Saturday, August 28, 2010

Mere qatil ko pukaro k main zindha hoon abi


Mere qatil ko pukaro k main zindha hoon abi
Phir se maqtil ko sanwaroo k main zindha hoon abi

Ye sab-e- hijar to sahti hai mera barsoo se
Jao so jao sitaroo k main zindha hoon abi

Ye pareshan se gesso nahi dekhy jetty
Appni zulfoo ko sanwaro k main zindha hoon abi


Lakh mojoo main ghira hoon abi doba to nahi
Muj ko sahil se pokaroo k main zindha hoon abi

Kabar se ajj bi mohsin ki atti hai sada
Tu kahan hoo mery yaroo k main zindha hoon abi

Kharay soday kaa qail hoon, so behter baich deta hoon



Kharay soday kaa qail hoon, so behter baich deta hoon
Main dariya pass rakhta hoon, samandar baich deta hoon

Sohanay khawab to kaanton kay bister per bhi mumkin hain
Maiyasar ho ager phoolon kaa bister baich deta hoon

Chalo yoon he ana gar aapki taskeen paati hay
To main haq goi kaa anmol gohar baich deta hoon

Hayat-e-chand roza kay sakon-e-khaam kee khater
Main apni daaemi qadron kaa paiker baich deta hoon

Kisi kaa June accha kat sakay gaa is tarha Nasir
Bohot pehlay say main apna December baich deta hoon

Aastino mein naag paale hain Loog bemaut marne waale hain


Aastino mein naag paale hain
Loog bemaut marne waale hain

Raunke jism e sar ba sajda thi
Us haveli mein aaj jaale hain

Haddiyan choos lenge dunya ki
Woh zamane ne kutte paale hai,

zakhm bakhshe hai usko phoolo ne
Jisne pathar nichaur daale hain

Har parinde ki rooh larza hai
Aise phande soonahre daale hain

Sheesh mahloon ki aaj khair nahi
Waqt ne sang woh uchaale hain

Sach ko jhootla diya tha jisne
Aaj uski zubaan mein chaale hain

Unko koi samajh nahi sakta
Unke andaaz hi niraale hain

Jo bhi qatil hamare hain
Phool se chehre bhole bhaale hain

dukh dard mein hamesha nikalay tumharay khat


dukh dard mein hamesha nikalay tumharay khat
aur mil gayee khushi to uchalay tumharay khat


sab chooriyan tumhari sumander ko soonp di
aur kar diye hawa k hawalay tumharay khat


meray laho mein goonj raha hai har aik khat
mein ne ragon k dashat mein paalay tumharay khat


yun to hein beshumaar wafa ki nishaaniyan
lakin har ek shay se niraalay tumharay khat


jaisay ho umar bhar ka asaasa ghareeb ka
kuch iss tarah se mein ne sanbhalay tumharay khat


ehal e hunar ko mujh pe WASI aitraaz hai
mein ne jo apnay shair mein dhalay tumharay khat


parwa mujhay nahi kissi chand ki WASI
zulmat k dashat mein ujalay tumharay khat

Labon pe haraf na sawal rakhta tha


Labon pe haraf na sawal rakhta tha
Kabhi main zabat main itna kamal rakhta tha

Khabar kahan thi mujhe hi wo bhool jaye ga
Ek ek cheez meri jo sambhal rakhta tha

Bichertey waqat bazahar to kuch na bola tha
Magar nigha main so so sawal rakhta tha

Wo muskura ke bohat dair chup raha
Jase hansi ki ar main malala rakhta tha

Suna hai ab bhi log use bohat satate hain
Jis aik shaks ka main bohat khuyal rakhta tha

bhuli bisari chand umeedein chand fasaane yaad aaye



bhuli bisari chand umeedein chand fasaane yaad aaye
tum yaad aaye aur tumhare saath zamaane yaad aaye


dil ka chaman shadaab tha phir bhi khaak si urti rehti thi
kaise zamaane ai Gam-e-janaa tere bahaane yaad aaye


thandi sard hawa ke jhonke aag laga kar chhor gaye
phuul khile shaakhon pe naye aur dard puraane yaad aaye


hansane walon se dertay the chhup chhup kar ro lete the
gahri gahri soch mein duube do deewane yaad aaye

Ab to kuch apni tabiyet bhi juda lagti hai


Ab to kuch apni tabiyet bhi juda lagti hai,
Saans leta huin to zakhmon main hawa lagti hai.

Kabhi raaji to kabhi mujse khafa lagti hai,
Zindgi tu hi bata tu mei kya lagti hai.

Na jaane kyon tera milker bicherna yaad aata hai,
Main ro perta hoon jab guzra zamana yaad aata hai.

Nahi bhoola huin tujhe abtek O bhoolne wale,
Bata tujhko bhi aisa phasana yaad aata hai.

Teri tasveer ko bus dekhte hi e be rahem,
Mujhe wo pyaar ka mausem suhana yaad aata hai.

Na kerna gum meri berbadion ka bhi bhoolker,
Mujhe aab bhi teri kasmon ka khaana yaad aata hai.

Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan


Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan
main kitna tanha betha hoon qurbat k veeraney main

bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad k sath
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main

aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main

baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main

aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main

jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main

aik wazahat k lamhey main mujh par ye aehwaal khula
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main

pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
ab tu "SAFI" bikhar jata hoon main khood ko behlaney main

Wo gumaan gumaan sa qayas sa kabhi door sa kabhi paas sa



Wo gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni mein chupa hua
kabhi khusbuoon mein basa hua

kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hi faslay

kabhi dor chalti hawaon mein
kabhi meenh barasti ghataon mein
kabhi bad guman kabhi mehrban
kabhi dhoop hy kabhi sayeban

kabhi band dil ki kitaab mein
kabhi lab kushan wo khwab mein
kabhi youn k jaisse sawaal ho
kabhi youn k jaisse khyaal ho

kabhi dekhnay k hein silsilay
kabhi sochne k hein marhalay
kabhi sirf rang e bahaar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa

kabhi dastaras k kareeb kareeb
kabhi dor pass kahin nahin
ye jo ukhra ukhra sa shakhs hy
ye jo bikhra bikhra sa shakhs hy.

Tum ne mujh se mujhe juda ker k


Tum ne
mujh se mujhe juda ker k
sheesha-e-dil ko aaina ker k
aks is mein utaar ker apna
rukh diya bhooli basri cheezo`n mein
waqt ki adh-khuli darazo`n mien
kisi be-naam se guma`n k pas
ik adhoori si dasta`n k pas
jis jaga
gum-shuda khato`n mien chupay
aansou`n ki tarah chamaktay hoay
yaad k be-shumaar jugno` hain
dard k be-hisaab pehlu hain
khush pholo`n ki patiyon mein kahin
kisi barsaat ki nami hai jahan
zindagi ki boht kami hai jahan
tooti chori k saath rakhi hoi
ik december ki shaam k hamrah
kuch khizaan k bhi din paray hain kahi
khwaab ki dhajeeyo se liptay hoay
chaand raatoon k silsilay hain kahi
aur kuch ahed wafa na hoay
Qarz sansoon k
jo ada na hoay
itni cheezoon k beech rakha howa hai
aaina toot bhi tu sakta hai
bach bhi jaye tu
aainay pe pari
sainkaron dil-zada kharashon mein
koi soorat kahan ubharti hai
sans ka kia hai
chalti hi rehti hai...

tanha tanha lagta hai aadhi raat ka pora chaand


tanha tanha lagta hai, aadhi raat ka pora chaand
dil se baate'n karta hai, aadhi raat ka pora chaand

tu jo aana bhool gaya, ahd nibhana bhool gaya
tera rusta takta hai, aadhi raat ka pora chaand

us ke pyaar me'n kho'ey ham, uski khatir ro'ey ham
dekh ke aksar hansta hai, aadhi raat ka pora chaand

such ye hai, paraya hai, phr be dil ko bhaya hai
baat meri kab sunta hai, aadhi aat ka pora chaand

ik din thi tanhai bohat, yaad tumhari aai bohat
bilkul tum sa lagta hai, aadhi raat ka pora chaand

Dosron ko hamari sazaain na dey



Dosron ko hamari sazaain na dey!~!
Chandni raat ko bad_duaain na dey!~!

Phool sey aashqi ka hunar sikh ley!
Titliyaan khud rukaingi sadaain na dey!

Sab gunaho ka iqraar karney lagey!
Isqadar khubsurat saazian na dey!

Motiyon ko chupha sipiyon ki tarah!!
Bewafaaon ko apni wafaain na dey!

Main bikhar jaaunga aansoun ki tarah!
Is qadar pyar sey bad_duaain ne dey

Hum To Saaya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe


Hum To Saaya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe
Ya Kabhi Bhi Na Nazar Aaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Chahe To Sar-E-Aam Karein Ehd-E-Wafa
Yunhi Duniya Se Guzar Jaye Agar Tu Chahe

Tujh Se Milne Mein Toh Jaanan Teri Ruswaayi Hai
Hum Teri Yaad Se Mil Aaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Keh De Toh Pukaare Sar-E-Bazaar Tujhe
Ajnabi Ban Ke Guzar Jaaye Agar Tu Chahe

Zindagi Jilein Agar Teri Ijaazat Mil Jaaye
Teri Chokhat Pe Hi Mar Jaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Chahe Toh Zamaane Ke Sitam Yunhi Sahen
Saari Duniya Se Bhi Takrayein Agar Tu Chahe

Zabt Ka Husla Na Poch Abhi


Zabt Ka Husla Na Poch Abhi
Shashmay Girya Se, Ja Na Poch Abhi

Pehle Ye Titliyan Uthane Dey
Kia Huwa Sanihaa Na Poch Abhi

In Dino Khud Bhatak Raha Hai Wo
Us Se To Rasta Na Poch Abhi

Pehle Pairon Se Thakan Rakhne De
Kia Huwa Abla Na Poch Abhi

Pehle Sansain Samait Lene Dey
Kia Huwa Kia Huwa Na Poch Abhi

Ansooun Kay Safar Main Jane Jaan
Kaise Bikhri Dua Na Poch Abhi

Pehle Ye Poch Koi Hai Kay Nhi
Kis Ka Hai Asra Na Poch Abhi

Dard Nainon Mein Phailta Raha


Dard Nainon Mein Phailta Raha
Ye Aur Baat Ke
Barrey Zabt Say Main Jhailta Raha
Mohabbaton Say Darney Laga Tha
Khud Pay Sitam Karney Laga Tha
Raah-e-Faraar Dhoondhney Laga Tha
Par Jaaney Kaisey
Koi Barri Adaa Say
Kaanon Mein Ras Ghol Ke Kehney Laga
Tanha!!
Ye Mohabbaton Ka Nagar Aabad Rakhna
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Ye Mohabbatein
Ye Chahatein
Tumhein Kahin Say Na Milein Gi
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Sach Poocho To
Mujhey Bhi Tumhari Zaroorat Hai ..!!!!

