Wednesday, July 7, 2010

na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai


na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai
main likhun to kaisay gazal likhun mera zehn zere-ataab hai

jo chaman mein bad-khazan chali wo chaman ka husn bhileygaee
na bahar misle bahar hai na gulab misle gulab hai

jo naqab rukh se juda huee nigah-e-harees bhi waa huee
mere dil ko jis ki talash thi ye wahee to jan-e-shabab hai

jo na sajda-haaye khulose ho ussay sajda kahna hai kab rawa
ke khulose hi to namaz hai ke khulose mein sawaab hai

wahi intezaar ke rozo-shub wahi justaju hai wahi thakan
meri zindagi bhi nesaab hai teri zindagi bhi nisaab hai

mera humnawa mera humsafer sar-e-raah milta to hay mager
na salaam hai na kalaam hai na sawaal hai na jawaab hai

yahan aik lamha bhi jabr se kisi taur kam nahin dosto
ke qadam qadam pa saleeb hai ke qadam qadam pa azaab hai

naye jang ki naee aag phir kisi pal kahin na bharak uthay
wo azaan-e-amn to day koi jo faridi kaar-e-sawaab hai...

No comments:

Popular Posts