Sunday, April 26, 2009

raahain tay ho jayen tab bhi chund ek rastay reh jatay hain

raahain tay ho jayen tab bhi chund ek rastay reh jatay hain
khuwaab mukamil ho janay par loug adhoray reh jatay hain

aisa bhi ishq kiya jo khud se chupaye phirtay hain
aisay bhi kuch shairr k jin ko likhtay likhtay reh jatay hain

khushbo se phir kaisa rishta, kiya mausam ka aye, jaye
andar jab pathjarr bas jaye, baagh mehaktay reh jatay hain

koi parinda lambi udaarri marzi ki jab bharr leta hai
yun lagta hai, jeevan jaal main dhaagay kachay reh jatay hain

sehraaon ki wus-at jin ki ankhon main bus hati hai
darriya paas paraao dalain phir bhi piyasay reh jatay hain

ankh aur zehan ko jabarr ka mausam zard khizaan sa kar deta hai
haath main kaantay ugg aatay hain kaghaz soonay reh jatay hain

Popular Posts