Teri Mukhtasir Si Chahat Ko Bhulain Kesay


Teri Mukhtasir Si Chahat Ko Bhulain Kesay
Tumko Bhool Kar Khud Ko Chain Dilain Kesay


Na Jane Konsi Kashish Tere Pas Lay Aati Hai
Tere Paas Aakar Tujh Mein Samaein Kesay

Humne Dil Se Chaha Hai Tuhjhe
Teri Chahat K Qabil Khud Ko Banaien Kesay

Kyun Pochte Ho Humse Aansuo Ki Shiddat
Hum Us Mein Tera Aks Tujhe Dikhain Kesay

Hum Tumhain Bohat Muhabbat Karten Hain
Magar Tujhe Ye Ehsaas Dilain Kesay

Mohabbat main deewangi zaroori hai


Mohabbat main deewangi zaroori hai
Mohabbat saare
Rishte naatay tor deti hai
faqat ek Dil se
Rishta jor leti hai
Mohabbat ki haddein hoti nahi
Haddon ko tor dena
Is ka shewa hai
Agar tumhain mujh se
Mohabbat hai to phir
Yeh rishte naaton ki
Bandishein torna hongi
Agar aisa nahi kar sakti to
Phir hum tum apni khuwahish ke
Khilone tor dete hain
Dilon ko mor lete hain
Mohabat chor detey hen...!!!

Tujhe hai Mashq-e-Sitam ka Malaal waise hi


Tujhe hai Mashq-e-Sitam ka Malaal waise hi
humari Jaan hai, Jaan par wabaal waise hi

Chala tha Zikr Zmaane ki bewafaai ka
so aa gaya hai Tumhara KHayal waise hi

Hum aa gaye hain Tah-e-Daam to Naseeb apna
wagarna usne to phenka tha Jaal waise hi

Main rokna hi nahin chatha tha Waar uska
giri nahin Mere Haathon se Dhaal waise hi

Zamaana humse bhala Dushmani to kya rakhta
so kar gaya hai humein Paa-e-Maal waise hi

Mujhe bhi Shouqe na tha Daastaan sunane ka
"Faraz" usne bhi poocha tha Haal waise hi

Mizaaj hum se ziyada juda na tha us ka



Mizaaj hum se ziyada juda na tha us ka
Jab apne tor yehi thay to kya gila us ka

Woh apne gham mein tha bekhabar raha mujh se
Isey gumaan bhi nahi mein nahi raha us ka

Woh Barq-Ro tha mager reh gaya kaha jaaney
Ab intezaar kerey gay shikasta-Paa us ka

Chalo yeh sel bilakez hi banay apna
Safina is ka, khuda is ka, Nakuza us ka

Hamay ne tark-e-taluk mein pehal ki kay faraz
Woh chahta tha mager hosla na tha us ka…

Kaisay kahu Kay meray paas ab kuch bhi nahi baki


Kaisay kahu...
Kay meray paas ab kuch bhi nahi baki
Meray charoo taraf daikho to kitni roshni si hai
Andhaira jab dabay paoo meri janab lapaka hai
Tere alfaaz kay jugno fiza mei phail jatay hain
Hamaray dil kay anghan mei Khizaan ayee bi to kaisay
Tumhari baat ki khushboo kabi dheemi nahi perti
Kabi maili nahi hoti
Woh rangoo say bhari chadr
Tumharay ankahay lafzoo nay
Meray tootatay thakay zakhmi man per
Bohat holay say dhali thi
Kahu kaisay!!!
Kay meray paas ab kuch bhi nahi baki...

Hum Udas Retay Hain Tum Na Yeh Samagh Lena



Hum Udas Retay Hai
Tum Na Yeh Samagh Lena
Hum Tum Hi Par Martay Hain
Yeh Udas Baatain Jo .........!!!
Dil Ko Dard Daiti Hain
In Udas Lamhon Main
Anginat Sey Aansoo Hain
Anginat Say Sapnay Hain
Kis Ko Mai Kahon Sathi
Kon Hai ..!! Jo Apna Hai
Raat Ki Khamoshi Main
Dard Berhta Jata Hai
Aik Chahra Aankho Main
Jab Utarta Jata Hai
Aankh Ho Ya Dil Apna
Bareshey To Hoti Hain
Bareshoon Kay Moosam Mai
Log To Bikharty Hain
Tum Na Yeh Samagh Laina
Hum Tum Hee Par Marty Hain........!!!!!!

Woh Kitney Haseen Lamhey They


Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab hum tum saath hotey they,
woh geelay neem k neechay,
geeli ghaas pe baitha,
chandni raat main,
main tumhari zulfain gina kerta tha,
aur tum madhosh si masoom si ,
meri soorat takti thi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum merey pehlo main baithi,
un udaas palon ko yaad kia karti thi,
jab tum mujh se rootha kerti thi,
kuch naraaz naraaz si tumhari soorat,
mujh main khalish si paida kerti thi,
jaisey poori dunya mujh se rooth gayee ho,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab main tumharey kandhey pe ser rakh k,
roya kerta tha,
aur dua kerta tha,
k hum kabhi juda na hon,
tum bhi kia khoob larki thi,
tum bhi ro dya kerti thi,
phir hum dono,
ek doosrey k,
ansoo poncha kertey they,
aur phir achanak khilkhila k,
hansney lagtey they,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum ek phool k saath,
mujh se milney aya kerti thi,
aur phir kuch hi dair main,
janey ki zid kia kerti thi,
aur main tumhain,
rokta rehta tha,
woh ek ek lamha gina kerta tha,
aur phir achanak tum,
pyar se khuda hafiz kehti,
aur,
sangeet ki dhunon ki tarha,
hawa main gum ho jaya kerti thi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tumharey diyey hoey woh phool,
gin gin ker main rakhta tha,
jin ki khushboo se ,
meri almari mehek si jati thi,
aur phir us khushbo main main,
aisa samo sa jata tha,
jaisey merey jeewan main udasi,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

Woh Kitney Haseen Lamhey They...


Ab to koi bhi naheen hai,
woh lamhay woh yadain hain,
na koi soorat na koi kandha,
aur na koi dhanda hai,
na koi roothney wala hai k,
jis ko ab manaya jayey,
na koi matha hai k jis pe,
bosa sa lagaya jayey,
na koi haath hai k jisko,
apney haath main thaama jayey,
aur na koi masoom si soorat,
k jis pe pyar sa aya jayey,
ab to sirf un lamhon ki,
kuch qeemti si yadain hain,
k jin k saharey jeeney ki,
tamanna main hum harey hain,
HUM HAREY HAIN....HUM HAREY HAIN....

Rooshan Kaheen Bahaar Kay Imnkaan Howay Tu Hain


Rooshan Kaheen Bahaar Kay Imnkaan Howay Tu Hain
Gulshan Main Chalk Chund Giraybaan Howay Tu Hain

Abh Bhee Khizaan ka Raj Hai Laikin Kaheen Kaheen
Gosh-e-Rah-e-Chaman Main Ghazal Khawaan Howay Tu Hain

Thehri Howi Hain Shab Ki Siyahiyaan wahin Magar
Kuch Kuch Saher Kay Rang Pur Afshaan Howay Tu Hain

In Main Lahoo Jala Hu Hamara Keh Jaan-o-Dil
Mehfil Mian Kuch Chirag Firoozaan Howay Tu Hain

Haan Kaj Karoo Kulah Keh Sub Kuch Luta Kay Hum
Abh Bay Niaz-e-Gardish-e-Dooraan Howay Tu Hain

Ahal-e-Qafas Ki Subah-e-Chaman Main Khulay Gee Ankh
Baad-e-Saba Say Wada-o-Paymaan Howay Tu Hain

Hai Dasht Abh Bhi Dasht Magar Khun-e-Paa Say "Faiz"
Sairaab Chund Khar-e-Mugheelaan Howay Tu Hain

tujhy rooz dekhon kareeb se mere shook bhi hain ajeeb se


tujhy rooz dekhon kareeb se
mere shook bhi hain ajeeb se

mujhy mangna hai tujhi ko bus
apne rab or us k habeeb se

meri ankh mein bhi hai ajzii
mere khawab bhi hain gareeb se

mere sub dukhoon ki dawa ho tum
miley kiya sakooon phir tabeeb se!!!

Ham Nay Soch Rakha Hai Chahay Dil Ke Har Khowish


Ham Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ke Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be-Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna



Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboo Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram-Kho Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Totay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna



Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be-Lebaas Batoon Main
Is Tarah Ke Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboo Say
Bach Keh Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La-Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna !!!!!

Mujh Ko Panay Ke Chahat Main


Meray Mola!

Aaj Zara Is Taptay Din Ko

Thanda Kar Day

Chotta Kar Day

Isay Ghata Day

Badal Kay Tukray Say Keh Kar

Barish Kar Day

Boonday Aaye

Pon Chalay

Or Sooraj Guzray Jaldi Say

Magrib Aa Jaye

Meray Malik !

