
taus bolta ho to jangal hara bhi ho

No comments:

Popular Posts