Saturday, December 17, 2011

Kabhi jo tum lout kar aana

Kabhi jo tum lout kar aana
Sang apney kuch housley
Bhi le aana
Gardish-e-ayyam bhaut zalim hai
Naqoosh-e-yaad-e-rafta mita deti hai
Phir bhi jo tum ne
Sanbhal rakhain hoon
Chand gohar hamari ulffat ke
Unhey sang le aana

Kiyun ke
Wohi ab tumhara
Aasasa hain
Wohi ab tumhara aasra hain

Key
Ab yahan main nahi rehta
Key
Teray shehar se nikal kar
Shehar-e-khamoshan ja basa hoon main
Key
Main teray dil mein nahi rehta

1 comment:

Unknown said...

Jane kya rishta tha tehni ka us panchhi se,,,,
Jiske ud jane par wo der tak kanpti rahi...

Popular Posts