Tuesday, May 18, 2010

humne duniya mein aa k kya dekha

humne duniya mein aa k kya dekha 
dekha jo kuch so khwab-sa dekha 

hai to insan khak ka putla 
le k pani ka bul-bula dekha 

khub dekha jahan k khuban ko 
ek tujh sa na dusara dekha 

ek dam par hawa na bandh habab 
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha 

na huye teri khak-e-pa ham ne 
khak mein ap ko mila dekha 

ab na dije "Zafar" kisi ko dil 
ki jise dekha bewafa dekha

No comments:

Popular Posts