Wednesday, June 2, 2010

Na Tujhpe Jafa Ka Koi IlzaaM

Na Tujhpe Jafa Ka Koi IlzaaM 
Na Main Apni Ulfat Pe SharaMsaar, 
Tagaaful Na PeshayMaani Na Koi Shikayat, 
Bas Zindagi Ko Dekha Apne Apne Andaz Se HuMne,

Main IshQ Ko SaMajhta Hu Zindagi Ka Mukaddar, 
Tune Mukaddar Ko Bas Zindagi SaMjha, 
Main Jin ZulMaton Pe Uthata Raha Barbat-E-Bagawat, 
Tune Unhi AQaayud Ko Roshni SaMjha, 

Main Banata Hi Raha Haseen Khwabon Ke Gharonde, 
Mujhko Na Tha Pata Ke Tere Guzar InMein Kahan,
Tu To Dhundti Phirti Thi Ek Kafas Sandali,
Mere Tasavvur Mein Tha Tere Liye Ek Azad Jahan, 

Maine To Chaha Tha TuM HuMQadaM Hoke Chalo, 
TuMne Vise Mein Pyaa Hai Magar AQeedat Ka BharaM, 
Meri Ulfat To Thi Barabar Ki Dosti, 
Teri Ulfat Rahi Meri Mohtaaj-E-KaraM, 

Meri TaManna Thi Ke Tu Mujhe "Tu" Hoke Mile, 
Tune Khud Hi Ko Apni Bikle Ke Liye Pala Tha, 
Meri Hasrat Ki Tu Ise Apne Ehsaas Mein Rakh Kar Ke Jiye, 
Tune Parastish Ke Liye Jise Ab Talak SaMbhala Tha, 

Na Tujhse Thi Mujhe Parastish Ki Aarzu, 
Na Khud Mujhe Tha ShauQ-E-AQeedat, 
Main Tujh Mein Dhundta Phirta Tha Ek Khuddar Mehboob, 
Aur TuMko Pyari Thi Apne Purkho Ki Viraasat...

No comments:

Popular Posts