Saturday, May 14, 2011

Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri




Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri
Usay khabar hi na thii, khaak kimiya thi meri

MaiN chup hua to wo samjha k baat khatam hui
Phir us k baad to aawaaz ja ba ja thi meri

Jo taa’na zan tha meri poshish E dardidaa par
Usi ke dosh pay rak_khi houi qaba thi meri

MaiN us ko yaad karuN bhi to yaad ata nahiN
MaiN us ko bhool gaya huN, yahi saza thi meri

Shikast de gaya apna Ghoroor hi us ko
Wagarna us k muqabil basaat kya thi meri

KahiN dimaGh kahiN dil kahiN badan hi badan
Har ek se dosti yaari juda juda thi meri

Koi bhi koo E muhabbat say phir nahin guzra
To shahr E ishq maiN kya akhri sada thi meri

Jo ab ghamand say Sar ko uThaaye phirti hai
Isi tarah ki to makhlooq khaak E pa thi meri

Har aik shair na tha dar khor E qaseeda dost
Aur us say tab’ae E rawaaN khub aashna thi meri

MaiN usko dekhta rahta tha hairatoN se ‘Faraz’
Ye zindagi se ta’aaruf ki ibtedaa thi meri

No comments:

Popular Posts