Tuesday, May 31, 2011

Gul ko shabnam say aag lag jayay


Gul ko shabnam say aag lag jayay
maoj ko ram say aag lag jayay

Bazm e taqdees ki fizaon mein
husn e barham say aag lag jayay

Aesay zakhmon ko kia karay koi
jin ko marham say aag lag jayay

Kaash ! aay zindagi ki raqqasa
teri chham chham say aag lag jayay

Chandni kay suhag mein Saghar
chashm e purnam say aag lag jayay

Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay



Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay
mera shaoor usay nazr e jaam karta hay

Hamaray chak e gariban say khelnay walo
hamen bahar ka sooraj salam karta hay

Hamhi say qaos o qazah ko mili hay rangini
hamaray dar pe zamana qayam karta hay

Ye mekada hay, yahan ki har ek shay ka huzoor
gham e hayat bohat ahtram karta hay

Faqih e sheher nay tuhmat lagai Saghar par
ye shakhs dard ki daolat ko aam karta hay

Raat kay khawab sunaen kis ko, raat kay khawab suhanay thay


Raat kay khawab sunaen kis ko, raat kay khawab suhanay thay
dhundlay dhudlay chehray thay. par sab janay pehchanay thay

Ziddi, wehshi, alhard, chanchal, mithay log, rasilay log
hont unkay ghazlon kay misray, aankhon mein afsanay thay

Wehshat ka unwan hamari, in mein say jo naar bani
dekhen gay to log kahen gay, Insha jee diwanay thay

Ye lardki to in galyon mein roz hi ghooma karti thi
is say in ko milna tha to is kay lakh bahanay thay

Ham ko sari raat jagaya, jaltay bujhtay taron nay
ham kiun un kay dar par utray, kitnay aur thikanay thay

Gham-e-aashqi se keh do reh-e-aam tak na ponhchay


Gham e aashqi say keh do reh-e-aam tak na ponhchay
mujhay khaof hay ye tuhmat meray naam tak na ponhchay

Main nazar say pi raha tha keh ye dil nay bad dua di
tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na ponhchay

Nai subh par nazar hay magar aah ye bhi dar hay
ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na ponhchay

Ye adaa e be niyazi tujhay be wafa mubarak
magar aesi be rukhi kia keh salam tak na ponhchay

Jo naqaab e rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthay har nigah lekin koi baam tak na ponchay

Layi hayat aayay, qaza lay chali chalay


Layi hayat aayay, qaza lay chali chalay
apni khushi say aayay na apni khushi chalay

Behtar to yehi hay na dunya say dil lagay
par kia karen jo kaam na be dil lagi chalay

Kam hon gay is bisat pe ham jaisay bad qumar
jo chaal ham chalay so nihayat buri chalay

Ho umr e khizr bhi to kahen gay bawaqt e marg
ham kia rahay yahan abhi aayay abhi chalay

Dunya nay kis ka rah e fana mein dia hay saath
tum bhi chalay chalo yonhi jab tak chali chalay

Nazan na ho khud pe jo hona hay, woh hi ho
danish tri, na kuch mri danishwari chalay

Junoo"n ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai


Junoo"n ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai
Nasha jo piyar men na tha to khoomar kaisa hai



Chuly gaey jo gum-e-hijr se aleel kar ke mujhy,
kiyon gaer se poochty hen ke beemar kaisa hai



Jub bhi rootha to meri ankhon men numi bhar aai,
Wo kia jany ke manany men karar kaisa hai



Tum jo kahty ho ke eeman namazon men hy,,
To phir moola ye musjidon men intishar kaisa hai



Bikhar gai he meri zaat apni tunhai men,
Ab ginoo jo shubha-e-hijr to shumaar kaisa hai


diya jala ke wafaon ka men betha cokhut per,
hawa ne zor se bujha kar kaha ye intazar kaisa hai



Main manita hon ke wo kisi aur ka hai
magar munn ko iss hakeekat se inkaar kaisa hai

Azaab-e-ishq jo kundhon pe hum otha k chale


Azaab-e-ishq jo kundhon pe hum otha k chale..
khata bagaer na koi yun saza nibha k chale


men buzm-e-yar se mohabat ko esy chor chala,
laash bety ka koi hathon se dufina k chale


Aey. khudaya na kabhi esa din dekhy koi,
rakeeb aagy jub nazron ko hum jhooka k chale


Aey. zamana kiyon jafa un ki men parukh na saka
dekho ulfat ke chiragon se ghar jala k cchale


Kamal-e-zubt mera toota yun sanam ki cokhut per,
zaban ko bund or pulkon se ashk gira k chale


un ke dar tak meri korbat ka safar hota tha,,
Aaj dehleez se qadam kiyon to larkhra k chale