Aaj Bhi Us Nay

Meri Khater

Mujh Ko Panay Ke Chahat Main

Tera Roza Rakha Hai

Meri aankhon k weera'n saahilo'n par


Meri aankhon k weera'n saahilo'n par,
In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,
Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai.
Sanam tum ko ijazat hai....
Meray mann k iss ujday say bayaba'n main,
Gulo'n ko phir khilanay ki,
Faqat tum ko ijazat hai...
K apni khwaab raato'n main,
Meray sapnay sajanay ki,
Meri neendain churanay ki,
Ya phir shehr-e-tamanna main,
Adhori aarzoo ki ....
Koi unmit yaad bunnay ki..
Faqat tum ko ijazat hai,
K jab bhi khwahisho'n ka koi raila,
Tumhary iss khudi aur iss ana ko,
Baha k phir meri aankhon main lay aaye,
Ya phir....
Sawan ki koi ik jhadi ban kar...
Meray sookhay huay mann main...
Baras kar saaz ban jaye,
Tou phir itny guzarish hai...
K tum waapis nahin jana,
Meri inn ankhon main ya ...
Iss dil main kahin tum...
Phir apni yaad k is ghar main reh laina,
Magar waapis nahin jana,
K bin teray kahin ankhain ye meri,
In ashko'n k samandar main...
Kahin nah gharq hojayen.
Ye mera dil...
Jo barson say...
Tumhary aas k badal ki khwahish main...
Adhoori aarzoo ki dhoop sehta hai...
Kahin banjar na hojaye,
Tou bas tum ko ijazat hai...
K jab bhi lautna chaho...
Tou phir...
Meri ankhon main ya...
Iss dil main kahin bhi...
Jo ik pyaara sa ghar hai...
Usi main aa k reh jana,
Magar waapis nahin jana,
Tou bas phir laut anay ki,
Kahin waapis na janay ki,
Sanam tum ko ijazat hai...
Faqat tum ko ijazat hai!!!

waqt jo mere ikhtiyaar mein tha


waqt jo mere ikhtiyaar mein tha
main usi waqt ke hisaar mein tha

Kheench laaya use bhi maqtal tak
wo jo ik lutf iqtadaar mein tha

kal hua qatl shahar jis ke sabab
husn ab bhi usi singaar mein tha

laut aaon ga surkh-ru ho kar
sara lashkar is intezaar mein tha

Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi


Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi

Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They

Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They

Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They

Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai

Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga

Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein

Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna

Dur kahien ik khwaab nagar mein khwaab humare baste thay


Dur kahien ik khwaab nagar mein
khwaab humare baste thay
un khwaabon mein kuch khwab thay aisay
saath buna hum kerte thay
neend se bojhul aankhien ik din
khwaab ko bunte bundh howien
woh khwaab adhora chooth gaya
woh khwaab bhi ab to bhool gaya
woh khwaab adhora hai ab tak
woh baat adhori hai ab tak
kuch kehne k kuch sunane k
armaan adhore hein ab tak
Woh khwaab ju kal shab aaya tha
sandes apne sung laaya tha
kuch gum sum sa' kuch naadim sa
sung aik kahani laya tha
Main ne poocha "koun hai tu ?
kya us ne tujh ko bheaja hai ?
in neend se bojhul ankhoon pe
kya murhum rukhne aaya hai?
ab bol! bata aey khwaab tujhay
kiya poora wo ker paya hai ? "
woh Khwaab bhi aik pujari tha
chup hi raha kuch bhi na kaha
woh apne is khaali pan ko
undar hi undar maar gaya
ik talakh haqeeqat ko jaisey
dil ne mere phir jaan liya
Woh khwaabon ko bunney wala
ab khwaab udhaira kerta hai
khwabon ki qadar ab na jaaney
adhora pan woh na jaaney
woh khwaab thakan mein choor sa tha
woh khwaab bhi sub kuch haar gaya
us ik adhore khwaab ko to
Atish k hawaley kerdala
Hum bhi to sada se khaak hi thay
phir khaak mein hi mil jaeyingey
un khwabon ko un lumhoon ko
tanha jee ker mur jaeyingey
woh khwaab bhi ab to raakh howa
Dur kahein us khwaab nagur mein
ik khwaab ka aaj khoon howa ...

Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue


Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

Khuda jane kya ye 'mujazza' hai ki mehkta hai ghar mera !
arsa hua hai unko iss dayaar-e-muntzir main aye hue !!

Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain !
gale milte bhi hain to hath se dil chupaye hue !!

Ab ehsaas bhi aitbaar ka nazar-e-tuffan ho gaya !
nakhuda ko bhi baithe hain hum bakhuda azmaye hue !!

Kuch iss tarah teri duniya se beaabru hoker hum chale !
jaise zohad wale baithe hain duniya tujhse churaye hue !!

Khudaya shukr ke usne keh jo diya palat ker !
verna phirte teri buzm main apna moo chupaye hue !!

Hawao se jab kabhi muqabil ye patang nazer ayi !
badala rukh hawao ne aur chali sar uthye hue !!

Bhatakti hui ek massom saba roti rahi mere shano pe !
kehti thi kyon ho iss shaher main gaon apna lutye hue !!

Kya dhondhta hai jane wo masiha ab wo dharkanain kahan !
khan-e-dil ko baithi hai wafayen yadon ka mazaar banye hue !!

Wahi palke wahi khushbu wahi chehra to hai “shakeel” !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

koi ayega na mujsa bakhuda mere bad


koi ayega na mujsa bakhuda mere bad
khatam ho jaye ga dastur-e-wafa mere bad

Bhuj hi jaye ga koi dam-e-chirag-e-hasti
thahr jaye ga ye tufan-e-bla mere baad

wo to mein bas hu ki qatil ko duvayen deta hun
werna koi kyu hoga harf-e-dua mere bad

Kaflon ke liye ho jaye gaiy rastey roshan
rehnuma hoongey naqsh-e-kfa pa mere bad

Aaj wo meri wafaon se grezan hi sahi
bhul jaye ga vo kal rasm-o-jafa mere bad

Mein to wo khaaq hun jo chutey hi bikhar jaonga
kis pe itraegi ye moj-e-hawa mere baad

Bad marne ke khuley ge mere johar kya kya
hogi ye duniya mere nagmon pe fida mere baad

Ajeeb hijer parasti thee us ke fitrat mein


Ajeeb hijer parasti thee us ke fitrat mein
shajar k tootay pattay talash krta tha


tamam wo parday hata k chand kay sath
jo khoo gaey wo lamhay talash krta tha


duain krta tha ujray hoay mazaroon par
baray ajeeb saharay talash krta tha


mujhay tu aaj bataya hay badlon nein "Wasi"
woh laut anay k rastay talash krta tha

Phir bichray pattay shakhoon se,phir dil ne tujhay pukara hai


Phir bichray pattay shakhoon se,phir dil ne tujhay pukara hai...
Ab pat-jhar ho ya sawan ho,teri yad he aik sahara hai.


~Tu sakin hai mein sakin hon,phir dori kesay mit paey...
Darya ka aik kinarah mein,aur tu bhe aik kinarah hai.


~Tum jeet hamesha chahtay thy,hum haar hamesha manay hein...
Tm jeet gaey hum haray hein,phir sir khum ajj hamara hai.


~Es jag mein akailay aey thay es jag se akailay jana hai...
Yahan nafsa nafsi hy her soo,iss jag mein kon hamara hai.


~Aandhi ki saaein saaein mein,yeh chum chum kerti barish mein...
sagr ki saari moojon mein,rus gholta raag tumhara hai.


logo kesay btaein hum,bin uskay kese zinda hein...
behaal howeay,madhosh hein hum,yon hijr nay hum ko mara hai.

Hijer kay mahtaab sun hum be hain teray humsafar


Hijer kay mahtaab sun
hum be hain teray humsafar
hum say be koi baat ker
hum tu teray rafeeq hain, hum say na ejtenaab ker
dasht-e-firaaq-e-yaar main
azloon kay ham-rakaab sun
jab bakhat main na chain ho
kisi say kia gila karain
oss say kahan milla karain
raah main oss ko rook lain, kaisay ya hosla karain
tu tu hamaray sath chal, tu tu hamaray khawab sun
hijer kay mahtaab sun
taroon main jo intashaar hai, kis ki nigah kay sabeb
hum na jissay ganwa dia, shiddet-e-raah kay sabeb
oss kay ghami-e-firaaq main ,
hum say kabi hissab sun
hijer kay mahtaab sun, hum be hain tery humsafar
hum say be koi baat ker.

Her shama dhalay is saahil pay koi aik perdaisi ata hai


Her shama dhalay is saahil pay
koi aik perdaisi ata hai
joh gum sum baitha rehta hai
yeh lehrain ginta jata hao
Aur
tees si pa ker seenay mei
chand ansoo roz bahata hai
weeranay sath woh lata hai
tanahyee sath lay jata hai
Koi poochay us perdaisi say
Kuch us ki dil ki halat kay
Kiyu phool rutoo mei chup chup kay
yeh moti rait milata hai
kiyu dair talak yeh saahil pay
Yun khaali hath hilata hai
Her shaam dhalay is saahil pay
koi aik perdaisi ata hai...

Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Say Bhi Gaya



Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Say Bhi Gaya
Kata K Par Ko Parinda Uaraan Say Bhi Gaya

Tabah Kar Gai Pakkay Makan Ki Khwahish
Main Apnay Gauon K Kachay Makan Say Bhi Gaya

Parai Aag Main Kood Kar Kiya Mila Tujhko
Usay Bacha Na Saka Apni Jaan Say Bhi Gaya

Bhulana Chaha To Bhulanay Ki Inteha Kardi
Wo Shaks Ab Mere Wehmon Guman Say Bhi Gaya

Kisi K Haath Ka Nikla Howa Wo Teer Hon Main
Hadaf Ko Choo Na Saka Our Kamaan Say Bhi Gaya

Ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho


Ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishaat-e-zindagi chhor diya jo ho so ho

Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
jaam-e-fanaa bekhudi ab to piya jo ho so ho

hijr ki jo museebatein arz ki uske rubaru
naazo adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho

hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
subhe adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho

Phool To Sab Hi Sajate Hain Magar


~~Phool To Sab Hi Sajate Hain Magar Ye Hasrat Hai Ghalib~~
~~Dil K Tokron Se Teri Rahon Ko Saja Dain Kisi Roz~~ 

Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do


Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do
Ashkon Ko Aankhon Me Aaj Aur Reh Jane Do


Dharakhta To Dil Uska Bhi Hoga
Uski Be-Rukhi Ka Parda Aaj Aur Reh Jane Do


Bohat Hua Tamsha Bohat Jee Liye
Usko Mujh Se Ghafil Aaj Aur Reh Jane Do


Aaj To Raqeeb Bhi Mere Saare Khush Honge
Uske Chahney Walon Me Mera Naam Aaj Aur Reh Jane Do


Maaloom He Mujhe Uski Be-Niazi Ka Aalam
Mere Intizaar Ka Bharam Aaj Aur Reh Jane Do


Bas Aata Hi Hoga Qaasid Qaza Ka
Ye Darwaaza Khula Aaj Aur Reh Jaane Do


Kisi Ne To Kabhi Pukara Hoga Haseeb

Who Baz-Gasht Hawa Me Aaj Aur Reh Jaane Do

youn sir-e-rah yehi soch chalti rahi meray samnay



youn sir-e-rah yehi soch chalti rahi meray samnay
meri zindagi gir kay sambhalti rahi meray samnay

mujh ko barbaad kiya meray osooloon nay
mein na badla duniya badalti rahi meray samnay

mein ek zinda khayal hoon teri ankhoon ka
inhi sochon mein umer dhalti rahi meray samnay
chandi say tarasha badan keh saktay hain usay
ek kiran si dil mein utarti rahi meray samnay

woh khwahish jo har ghari kiya kartay thay
ek dam nahi, pal pal marti rahi meray samnay

kahin tujh say judai ka na faisla kar bethoon
yeh soch kar roh meri darti rahi meray samnay

takdeer mein tera wajood wazaih tha is liye
kismat mujh say gila karti rahi meray samnay

yaad kay jangal mein safar shoro howa jab
anna meri toot kay bikharti rahi meray samnay

Raat aadhi kheench kar meri hatheli Ek ungli se likha tha pyar, tumne



Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne.

