Monday, July 12, 2010

ek aas lagana cahtey hain



ek aas lagana cahtey hain
terey dar e aana cahtay hain

kuch nazr e karam hum e bhi ho
hum sar ko jhukana cahty hain

kia do gay hamain sari khushyan
hum daman helana cahty hain

kuch raaz jo guunjtay hain moon may
unhain dil may dabaana cahty hain

teray kandhay e sar rakh k dost
gham ana sunana cahty hain

sab zakhm dikha kar aney tumhe
saath aney rulana cahty hain

No comments:

Popular Posts