Piyar ki jot jalai thi jo munn mein
wo dil ke deepuk aahon se hum boojha k chale

Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay


Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay
ye kia kaha keh tujh ko mri zaat chahyay

Ab to kuch aesi soorat e halaat chahyay
woh bhi kahen, hamen to tra haath chahyay

Kis nay kaha tujh say musalsal ho iltifat
lekin kabhi kabhi to mulaqat chahyay

Aashuftagi jan hay mri wajha inbisaat
dunya ko to hansi kay liyay baat chahyay

Mumkin nahi keh koi, dua barwar na ho
din raat sarf us say manajat chahyay

Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin


Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin
is umr mein to lardkiyan soya nahi kartin

Kuch lardkiyan anjam nazar hotay howay bhi
jab ghar say nikalti hen to socha nahi kartin

Yan piyas ka izhaar malamat hay gunah hay
pholon say kabhi titliyan poocha nahi kartin

Qismat jinhen kar day shab e zulm kay hawalay
aanchal woh kisi naam ka aordha nahi kartin

Jo lardkiyan tarik muqaddar hon kabhi bhi
raton ko diyay ghar mein jalaya nahi kartin

Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya


Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye

kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hai.n dehr mein
miT kar bhi jinn ke naam, zamaane me.n reh gaye

mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane me.n reh gaye

aa.nsuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhipaane mein reh gaye

khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye

sikhaa nahii.n zamaane se chhoTaa sa ik sabaq
taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye

apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham lo`g khote sikke chalaane mein reh gaye

insaan bhi jalaaye gaye lakriyon ke saath
ham hai.n k apni jaan bachaane mein reh gaye

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota


Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota
Ke jo sab kuch, meri soch ke jaisa hota

Tum mujh jaise hote, mein tum jaisa hota
Diwaar beech mein lagaye na ye paisa hota

Hum muskura ke jo chaahte khareed laate
Har gareeb bhi ek raees shakhs jaisa hota

Har koi milta ek duje se kholoos ke sath
Aur uska dil bhi saaf sheeshe jaisa hota

Koi marne deta na, kisi ko bhook aur pyaas se
Hum sabke dil mein Khauf Khuda ka aisa hota

Koi aur badle na badle, ye baad ki baat hei
Tu dua kar janaa kash tu bhi aisa hota?

Kaash too mera sath deta kuch din aur


Kaash too mera sath deta kuch din aur
men bhi roswai se buch jata kuch din aur


dayar-e-husn kiya jany ulfat ki giran keemat,
mooft bazar-e-ishq men bik jata kuch din aur


gaer ke shano.n per teri jo bahen dekhin,
Ya Rub ye nazara na dikhlata kuch din aur

he tamunna dil-e-nadan ki mery hurjai se,
ke do pal mohabaton men gozarta kuch din aur

mezbani teri yadon ki sujai thi mun men,
dil ka mehman hi bun ke rukta kuch din aur

tum raho khush to chala jaon teri dunya se door,
gar na khuwabon men aakar satata kuch din aur

dil-e-mayoos ko gum-e-hijran ke na zakhum de dilbar,
ik molakat se hi bharum rakhta kuch din aur

Kiyon marasum ye toota na jaan suka
kaash teri daga ka sehar rehta kuch din aur

jub mila lutf teri bahon ki pazirai se


jub mila lutf teri bahon ki pazirai se.....
meny bhar kar khod ko paya sari khudai se...

Ankkh num hoti thi un ki rooth jany se qabl,
ye ada kis ne choorali he mery hurjai se..

ab men sumjha hon birahmun ki boot parasti ko,
k meri terha wo bhi andha he ishq-e-beenai se.


Tum khuda ka mujh pe ehsan ho ba soorat-e-dilbar,
ya ibn-e-Mariyum ka mojiza ho koi masihai se.......


nahin perwa kisi adam ko deen o dunya ki yahan,
bus k wakif he wo khuwahish ki shanasai se..


Mujh pe ilzam kushi ki tum na takleef otha,
men hon budnaam bohat khod ki be hayai se..


guzri yaadon ki aseeri ne mujhy jawed rukha,
dosti muzboot hogai phir apni tunhai se....


chor kafir pe durgozar ki ab ye aadat
kuch bhi haasil nahin jahiL ki rahnoomai se.

JUB KHOOB KHUDA NE KIA YE INTAKHAB CHEHRA


JUB KHOOB KHUDA NE KIA YE INTAKHAB CHEHRA.
FARISHTON NE MIL KAR KAHA HE LAJAWAB CHEHRA.


