Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye
Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye
Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye
Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye
Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye
Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye
Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye
Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye
Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye
Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye
23 comments:
very nice!!
ek umda rachhna dard se bhari
i m very impress dear faysal
Beautiful lyrics. Heart rending!
Wow! You are a wonderful writer and so inspiring and encouraging!
Have a blessed and wonderful day!
Truly Deserve to you Hats off Faysal
beautiful words faysal.
Awesome poetry....
I have just one word " Awesome "
Very Nice Faysal this is very touchy.
rula diya bhai aap ne
Wow... amazing theme and wonderful words..really like it... you have taken me into the glorious past...
Awesome
Heart touching
Rula daala jis ne bhi ye poem likhi hai ghazab ki hai
No Words to say for this one
100/100
boht pyari or dukhiya ghazal hai wah kya he tareef karun
SACH KHU FAYSAL BHAI TO ANKHON SE AANSU AGYE YAR AUR EK BAT KI APKI ES UMDA POETRY SE BHUT HAUSLA MILA KI CHAHE JO HO JAYE HME KOI ALAG NHI KR SKTA..CHAHE JO HALAT HO BUT HUM EK HONGE TO HONGE..KYU KI INSAAN PAIDA BHI EK BAR HOTA HAI ZINDGI BHI EK HI BAR MILTI HAI MARTA BHI EK HI BAR HAI AUR SACHA PYAR BHI EK HI BAR HOTA HAI TO CHAHE JO HO LEKIN MAI APNE PYAR K SATH HI RHUNGA........THANKS ALOT FAYSAL BHAI...
wah wah kya kehnay hazoor bohat umda zoq hay aap ka kmal ke ghazal post ke hay aap nay
shahid shah
waow really nice i really loved it main ne kafi zyda poetries parhi n it ws my first time really really nice
Wow so nice
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaah very nice
Heart touching
wah ji wah
Beautiful lyrics...
very nice ghazl
Post a Comment