Thursday, July 15, 2010

Kub talak shab k andhairay main sehar ko tarsay



Kub talak shab k andhairay main sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar main ghar ko tarsay

Aankh thehray howea paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar k safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub-e-sukhan
Jab koi ehal-e-hunar, arz e hunar-o-tarsay

Aab k iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ki raat mairay deeda-e-tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko Khaliq
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

Na shana saye k mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal-o-khad-e-aania gar ko tarsay

Aik dunia hai k basti hai teri ankhoon mein
Woh tu hum thay jo teri k nazar ko tarsay

Shoor-e-sur sar main jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam-e-gul main wohi shaakh samar ko tarsay ....!!

No comments:

Popular Posts