Sunday, June 20, 2010

Terey baarey mein jab, socha nahin tha


Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein ' Aaina ' nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum, 
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Suna bund kar leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

No comments:

Popular Posts