Thursday, March 8, 2012

Nadeeda safer ki had

Nadeeda safer ki had

abhi umeed ka daman hamare haath se chhota nahi hai
abhi deevaar se batein keeye jaane ki aadat k badalne ka
koi imkaan nahi hey
abhi hum aasman per khud se wabasta sitara dhhondhte hein
abhi hum roushani ka istaa.ra dhondhte hein
abhi tareekiyon main apni aankhon per bharosa
zindaghi k raaston ka humsafer hey
abhi is zehan-o-dil ko apni manzil ki talab se hat ker
kuch bhi sochna,sunna,samajh laina gavara nahi hey
abhi hum khawab jaise kaifiyat aorey hue hein
abhi khush fehmiyoon ka tajurba jhoota nahi laghta
abhi to zindaghi mein raaeigaani ki sabhi baatein mehaz afsana laghti hein
abhi umeed ka daaman hum apne haath mein mehsoos kerte hein
mager umeed khud ik khawab hey
ar khawab ki aakhri serhad bhi hoti hey
kisi khush feham nadeeda safer ki had bhi hoti hey
isi serhad per
gharon ko loutney ka faisala baaki nahi rehta
yahein per haath malti raaeigani ki kasak hamraa hoti hey
kasak aasaib ki soorat
nazer se roushani aor dil se dherkan chhen laiti hey!!!!

No comments:

Popular Posts