Thursday, December 30, 2010

haqiiqat hai ye sirf jumla nahii.n hai


haqiiqat hai ye sirf jumla nahii.n hai
musiibat mei.n koyi kisii ka nahii.n hai

wo gul shaakh se yuu.N bhi TuuTa nahii.n hai
kisii ne abhi usko dekha nahii.n hai

na aana na jaana,na milna milana
ajii ye to koyi tariiqa nahii.n hai

kabhi dil kii baatei.n akele mei.n ho.ngi
abhi baat karne ka mauqa nahii.n hai

baDii ChoT khaayii magar ye na jaana
mohabbat mei.n kya kuCh hai aur kya nahii.n hai

khabar kya kahaa.N TuuT jaaei.n ye saa.Nsei.n
bharosa koyi zindagi ka nahii.n hai

No comments:

Popular Posts