Faasla tha kuchh humare bistaron me
Aur charon or duniya so rahi thi.
Tarikayen hi gagan ki janti hain
Jo dasha dil ki tumhare ho rahi thi.
Main tumhare paas hokar door tumse
Adhjaga sa aur adhsoya hua sa.
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne.

Ek bijli chhu gayi, sahsa jaga main
Krishnapakshi chaand nikla tha gagan me.
Is tarah karwat padi thi tum ki aansoo
Bah rahe the is nayan se us nayan me.
Main laga doon aag us sansaar me
Hai pyar jisme is tarah asamarth-kaatar.
Jaanti ho us samay kya kar guzarne ke liye
Tha kar diya taiyyaar tumne!
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne.

Praath he ki oar ko hai raat chalthi
Auh ujaale mein andhera doob jaata.
Manch he poora badaltha kaun aise
kkoobiyon ke saath parde ko uttatha.
ek chehra sa laga thumne liya tha
aur meine tha utharaa ek chehra.
vo nisha ka swapn mera tha ke apne
par gazab ka tha kiya adhikaar thumne.
Raat aadhi kheench kar meri hatheli
Ek ungli se likha tha pyar, tumne.

Aur utne faasle par aaj tak
Sau yatna kar ke bhi na aye fir kabhi hum.
Phir na aya waqt waisa, fir na mauka us tarah ka
Phir na lauta chaand nirmam.
Aur apni wedna main kya bataun!
Kya nahi ye panktiyan khud bolti hain?
Bujh nahi paya abhi tak us samay jo
Rakh diya tha haath par angaar tumne.
Raat aadhi kheench kar meri hatheli,
Ek ungli se likha tha pyar, tumne.

gile fuzul the ahad-e-vafaa ke hote hue


gile fuzul the ahad-e-vafaa ke hote hue
so chup raha sitam-e-naarava ke hote hue

ye qurbato mein ajab faasale pare ki mujhe
hai aashna ki talab aashnaa ke hote hue

wo hilaa-gar hain jo majaburiyaa shumaar karain
chiraag ham ne jalaaye hawa ke hote huye

na kar kisi pe bharosa ke kashtiyaa Doobi
Khuda ke hote huye naakhuda ke hote huye

kise Khabar hai ki kasaa-ba-dast phirate hain
bahut se log saroon par huma ke hote hue

'Faraz' aise bhi lamhe kabhi kabhi aaye
ki dil girifta raha dil_rubaa ke hote hue

Shikwa karoon bhi to kaisay karun


Shikwa karoon bhi to kaisay karun
seh kar hazar gham ab zuban se kya ada karun

Khwahishon ki ab umeed kahan,
umeed ki khwahish bhi na kya karun.

Ukta gai hun dunya ke makr-o-fareb se,
ji chahta hai neki bhi na kiya karun.

Apnon ne jala diya aanchal apnepan ka,
ab ghairon se kya aas lagaya karoon.

Bachpan guzar gaya par na guzri woh nafrat,
ke nafrat bhi kahe kis se mohabat kiya karun

Bas kuch pal ki hai mulaqat, phir honge hum aazaad,
tum sab se dur jaenge, bas yehi dua kya karun.

mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hei


mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hei
weeran diyaroon ka nagar kaisa laga hei

kuch sookhay hei lab bhi sunate hein kahanee
ujre huey daryaa ka safar kaisa laga hei

aik aas thee so toot gei zindagee haaree
bay-harf dua'oon ka asar kaisa laga hei

abb khawish-e-dunia na tamana hei deen kee
gumghushta sahifoon ka bhawanr kaisa laga hei

dekho mujhe zara bhi nahin khawhish-e-"Qarar"
socho ke sukhan ka ye hunar kaisa laga hai

Jin rahon pe ik umer tere saath rahi hon


Jin rahon pe ik umer tere saath rahi hon,
Kuch roz se wo rastay sunsaan buhat hain,

Mil jao kabhi loat ke phir aaon na shayed,
Kamzor hon main,rah mein toofaan buhat hain,

Ik tarq-e-wafa pe main usay kaise bhula doon,
Mujh per uss shakhs ke ehsaan buhat hain ,,

Bhar aayein na aankhein toh ik baat bataon,
Ab tum se bicharr jane ke IMKAAN buhat hain....

Behke bekhe huwe andaaz-e-bayan hotey hain


Behke bekhe huwe andaaz-e-bayan hotey hain
Aap hotey hain to phir hosh kahan hotey hain

Hont paband hain, mafhoom bayan karne ko
koi samjhey to ye anso bhi zubaan hotey hain

Yaad hai teri nighahon ka badalna mujh ko
Ayse andaz qayamat main kahan hote hain

Q shab-e-gham na jalaoon teri yaadoon ke chiraag
Un se roshan meri manzal ke nishan hotey hain

Ghan hia baqito kisi roz khushi bhi hogi
Phool bhi to khaar ke pehlu main jawan hotey hain

kahin chand raahon mein kho gaya kahin chandani bhi bhatak gai


kahiin chaand raahon mein kho gayaa kahiin chaandanii bhii bhatak gai
main charaag vo bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak gai

merii daastaan kaa uruuj thaa terii narm palakon kii chhaanv mein
mere saath thaa tujhe jaaganaa terii aankh kaise jhapak gai

kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaan vahii faasale
na kabhii hamaare qadam barhey na kabhi tumhaarii jhijhak gai

tujhe bhuul jaane kii koshishen kabhii qaamayaab na ho sakin
terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak gai

Taman shehar se roshan makaan uss ka tha


Taman shehar se roshan makaan uss ka tha
ZameeN Thee Mairi , Mager Aasmaan Us ka Tha

Issi Liya Mujhay Khud Per Gumaan Us ka Tha.
Main Ab Jo Dhoop Main Jalta HooN Ussi ka hai Karam

Main Jis kee ChaooN main Tha Saibaan Us ka Tha
Woh Jis K Waastay Lerta Raha Tha Main Sab Se

Mairay Khilaaf Hee Her Ik Biyaan Us ka Tha
Woh Jis ne Mujh ko Hamesha Hee Dala Mushkil Main

Yeh Pehli Baar Tha K ImtehaaN Us ka Tha
Tum Meri Jaan ho Yeh Bhee Ussi ka Kehna Tha

Tum Zakhm-e-Jaan ho Yeh Bhee Biyaan Us ka Tha
Jo Roshni Ka Mukhalif Tha Shaher main

Tamam Shaher Se Roshan Makaan Us ka Tha

Ye To Sab Khawab Hey Aasal Aur Kaheen Hey Shaiad


Ye To Sab Khawab Hey Aasal Aur Kaheen Hey Shaiad
Yan Jo Mojood Hey Mojood Nahi hey Shaiad

Muntazir Hey Tera Matloob Tujhi Mein Kab Sey
Aur tujhey Phir Bhi Na Milney Ka Yaqeen Hey Shaiad

Kashish-e-Saqal Sey Nikaley Hi Kahan Hein Terey Paon
To Jisey Aasman Samjha Hey Zameen Hey Shaiad

Kab Mera Mashwara Shamil Hey Teri Duniya Mein
Ab Mujhey Theek Se To Nahi Hey Shaiad

Kuch Na Kuch Nuqas To Her Eik Mein Ho Sakta Hey
Is Hawaley Sey To Jo Bhi Hey Haseen Hey Shaiad

Itna Sach Bolney Wala To Yahan Koi Nahi
To Kisi Aur Khazaney Ka Makeen Hey Shaiad

Kash Mera Dil Kaghuz Ka Ik Tukra Hota


Kash Mera Dil Kaghuz Ka Ik Tukra Hota
Jo Likhna Chahti Likhti Us Per
Jo Chahti Mitati
Judai Ki Tasweer Na Hoti Us Per
Dukh Ka Koi Chehra Na Hota Us Per
Kash Mera Dil Kaghuz Ka Ik Tukra Hota

Din Main Sou Sou Baar Tukrey Kerti Us Key
Kerti Us Ko Faza Key Hawaley
Apni Beychani Ko Superd Kerti Us Key
Apni Dewangi Kerti Hawaley Us Key
Phir Beth Key Atth Atth Ansu Roti
Kash Mera Dil Kaghuz Ka Ik Tukra Hota

Bhurta Jub Durd Sey Dil To
Jatan Mitaney Key Us Ko So So Kerti
Mit Mit Jatey Sarey Hurf Ansuwon Sey
Kash Mera Dil Kaghuz Ka Ik Tukra Hota

Sehra ne meri zat ka sehra nahi dekha


Sehra ne meri zat ka sehra nahi dekha
dariya koi bhi aankhon se gehra nahi dekha

jo shakh mutabar lage wo khokli mile
dukh iss se bhi badh kar koi gehra nahi dekha

auncha koi pahad ho ya aasman ho
pani main koi aks bhi tehra nahi dekha

dekha tha itefaq se suraj ko iss ke bad
aankhon ne koi khuwab sunehra nahi dekha

dariya ki tarah aankhon ki jo pias bujhata
jalti hoi aankhon ne wo chehra nahi dekha

sehra ki tashnagi pe he heran wo kanwal
dariya ne kabhi pias pe pehra nahi dekha

Friday, August 27, 2010

Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa


Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa
Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha

Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar
Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha

Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay
Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha

Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana
Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha

Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha

us ne phool bheje hain phir meri ayadat ko


us ne phool bheje hain
phir meri ayadat ko
aik aik patti mein
un labon ki narmi hai
un jameel hathon ki
khushgawar hiddat hai
un lateef sanson ki
dilnawaz khushbo hai

dil mein phool khilte hain
rooh mein charagan hai
zindagi mo'atar hai!

phir bhi dil ye kehta hai
baat kuch bana leta
waqt ke khazane se
aik pal chura leta
kash wo khud aa jata!
bas
kash wo khud he aa jata

Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha


Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha
Kabhi mur kay yeh bhi to daikhta kay mera wajood zameen tha

Woh hi eik sach tha aur us kay baad sari tuhmatain jhoot hain
Meray dil ko poora yaqeen hai kay woh mohabbtoo ka ameen tha

Usay shok tha kay kisi jazeeray pay us kay naam kay phool hoo
Mujay payar kerna sikha gaya mera doost kitna zaheen tha

Kabhi sahiloo pay phiroo gay to sippiyaan hi tumein bataye gi
Meri ankh mein jo simat gaya woh ashk sab say haseen tha...!!!

Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi



Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi
Dono insaan hain Khuda tum bhi nahi main bhi nahi

"Tum Mujhe" aur main tumein ilzaam daity hain magr
Apnay ander jhanktay tum bhi nahi main bhi nahi

"Maslehat" nay ker dia paida dono mein ikhtilaaf
Werna fitrat kay buray tum bhi nahi main bhi nahi

Mukhtalif simtoo mein dono ka safr jari hai
Ik lamhe ko ruke tum bhi nahi main bhi nahi

Chahtay dono boht eik dosray ko hain magr
Yeh haqeeqat mantay tum bhi nahi main bhi nahi

Tere mere dermiyaan to pyaar tha


Tere mere dermiyaan to pyaar tha
Yeh dooriyan yeh faslay
Yeh bay waja ki furqatain
Aee kahan say hain
Hum bhi wohi tum bhi wohi
Sab kuch wohi jo kal raha
Waisay hi roz-o-shab
Waisi hi zindagee
Waisa hi aitbaar
Lakin yeh kya kay soch tum
Bay kaar hi khafa ho
Hum nay to aaj bhi

apni yaad say tumahri
Sajaye rakhi shaam
Anjaan tum huay
Mere Pyaar kay

Iqrar say ........

Mujhe aarzoo-e-sehar rahi yun hi raat bari dair tak


Mujhe aarzoo-e-sehar rahi yun hi raat bari dair tak
Na bikher saka na simat saka yun hi raat bari dair tak

Hai boht azaab aur akailay hum,aur shab-e-gam bhi taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi ankh tar bari dair tak

Yahan her taraf hai alag saman, sabhi hud pasand sabhi khud numa
Dil-e-beqrar ko na mil saka koi charagar bai dair tak

Mujhe zindagi hai azeez tar,isi waste meray hamsafr
Muje qatra qatra pila zehar jo karay asar bari dair tak ...!!!

Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota


Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota
Dil mein hai jo baat kabhi Hamein bhi bataya Hota


Hum ne bulaya tha tumhein kayi baar Sanam
per tum na Aaye

Mohabbat se na sahi nafrat se hi Hamein
kabhi bulaya Hota


Yaadein leker jee rahe hain hum Teri

Aye Bewafa Sanam
Gham to bohat diye tu ne kabhi

khushi se bhi Hamein Nawaaza Hota

Jis tarha jal rahi hoon mai is Mohabbat ki aag Mein
Kaash tu ne bhi kabhi khud ko is aag mein jalaya Hota

Khud to jee rahe ho khushi se bhula ker Hamein
Aaye Zalim ye bhoolne ka hunar kaash Kabir
ko bhi sikhaya Hota

Harf -E- Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai


Harf -E- Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqat Bhi Ho Sakti Hai

Zindagi Phool Hai Khushbu Hai Mager Yaad Rahey
Zindagi Gerdish E Halaat Bhi Ho Sakti Hai

Hum Ne Yeh Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala O Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai

Chaal Chaltey Huwey Shatranj Ki Bazi K Asool
Bhool Jao Ge To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai

Aik To Chat K Bina Ghar Hai Hamara
Us Pe Yeh Khof K Bersat Bhi Ho Sakti Hai

Tere Bare Mai jab socha Nahi tha


Tere Bare Mai jab socha Nahi tha,
Mai tanha tha Magar itna nahi tha,


Samander Ne mujhe rakha piasa,
Mai jab sehra Mai tha piasa Nahi tha,


Teri tasveer se kerta tha Baatain,
Tum se Baat kerne ka hosla nahi tha,


Ruth-ne Manane tak ki Baat theek thi,
Yun Bichar jay gay socha nahi tha,


Hansate rahe sub ko hum,
Koi rula de ga jate hue socha Nahi tha,


Zindagi to hai Bewafa,
Tum B Chor Do gay sath socha Nahi tha

Jab tera dard mere sath wafa kerta hai


Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,
Ik samander meri aankhon se baha kerta hai ,

Uski batein mujhe khushboo ki tarha lagti hain
Phool jaise koi sehra mein khila kerta hai....,

Mere dost ki pehchan yehi kafi hai ......
Wo har ik shakhs ko danista khafa kerta hai,

Aur to koi sabab usski muhabbat ka nahi ,
Baat itni hai ke wo mujh se jafa kerta hai,

Jab khizaa'n aye gi luat aye ga tab wo bhi Faraz,
Wo bahaaron mein zara kam hi mila kerta hai.....

Raha Yun hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq ka Fasana


Raha Yun hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq ka Fasana
Kabi Ana ko Neend aa gayi, Kabi so gaya Zamana

Tum apne Husn-e-Bekhud ko Shikast se bachana
Meri her Nazar Jalwa hai, Mere samne na aana

Teri Aashqi se pehley Mujhe kon janta tha?
Tere Ishq ne bana dia Meri Zindagi ka Fasana

Mujh ko is ka Gham nahi k badal gaya Zamana
Meri Zindagi hai Tum se hai, Kahin Tum badal na jana

Ajab sham khari hai kahi say aa jao


Ajab sham khari hai kahi say aa jao
Bari udaas ghari hai kahin say aa jao

Kisi say milna aur mil kay bicher jana
Saza yeh itni bari hai kahin say aa jao

Bara kathin hai yeh hijer ka mosam
Judayee bol pari hai kahin say aa jao

Zamana jisay samjhta hai motiyoo ki chamak
Woh ansoo ki lari hai kahin say aa jao...

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din


Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
.
Tumhare Dil Mai Utroon Ga, Muhabbat Ki Sada Ban Ker
.
Mere Josh-e-Janoon Per Sari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
.
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho Yun Hassen Ban Ker
.
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon, Ke Akser Chaand Ratoon Main
.
Tere Aangan Mai Aata Hoon Sitaron Ki Zaya Ban Ker
.
Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
.
Hatheli Per Racha Lena Yeh Mehkey Ga Heena Ban Ker
.
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kesey Jaan Sulagti Hai
.
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho ‘Raza’ Ban Ker

main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon


main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon
isi lagan mein kayee shamain guzaar daita hoon

main yunhi her eik say be-rabta nahi milta
her shahks ko us ka mayaar daita hoon

main gam ki kashti ko dabona nahi chahta
bho'j bher jayee to kuch utaar daita hoon

khushiyaan koi mangay to muft daita hoon
gam mangay koi to udhaar daita hoon

badla laina meri fitrat mein nahi
khizaan kay badlay bahaar daita hoon!!!

Lagta nahin hai jee mera ujre dayar main


Lagta nahin hai jee mera ujre dayar main,
Kiski bani hai aal main na paaydar main.

Kehdo in hasraton se kahin aur ja basen
Itni jageh kahan hai dile dag daar main.

Umre daraz maan ke layee the chaar din,
Do aarzo main ket gaye do intezaar main.

Kitna hai badnasib 'Jafer' dafen ke liye
Do gaz zamin bhi na mili kooye yaar main

Sakoot-e-qarb mein utroo ge to yaad ker laina


Sakoot-e-qarb mein utroo ge to yaad ker laina
kabi jo toot ker bikhro to yaad ker laina

khushi kay waqt mein chahay humein bhula daina
gamoo ki rah jo daikho to yaad ker laina

ganwaa na daina kahin umer pashaimani mein
khud apnay aap say uljho to yaad ker laina

mana kay tum guftagu kay mahir ho
'WAFA' kay lafz per 'ATKO' to yaad ker laina...

abhi kuch dair baqi hai khizan ke beet jane mein


abhi kuch dair baqi hai
khizan ke beet jane mein
gulon ke muskurana mein
khushi ke geet gane mein
baharon ke zamane mein
abhi kuch dair baqi hai
main tum ko bhool jaon ga
na tum ko yaad aaon ga
main tum se dur reh kar bhi
tumhen ji kar dikhaon ga
tumhen maloom hai lekin
ye sab main kar na paon ga
ke tum ko bhool jane mein
abhi kuch dair baqi hai

khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun mai


khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun mai
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun mai

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun mai
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun mai

kuch din ka hun mehmaan hubaab sa hun mai
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun mai

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun mai
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun mai

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun mai
bigre huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun mai

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun mai
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun mai

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun mai
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun mai

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun mai

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun mai
haqiqat ho kar bhi kyon "ADE" khwaab sa hun mai

us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai


us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai
main jiyu ga tere bagair bhi muje zindagi ka shaoor hai

na hawas hai mujh mein janab ki,na talab saba-o-shabab ki
teri chashm-e-naz ki hair ho,muje bin piye hi saroor hai

joh samjh liya tuje bewafa to is mein teri bhi kiya khata
yeh hayal hai meray dimag ka,yeh meri nazr ka qasoor hai

main nikal kay bhi teray daam say na giroo ga apnay muqaam say
main Qateel-e-joro sitam sahi muje tum say 'ISHQ' zaroor hai! ! ! !

