Wednesday, March 31, 2010

Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Sannata Hi Gunj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Mera Maazi Mujhse Bichhad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai,

Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Sahara Sahara Kab Tak Main Dhundun Ulfat Ka Ek Alam,

Alam Alam Ek Sahara Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,



Ahl-E-Toofan Soch Rahe Hai Saahil Dooba Jaata Hai,

Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...







_________________

Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo

Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo,

Bahut Bada Hai Safar Thodi Door Saath Chalo,



Tamaam Umr Kahan Koi Saath Deta Hai,

Main Jaanta Hoon Magar Thodi Door Saath Chalo,



Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi Tumhe Bhi Hosh Nahi,

Bada Maza Ho Agar Thodi Door Saath Chalo,



Ye Ek Shab Ki Mulaqat Bhi Ganimat Hai,

Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo,



Abhi To Jaag Rahe Hai Chirag Raahon Ke,

Abhi Hai Door Sheher Thodi Door Saath Chalo,



Tavaf-E-Manzil-E-Jaana Hume Bhi Karna Hai,

'Faisal' Tum Bhi Agar Thodi Door Saath Chalo...





Sochta Hoon Ke Use Nind Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon Ke Use Nind Bhi Aati Hogi,

Ya Meri Tarah Faqt Ashq Bahati Hogi,



Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulne Wali,

Meri Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,



Is Zameen Pe Bhi Hai Sailab Mere Ashkon Se,

Mere Maatam Ki Sada Arsh Hilati Hogi,



Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Ke Shamayein,

Apni Palkon Pe Kayi Khwaab Sulati Hogi,



Usne Silwa Bhi Liye Honge Siyaah Rang Libaas,

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi,



Jab Bhi Zulfon Mein Koi Phool Sajati Hogi,

Mere Tareek Zamanon Se Nikalne Wali,



Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,

Dilki Masoom Ragein Khud Hi Sulagti Hogi,



Joon Hi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi,

Roop Dekar Mujhe Us Mein Kisi Shehzade Ka

Apne Bachhon Ko Kahani Sunati Hogi...







_________________

Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De

Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De,

Mere Baazu Meri Aankhein Mera Chehra Laa De,



Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samundar Mein Gire,

Isse Behtar Hai Ke Mujhko Mera Sehra Laa De,



Kuch Nahi Chahiye Tujhse Meri Aye Umr-E-Rawan,

Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudiya Laa De,



Jiski Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Padh Sakti Ho,

Koi Chehra To Mere Sheher Mein Aisa Laa De,



Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kayi Barso Se,

Aye Khuda Ab To Dubo De Ya Kinara Laa De...







_________________

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta

Tez Jhonka Na Seh Saka Patta,

Shaakh Se Toot Kar Gira Patta,



Zard Roo Sa Muda Tuda Patta,

Aye Aandhi Hua Hawa Patta,



Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta,

Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta,



De Slaa Rabt Pair Se Rakhna,

Fasl-E-Gul Ka Yeh Gamzada Patta,



Besaharon Ki Zindagi Jaise,

Pair Ke Saaye Mein Pada Patta,



Hum Bhi Ra'na The Yun Kabhi,

Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...







_________________

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai

Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai,

Saaya Bhi Chhupta Jaata Hai,



Aisi Hi Muskaan Tumhari,

Guncha Jaise Khil Jaata Hai,



Zakhm Laga Ke Wo Kehte Hai,

Bol Re Sajan Tu Kaisa Hai?



Baatein Kar Imroz Ki Pyaare,

Chhod De Usko Jo Farda Hai,



Is Duniya Mein Ulfat Dhunde,

Kuch Kuch Diwana Lagat Hai...


Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi

Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Nahi,

Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi,



Ab Agar Mel Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi,

Baat Todi Bhi Nahi Tumne Banayi Bhi Nahi,



Ye Sahara Bhi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye,

Tum Agar Meri Nahi Ho To Parayi Bhi Nahi,



Mere Dilko Na Saraho To Koi Baat Nahi,

Gair Ke Dil Ko Sarahogi To Mushkil Hogi,



Tum Haseen Ho, Tumhe Sab Pyar Karte Honge,

Main Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge,



Sabki Aankhon Mein Isi Shoq Ka Toofan Hoga,

Sab Ke Seene Mein Yehi Dard Ubharte Honge,



Mere Gam Mein Na Karraho To Koi Baat Nahi,

Aur Ke Gam Mein Karrahogi To Mushkil Hogi,



Phool Ki Tarah Hanso Sabki Nigahon Mein Raho,

Apni Masoom Jawani Ki Panahon Mein Raho,



Mujhko Wo Din Na Dikhana, Tumhe Apni Hi Kasam,

Main Tarasta Rahoon Tum Gair Ki Baahon Mein Raho,



Tum Jo Mujhse Na Nibhao To Koi Baat Nahi,

Kisi Dusham Se Nibhaogi To Mushkil Hogi,



Tum Agar Mujhko Na Chaho To Koi Baat Hogi,

Tum Kisi Aur Ko Chahogi To Mushkil Hogi...







_________________

Agar Mohabbat Meri Sachi Hai To Ek Din Zaroor Mila Degi

Agar Mohabbat Meri Sachi Hai To Ek Din Zaroor Mila Degi,

Agar Zid Meri Pakki Hai To Aye Khuda Aasman Ko Bhi Hila Degi,



Na Inkaar Kar Sakta Hai Koi Meri Wafa Se, Mujhe Yakeen Hai,

Par Tum Sambhalna Ek Din Meri Wafa Tujhe Bewafayi Ka Sila Degi,



Ye Baat Sach Hai Ke Tumne Humse Pyaar Kiya Par Dusre Hi Pal Bhula Diya,

Mera Pyaar Itna Aasan Na Tha Na Socha Tha Ke Teri Mohabbat Daga Degi,



Na Bhula Sakungi Wo Mohabbat Na Wo Bewafayi Jo Tune Ki,

Saza Isse Badhke Kya Degi Ke Umar Bhar Meri Mohabbat Tujhe Dua Degi,



Agar Dam Hai Meri Wafa-E-Mohabbat Mein To Wo Ek Din Ayega Zaroor,

Jab Meri Yaad Mein Tu Tadpega Par Tab Tujhe Apni Mohabbat Na Degi...







_________________

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,

Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai,



Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,

Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,



Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,

Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,



Har Taraf Uska Aqs Hai Ab To,

Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,



Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,

Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...







_________________

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye,

Ke Manzil Door Ho Aur Raaste Mein Shaam Ho Jaye,



Wohi Naala Wohi Nagma Bas Ek Tafriti Lafzi Hai,

Qafas Ko Muntashir Kar Do, Nasheman Naam Ho Jaye,



Ye Aalam Ho To Inko Behijabi Ki Zaroorat Kya,

Naqab Uthne Na Paye Aur Jalwa Aam Ho Jaye,



Ye Mera Faisla Hai Aap Mere Ho Nahi Sakte,

Main Jab Jaano Ke Ye Jazba Mera Nakaam Ho Jaye,



Abhi To Dil Mein Bahut Halki Si Khalish Mehsoos Hoti Hai,

Bahut Mumkin Hai Kal Iska Mohabbat Naam Ho Jaye...







_________________

Wo Hai Manind-E-Sung To Main Sung Tarash Ban Jaun

Wo Hai Manind-E-Sung To Main Sung Tarash Ban Jaun,

Chahun Use Itna Ke Pathar Bhi Devta Ban Jaye,



Main Hoon Jahan-E-Wafa Main Us Urooj Par Mutayyan

Jo Tera Naam Le Ke Jiye Tere Naam Pe Mar Jaye,



Ho Aisi Kashish Meri Chahat Mein Ke Use Har Bandhan Se Azad Karun,

Wo Laut Aaye Har Baar Magar Aur Mera Ban Jaye,



Ho Shiddat Aisi Ke Mujhe Hi Kya Mere Aks Ko Bhi Tera Khayal Ho,

Main Jo Aayna Dekhun Kabhi Mujhe Khud Par Bhi Tera Guman Ho Jaye,



Mera Ishq Ho Ishq Ki Us Manzil Par Ke Khud Ishq Tadap Uthe,

Main Tujhe Nazar Bhar Ke Dekhun Hi Kya Meri Aankh Bhar Aaye...







