Monday, September 7, 2009

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta

Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta

Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?

Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta

No comments:

Popular Posts