Monday, May 24, 2010

Wo Pari Jo Meelon Door Hai









Wo Pari Jo Meelon Door Hai, 
Jiski Yaad Se Dil Noor Noor Hai, 
Jaanta Hoon Har Surat Wo Gair Hai, 
Phir Bhi Uski Aarzu Zaroor Hai, 

Mila AnjaaM Na Kahani Ko, 
Barbaad Kar Baitha Jawani Ko, 
Seene Se Lagaye Phirta Hoon, 
Yaar Ki Aakhri Nishani Ko, 

Wo Na Hoti To Main Kahan Hota, 
Zarra Hota Na AasMan Hota, 
Wo Duniyadaari Ki Jhagae Hoti, 
Wo Hi Berozgari Ka SaMna Hota, 

Arey Kaash Ke Wo Bewafa Hota, 
Yahan MakaaM Kuch Juda Hota, 
Main Ro Deta Hoon Is Khayal Par, 
Wo Jo Meri Hoti To Kya Hota, 

Uske GaM Mein Khoye Rehte Hai, 
Khuli Aankhon Se Soye Rehte Hai, 
Girte Hai Palkon Se Aansu Aise, 
Ke Apna DaaMan Bhigoye Rehte Hai, 

Jab Kabhi Khudko Tanha Paata Hoon, 
Ek Tasveer Zehen Mein Banata Hoon, 
Karke Band Bhigi Palkon Ko, 
Uski Yaadon Mein Doob Jaata Hoon, 

Kiase Keh Dun Wo Paraya Hai, 
Usi Ne To Jeena Sikhaya Hai, 
Hai Usike NaaMse Ye Shayri, 
Ye KaMal Usi Ne Sikhaya Hai, 

Wo Pari To Meelon Door Hai, 
Haan Uski Aarzoo Zaroor Hai...

No comments:

Popular Posts