_________________

Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga..

Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga,

Bhool Jaane Mein Use Poora Zamana Laga,



Pith Mein Bhi Maara Khanjar, Dilko Bhi Kiya Zakhmi,

Andaz Uska Ye Mujhe Barha Katlana Laga,



Har Baar Gairon Ki Tarah Wo Milta Raha Mujhe Magar,

Phir Bhi Na Wo Zalim Mujhe Kabhi Begana Laga,



Kahin Bhi Na Mili Jab Mujhe Dard-E-Dilki Dawa,

Tab Maikhana Hi Mujhe Apna Dawakhana Laga,



Kahani Sun Mere Barbaad Hone Ki Wo Bola,

Bahut Khoob Hamein Ye Afsana Laga,



Aaj Ke Is Daur Mein Wo Dhund Raha Hai Wafa,

Kya Kahoon, Mujhe To DILBAAR Pura Deewana Laga...







_________________

Toota Hua Dil Hia Har Baat Par Ro Deta Hai

Toota Hua Dil Hia Har Baat Par Ro Deta Hai,

Muskurana Bhi Uska Kisi Gam Ki Khabar Deta Hia,



Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagne Lagta Hai,

Wo Itna Hassas Hia Har Baat Dil Pe Le Leta Hia,



Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko,

Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai,



Judayi Ke Dar Ne Bahut Shiddat Se Dasa Hia,

Wo Ab Mujhse Milne Se Bhi Darta Hai,



Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab,

Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai,



Ye Ehsaas Hai Qarb Ki Inteha Ko Chuta Hai,

Wo Majmoyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai...





_________________

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,

Mujhe Ek Mutthi Zameen De, Ye Zameen Kitni Simat Gayi,



Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,

Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,



Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,

Jahan Mera Naam Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,



Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,

Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,



Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,

Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi...





Umeed To Rehti Hai Imkaan To Rehta Hai

Jitna Bhi Behak Jaye Insaan To Rehta Hai

Har Lamha Sanbhalny Ka Imkaan To Rehta Hai




Sadiyon Ke Marasim Ki Apni Hai Jaga Lekin

Dam Bhar Ka Taalluq Bhi Pehchan To Rehta Hai



Dam Torti Yaadein Hon Ya Khuwaab Preshan Say

Kuch Pas Mere Uska Saaman To Rehta Hai



Ek Umar Ke Jab Rishtey Lamhon Me Bikhar Jayein

Aankhein To Barasti Hain Aarman To Rehta Hai


Bichray Howe Logon Ka Milna To Hai Mushkil Par


Umeed To Rehti Hai Imkaan To Rehta Hai



Dil pe Ek Tarfa Qayamat Karna

Dilpe Ek Tarfa Qayamat Karna,

Muskurate Hue Rukhsat Karna,



Achhi Aankhein Jo Mili Hia Usko

Kuch To Lazim Hua Wehshat Karna,



Jurm Kiska Tha, Saza Kisko Mili,

Kya Gayi Baat Pe Hujat Karna,



Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah,

Ab Na Kisise Mohabbat Karna,



Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hia,

Waqt Mil Jaye To Zehmat Karna...





_________________

Teri Tareef Karte Hai To Isme Kya Burayi Hai

Teri Tareef Karte Hai To Isme Kya Burayi Hai,

Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,



Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,

Teri Tasveer Humne Kitabon Mein Chhupayi Hai,



Teri Masoom Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,

Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,



Marz Ye IshQ Ka Aisa Laga Ki Phir Nahi Chhuta,

Dua Bhi Humne Ki Dawa Bhi Aazmaayi Hai...

