Sunday, August 22, 2010

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake


ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gunche khil to sake khil ke muskuraa na sake


merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii mein rahe raushanii ko paa na sake


na jaane aah! ki un aansuuon pe kyaa guzarii
jo dil se aankh tak aaye mishgaan tak aa na sake


rahen Khuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaan
mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake


karenge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake


nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane
naii zamiin, nayaa aasamaan banaa na sake

No comments:

Popular Posts