RAHY NOOR-E-SHUMS MADHUM OR CHAND BHI SHURMAEY,
IK LUMHA JO HO JAEY YE BE HIJAAB CHEHRA.

ZAHID BHI APNY ZOHD MEN KAAMIL NAHI REH SUKTA,
MEHFIL MEN AGAR DEKH LY YE KATIL SHABAB CHEHRA.

UNJAN SE NASHY MEN MUKHMOOR HOGAYA HON,
NENO KE SAGARON SE JO PILAYA SHARAB CHEHRA.

HUR PHOOL KI HE HUD-E-UMR KHILTA NAHI KHIZAN MEN,
KABI MAR KAR NA MORJHAEY HE WO GUL E GULAB CHEHRA.

DARWESH RAHI HE DUNYA KIYON HUSN K JULWON KA,
ISS RAZ SE PARDA HUTA JUB UTRA NAKAB-E- CHEHRA.

ZULMAT KADY HEN AOR BHI WAHSHI JAHAN HE SARA,
MERY ISHQ KE GHAR KIYON KHOLAYE WEHSHUT KA BAB CHEHRA

MISKEEN KO AAYA NAHIN KABHI FUN SANAGARI KA,
HUSRAT RAHI K AB TAK NAHIN DEKHA JANAB CHEHRA......

Humko aatay thay kabhi khwab suhanay walay

Humko aatay thay kabhi khwab suhanay walay
Janay kis shehr gaye hum ko lubhanay walay

Ab uss k raastay mein kon dil bicHaaye ga?
Mileinge uss ko kahan ham sa chaahnay walay?

Woh to kuch itni ada say tha pukara us nay
Werna hum bhi thay kahan lot kay janay walay

Wo jo kartay thay her ik baat par hi jaaN sadqay
Janay kis dais gaye dost puranay walay

Hath mein hath diye sath chalein gay younhi
Hum se jaltey hein to jal jaein zamanay walay

Waqat e rukhsat teri aankhon ne ghazab kia dhaya
Keh gaein raaz sabhi, jo they chupanay walay

Doobta chand hai, saahil ki hawa, main aur tum
Ab kion aatey hein wohi khwab puranay walay 

hum ne to dekh liya ye dil lagany se pehly


hum ne to dekh liya ye dil lagany se pehly.
tum kitny be wafa thy humen apnany se pehly.

he perwanoN ki fitrat wahi julna wa turapna,
per shama to bojhti nahi sehar hojany se pehly.

kiyon dostoN ko parukhna he dustoor-e-zamana,
hum haar chuky hen tumhen aazmany se pehly.

iss se barh kar wafa ki aor den kiya daleel,
k khud hi ro pary hen tumhen satany se pehly.

dunya se chupaey rukha apny piyar ko lekin,
nuzroN se ayaaN hogaey kuch batany se pehly.

wo kis terha den apni begunahi ka saboot,
jo wady apny taor gaey kisi bahany se pehly.

miskeen teri daga se kabhi be khabar na tha,
tubhi to rota chaor gaey humen manany se pahly.

aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti


aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti,
phoolon mn mehuk taron mn chamuk hr shae mn jawani na hoti.

ye zulf shab e dejor se aur chal teri mastani si
bulbul na sunti geet koi, aur lehroon main rawani na hoti

Koi na perhta heer, na samajhta shereN-ferhad
roshan na hoti koi shama, perwaney ki kahani na hoti

hur chodviN ko tum aangun main mehboob k lums ko chooty ho,
men lurta jhagurta tum se agar wo tujh pe deewani na hoti.

mehtab-e-falak aa dekh zara mehtab-e-zameeN k julwon ko,
tera naam sanam ko na deta gar tujh si peshani na hoti.

muqrooz tera hur aasique he mujboor tera hur shair he,
julwaa na tera gar roshan ho nughmon main rawani na hoti.

Kuch aag si pinhaan hay teri in thandi thandi kirno mein
warna in chandni raaton mein wehshat ki rawani na hoti

choti aankhain khab baray rastay main kab raat paray


choti aankhain khab baray
rastay main kab raat paray

chal ab ghar ko laot chalen,
phir se na barsaat paray.