Apne Ehsaasaat Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsaasaat Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do,

Main Kayi Sadiyon Se Adhura Hoon Mukammal Kar Do,



Na Tumhe Hosh Rahe Na Mujhe Hosh Rahe,

Is Qadar Toot Ke Chaho Mujhe Pagal Kar Do,



Tum Hatheli Ko Mere Pyaar Ki Mehandi Se Rango,

Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do,



Iske Saye Mein Mere Khwaab Dahek Uthenge,

Mere Chehre Pe Chamakta Hua Aanchal Kar Do,



Dhoop Hi Dhoop Mein Toot Ke Barso Mujhpar,

Is Qadar Barso Meri Rooh Mein Jalthal Kar Do,



Jaise Sehraon Mein Har WaQt Shaam Hawa Chalti Hai,

Is Tarah Mujh Mein Cahlo Aur Mujhe Thal Kar Do,



Tum Chhupa Lo Mera Dil Apne Dil Mein,

Aur Mujhe Meri Nigahon Se Bhi Ojhal Kar Do,



Masla Hoon To Nigahien Na Churao Mujhse,

Apni Chahat Ke Tawajjo Se Mujhe Hal Kar Do,



Apne Gam Se Kaho Har WaQt Mere Sath Rahe,

Ek Ehsan Karo Isko Musalsal Kar Do,



Mujhpe Chha Jao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,

Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jangal Kar Do...





_________________

Raaz Ki Baatein Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya

Raaz Ki Baatein Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya,

Jaane Kyon Ruswaiyon Ka Silsila Rehne Diya,



Umar Bhar Mere Sath Reh Kar Wo Na Samjha Dil Ki Baat,

Do Dilon Ke Darmiyaan Ek Fasla Rehne Diya,



Apni Fitrat Wo Badal Paaya Na Is Ke Bawajood,

Khatam Ki Ranjish Magar Gila Rehne Diya,



Main Samajhta Tha Khushi Degi Mujhe SABIR-e-Fareb,

Isliye Maine Gamon Se Raabta Rehne Diya

Toota Hua Shisha Joda Nahi Jaata

Toota Hua Shisha Joda Nahi Jaata,

Aankh Se Nikla Hua Aansu Phir Wapas Nahi Aata,



Tum To Keh Ke Bhool Chuke Ho Sab Kuch,

Lekin Mujhse Wo Pal Bhulaya Nahi Jaata,



Teri Mohababt Ne Zanjeerein Dali Hai Aisi,

Ke Chhudana Bhi Chahun To Chhudaya Nahi Jaata,



Mehfil Mein Bhi Mujhko Tanhayi Nazat Aati Hai,

Tere Bin Ye Dil Kahin Aur Lagaya Nahi Jaata,



Mere Dilki Deewaron Par Sirf Tera Hi Naam Likha Hai,

Mitana Bhi Chahun To Mitaya Nahi Jaata,



Saans Rukne Se Pehle Ek Jhalak Dikha Jana,

Bewafa Zindagi Ka Aitbaar Kiya Nahi Jaata...





_________________

Monday, March 22, 2010

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey
Abb Tum Hi Bataao Ke Tumhein Bhulaoon Kaisey

Log Kehtey Hain Ke Main Jo Hoon Woh Tum Hi To Ho
Terey Honey Ko Main Sab Say Chupaoon Kaisey

Jaagti Aankhon Say Bhi Daikhoon To Tera Sapna Daikhoon
Apni Aankhon Mein Kissi Aur Ke Khwab Sajaoon Kaisey

Main Jo Chaahoon Bhi To Keh Na Paaoon Kuch Bhi Tum Say
Mairi Jo Halat Hai Woh Main Tujh Ko Sunaoon Kaisey !
__________________

jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge

hazaaroon manzilein hongi
hazaaoon kaarwaan honge
nigaahein hum ko dhondeingi
na-jaane hum kahaa honge

humein apnaa nahi jana tamanna-e-gham tumharaa hai
ke phir kis par sitam farmaao ge
jab hum nahi honge

bohat aasaan sahi, rahein wafaa ki manzilein lekin
akele kahaan tak jaao ge
jab hum nahi honge

humein kho kar bohat pachtaao ge
jab hum nahi honge
bhari duniyaa ko weeraan paao ge
jab hum nahi honge!
__________________

