Monday, September 7, 2009

dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

la haasili ka ishq mai charcha nahi kiya
dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

ham maslehat pasand thai barbaad ho gaye
jo kuchh bhi jis tarah se bhi socha nahi kiya

zardar o be_nawa se kiya aik sa sulook
dil ne koi lihaz kisi ka nahi kiya

kar k dikhai ham ne usey be_wafai bhi
uss k husool k liye kya kya nahi kiya

manzar se hatt k kar diya aasa'n judai ko
iss faisley mai bhi usey tanha nahi kiya

khush fehmio'n mai khoob guzar sakti thi magar
ham ne khud apne aap se dhoka nahi kiya

yaad uski itni khoob nahi thi ba_kaul Meer
lekin usey bhula k bhi atcha nahi kiya

No comments:

Popular Posts