kaon nibhaey ishq k vaadey ?
toofano'n se kaon larey

Bhoolney waley tujh per to they
nada'n dil ko maan barey

daman mera laho laho
aankhon mein youn khwab gharey

teri zad se nikalanaa chaahata hai


teri zad se nikalanaa chaahata hai
ye dariyaa ruKh badalanaa chaahataa hai



vo sapanaa jis kii suurat hii nahii.n hai
merii aa.Nkho.n me.n chalanaa chaahataa hai

dilo.n kii maa.Ndagii pe kyaa ta'ajjub
ki suuraj bhii to Dhalanaa chaahataa hai



nashist-e-dard badalii hai to ab dil
zaraa pahaluu badalanaa chaahataa hai



mujhe bhii saamanaa hai karbalaa kaa
meraa sar bhii uchhalanaa chaahataa hai

nahii.n hai tarjumaan-e-Gam ye aa.Nsuu
ye paanii ab ubalanaa chaahataa hai



tabassum zer-e-lab kahataa hai 'Amjad'
koi jazbaa machalanaa chaahataa hai

Tuesday, May 24, 2011

Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum


Kho kar mujhay panay ki tamanna na karo tum
yon apni muhabbat ko to ruswa na karo tum

Hay tum ko agar ham say taghaful ki shikayat
haal dil e bimaar sunaya na karo tum

Ek baar bhula kar, jo sao baar jataen
ehsan kabhi un ka uthaya na karo tum

Pchhtanay say to behtar Qamar baat yehi hay
hargiz kabhi apnon pe bharosa na karo tum

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain


Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain


Samandar Ki Gehrayi Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Main Woh Rishtay Kyun Toot Jate Hain

Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Bhar Kar
Woh Log Dil Ki Dunya Kyun Loot Jate Hain

Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain

Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain

mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha


mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha
aur us ki shakhsiyat kaa baankpan acha laga thaa

Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se us ki
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa tha

vo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaayrii meN
mujhe uss kaa yehii diivaanaapan achchhaa lagaa tha

zamaanaa keh rahaa thaa us ke baare meN fasaane
magar mujh ko tau us kaa har chalan achchhaa lagaa tha

dhanak ke raNg hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko
mujhe tau eik saadaa pairahan achchhaa lagaa tha

bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN maiN
ke us lahje kaa mujh ko dhiimaapan achchhaa lagaa tha

mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai wo
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa tha

vo jis dam us ne mujh se khelne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche kaa apne, bholaapan achchhaa lagaa tha

pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai
jise phailaa huvaa niilaa gagan achchhaa lagaa tha

Tujh se milnay k karay dil ye bahanay kia kia


Tujh say milnay kay karay dil ye bahanay kia kia
ishq ho jayay to bantay hen fasanay kia kia

Tujh ko paa lenay ki tadbeer mein dhondhon har soo
main nay dekhay hen teray khawab suhanay kia kia

Main nay aankhon say teri sari balaen lay lin
ranj uthayay hen teray wastay janay kia kia

main hi janoon hon, mujhay waqt nay kia zakhm diyay
mujh pe bitay hen muhabbat mein zamanay kia kia

Ek wohi raaz meray dil mein na thehra pal bhar
aek wohi baat lagi sab ko sunanay kia kia

Ishq Mujhko Nahin, wehshat Hi Sahi


Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi
Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi
Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi
Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi
Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi
Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad'
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe


Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe

Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe

Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

Hamara Haal Kab Poocha Gaya Hay


Hamara Haal Kab Poocha Gaya Hay
Hamain Hasrat Say Bas Dekha Gaya Hay

Kisi Ko Khud Say Barh Kar Chahnay Ka
Muhabbat Nam Q Rakkha Gaya Hay

Woh Kal Hoga Jahan Ki Thokroun May
Abhi Barh Kar Jisay Chooma Gaya Hay

Yahan Jis Nay Bhi Ahcay Sher Likhay
Usi Ka R aasta Rokha Gaya Hay

Mere Zakhmoun Say Andaza Laga Lo
K Mujhay Ko Kis Qadar "CHAHA GAYA HAY"

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon


Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi.. Dost Bana Leta Hoon..

Kabhi Yaad Unko Kar.. Muskura Leta Hoon..
Guzre Lamho Ko Phir.. Kareeb Bula Leta Hoon..

Shaam Jab Aati Hai.. To Pooch Jaati Hai..
Kyaa Aaj Bhi Aansu Bahaoge? Mein Hans Deta Hoon..

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi Dost Bana Leta Hoon..

Zindagi Ko Jeenewala..Aaj Kyun Chup Baitha Hai..
Jab Maa Yeh Poochti Hai.. To Sir Jhuka Leta Hoon..

Ab Mera Yaqeen Kamzor Padta Jaa Raha Hai..
Mohabbat Tere Naam Se.. Dil Darta Jaa Raha Hai..

Pooche Gar Koi..Ke Meri ye Haalat Ka Zime-daar kaun,
To Aaine Mein Dekh Khud Pe Ungli Utha Deta Hoo..