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha

"us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaana...apne jeewan ka woh lamhaa to batlao mujh ko
jis ke badlay mil sakte hain sabhi sitaare..
dariyaaoon ke saare mooti..
saawan ki pehli baarish ke saare katre..
ojlay chaand ki saari kirnein..
dhartii ke siinay se liptay sabhii khazaane..
saare mausam...sabhi duaaein..
phooloo ki rangeen kabaein..
patti patti parhne waali biinii shabnam..
ism-e-aazam.."

us ne mere sinay pe apna sarr rakh ke poocha..
"jaanaa..apne jeewan ka woh lamhaa to balao mujh ko
jis ke badle sab kuch apna..sab kuch..SAB KUCH..
apna sab kuch de sakte ho...?"

mainne uska maathaa chooma...aur bola
"pehli baar mere sinay pe jab sarr rakha tah...!"
__________________

main tum ko chaahta hoon

main tum ko chaahta hoon
junoo ke dusht mein
jaan se guzar jaane ki hadd tak...

main tum ko jaanta hoon
muattar rooh ke be-ant saagar mein
utar jaane ki hadd tak...

main tum ko poojta hoon
muhabbat ki haseen dewi se sarr takra ke
marr jaane ki had tak...

main tum ko sochta hoon
kabhi duniya...kabhi khud se
marr jaane ki hadd tak...

main tum ko dekhta hoon
faseel-e-darr pe rakhe mehakte khwaab ki khushboo
bikhar jaane ki hadd tak...

YAKIIN jaano...ke main yeh jurm ik pall mein
hazaaroo baar karta hoon...
tumein maloom hota
KAASH!!!
ke main tum se KITNAA piyaar karta hoon!!!

Zinda rahen tu Kya hai Jo mar jayein ham to kya

Zinda rahen tu Kya hai Jo mar jayein ham to kya

Dunya mein khamoshi se guzar jayein ham tu kya

Hasti hi apni kya hay zamane ke samnay

Ek khuwab hai jahan mein biklhar jayein ham tu kya

Ab kaun muntazir hay hamare liye wahan

Sham aa gayi hay lout ke ghar jayein ham tu kya

Dil Ki Khalish tu sath rahgi tamam umr

Dariya e gam kay paar utar jayen ham tu kya

Zinda rahen tu kya hay jo mar jayein ham tu kya

Duniya main khamoshi se guzar jayein ham tu kya

aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na

aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na
andaaz badal lena
aawaaz badal lena
dunya ki mohabbat main
atwaar badal lena
mausam jo naya aaey
raftaar badal lena
ehbaab badal lena
aadat he banaa lee ha is sheher k lougo na
rastay main ager milna
nazro ko jhuka lena
aawaaz ager do to
katraa k nikal jaana
her ik say judaa rehna..
her ik say khafaa rehna
her ik ka gila kerna
jaatay huay raahi ko
manzil ka pata day ker
rastay may rula dena
Sach...
aadat hee bana lee hay...!!
__________________

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..

Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,
Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..

Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..

Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..

Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..

Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise

Mohabbaton ki saza bemisal di uss ne

Mohabbaton ki saza bemisal di uss ne
Udas rehne ki aadat si dal di uss ne
Wo mere jism pe jab apne zakham dekh chuka
To jan boojh k kanton ki shaal di uss ne

Bichar kar phir milein yaqeen kitna tha
Tha to ek khawab par haseen kitna tha
Mere zawal se pehle hi wo mujh ko chor gaya
Haseen to tha hi zaheen kitna tha

Phir yun huwa k raaste yakja na ho sake
Wo bhi anaa prast tha, ham bhi anaa prast

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...

ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...

baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...

mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...

regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa

naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa...
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa...

us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan...
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa...

log tujh ko gungunyein meri khuwahish ki tarah...
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa...

be hunar logon ne phir maanga mere fan ka saboot...
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa...

ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage...
aa meri tanhayi, meri muntazir banhon mein aa...

