Wednesday, February 1, 2012

tumhari zindagi mein main kahan par hoon

tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

 Hawa e subha mein

 ya sham k pehlay sitaray mein

 jhijakti boonda baandi mein

 keh bayhad taiz barish mein

 ro pehli chandni mein

 ya keh phir tapti dopeharon mein

 bohat gehray khayalon mein

 keh bayhad sarsari dhuun mein

 tumhari zindagi mein

mein kahan par hoon,

keh ik khaab e muhabbat tootnay,

aur doosra aaghaz honay kay,

kahin maabain ik baynaam lamhay ki faraghat?

 Tumhari zindagi mein

 main kahan par hoon?

No comments:

Popular Posts