Friday, June 18, 2010

honey ko to kya hoa nahi hai


honey ko to kya hoa nahi hai,
hum nay to kabhi kaha nahi hai, 

sab apnai junoon ki wehshaten hain,
tum se to koi gilla nahi hai, 

bikhron to koi samet le gaa,
is ka bhi to aasra nahi hai, 

kya zeest kern ke ab to sahab,
marnai ka bhi hosla nahi hai, 

werana e dasht e jan mai kosun,
saye ka kahin pata nahi hai, 

uljha hun kuch aisai pech o kham mai,
manzil to hai rasta nahi hai

No comments:

Popular Posts