Kabhi Khud hee meray pass aa

Kabhi Khud hee meray pass aa

Meri baat sun, Mera sath day

Jo Khalish hay DIL say nikal ker

Mujhay uljhano say nijaat day

Tujhay sochna mera mashgala

Tujhay dekhna meri arzoo

Mujhay din day apnay khiyal ka

Mujhay qurb ki koi raat day

Meri zindagee meray sath chal

Meray hath main zara hath day

Mujhay gam, khuchi sub qabool hain

Tu jo agar mera sath day

Khwaab aankhoon mein chubhoo kar dekhoon

Khwaab aankhoon mein chubhoo kar dekhoon
kaash mein bhi kabhi soo kar dekhoon

shayed ubhre teri tasweer kaheen
mein teri yaad mein ro kar dekhoon

is khowaish mein mita jata hoon
tere paoon teri thokar dekhoon

ashuk hain wehum ki shbnum k lahoo?
apni palkoon mein tu bhigo kar dekhoon

kaisa lagta ha bichar k milna....?
mein achanak tujhe kho kar tou dekhoon

ab kahaan apne girebaan ki bahaar?
taar mein zakhum peroo kar dekhoon

mere hone say na hona behtar
tou jo chahe,tera ho kar dekhoon?

rooh ki gurd say pehlay Mohsin!
daagh damun ka tou dhoo kar dekhoon  

Main khawab bohat deakhta hoon

Main khawab bohat deakhta hoon
Aisay khawab!
Jin main wisal k rastay behar ki waadi say ho k nahi guzartay
Jin main mohabbat humesha adh-khulay phool ki tarhan khubsurat
Aur bachay ki muskaan ki tarhan pakeeza hoti hai
Aisay khawab
Jahan aik muskurahat ki qeemat hazar aansu nahi hotay
Meri palkoon ki shakhoon par kaiee aisay khawab baithay hain
Un ki gungunahat mujhay jeenay pay uksati hai
Naiea rastoon ki aur lay chalti hai
Mujhay apnay khawboon say mohabbat hia
un khawaboon main rehnay waalay aik aik shakhs say mohabbat hai
Un khawbaoon main dikhnay waali aik aik shay say mohabbat hai
K Ye sub mera hai sirf mera
Meray khawab meray ilawah koi nahi deakh sakta
Jub tak main na inhay deakhana chaoon
Koi unhay meri aankhoon say chura nahi sakta
Jub tak main khud na kisi ki aankhoon main saka doon
Meray khawboon
Aj main iqraar karta hoon
Ye sach hai k mujhay un aansoon say dar nahi lagta
Magar main phir shayad isliya roonay say darta hoon
K In aankhoon main tum rehtay ho
Tumhara hona mera hona hai
Aur main tumhay khoonay say darta hoon........!!

meri aankhoon k bjhte diae ki lou

aey meri aankhoon k bjhte diae ki lou..
abhi meray qadmoon ki simt
meri hii azmaish ha
k teri hii khowaish ha
abhi koi bazi nahi hari
abhi damun ki gurd nhi jhari
k rait k har zar're mein teri purchain ha
dil ki har dharkan mein tere lafzoon ki
mere guzre hoay lamhoon ki
aik dilnasheen saraey ha
sub titlyoon k dhang tekhay hain
k muhabat k subhi rung phekay han
har aahut p gumaan teri aahut ka hota ha
dil ka dharkna kyoon besabab hota ha
abhi tuk har sans ki sulgti ha aanch
kia meri aankhoon k bujhte diay ki aakhri lou ho tum
...........

Wo ishq jo hum say rooth gaya

Wo ishq jo hum say rooth gaya
ub uss ka haal bataien kya
koi mehril nahi koi qehril nahi
yeh sacha shair sunaien kya

ik hijr jo humko laahuq hai
ta zer usay dohraien kya
wo zehr jo dil mein utaar diya
phir uss kay naaz uthaien kya

ik aag ghum-e-tanhai ki
jo saray badan mein phail gai
jub jism he sara julta ho
phir daman-e-dil ko bachaien kya

hum naghma sara kuch ghazloun kay
hum soorat hein kuch khawaboun kay
bay juzba-e-shoq sunaien kya
koi khawab na ho tu bataien kya