Har Shaam-e-roz Dil Ko Behla Leta Hoon..
Tanhai Mein Khud Ko Hi Dost Bana Leta Hoon…

Kuch B Na Ban Para To Dabo Daingay Safeena


Kuch B Na Ban Para To Dabo Daingay Safeena
Sahil Ki Qasam Minnat-e-Tufaan Na Karaingay

Likh Agar Waqt-e-Rawan


Likh.............
Likh
Agar Waqt-e-Rawan
Tufeeq-e-Muhlat Day Tujhay
Rooh K Awraaq Par
Apnay Badan Ki "DASTAAN"

Koi ghazal suna ker kya kerna


Koi ghazal suna ker kya kerna,
Yoon baat barrha ker kya kerna..?

Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata ker kya kerna..?
...
Tum ehad nibhao chaahat say,
Koi rasm nibha ker kya kerna..?

Tum khafa bhi achay lagtay ho,
Phir tum ko mana ker kya kerna..?

Tere dar pe aa k bethay hain,
Ab ghar bhi ja ker kya kerna..?

Din yaad se acha guzray ga,
Phir tum ko bhula ker kya kerna

Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta


Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta
Han yeh dil tere siwa koi chahat nahi karta

Ek hum hain jo inpar khushiyan bhi nichawar kar dete hain
Ek woh hai jo dard bhi inayat nahi karta

Jab bhi isay bhoolnay ki koshish karta hoon
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta

Apni taqdeer ki kitab main hi shayad mohabbat ka baab nahi
Main tum se koi jana shikayat nahi karta.

fasle mehro muhabbat ko zar kha gaee


fasle mehro muhabbat ko zar kha gaee
zindagi ko kisi kee nazar kha gaee
....

mujh pay iflas kee teergi mustaqil
merai bachoon ka roshan sahar kha gaee
....

mera ghar hi nahi muflisi ka shikar
oor bhi aisai kitnai hi ghar kha gaee
....

dil kai hathon muhabbat main us nai faraib
laakh chaha na kha e magar kha gaee
....

tab hi aya dua kai asar ka yaqeen
jab bala ko dua asar kha gaee
....

zindagi ka rahai kaisai phir aetibar
zindagi zindagi ko agar kha gaee

Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay


Waqt burham ho to Puray Kahan arman hongay.
PaaeNgay hum na sokooN bulkay parishan hongay.

Dust-e-purkhar ki Zahmat bhari Tanhaai Main.
Chaak dil Chaak Jigar Chaak Gariban hongay.

Saath lay Jaingay Qirtas-e-amal Hum apnay.
Dufn jub khaak main hum Sokhta Samaan hongay.

Kum nagahi say mujhay daikh nay walay ekdin.
Meri Qismat kay sitaray bhi daraksha hongay.

Yeh Zamana to sada Aik Saan rahta hi nahi.
Hansnay Walay Bhi Kabhi Maa-e-lay Giryan hongay.

Tum nay Daikha Hay jinhay Shabh Kay Safar mai roshan.
Ab Sitaray woh KhaN Din MaiN NomayaN hongay.

Naz Sujday pay ghalat hoga tumhara Sajid.
Tum say Kitnay Hi Yahain Sajda GuzaraN hongay.

nahi cher un ke tasawwur meN ai bahaar mujhe


nahi cher un ke tasawwur meN ai bahaar mujhe
kissi ki yaad mein rehney day bay qarar mujhe

hawaa nah de mire shauq-e-wafaa ko yooN hamdam
nah kar de Hasrat-e-dil phir gunaahgaar mujhe

jab aayinay taras gaye aur aks dhundlay huay
chaman meN kheeNch laaya Husn-e-naubahaar mujhe

tiraa naSeeb, Gham-e-dil! kabhee to jaage gaa
abhee to rehne de Hasrat kaa too shikaar mujhe

anaa huyee thee muHabbat kee kyoN Hareef bhalaa?
kiyaa shikast-e-anaa ne hai sogawaar mujhe

rahaa nah yaad mah-o-saal kaa shumaar mujhe
huwaa jo ishq meN laaHaq yeh intizaar mujhe

nah jaaooN gee kabhee dunyaa-e-Khwaab mein
nah aaYe gaa kissi waday pay aitbaar mujhe

badi lambi kahani hai, tujhe leikin sunani hai


badi lambi kahani hai, tujhe leikin sunani hai
tera ghum jaan leva yaad teree par suhani hai


ghamoon ko chor bhi detey, sakoon ko tham hi letey
ghamoon sey kya karein leiekin, bari yari purani hai

ghamo tum door hi rehna, samandar ansoon ka hai
baha le jaye na tum ko, ye lehri bhi dewani hai

zameen ko cheerna chahye, hawa pey teyrna chahye
badi pagal sahi leikin yehi yaroon jawani hai

