Monday, July 15, 2013

dafan jo sadiyon talay hai wo khazana de de

dafan jo sadiyon talay hai wo khazana de de
aik lamhay ko mujhay apna zamana de de

chaap de apne khad-o-khaal meri ankhon per
phir rahaish ke liye aaina khana de de

aur kuch tujh se nahin mangta mere aaqa
na rasai ko ziarat ka bahana de de

maut jab aaye mujhay kash tere shehr main aaye
khaak-e-batha se bhi keh de ke thikana de de

zindagi jang ka maidan nazar aati hai
meri har saans ko aahang-e-tarana de de

apnay hathon hi pareshaan hai ummat teri
us kay uljhay huay halaat ko shana de de

apnay mazi se muzaffar ko nidamat tau na ho
us ke amrooz ko farad-e-yagana de de

No comments:

Popular Posts