Monday, June 14, 2010

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut


Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

...to zindagi yun hairaan na reh jaati
aankhein yun veeran na reh jaati
kuch khwab haqeeqat to ban jaate
aur kuch khwab bas khwab hi na reh jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut ...
...to kuch lamhe yaadein na ban jaati'n
aur kuch yaadein bas beeti hui baatein na ban jaati'n
khwahishein meri kuch aur nikal jaati'n 
hasratein saari yun dil mein na reh jaati'n
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...
...to pyar mera yun adhoora na rehta
dil mera phir khaali na hota
aankhein na talashti kisi ko 
ashk palkon par hi na tham jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

No comments:

Popular Posts