Ta'aluk toot jayee ga mera saray zamanay se


Ta'aluk toot jayee ga mera saray zamanay se
meray apnay khafa hoon gay tumein apna bananay say...
tumharay sath rehnay say muje taskeen milti hai
bohat takleef hoti hai tumharay door janay say...
meray gher ko jala daina magr yeh zehan mein rakhna
ujala mil nahi sakta kisi ka gher jalanay say...
hamari 'JAAN' jayee gi to phir yeh jaan jao ge
kay haasil kuch nahi hota kisi ko aazmanay say...
tumhara naam kaisay mita doo main apni kahani say
bohat gehra ta'aluk hai tera meray fasanay say! !

mere aaNsuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke Khafaa na ho


mere aaNsuuon pe nazar na kar meraa shikavaa sun ke Khafaa na ho
use zindagii kaa bhii haq nahii.n jise dard-e-ishq milaa na ho

ye inaayate.n ye navaazishe.n mere dard-e-dil kii davaa nahii.n
mujhe us nazar kii talaash hai jo adaa shanaas-e-vafaa na ho

tujhe kyaa bataauu.N mai.n beKhabar ki hai dard-e-ishq me.n kyaa asar
ye hai vo latiif sii kaifiyat jo zubaa.N tak aaye adaa na ho

ye sharaab rez-e-hasii.n ghaTaa jo hai "Kaif" naazish-e-mayakadaa
kisii tashnaa-kaam kii aarazuu kisii tashnaa-lab kii duaa na ho

apnay asool yun bi kabhi tornay paray


apnay asool yun bi kabhi tornay paray
uski khata thi hath muje jornay paray

aya na jab qarar dil-e-be-qarar ko
yadoo kay rukh tumhari taraf mornay paray

un ko to meri yaad bhi na ayee bhool ker
apnay paraye humein jin kay liye chornay paray

woh shahks hud bara ba-asool tha
humein apnay asool jis kay liye tornay paray!!!

Dil ko bekaraar karna hoga. Ishq mein takraar karna hoga


Dil ko bekaraar karna hoga.
Ishq mein takraar karna hoga

Lamah lamah zindgi ka
Bas intazaar karna hoga.

Rishton ka barosa nahi raha
Chahaat ko inkaar karna hoga

barosa tha tun par bahut
Dil tootne ka ikraar karna hoga

Gam ke badal beshumaar hai...
Saanson ko gamkhwaar karna hoga

Zakham diye khaksaar ne itne
Rooh ko bazaar karna hoga

Pyaar mein badha dard hai
“Sial”Sehan baar baar karna hoga...

Zara sa aasmaan diya hota meri wafaaon ka sila diya hota


Zara sa aasmaan diya hota
meri wafaaon ka sila diya hota
maanga tha kuch pal ka saath
mere hisse ka pyaar diya hota

na gila hota tujh se kabhi bhi
meri shikayaton pe nazar kiya hota
intezaar-e-sanam jaan leva ehsaas hai
mere pyaar ka ehsaas sangdil zara hota

har kadam par jhoote waade kiye hai
tere kasmon ka sahaara to mila hota
jhooti aas main jee leti zindagi
kaash laut aane ka waada kiya hota

na umeed ki koi kiran nazar aati hai
tere pyaar ne yun tabaah na kiya hota
na ho raha hai yakeen teri bewafaai ka
kaash teri farebi baaton ko jaan liya hota

paa liya tune kinaara doobo ke mujhko
majhdaar main kashti ko doboya na hota
kinaare ki umeed main tayarti rahi
kaash hasraton ka kinara kareeb hota

Aisa to main ne kabhi chaha hi nahi


Aisa to main ne kabhi chaha hi nahi
Kabhi khud ko
Teray samnay
Majboor paya hi nahi
Najane ye ulfat ki konsi manzil hai
Ke khud ko kabhi tera aseer jana hi nahi
Janey wo kon
Log hotey hain
Wo kis rah ke musafir
Hotey hain
Jo sang-e-baharan pe naz karte hain
Hum ne to kabhi khizan ko bhi
Apna hum safar nahi paya
Hum kis ko apna
Hum raaz kahain
Kis ke wajood
Ko apna khayal kahain
Hum ne to kabhi khud ko bhi
Apna dost jana nahi

Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui


Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui
Phir Sham Usko Main Kahoon Ya K Kahoon Main Zindagi

Payar Ho Challka Hua Teri Niggah K Jaam Se
Surmaai Sa Phelta Ho Rang Uffaq Per Shaam Se
Bazo’oun Ki Qaid Main Ho Ik Badan Simta Hua

Khamoshi Main Goonjti Ho Do Dilon Ki Ik Sada
Ho Ulajhti Saans Main Jesay Shara’rat Saans Ki
Rooh Ko Choonay Lagay Jesay Hararat Saans Ki

Hath Main Ho Chooriyon Ki Dheemi Dheemi Si Khannak
Madham Madham Roshni Main Narm Anchal Ki Dhannak
Hont Hoon Tere Gulaabi Chalki Chagal Ki Tarah

Surmaai Si Phail Jaye Shaam Kajal Ki Tarah
kash So Jao Kabhi Tum Rakh K Sar Aghosh Main
Doob Ker Ankhon Main Teri Ham Rahain Na Hosh Main

Kaash K Mujhko Atta Kar Do Koi Aisa Hi Kal
Kaash Tham Jain Wo Lamhay Or Tham Jain Wo Pal
Wassal K Lamhay Atta Kar Do Mujhay Ik Din Kabhi

Yoon Milain Tum Se K Phir Na Hoon Juda Tum Se Kabhi
Phir Chalay Janay Ki Jana! Baat Na Aye Kabhi
Buss Aik Shaam Day Do Phir Raat Na Aaye Kabhi

Raaste badal jaate hain manzilain badal jaati hain,


Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,

Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!

Kisi ko pyaar kerna deewangi zaroor hai


Kisi ko pyaar kerna deewangi zaroor hai,
pyaar mein khud ko khona manzoor hai.
lekin wohi pyaar agar dil todhde,
to us pyaar ke peeche bhagna fazool hai.

janey wale to chale jatey hai,
dard-e-dil aur yadein chodh jatey hai.
jo kuch unsey mila uska koi gham nahin,
lekin unki soch mein hum waqt bekaar kerte nahin

Honay lagi Nafraten Muhabton k shehar mein


Honay lagi Nafraten Muhabton k shehar mein,
Hum Huy boht Ruswa Muhabton k shehar mein,

Kal Raat aik Darvesh Bhooka hi §o gya
Kese Rehtay hein Log Muhabton k shehar mein,

Kisi ne Pyar dya na kisi ne Ehsas kiya
Aik Majnu Mar gya Muhabton k shehar mein,

Gulaab Hont, §hagufta chehray gay kahan..?
Q band pare hen ye makaan Mohbaton k shehar mein,

Tum ne q likh di hy Mohabat pe Ghazal SAGAR
Jise prhta nahi koi Mohbaton k shehar mein........!

Hujoom-e-gham say jis dam aadmi ghabra sa jaata hay


Hujoom-e-gham say jis dam aadmi ghabra sa jaata hay..

To aisay may...

Usay awaaz pay qaabu nahee'n rehta...

Woh itnay zaur say faryaad kerta, cheekhta aur bulbulaata hay...

K jaisay woh zamee'n per aur Khuda ho aasmaano'n may...

Mager aisa bhi hota hay...

K us ki cheekh ki awaaz k ruknay say pehlay hi...

Khuda kuch is qadar nazdeek say aur is qadar...

Rehmat bhari muskaan say us ko thapakta hay aur us ki baat sunta ...

Hay k faryaadi ko apni cheekh ki shiddat...

Sadaa ki bay-yaqeeni per nadaamat honay lagti hay..

Chilman Sey Lagey Bathaiy Hain Shoq_E_Deedar Liyay


Chilman Sey Lagey Bathaiy Hain Shoq_E_Deedar Liyay
Kab Uthey Ga Perda Serbasta Razon Sey

Dhoop Ki Tamazet Ney Badal Diya Rung Apna
Zooq_E_Haya Ney Bitha Rakha Hey Khamoshi Sey

Mehfil_E_Shaboroz Kesey Guzer Jati Hey Chup Chap
Dildari_E_Dildar Ki Hamnawi Ki Umeed Sey

Arzuwain Aur Umangain Shikesta Dili Per Hain Khatam
Chaakey Gireban Chaak Hey Khoni Arzuwon Sey

Sair Hasil Guftugu Ki Umeed Hain Laa Yani Yadain
Dukh,Deewangi Kareeb Ter Hain Roz_E_Mehsher Sey

Shub_E_Hijran Main Sung_E_Raah Honey Ka Hey Yaqeen
Wafa Ka Daman Chohttaa Naheen Arzaan Zindagi Sey

HUmarey Saffar Mein HUmarey Sath Bas Dil-jAlli Sii Fiza Nahi


HUmarey Saffar Mein HUmarey Sath Bas Dil-jAlli Sii Fiza Nahi
Kuch TiShnagii Kii Sa'atien Kuch UdaaSiyOun Key Lamhey Bhi HAin

HUmien ROzgaar e Hayaat Ney Kaii MajbOoriyOun Mein Jakar Diya
So Yeh WajOod TO Apni Jaga Sahii Par Zindgii Sey Gilley Bhi HAin

HUmien Dey Key hOsh e Aagahii YOun Sapurd e Aazaab Kiya K hUm
FaQt PhOol Ban Kar Khilley Nahi ChiRagh Ban Kar jAlley Bhi HAin

Teray InteZar Mein Raat Bhar hUm Shamma Key Sath ROye Bhii
Chaand Key Sath Jagey Bhi Aur SOoraj Key Sath Dhaley Bhi HAin

DUaien Bhi Kii bOhet Magar TUjhey dhOondney Key WaaStey
Sang Chaak e Gir e Baan Key HUm Khaar Khaar Chaley Bhi HAin

HUmien QiSmatOun Kii Kitaab Key Har Baab Sey hAin Shikayatien
HUm Ney tO Suna Tha In Mein Sab BUrey Nahi Kuch Bhaley Bhi HAin

Is DAsht e JUnOon Key Haath Sey BaChaye Rakhey Sabhi kO RAAB
WO Azaab jO TU Ney FaQt Suney wO Azaab HUm kO Milley Bhi HAin

