Sunday, April 26, 2009

sans letay thay sabhi per koi bhi zinda na tha

sochta rehta tha mein jo wo kabhi dekha na tha
aur jo dekha tha mein nay wo kabhi socha na tha

ye meri taqdeer ki tarikiyan he hon tou hon
raat ki aankhoon ka kajal is qadar gehra na tha

log chehray per meray apnay he gham likhtay ga'ey
jab bhi roya tha mein apnay wastay roya na tha

qurbaton ki duroyan shayad issi ka naam hai
"samnay betha tha meray aur wo mera na tha"

sach kahoon tou ye mohabat raas he aa'ey naheen
khou deya wo kuchh bhi is mein jo kabhi paya na tha

tha mujhay apna samajhnay ka bohat da'awa tumhein
keun mera aansoo tumhari aankh say ttapka na tha

sans lenay ki rewayat si parri thi sheh meiner
sans letay thay sabhi per koi bhi zinda na tha

janay kesay dour mein ham ji rahay thay dostoo
aa'enay bhikray parray thay aik bhi chehra na tha

is dafa Aatif khizan aa'e ajab andaz say
sabz theen sab ttehniyan patta koi bikhra na tha

Popular Posts