Mohabat bhol bhi jatey, sanam pey yuon na hum martey
magar 'ijaz' baibas hain, ye afat asmani hai

Na Hamari Gazlen Padha Karo Na Hi Hum Pe Gazlen Likha Karo


Na Hamari Gazlen Padha Karo
Na Hi Hum Pe Gazlen Likha Karo

Bus Eik Aag Hi Mere Jism Me
Mujhe Is Tarah Na Chuwa Karo

Jo Utha Hai Daste Talab To Phir
Mere Haq Mein Bhi To Dua Karo

Who Hai Be Wafa Hai Use Khaber
Mujhe Keh Raha Raha Hai Wafa Karo

Yahi Mere Dil Ki Hai Aarazoo
Mere Saamne Hi Raha Karo

Jo Hai Sang Sang Hi Rehne Do
Na Tarash Kar Ab Khuda Karo

Yahan Be Hayayi To Aam Hai
Zara Paas Sharm O Haya Karo

Kabhi Ungliyo Se Fizawon Mein
Mera Naam Yuon Na Likha Karo

Sitam-sha'ar hain, halaat hain, awamil hain


Sitam-sha'ar hain, halaat hain, awamil hain
Saraab dil ki tamanna ke sab muqabil hain

Hazaar shukr ke nakhwat ko ilm hi na hua
muhabbaten bhi to gustakhion main dakhil hain

Wo ek shakhs jo dil main maqaam rakhta tha
Usi ke naam ke tashnay wafa ko hasil hain

Tamam shehr tamanna ke behr main utra
Utar sake na magar ham ke ham to Sahil hain

Ye aur baat ke hasti to mit gai apni
Magar ye zoam ke ehl-e-junoon main shamil hain

Chale To Kat Hi Jaye Ga Safar Ahista Ahista

Chale To Kat Hi Jaye Ga Safar Ahista Ahista
ham us ke paas jaate haiN magar aahistaa-aahistaa

dikhaa denaa usey zaKhm-e-jigar aahistaa-aahistaa
samajh kar, soch kar, pahchaan kar, aahistaa-aahistaa

uThaa denaa hijaab-e-rasmiyaat-e-darmiyaaN lekin
Khitaab aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahistaa

abhii taaroN se khelo, chaaNd kii kirnoN se iThlaao
milegii us ke chehre kii sahar aahistaa-aahistaa

dariichoN ko to dekho, chilmanoN ke raaz to samjho
uTheNge pardah_haa-e-baam-o-dar aahistaa-aahista

yooN hii ik roz apne dil kaa qissah bhii sunaa denaa
qit'ah aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahistaa

zamaane bhar ki kaifiyat simaT aayegi saaGhar meN
pii'o un aNkhRhioN ke naam par aahistaa-aahistaa

mahak uThegii saarii rah_guzar aahista-aahista


mahak uThegii saarii rah_guzar aahista-aahista
huaa karta hai khushbu ka safar aahista-aahista

diye sirf ek gham ne ziNdagii ko zaaviye kyaa-kyaa
jaliiN ik lau se shammeN kis qadar aahista-aahista

mere husn-e-nazar ka khud mujhe ehsaas tak kyooN ho
jamaal-e-yaar kar aaNkhoN meN ghar aahista-aahista

shuaaeN khud hi apna raasta pahchaan letii haiN
utar aatii hai aankhon meN sahar aahista-aahista

teri yaadeN bhii ik-ik kar ke rukhsat hotii jaatii haiN
bichhaRhte jaa rahe haiN hamsafar aahista-aahista

phir uthii dil meN ek mauj-e-shabaab aahista-aahista


phir uthii dil meN ek mauj-e-shabaab aahista-aahista
Phir aaya ziNdagii meN inqilaab aahista-aahista

samaa kar mujh meN wo aain-e-shabaab aahista-aahista
banaa degaa mujhe apnaa jawaab aahista-aahista

yeh mahfil zaahedaana-e-khushk kii mahfil hai ai riNdo
zaraa is bazm meN zikr-e-sharaab aahista-aahista

merii nazreN mujhii ko rafta-rafta bhoole jaatii haiN
hue jaate haiN jalwe kaamyaab aahista-aahista

na kahiye, haaN na kahiye, aapko mujhse muhabbat hai
nigaaheiN khudd hii de deNgii jawaab aahista-aahista

''Shakeel'' iss darjah maayoosii shuroo-e-ishq meN kaisii
abhii to aur honaa hai Kharaab aahista-aahista