Zindagi aik safar hay jes main Loog milte hain bichar jate hain



Zindagi aik safar hay jes main

Loog milte hain bichar jate hain

Haadse aik hi pal main kiya kiya

Jene walon pe guzar jate hain

Rah zan aise bhi kuch milte hain ban k rahbar

Aastino main chupe hote hain jen k khanjar

Loog hote naheen dil k wasey

Jaise chairon se nazar ate hain

Aasman in ka zameen in ki zamana in ka

Sari duniya main naheen phir bhi thikana in ka

Aasmanon k yeh tuute tare

Yun zaminon pe bikhar jate hain

Khirkiyon Ke SHeshon Par Reengtay Hoey Qatray



Khirkiyon Ke SHeshon Par

Reengtay Hoey Qatray

Youn Phisaltay Hain jasay

Meray Our Badal Ke

Darmayan Koi Hai -Jo

Meray Our Badal Ke

Raaz Ko Samajta Hai

Jab Gatayen Chayen To

Sirf Wo Nahi Rotein

Ankheen Be Barasti Hain

Khirkiyan Bi Roti Hain

Teri Bevafayi Ka Shukriya, Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya



Teri Bevafayi Ka Shukriya,
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne Vo Maza Diya,

Ye Bahar Kaisi Bahar Hai,
Na Chain Hai..Na Karar Hai,
Ye Chaman Main Kaisi Hawa Chali,
Ki Chirag Dil Ka Bujha Diya,

Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Na Khushi Rahi Na Vo Gham Raha,
Na Vo Tu Rahi Na Vo Dil Raha,
Tune Kya Ye Mujh Pe Sitam Kiya,
Tune Khub Dil Ko Sila Diya,
Tere Gham Main Chain Sa Mil Gaya,

Vo Mile To Kehna Aye Dost
Ki Tumharay Gham Main Udas Tha,
Teri Bevafai Ka Shukriya,
Tune Usahe Jeena Sikha Diya,
Vo Tujhe Na Dil Se Bhula Saka,
Jise Tune Dil Se Bhula Diya,
Teray Gham Main Chain Sa Mil Gaya,
Tere Dard Ne Vo Maza Diya,

Teri Bevafai Ka Shukriya,
Mujhe Tunain Jeena Sikha Diya

Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din.


Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din....
piyar hota hay kia yeh dikhlayon ga ek din......... ..

teri sangg-dili ko sehtay sehtay main,,,,
apni jaan say guzer jayoon ga Ek din.....

apni chahtain sari tujh pay waar kay ,,,,
piyar karna tujhay bhi sikhaoon ga ek din.....

jee na pay gi tu bhi ho kay juda mujh say ,,,,,
aisa piyar tujh say kar jayoon ga ek din....

andhairon main dhondte rah jaiy gi mujh ko ,,,
aisi BAY-RUKHI dikhlaon ga ek din......... ...

kho kay mujh ko bohat pashtay gi sanam tu ,,,,
wafa aisi tujh say kar jaoon ga ek din.........

aisi deewangi say chahoon ga tujh ko ,,, ,,,,
bhool jaoo gi tum bhi sara jahan ek din......

Jaan Teri Bhi Luboon Pay Aaa Jaye Gi ,, ,,
Ban Kay Khak Jab Matti Mai Mil Jaoon Ga Ek Din

Auron ko khush karte rahay aur khud gham sehte rahay


Auron ko khush karte rahay aur khud gham sehte rahay
zindagi bhar hum ek gham gusaar ki talaash karte rahay

Na koi hamraaz mila, na koi hamsafar ka saath
Jahan bhi gaye, sirf yaad-e-maazi ko saath karte rahay

Hain rooh ussi dehleez par, bas jism hain yahan
kis ka hai yeh kasoor, bas yahi sochthe rahay

Yuon to manzil saamne thi magar hamay na thi koi talab
Karwan guzar tay rahay aur hum sirf dektay rahay

Khud pay afsos karnay se ab kia faiyda hoga, Dost
tum apnay liye kab, sirf dusron kay liye jeetay rahay

aseer-e-waswasa kyon ho watan kay roz-o-shb say



aseer-e-waswasa kyon ho
watan kay roz-o-shb say
kis liay bayzaar ho itnay
tumhari aankh me kyon
bayghari kay khwaab raqsaan hai
nigahon main yay har lamha
wo mehfil kis liay aakhir
jahan ki roshni
pehchaan hum say cheen layti hai
rugon main akhir
kyoon khauf ka aalam hai iss darja
fiza-e-bayyaqeeni
kyon utar aai hai sanso main
abhi tu apni mitti main 'namo' ka wasf zinda hai
abhi jharnay salamat hain
abhi darya main pani hai
abhi jheelain nahi sokhen
abhi jungle nahi ujray
fizaon me abhi tak
badalon ka aana jana hai
hawaon me nami ka silsala
taa-dare hai qaim
abhi tak fasl-e-gul ka daman-e-shadaab hai baqi
abhi tak qatra-e-shabnam ki aab-o-taab hai baqi
humaray naam kay daanay
ugga kartay hain khaiton main
humari sar zameen ki
phool say nisbat abhi tak hai
abhi tak titlian perwaaz karti hain gulistan main
haraarat zindagi ki
barf nay ab tak nahi cheeni
sulagtay mehr nay
barsaat ka mausam nahi cheena
abhi sehraon kay afreet say
mehfooz hain darya
abhi nakhl-e-tamana ki
hari shaakhain salamat hain
abhi qadmon kay neechay
maa sift
mitti ki hiddat hai
mayray bhai!
tum is sachai say aagah tu ho gay
Parinday aisay mausam me
kabhi hijrat nahi kartay

Tujhse milne ki aas mein jee raha hai koi


Tujhse milne ki aas mein jee raha hai koi
Itna bhi zaalim na bun zaher pi raha hai koi

Mohabbat karke na nibhaana bewafaai hoti hai
Teri bewafaai ka ilzaam apne sar le raha hai koi

Gar bhulna hi tha to mere pyar ko na azmaate
Tujhko paane ke liye har imtihaan se guzar gaya hai koi

Na aur sitam karna tu ke jaga nahi ab zakhmo ke liye
Ek kona bacha tha dil mein teri tasveer liye baitha hai koi

Aye sangdil ek nazar dekh le tujhse bichhde pyaar ki taraf
Apni laash ko tere pyaar mein aaj kaandha de raha hai koi

ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota


ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadke hoti kabhi benisaar hota

na maza hai dushmaNi meiN, no hai luTf dosthi meiN
koi ghair-ghair hota koi yaar-yaar hota

ye maza tha dillagi ka, ke baraabar aag lagti
na tumhe qaraar hota na humeN qaraar hota

tere waade par sitamgar abhi aur saBr karte
agar apnee zindagee ka hume aitbaar hota

Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye



Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye
Hum ne Aankhon se Ishara kya to Bura Maan gaye

Baat Baat per Muskurana Unki Aadat thi,
Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye


Hamein Aazmane ki Baat karte they Aksar,
Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye


Pyaar mai Be-Wafai na karna Wo Kehte they,
Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye

Koi Aur Tarah Ki Baat Karo Dil Jiss Say Sab Ka Behal Jaay


Koi Aur Tarah Ki Baat Karo .... !
Dil Jiss Say Sab Ka Behal Jaay
Dheyaan Aur Taraf Ko Nikal Jaay
Koi Aur Tarah Ki Baat Karo .... !
Dheyaan Aur Taraf Ko Nikal Jaay
Kisee Aur Khayal Mai Dhal Jaay
Baimasraf Din K Aakhir Par
Yeh Dhalti Shaam Sambhal Jaay
Iss Sakht Mukaam Zamanay Ka
Yeh Sakht Mukaam Badal Jaay
Koi Aur Tarah Ki Baat Karo
Kisee Ghaat Pay Kashti Aan Lagay
Koi Nai Nai Pehchaan Lagay
Koi Nya Nya Anjaan Lagay
Baimasraf Din K Aakhir Par
Yeh Dhalti Shaam Sambhal Jaay
Koi Aur Tarah Ki Baat Karo ....

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai



Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

Ban ke lahu takh/leeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

Eik ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam
Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum
Jo baat samajh na aayay yahaaN woh baat ruhaani lagti hai

Us se baRh kar bhi haseen hoNgay "sagar" magar
Achi itni phir kyuN mujhko woh dewani lagti hai

Tuesday, August 24, 2010

Ek Pal Mai Hua Sab Khatam Kaisey Hua Yeh?



Ek Pal Mai Hua Sab Khatam
Kaisey Hua Yeh?
Kal Khushi Aur Ajj Gham
Kaisey Hua Yeh?

Jo Chahat Ki Tasweer
Buni Thi Maine Aankhon Mai
Ek Anchahi Taqdeer
Judi Thi Meri Raahon Sai
Kal Tak THi Jis Ki Chah'
Dil Ki Chupi Panahon Mai
Ek Shaq Sa Ubhar Kai Aya
Us Ki Sachi Wafa'aon Mai

Na Woh Rahe Wasy Na Ham
Kaisey Hua Yeh?
Kal Khushi Aur Ajj Gham
Kaisey Hua Yeh!

Rasm-e-ulfat sikha gaya koi dil ki duniya pe cha gaya koi


Rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe cha gaya koi

ta qayamat kisi tarah na bujhe
ag aisi laga gaya koi

dil ki duniya ujar si kyun hai
kya yahan se chala gaya koi

vaqt-e-rukhsat gale laga kar
hansate hansate rula gaya koi   

Kaha us ne k shakhoon se Juda phoolon ko karney ki


Kaha us ne k shakhoon se
Juda phoolon ko karney ki
Hawaon ki jo sazish hai
Usey achi nahi lagti
Faqat ik pal ko jee chaha
Usey itna to keh doon aaj
Mohabbat in phoolon ki
Patyon se bher k nazuk thi
Jisee qadmoon talay uss ne
Kabhi ka roond dala hai...!!!

Sunday, August 22, 2010

Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga



Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga...
Khak Jab Khak Main Mil Jaye Gi Tab Pochey Ga...

Gher Basaney Main Khatra Hai K Gher Ka Malik ...
raat Main Dair Se Aaney Ka Sabbeb Poche Ga...

Apna Ghum Sab Ko Batana Hai Tamasha Karna...
Hal -e-dil Us Ko Sunain Gey Wo Jab Pochey Ga...

Jab Bicherna Bicherna Bhi To Hanstey Howey Jana Warna...
Her Koi Rooth K Janey Ka Sabeb Pochey Ga...

Hum Ne Lafzoon K Jahan Daam Lagey Baich Dia...
Dhair Pochey Ga Hameein Ab Na Adab Pochey Ga...

