Tuesday, May 31, 2011

Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya


Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye

kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hai.n dehr mein
miT kar bhi jinn ke naam, zamaane me.n reh gaye

mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane me.n reh gaye

aa.nsuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhipaane mein reh gaye

khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye

sikhaa nahii.n zamaane se chhoTaa sa ik sabaq
taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye

apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham lo`g khote sikke chalaane mein reh gaye

insaan bhi jalaaye gaye lakriyon ke saath
ham hai.n k apni jaan bachaane mein reh gaye

No comments:

Popular Posts