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista


chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista
duaaeiN ho rahii haiN mustejaab aahista-aahista

haya kushta hooN maiN uThe naqaab aahista-aahista
sukooN se ham_baghal ho izteraab aahista-aahista

sharaab-e-naab de lekin zara ruk-ruk ke jhuk-jhuk ke
nigaah-e-mast kar mast-o-Kharaab aahista-aahista

khud apne husn ka parda hai noor-e-sarmadi teraa
bane jis tarah mehar apnii naqaab aahista-aahista

tasallii ki ye baateiN haiN, ke taRhpane ki baateiN haiN
khaamoshi, phir tabassum, phir Khitaab aahista-aahista

be_hamdillah shoKhii se hua sheer-o-shakar aaKhir
ghula mauj-e-tabassum meN hijaab aahista-aahista

mujhe kyaa niiNd aaegii ke ham-dam maiN ne dekhii haiN
woh aaNkheiN baNd hote, waqt-e-Khwaab aahista-aahista

shabaab-e-husn kii garmii meN hai raNg-e-hayaa shaamil
gul-e-aariz se khiNchtaa hai gulaab aahista-aahista

mohabbat raah kartii hai yooNhii mahboob ke dil meN
ke jaise nashaa kartii hai sharaab aahista-aahista

khulii jo aaNkh, ufaq par ek sitara jhilmilaata thaa
maiN samjha tha ke jaaega shabaab aahista-aahista

''Asar'' is tarah meN misra ''Walii'' ka to suna hogaa
"khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista"

sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista


sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahista-aashista
nikalta aa rahaa hai aaftaab aaista-aahista

javaaN hone lage jab wo to ham se kar liya parda
haya yak_lakht aa_ii aur shabaab aahista-aahista

shab-e-furqat ka jaaga hooN farishto ab to sone do
kabhii fursat meN kar lenaa hisaab aahista-aahista

sawaal-e-vasl par un ko udoo ka Khauf hai itnaa
dabe hoNThoN se dete haiN jawaab aahista-aahista

wo be_dardii se sar kaateN ''Ameer'' aur maiN kahooN unse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

hamare aur tumhare pyaar meN bas farq hai itna
idhar to jaldi-jaldi hai udhar, aahista-aahista

kiya mujh ishq ne zaalim koon aab aahista-aahista


kiyaa mujh ishq ne zaalim kooN aab aahista-aahista
ki aatish gul kooN kartii hai gulaab aahista-aahista

ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-Khalvat meN gulroo sooN
Khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista

mire dil kooN kiyaa be_Khud tirii aNkhiyaaN ne aaKhir kooN
ki jyooN be_hosh kartii hai sharaab aahista-aahista

adaa-o-naaz sooN aata hai vo raushan_jabiiiN ghar sooN
ki jyooN mashrik se nikale aafataab aahista-aahista

''walii'' mujh dil meN aata hai Khayaal-e-yaar-e be_parvah
ki jyooN aNkhiyaaN mane aataa hai Khwaab aahista-aahista

Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya


Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya
kia kahoon kitni aziyat se guzer ker aaya

har koi ham se mila umr-e guraizan ki tarah
woh tou jis dil se bhi guzra ghar ker aaya

tum ne ik sang uthaya mer aayiney per
aur har shakhs ko mein aayeina-gar ker aaya

mujh se kia poochtey ho shehr-e wafa kaisa hai
aisa lagta hai saleebon se uter ker aaya

sirf chehrey hi agar karb ke aayiney hein
kyun na mein dil ka lahoo aankh mein bhar ker aaya

ab jo is sheher ki taqdeer ho, mein tou logon
dar-o deewar pe hasrat ki nazar ker aaya

ham tou samjhey thay mhbt ka payambar hai Faraz
aur woh be-meher touheen-e hunar ker aaya.

Kyon Na Mujh Per Itaab Ho Jaye


Kyon Na Mujh Per Itaab Ho Jaye,
Yeh Bhi Kaar e Sawab Ho Jaye.

Khaar Dekho Jo Muskurake Tum,
Phool Ka Woh Jawaab Ho Jaye

Aao Chalte Hain Mai Kade Ki Taraf,
Ek Daur e Sharab Ho Jaye

Ya Ilahi Jo Raat Dekha Hai,
Ik Haqeeqat Woh Khwaab Ho Jaye

Unki Nazron Se Khud Gire Bijlee,
Khaak Unka Naqab Ho Jaye

Dekh Lo Tum Gulabi Ankhon Se,
Saara Pani Sharab Ho Jaye

Tum Agar Rooth Jao Manzar Se,
Zindagi Ik Azaab Ho Jaye

Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai


Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai,
Zindagi Jab Safar Mein Hoti Hai.