Ujala jo kahin dekho yahi kahna mohabbat hai



Ujala jo kahin dekho...yahi kahna mohabbat hai
kisi ke khuwab main ubhro... yahi kahna mohabbat hai

khizaon main jo bas jao to thamo haath chahat ka
udaasi main kabhi utro...yahi kahna mohabbat hai

koi tum se jo pooche kiyon safar ye bandh rakha hai
jo darya paar jana ho...yahi kahna mohabbat hai

sitare jo kabhi utren kisi ka naam aate hi
dukhon main doobti ankhon...yahi kahna mohabbat hai

kinare doob jayen gar samundar sirf zinda ho
judai main base logo...yahi kahna mohabbat hai!!!

soch lena kadam uthaney sey pehle


soch lena kadam uthaney sey pehle.
Kaheen kho na jao manzil aaney sey pehle.

Mukhlis "dost" sey mehroom ho na jao tum kaheen.
Ye soch lena "humein" aazmaney sey pehle.

Aandhiyaan bohat be reham hoti hain.
Ye soch lena koi "dia" jalaney sey pehle.

Apney daaman ko pholoun sey sajaye rakhna.
Phool sare chun lena "khizan" anaye sey pehle.

Tumharey siney me bhi dharakta howa "dil" hai.
Ye soch lena kise ka dil dukhanaye sey pehle.

Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi Dastakein


Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi Dastakein,
Toota Kiska Dil Kiski Aah Ban Gayee Dastakein,

Humse Kya Poochte Ho Jamane Ki Wahshay Ke Nisaan
Suno Un Khandaron Mein Kya Keh Rahi Hain Dastakein,

Hum Bhi Hue Hain Apni Garj Ke Deewane Eay Garjmandon
Humen Dekh Kar Sote Hue Kafan Se Laut Gayee Dastakein,

Ab Chale Tere Ujalon Se Nihaar Ke Bajam E Khushi
Andheron Se Hawayen Lekar Aa Gayee Dastakein,

Kyun Itne Gum Lekar Chalte Ho Sar E Bazar
Chupana Dushwaar Palkon Par Askon Ki Jo Hui Dastakein,

Tujhse Bhi Ho Khafa Ye Malamat Hai Hum Par
Ye To Chahre Pe Dard Ki Ubhar Aayee Dastakein,

Tum Ro Rahe Ho Apni Mayoosiyon Ko Doston
'Khushboo' E Jahan Ki Aahen Ban Gayee Dastakein...

Kyun Yeh Pal Bohut Adhoora Hai Kaheen Koi Chupa Ley Muje Aaj


Kyun Yeh Pal Bohut Adhoora Hai
Kaheen Koi Chupa Ley Muje Aaj

SikLha Deyta Kash Kadam Wapsi k
Kyun Raahein Sath Nahi Mere Aaj

Kat Tau Gaya Din Soch Main Meri
batla day Kaisi Katey Ki Raat Meri Aaj

Dikha Chuka Houn Soorej Ko Aankhain
Kaisey Chupaoun Aansso Chande Se Mere Aaj

Koi Bhi Jawab Nahi Sawal Ka Mere Aaj
Hai Khamosh Kyun Yeh Sara Zamana Aaj

Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa


Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa
Ke dil barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


mohabat aisa darya he ke jis mein doob bhi jaen,
satah e aab per ayien tu pachtawa nahi hota


Mohabbat aisa sehra he ke rasta bhool bhi jaein,
Khas-o-khashak ho jaein to pactawa nahi hota


Mohabat aisa tilsim he ke jis mein qaid ho jaein
Ya rehai bhi pa jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa surmaya he keh sub kuch lut bhi jae,
aur donoon hath khali hoon to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa jazba he ke jal ke khak ho jaen
pighal ker aag ho jaein, to pachtawa nahi hota.


Mohabat aisa rishta he, duniya rooth bhi jae
Ya khood barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa naghma he ke isko gungunanay wale
kabhi goonge bhi ho jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat milne aur bichirne ka aisa gorakh-dhanda he
ke is me kuch bhi ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa nasha he ke tun barbad hojae
aur dil mitti mein mil jae to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa kasa e kherat he jis mein maaf ker do ki
sada bhi ger, faqat aae to pactawa nahi hota

khwaab Me Aakar Wo Meri Neend Udaata Tha Bahut


khwaab Me Aakar Wo Meri Neend Udaata Tha Bahut,
Har Ghadi Wo Dekhkar Mushkurata Tha Bahut,

Chhod Hi Dena Pada Ghabrakar Uske Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujhko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakad Lete The Ranjo Alam,
Aake Ek Andaaz Me Mujhko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehta Na Tha,
Dusron Ke Pyaar Ke Kisse Sunata Tha Bahut,

Chahta Tha Sirf Meri Hi Nazar Uspar Pade,
Gair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachata Tha Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Me,
Raat Me Lekin Wo Mujhko Yaad Aati Thi Bahut.

Ik sham kahin abaad to ho! us jheel kinaray pal do pal


Ik sham kahin abaad to ho!
us jheel kinaray pal do pal
ik khwaab ka neela phool khilay!
wo phool baha dein lehron mein
ik roz kabhi ham sham dhaley!
us phool ke behte rangon mein
jis waqt lazarta chand chalay!
us waqt kahin un aankhon mein
is bisray pal ki yaad to ho!
un jheel si gehri aankhon mein...
ik shaam kahin abaad to ho!
phir chahe umer samandar ki
har mauj pareshaan ho jaye!
phir chahe aankh dareechay se
har khuwab guraizaan ho jaye!
phir chahe phool ke chehre ka
har dard numayaa ho jaye!

us jheel kinarey pal do pal
wo roop nagar eejaad to ho!
din raat ke is aainay se
wo aks kabhi azad to ho!
in Jheel si gehri aankhon mein

ashna hain teray qadmon sey woh rahein jin per


ashna hain teray qadmon sey woh rahein jin per
us ki madhosh jawani ney inayat ki hay
karwan guzray nahin jin sey usi ranai key
jis ki in ankhon ney beysood ibadat ki hay
tujh sey kheli hain woh mehboob hawaein jin mein
us key malboos ki afsurda mehak baki hay
tujh pey bhi barsa usi bam sey mahtab ka noor
jis mein beeti hui raton ki kasak baki hay
tu ney deikhi hay woh peshani, woh rukhsar, woh hont
zindagi jin key tasawar mein lutta di hum ney
tujh pey uthi hain woh khoi hui sahir ankhein
tujh ko maloom hay kiyon zindagi ganwa di hum ney???

Bisat e jaan pe azab uterty hian kis terah


Bisat e jaan pe azab uterty hian kis terah
shab o roz dil pe atab guzerty hian kis terah
kabhi ishq ho tu pta chaly..
yeh jo log sy chupy huey hian pes e dostaan
tu yeh kon hian?
yeh jo rog sy chupy huey hian pes e jism o jaan
tu yeh kis liya?
yeh jo kaan hian mery ahaton pe lagy huey
tu yeh kiun bhala?
yeh jo log pechy pary huey hian fazol main
inhain kya pta,inhain kya khaber
kisi rah k kisi mor per jo inhian zara
kabhi ishq ho tu pta chaly...

kahin per sham boley gi kahin per raat boley gi


kahin per sham boley gi kahin per raat boley gi
bala ki baraf main garme halat boley gi

abhi main khch nahi boloon ga lakin raat boley gi
jaisey din rok daita hai wo ik ik baat boley gi

ager ansoon kahin per hain to rasta dhoond hi lain gey
samander chup rahey ga to bhari parsaat boley gi

suna hai shaher ki khamooshioon per kaher tooty ga
kisi ka jims boley ga kisi ki zaat boley gi

tumhain maloom hai kuch bolna kitna zaroori hai
ager khamoosh ho jao to phir maat boley gi

Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai


Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

Khuda ke baad ek tera tha sahara mujhko,
Dobi kashti leke doba hai kinara mujhko,
Omr bhar doobta jaonga..mai gham ke.. is samandar mai,
Samandar se bhi ziyada mere gham ki howi gehrai hai

Sookh ker rehgai mere chaman ki daaliyan saari,
Rooth gaye rang morjhagai khilti howi kaliya sari,
Saray parindo ne bhi badal diya ashiyan apna,
Meri mohabbat ke chaman mai kuch aisi khiza aayi hai

Teri bas ek jhalak ke liye tarasta ho mai,
Har gali teri talash mai bhatakta ho mai,
Teri yaadon ne apna qaidi banaliya hai mujhe,
Deakh phir sham teri yaadon ki zanjeer le ayi hai

Zindagi bhar mai tujhko bhula nahi sakta,
Tera pyar mere dil se ja nahi sakta,
Meri mohabbat ko tune kabhi samjha hi nahi,
Meri mohabbat mai na kami ayi thi aur na aayi hai

Basgai hai tu meri ankhon mai ansowo ki tarha,
Zeher bhi lagta hai meetha teri baaton ki tarha,
Uthrahay hai mere armano ke janazay,
Tere bin har khushi kafan mai lipti howi nazar ayi hai

Mujhko tere honto ki tabassom ki qasam,
Moat bhi mujhko aker bhi nahi aayi hai
Dil-e-veeran hai, teri yaad hai, tanhai hai
Zindagi dard ki baho mai simat aayi hai

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake


ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake


merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii mein rahe raushanii ko paa na sake


na jaane aah! ki un aansuuon pe kyaa guzarii
jo dil se aankh tak aaye mishgaan tak aa na sake


rahen Khuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaan
mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake


karenge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake


nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane
naii zamiin, nayaa aasamaan banaa na sake

Wo sahilon pe gane wale kya hue


Wo sahilon pe gane wale kya hue
Wo kashtiyan jalane wale kya hue

Wo subah ate ate rah gai kahan
Jo qafile the ane wale kya hue

Main jin ki rah dekhata hun rat bhar
Wo raushani dikhane wale kya hue

Ye kaun log hain mere idhar udhar
Wo dosti nibhane wale kya hue

Imaraten to jal ke rakh ho gain
Imaraten banane wale kya hue

Ye ap ham to bojh hain zamin ka
Zamin ka bojh uthane wale kya hue

Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna


Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna.
Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna.

Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy.
Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna.

Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi.
Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna.

Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay.
Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna.

Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne.
Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna.

Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon.
Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna.

Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish.
Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna.

Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani.
Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna.

Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar.
Kiya tera bhi hy ye emaan zara phir se kehna.

Armaanon ki chita jalanay se kiya haasil
Huwa hy aub ye raaz nihaan zara phir se kehna...

Saturday, August 21, 2010

tum meri kon hoo

tammam umar us k i khayyal

Popular Posts