Ager Hum Dost Hotay Tu

Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
__________________

Mar bhee jaaoun to............mat ronaaa

Mar bhee jaaoun to
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna.yaad karna aour jee lainaa
tum meray naam ko kabhee apnay naam say
bicharnay na dena
meray kadmon ke chaap ghar kay darwaazay say
nikalny na dena
mujhay marnay na dena
apnee palkain tum na bhigona mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna ,yaad karna aour jee laina
main apnee awaaz aour apnay saary geet
tumahin day jaaoun ga
meree sab cheezon ko yunhee rahnay dena
jaisay sham dhaltay he
main lot kay aaoun gaa
mujahy kho kar bhee kabhee na khona,mat rona
beetee huee baaton ko jaage huee raaton ko
yaad karna .yaad karna aour jee lain
Mar bhee jaaoun to............mat ronaaa
__________________

Har baar he teri narazgi say dartay hain hum

Har baar he teri narazgi say dartay hain hum
par har baar he tujh say piyar tu kartay hain hum

jawab na milay ga is baar bhe jaantay hain hum
par is baar bhe jawab k tu muntazir hain hum

tu zindagi bhar na chahay ga ye maantay hain hum
phir bhe teri chahat k tu muntazir hain hum

Ye saadgi apni k jitna bhoolna chahain
utnay he tere piyar main doba gaye hain hum

takleef ka ehsaas bhe itna k bas na pooch
tere khayal say har zakhum ko marham kiye hain hum

tere saath guzra hoa aik aik pal ha shamil mujh main
par teri tu guftagoo main bhe shamil nahe hain hum
__________________

Youn tou hum zindagi guzar dein tumharey bina

Youn tou hum zindagi guzar dein tumharey bina
Magar kiya karein dil dhadkta nahin tumharey bina,

Jahan mein sab kuch tha mayesser pehley tumharey bina
Lekin ab yeh jahan hi nahin hai tumharey bina,

Soocha tha khush rahein gay tumharey bina
Per khushi bhi rooth Gaye hum sey tumharey bina,

Har mehfil, har tehvaar baa rounaq thay tumharey bina
Ab yeh mehfil-o-tehvaar be rung hain tumharey bina,

Tanhai bhatii thi mujh KO tumharey bina
Ab tou dar-o-deewar bhi sataatey hein ger jo hoon tumharey bina,

Soocha tha key kuch ker dikhlaein gay tumharey bina
Per Dou kadam bhi Na chal PAYE _ _ _ _ _ _ tumharey bina"

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do

us ko mera halka sa ehsaas to hai

us ko mera halka sa ehsaas to hai
be dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aankoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai

__________________

Tum aaye ho na shub`e intezaar guzri hey

Tum aaye ho na shub`e intezaar guzri hey
talaash mey hey seher, bar bar guzri hey

junoo me jitni bhi guzri hey, bekaar guzri hey
agurche dil pe kharaabi, hazaar guzri hey

howi hey hazrate naseh sey gooftagoo jis shub
wo shub zaroor sire koowey yaar se guzri hey

wo baat saare fasane mey jis ka ziker na tha
wo baat onko bohet nagwaar guzri hey

na gull khile hain na un sey miley, na mey pee hey
ajeeb rung mey aub ke yeh bahaar guzri hey

chamun pe gharet ghunchain peh jaaney kia guzri hey
qafus se aaj saba beqarar guzri hey

__________________

kuch Log Badal Gaye Hain

kuch Log Badal Gaye Hain
Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain

Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal Gay Hain

Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain
__________________

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Us Ki Marzi
K Woh Khizaa.n K Bahaar Likh De
Bahaar Ko Intzaar Likh De
Safar Ki Khwahish Ko Wahamo.n K Azaab Se Humkinaar Likh De
Wafa K Rasto.n Pe Chalne Walo.n
Ki Qismato.n Mein Ghubaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi K Wisal Mausam Mein Hijr Ko Hissa-Daar Likh De
Muhabbaton Mein Guzarne Wali Ruto.n Ko Naa-Paidaar Likh De
Shajar Ko Kum-Sayadaar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhaane Waalo
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai..!!!