Unke Ghar Mein Chiraagh Jalte Hain,
Roshni Mere Ghar Mein Hoti Hai.

Kya Mohabbat Isi Ko Kehte Hain,
Kyun Yeh Sozish Jigar Mein Hoti Hai.

Unka Ana Hai Maut Ka Ana,
Zindagi To Khabar Mein Hoti Hai.

Kya Zaroori Ke Esi Dil Mein Ho,
Jesi Nafrat Nazar Mein Hoti Hai.

Jo Bhi Kehna Hai Saaf Saaf Kaho,
Mujh Ko Uljhan Agar Mein Hoti Hai.

Pani Hota Hai Ankh Mein Manzar,
Aag Bhi Chashm e Tar Mein Hoti Hai.

Kya Kya Ajab Gul Khilati Hai Zindagi


Kya Kya Ajab Gul Khilati Hai Zindagi,
Sukh Ke MausaMon Ko GaM Ki Chadar Udhati Hai Zindagi,

Pehle Aankhon Mein Khwaab Sajati Hai,
Phir Unhi Khwabon Ka Mazak Udati Hai Zindagi,

Pehle Khushbuon Se Phoolon Ko Mehkati Hai,
Phir Unhi Phoolon Se Khushbu Ko Churati Hai Zindagi,

Pehle GaM-E-Yaar Se Milati Hai,
Phri Usi GaM-E-Yaar Se Juda Karti Hai Zindagi,

Pehle Jeene Ka Jawaz HaMein Batlati Hai,
Phir Usi Jawaz Ko Mita Si Jaati Hai Zindagi...

Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara


Dukh Ki Do Ek Barsaton Mein Kab Ye Dil Payab Bhara,
Wo To Koi Dariya Le Aaya Dariya Bhi Sailab Bhara,

Sochta Tha GaM Ko GaM Kaate Zeher Ka Zeher Bane Teriyaq,
Ab Dil Abla Abla Hai Aur Shisha Shisha Jaan Zeher,

TuM Aa Jate To Us Raat Ki Umar Bhi LaMbi Ho Jaati,
Abhi Tha Deewaron Par Sabzah Abhi Tha Sehen Gulaab Bhara,

Jaane Hijr Ki Raat Ke Wasl Ki Raat Guzaar Ke Aaye,
Aankhein Neendon Neend Bhari Hai JisM Hai Khwabon Khwaab Bhara...

Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi


Meri Zindagi Bhi Meri Nahi, Ye Hazaar Khaano Mein Bant Gayi,
Mujhe Ek Mutthi ZaMeen De, Ye ZaMeen Kitni SiMat Gayi,

Teri Yaad Aayi To Chup Rahun, Zara Chup Rahoon To Gazal Kahun,
Ye Ajeeb Aag Ki Bail Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mujhe Likhnewala Likhe Bhi Kya, Mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,
Jahan Mera NaaM Likha Gaya Wahin Roshni Ulat Gayi,

Na Koi Khushi Na Kio Malal Hai, Ke Sabhi Ka Ek Sa Haal Hai,
Tere Sukh Ke Din Bhi Guzar Gaye, Meri Dukh Ki Raat Bhi Kat Gayi,

Meri Band Palkon Pe Toote Ke Koi Phool Raat Bikhar Gaya,
Mujhe Siskiyone Jaga Diya, Meri Kachhi Nind Uchet Gayi...

Mujhe Is Zindagi Se Qabal Hi Nashaad Kar Dete


Mujhe Is Zindagi Se Qabal Hi Nashaad Kar Dete,
Abhi Tanha Kiya Hai To Tabhi Barbaad Kar Dete,

Kabhi Tere Dayaar-IshQ Mein Abaad Na Hota,
Dil-E-Mehtaab Ko Aisa Dil-E-Barbaad Kar Dete,

Har Ek Rabt KhataM Aur Saari Aas Bhi Tooti,
Adhoore Khwaab Se Aankhon Ko Bhi Aazaad Kar Dete,

Mujhe TuM Kuch Bhi Kehte Mujhse FaQt Pyaar Na Karte,
Jala Kar Raakh Karte Zindagi Barbaad Kar Dete,

Kiye Waade Nibhate Aur Mujhe Abaad Kar Dete,
Sabhi Waade Jo Tode Mujhe Bhi Barbaad Kar Dete,

HaMein MaluM Agar Hota Ke Hona Wasta GaM Se,
To TuM Is Dilki NarMiyonko Folaad Kar Dete,

Agar Sab Kuch Mere Naseeb Ka Likha Nahi Hota,
To TuM Duniya Ko Bhi Is Dilki Tarah Barbaad Kar Dete...

Popular Posts