Sunday, August 11, 2013

hasrat wasal mili lamha e bekaar k saath

hasrat wasal mili lamha e bekaar k saath
bakhat soya hay mera deeda e baydaar k saath

kiya karay jazba e warfatgi shouq e nahaan
dil ko gul rung kiya gosha e purkhaar k saath

aey meray dost ! zara dekh mayn hara toh nahi
mera sar bhi toh para hay meri dasstaar k saath

ayk ehsaas pass e haraf e tasalli uss ka
kaash woh ghao lagata mujhay talwaar k saath

na koe saayafagan hay na koe dhoop badasst
tera deewana para hay teri deewar k saath

bar lab e naaz gul e shaakh e dua meray liye
asmaan ! dekh mujhay chasham e guhar k saath

kiyun woh ungasht badnadaan say meri hayrat pe
mayn toh ayena huwa nargas e beemar k saath

No comments:

Popular Posts