Friday, April 15, 2011

kab say hai teri khoj main ay subha-e-bay nishaan


kab say hai teri khoj main ay subha-e-bay nishaan
bay chehra sama'aton ka thaka hara kar'waan

khud say hi bandh lo koi paymaan-e-dosti
dhoodho gay is safar main koi hamsafar kahan

ankhain karon main band to dasti hai teergi
daikhon to chubnay lagti hai khawabon ki kirchiyan

aya naseem-e-subha ki surat wo shehar main
khulnay lagin udaas makanon ki khirkiyan

jab po phati to kehnay lagi oos ki rida!
sab chal diye gharon ko magar jaon main kahan

mana kay ta-abad nahin jaiye gi us ki baas
laikin wo phool aisa badan aye to yahan!

No comments:

Popular Posts