Baad Muda'at ussay dekha, logo

Baad Muda'at ussay dekha, logo
Wo Zara bhi nahi badla, logo

Khuch na thaa mujh say bichart ker wo bhi
Uss kay cheray pay likha thaa, logo

Uss ki ankhain bhi kah deti theen
Raat bher wo bhi na soya, logo

Ajnabi ban kay jo guzra hay abhi
Thaa kisi waqat main apna, logo

Doost tu khair koi kiss ka hay
Uss nay dushman bhi na samjha, logo

Raat wo dard mray dil main uthaa
Subh tuk chain na aya, logo

Piyaas sehraoon ki phir teaz hoi
Abar phir tut kay barsa, logo

Itna waqt kyun laagta hai???

Khushi.jo nazar mein nahin hai

Par samaksh khari hain.

Usko prateet hone mein,

itna waqt kyun lagta hai?

Gham.jo nazar mein ade hain

Par door khare hain.

Unko andekha hone mein,

itna waqt kyun lagta hai?

Khushi mein.zindagi hai.

Zindagi mein.gham hain.

Yaani khushi gham se bari hai..

Phir aansuaon ko sukhaane mein,

Itna waqt kyun lagta hai?

Muskuraane ke liye kyun wajah dhoondhte ho?

Jab aansoo bina pooche gaalon pe lurak jaate hain.

Jeena shuru karo to zindagi bahut lambi hai.

Subkiyon se..khilkhilaahat ..bari hai ..

Gehri hai agar aah

To muskuraahat aseem hoti hai.

Phelaana to shuru karo.

Ye lakeer bahut door tak jaati hai.

Tumhaare chehre se ho kar.

Kisi ke dil mein utar jaati hai..

Kisi ki nazar mein bas jaati hai..

Par tumhein us aah ki aawaaz mitaane mein,

Itna waqt kyun laagta hai???

kaash tum meare sahil hotey

kaash tum meare sahil hotey
mean tum tak aakar tehar jaati

kaash tum badal hote
aur mujh pur baras jatey

kaash mean tumhari hansi hoti
har waqt tumhare honton pur rehti

kaash mean tumhari dharkun hoti
hameesha tumhare dil mean rehti

kaash mean ik phool hoti
tum meare bhanwrey hote
mujhe choma karte

kaash mean tumhari hoti
hamesha tumhare saath rehti

Iss se pahale ke yaad tu aaye

Iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhon mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

mujhako gum hai teri judaaie ka,
ranz hai apani bewfaaie ka,
apane vaade se phir gaya hoon main,
apani najaroN se gir gaya hoon main,
iss se pahale ki tu mujhe chhoDe,
mujhako Thukarye mera dil tore,
apana dil khud main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

tera mujarim main tera harjaaie,
saath le jaaungaa ye rushvaaie,
daag daaman se ye mita dunga,
khud ko etani baDee saja dunga,
iss se pahale ke log taane dain,
tere aanshu na mujhako jaane dain,
ye talluuk main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

haN mera entajaar to hoga,
ab bhi kuchh aitbaar to hoga,
tu khula chhoD degi dervaja,
per galat hai ye tera andaja,
iss se pahale ke aah dil bher de,
sab gunahoN ko maaf tu ker de,
ye bharam bhi main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..

iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhoN mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga..
main tera..shahar chor jaunga..

__________________

Niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin

Niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin
tuu bhii dil se utar na jaaye kahiin

Aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahiin

Na milaa kar udaas logon se
husn teraa bikhar na jaaye kahiin

Aarazuu hai ke tuu yahaan aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahiin

Jii jalaataa huun aur ye sochataa huun
raayegaan ye hunar na jaaye kahiin

Aao kuchh der ro hii len ' 
phir ye dariyaa utar na jaaye kahiin

__________________

Kharay hain khwab hathaili pe rakh kar

Kharay hain khwab hathaili pe rakh kar

aur us main band hain wo jugnu lamhay

tumhari dastakain gum ho rhi hain

na aanay k bahanay dhoondhtay ho

samajhna hai, samajh jao

jo jana hai chalay jao......

magar ye dil q ab tak keh rha hai

zara thehr jao......zara thehr jao

Popular Posts